Love and Love only💓💓💓💓 ViDev SS part 8,9, 10 - Page 4

Posted: 1 years ago

Part 5 

Dev : Kanika, clients ke saath meeting kaa kya huwa ?

Kanika didn't responded.

Dev  : Are you hearing me ? Tumse pooch Raha hun kuch.

Kanika: Dev!! I am sorry clients aaj aa nahi rahe hein..Mein inform karna hi bhool gayi..

Dev : Kya ?? 

Kanika: I am sorry.

Dev ; Tum theek ho ? 

Kanika: To be frank theek nahi hun. Yogesh ne joh kiya uske baad kaise mein apna mukh dikhati tumhein aur Vidhi ko ?.

Dev : Kanika, tumhein guilt feel hone kee koyi zarurat nahi hein..But still I can understand. Ek kaam karo tum aaj half-day leave lo..

Kanika: Par Dev !! Mujhe nahin chahiye, I mean mein...

Dev : Aaj kisi bhi work pe focus nahi thi.. Sangeeta ne jab coffee rakhi tab tumne usse piya hi nahi..Aisa pehli baar huwa hein aur upar se tumne project ke liye approval bhi nahi kee. I guess you are not able to focus. Thoda break lo, rest Karo..Aur zyada socho mat. Jaise hi tumhein theek Lage waapis aana.

Kanika: Dev !! Life mein chahe kuch bhi ho jaaye iska asar professional life pe kabhi hona chahiye..But mein bhi ek insan hun.... Tumne mujhe samjha mere liye yeh bahut badi baat hein..

Dev : Mein sirf boss nahi hoon, tumhare friend bhi hoon Kanika. I am concerned for my friend.

Kanika: Dev !!! Yogesh ko pata nahi kya ho gaya kee tumhein Aur Vidhi ko nuksan pahunchane nikal pade.... But chinta mat karo Dev, mein kal tak apna mind refresh karke aa jawungi....I don't care what he does now.  Anyways mein jaa rahi hoon.

Dev : Take care Kanika.

And when the office hours got finished Dev came near Vidhi..

Dev : Chale Vidhi, classes bhi toh jaana hein.

Vidhi: Dev, woh pairon ke muscles pe cramps aayi hein. Aisa tabhi hota Hein jab mujhe mujhe..

Dev ; Batawo Naa

Vidhi: Yeh ladkiyon waali baat hein. Mein toh woh laana bhi bhool gayi. Kya karun mein? 

Dev ; Mein bas das minute mein aata hun.

Vidhi : Lekin Dev 

Dev : Yahan baithi raho.

After 10 minutes Dev came with a packet and said : Yeh lo Vidhi .. Vidhi's eyes were filled with tears.

Dev : Kya huwa ?

Vidhi : Woh yeh seat aur meri dress ke back side puri tarah se geele ho gaye....Mein !! 

Dev cupped her face and wiped her tears.

Dev : Vidhi , iss mein rone waali baat kya hein ? Actually hamare office mein bahut saari ladies naukri karte hein ... Periods toh natural process hein . Iss office mein naa menstrual cups aur sanitary pads provide karne kee facilities nahi rakhe hein abb tak..But iss incident ne mujhe woh seekh dee. Don't worry, iss mein dress bhi hein aur sanitary pads bhi hein....Mein tumhein leke jaata hun washroom tak. 

Vidhi: Aap kaise ?? 

Dev ; Kyun ?? 

Vidhi: Iss Time pe toh mein ghar mein Paapa ke saamne nahin jaati , zyada tar kamre mein bitati hun . 

Dev : Dekho, meri bhi ek behan hein aur tumhari iss problem ke baare mein mujhe pata hein.... Chitra ke liye bhi mein khud sanitary pads laaya hun toh kya apni biwi ke liye nahin laa sakte? 

Dev kissed her forehead and slowly held her hands and took her to washroom..

Dev : Jaake change kar lo....Mein hoon Naa. 

Vidhi nodded her head and went inside.

Meanwhile Dev took the piece of cloth and started cleaning the seat and chair at which Vidhi was sitting....Vidhi was surprised to see Dev doing it.

Vidhi: Dev !! Aap yeh kya saaf kar rahe the ? Yeh galat hein.

Dev : Kya galat hein, wahan blood stains pade the toh clean Kiya. 

Vidhi : Par woh mere.....Aap !!

Dev held her hand.

Vidhi : Aise time pe aap mujhe chooyiye mat..Ghar mein naa Maa alag soti hein. Aur mujhe bhi batayi gayi hein kee aise dinon mein bed pe nahi so sakte , aur Paapa aur Maa ko nahi choo sakte. Apavitra maana jaata hein.

