Army officer ke treatment ke liye Army hospitals hote hain

nivi26 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 4 months ago

Baaki sab drama to pachaa lete hain. Lekin ek retired army officer ko treatment ke liye maara maara firte dikhana ek bahut bada blunder aur jabdarsti ka nautanki hai!

Mujhe Savi pasand hai, aur is show me bahut kuch mujhe pasand hai. Par etne sare factually galat cheeze dikhate hain ye log taki FL aur ML ko glorify kar sake!!

Army officer ka treatment muft me Army hospitals me hota hai, aur India me unse acchi facilities kahi nahi hai. Army me kaam karne wala insaan aur uski immediate family ko ye suvidha hai. Aur Ninaad to ek etna bada aur decorated officer tha.

Aur haan problem kisi ko ho sakti hai, yaha tak thik hai. Struggle story dikhana thik hai, par jabardasti gaanv/ganvaar/Gareeb dikhana "too much" hai. She is not from mildy educated and regressive families in states like Bihar/UP/Rajasthan/MP etc. 

Viraj Nagpur ka bahut bada officer tha, aur Sai bahut badi doctor tha. Aise logo ka social capital bahut jyada hota hai. Khaskar ye log national security ke liye shaheed hue. Haath me paise ho na ho, par society me ijjat bahut hoti hai.

To in that context, Savi is not underprivileged girl in any sense. Na caste se, naa class se. Haan family trauma aur struggle dikha sakte the. It will be logical then. Kyonki Bhawani Chawan sabki life se khelti rahi hain.. aur kaise Savi aur Veenu dono ko childhood trauma mila.. aur Veenu ka Trauma to kahi jyada tha.

Instead ki kisi psychologist se consult karke proper research karke story aur character draw karte... Ye to sab copy kar rahe.

Uske alava Savi Bhosale institute me exactly padh kya rahi wahi clear nahi hai.

Aur kuch bhi dikhaate hain. Wo college Kam coaching centre jyada lagta hai. Ishaan ka mannerism aur lecture dene ka style bhi kisi PHD scholar jaisa nahi, UPSC bhi nahi SSC ke coaching institute chalane wale star teacher jaisa hai.