Dev : Vidhi, mein kisi tradition yaa parampara ke against bol raha hun Aisa mat socho..Par ek baar zarur kahunga kee yeh koyi gunaah nahi hein. Aur chupane kee, darne kee zarurat nahi hein....Hum saath mein soyenge aur bed pe zarur so sakte hein , uss time physical intimacy ke level husband and wife ke beech mein naa ho Kyunki aise karne se dard aurat ko hoti hein, mard ko nahin.... Mujhe itna knowledge toh hein Vidhi. Tum bed pe mere saath sone se Apavitra nahin ho jawogi ..Aise sochna mat kabhi bhi ....Vidhi !! Phir bhi tumhein lagta hein kee tum comfortable nahi ho toh tum bed use karo aur mein sofa mein so jawunga.

Vidhi burst out in tears and hugged him tightly

Vidhi : Aap itne acche kyun hein Dev ! Mere liye kitna kuch karoge aap !! 

Dev : Puri zindagi mein joh kuch bhi mein kar sakta hun naa woh sab karunga mein tumhare liye. Chalo aaj classes nahi jaayenge kyunki tumhein bahut dard ho rahe hein naa... Ghar chalte hein.

Vidhi nodded her head.

Dev and Vidhi reached home and Dev made Vidhi to lie down at the bed. 

Dev : Tumhein kuch chahiye , medicines, hot water ?

Vidhi : Mujhe bas aap chahiye. 

Dev and Vidhi looked intensely...

Dev slowly started applying balm at her legs . Vidhi looked Dev and smiled.

Dev : Abb kaisa hein dard ?

Vidhi: Pehle se thode Kam huye..

Dev sat beside her and waved her forehead with his hand..

Dev : Abb acche se so jawo..Vidhi.

Vidhi lie down at Dev's lap.

Vidhi: Iss se zyada best pillow mujhe kabhi nahi milegi.

Dev waved her forehead and slowly she fell to deep sleep and Dev adjusted pillows for her and lie beside her..

After one week

Satyawati: Dev Baalghar ke matron kaa phone aaya tha.. Kabse funds nahi mil rahe hein. Bacchon kee fees bharni hein.

Dev : Mein toh itna busy ho gaya kee wahan jaane kaa time mil nahi Raha....Aaj bahut kaam hein.

Chitra : Mein jawun Bhai ??

Satyawati: Chitra tum 

Chitra : Mein bhi toh M.Com padi hun aur kab se aise khaali baithi hun.....Agar trust ke funding aur expenditure dekhne ke kaam mujhe milenge toh mein bahut khush ho jawungi..Vikram bhi toh abroad pe hein..Amy Mausi bhi office jaati hein...Ghar mein kab tak akeli baithungi bhai ?

Dev : Chitra agar tum woh sab handle karogi toh mere thode tension Kam ho jaayenge.

Satyawati: Iss Ghar mein waisi bhi paramparayein todi jaa rahi hein..Priya aur Vidhi naukri kar rahe hein, Vidhi ke pass uske pati ke liye waqt nahi hein

Phir bhi maine dakkal nahin dee..Par Chitra ko koyi haq nahi hein Raichand trust aur uss se jude Baalghar kee responsibilities dekhne kee..Yeh ghar se parayi ho chuki hein aur joh bhi Dena thaa woh sab shaadi mein hum ne isse di..

Chitra : Maa, aap yeh kya keh rahi hein ? Mein bas Bhai ke thode help karna chahti hoon..

Satyawati: Tum pehle apne ghar ko sambhalo Chitra....Dev iss kaam ke liye kisi ko bhi bhejega.

Chitra: Aap aur aapki soch !! Aap abhi tak badli nahi Maa. Mujhe yahan aana hi nahi chahiye thi

To be continued πŸ˜„πŸ˜„πŸ˜„πŸ˜„πŸ˜„


Next one will be long chapter as my health is not well not able to give a long chapter. Please read and drop your views..

Posted: 1 years ago

I was about to comment on your 4th chapter, when part 5 popped. You are amazing.!!

Posted: 1 years ago

Thank you. Abb next update thoda late aayega. 

Posted: 1 years ago

maine 3 parts ek saath padh liye, mast likha revu. Show mein toh kuch romance mil ni rha, ff padh ke hi guzara karna padh rha.πŸ˜†

Posted: 1 years ago

Thank you so much Shweta πŸ’“πŸ’“πŸ˜˜πŸ˜ Bas apne armaan aise hi likhte likhte puri kar rahi hun FF pe.

Posted: 1 years ago

Mene to abhi 4th pdhna tha tumne 5th bhi upload kr dia it's good πŸ‘

Aaj jo chapter tumne likha na sch btaa rhi hoon, mere mann mein kbse tha k ye periods wala topic aaye is serial mein khaskr marriage se phle aata office mein to zyada acha lgta but ino ne to isk bare mein kuch bhi baat nhi ki us time. Atleast ab marriage k baad hi dikha den kya pta ab tumhare ff se chura lenge writers 🀣🀣🀣🀣

But you have presented so well k aisa lga maano sch mein dev itna caring hai or scene meri ankho k samne chlra hai

Keep it up revuπŸ‘πŸΌ

Posted: 1 years ago

Thank you so much Paro 🀩🀩🀩🀩 I felt to write on that. On a personal note my parents restricted me a lot during periods time and whenever I made them to understand it's a natural thing they used to stop me there itself by saying you can't talk this to your Paapa stay in your room only...When I was married and first time I got periods I was worrying much what all things I am going to face. But my husband was very supportive and he took enough care of me . My saasu maa said me to sleep in other room those days but hubby strongly said why she needs to sleep in separate room, she is my wife and can sleep with me.. Bas wahi yaad aayi aur socha kee likhke dekhun kee kya hota Hein . ..I am glad that you liked it Paro. 

Posted: 1 years ago

Part 6 

Chitra : Aap aur aapki soch !! Aap kabhi nahi badal sakti . Mujhe toh yahan aana hi nahi chahiye thi !!

Satyawati; Abb iss mein soch kee baat kahan se aa gayi ?? Dev Baalghar ke legal head hein aur mein..

Dev : Maa please. Chitra bas trust ke kaam mein thodi help karna chahti hein. 

Chitra : Bhai, rehne deejiye. Aapko mere liye stand lene kee zarurat nahi hein. 

Satyawati: Dev mein tumhare aur  Vidhi kee life  mein dakhal nahi de rahi hun. Tum apni wife ko raat ke classes leke jaati ho yeh tumhara decision thaa . Waise bhi pati patni ke beech mein maa kaa ghusna theek nahi hein. Lekin Chitra ke mamle mein toh bol sakti hun naa, woh meri beti hein. 

Dev : Maa aap kahan kee baaton ko kahan leke Jaa rahi ho ?? Vidhi kee raat kee classes se aapko kya pareshani ho sakti hein? 

Satyawati: Pareshani hein kyunki mujhe dar hein kee kahin mere bete aur Bahu ek dusre ke liye waqt nikal paayenge kee nahi. Job koyi ek kare yeh theek hein . Nahin toh Ghar bikhar jaayega . Shantanu ji hamesha kehte the kee pati jab thakke kaam ke baad lautte hein tab patni ke aanchal hi uske pasine ko poch sakti hein.... Vidhi ko isliye mana nahi kee kyunki woh tere saath tere office mein hein Dev. Warna mein permission bilkul nahi deti Dev.

Vidhi who came there with a tea tray was shocked to hear the truth from Satyawati. She called: Maa !!

Dev rushed near her and kept the tray on side and held her hands. 

Vidhi looked Satyawati. 

Dev : Vidhi maa kee baaton ko dil pe mat lo 

Vidhi: Dev !! Unhein kehne deejiye. Mein jaanti nahi thi kee meri job se , studies se Maa ko bahut pareshani hein. 

Vidhi went near Satyawati.

Vidhi: Maa , Ghar bikhre toh uske zimmedar sirf ladki hi kyun ? Kya isliye kee woh ladki hein ?

Satyawati: Ek aurat jitna hi independent ho naa jaaye shaadishuda zindagi mein compromise karne usse sabse zyada padti hein. Yahi sach hein. Zaruri nahi hein kee har kisi ko Dev jaise pati hi mile joh har kadam mein uska saath de.

Chitra : Aap aisa kyun kehti hein ? Maa kahin Paapa aur aapke beech kuch huwa toh nahi jiski wajah se aap aisi ban gayi ho ?

Satyawati: Jinko joh karna hein woh kar sakte hein. Tum trust ke kaam karna chahti ho toh Karo Chitra , infact sabko joh joh pasand hein woh karen. Iss baare mein abb koyi baat nahi hogi.

Vidhi : Par Maa

Satyawati: Maine ijazat dee hein bahu ko bhi beti ko bhi..Abb kya chahte ho tum log ? Please thodi der mujhe akela chod deejiye. 

Satyawati goes to her room and locked the door.

Dev looked both Chitra and Vidhi 

Vidhi : Dev, kya aapko kuch pata hein?? Maa job ke liye mana kyun karti hein?

Dev : Mujhe itna pata hein kee Paapa ke saamne Maa ne kasam khaayi thi kee iss Ghar kee auratein bahar jaake naukri nahi karegi..Par wajah ke baare mein mujhe nahi pata Vidhi. 

Chitra : Bhai , aisa kab tak chalega? Abhimanyu bhaiya aur Priya bhabhi alag ghar mein reh rahe toh kahin naa kahin Maa kee yahi ziddh wajah hein naa. Humein milke sochna hoga kuch.

Vidhi : Haan Chitra.

Dev : Abhi iss baare mein baat karenge toh sabke mood off ho jaayenge. 

Chitra : Haan Bhai. Mein nikalti hun. Bahut der ho gayi.

Dev : Bhabhi ne joh chai banayi woh toh peeke jawo.

Chitra : Of course

Chitra sips the tea and said : Yeh toh woh kya word hein Bhai..

Vidhi and Dev : Bhannat

Chitra : Exactly wahi thaa !! Thank you bhabhi. Accha mein chalti hun.

ViDev bids  bye to her .

Dev : Vidhi tumhein bura toh nahi laga naa ?

Vidhi : Mein toh yeh soch rahi hun Maa ko aisi kya pareshani hein joh usne iss soch ko badhne dee apne dimaag mein. Dev !! Kyun naa hum Maa ko Baalghar leke jaaye . Kya pata wahan jaake unki mood change ho jaaye!

Dev : Brilliant idea 😊 Vidhi 

At Satyawati's room she opened a box and looked some photographs. Tears rolled her eyes. Dev knocked the door. Satyawati hide the box in hurry burry without noticing that  one of the photo had fell down at the floor opens the door and looks ViDev.

Vidhi : Sorry Maa agar meri wajah se aapko hurt huyi toh.

Satyawati didn't say anything. 

Dev : Maa kya aap hamare saath Baalghar chalenge ? Bacche bhi kabse apni Yashoda mayya se nahi mile ? Maa joh bhi opinion difference hein uska asar Rushton pe kabhi padna chahiye...Phir bhi aapko lagta hein maine galti kee hein toh I am sorry. 

Satyawati hugged them and said : Mein kaise naaraz ho sakti hun apne bete aur Bahu se.. ..Bas iss topic ko saamne mat laayiye....Mere liye tum donon ko kuch badalne kee zarurat nahi hein. 

Dev : Toh kya chale abb? 

Satyawati: Haan .

Satyawati wiped her tears and smiled.

The trio waked towards the entrance.. Meanwhile Satyawati said : Arrey mein toh apni phone Lena bhool gayi. 

Dev : Mein leke aata hun Maa.

Dev went to room and while taking phone his eyes went at the photo which was lying at the floor. Dev picked the photo and was shocked to see the pic. He kept the photo secretly at his coat's pocket. 

As Dev came back he gave phone to Satyawati.

The trio reached in Baalghar. Kids were so happy to see ViDev with Satyawati.. Dev was thinking over the photo.

Ruhi : Dev uncle aap khelne nahi awogi ?.

Dev : Bas das minute mein aata hun Ruhi.

Vidhi noticed it and went near Dev.

Vidhi: Ruhi aap naa Rocky ke saath khelo..Tab tak hum aayenge.

Ruhi nodded her head and went away..Dev was looking Satyawati who was narrating story to some kids 

Vidhi : Kya baat hein Dev ? 

Dev : Mujhe ek tasweer mila hein. Iske baare mein jaanne hein Vidhi.

Dev showed the pic. She was shocked to see the pic.

Vidhi: Dev yeh toh 

Dev :  Maa Police uniform mein !! Kya Maa ke sach mein ek police officer thi ? Toh kya Paapa aur Maa ke beech kuch huwa hein issi ko lekar? Vidhi  Itne saalon mein Maa ne itni badi baat mujhse chupayi .....  

Vidhi : Dev !! 

Dev ; Vidhi !! Matlab Maa ke saath kya bahut kuch huwa hein ?? Kaise nahin Jaan paaya mein ? Sirf summer vacations hi milta thaa mujhe bachpan mein Naa ke saath bitane .

Vidhi ; Matlab aap ki schooling yahan nahi huye kya ?

Dev : Mein boarding school mein thaa Vidhi..Paapa ke liye discipline bahut zaruri thaa . Isliye choti umra se hi mein wahin pe thaa..Infact jab Satyawati maa ke shaadi Paapa se huye uske theen din baad Paapa - Maa khud mujhe drop kiye....

Vidhi : Dev !! Aapke schooling Ghar se door, college ki education bhi London mein, matlab aap kaafi time akele the .

Dev ; Tum se milne se pehle Tak akela thaa..Jab se tum mujhe khaas lagne lagi ho, tabse akelapan mehasus nahin hota, Vidhi....

Vidhi: Dev !!!! 

Satyawati: Vidhi, Dev !! Kab se bacche bula rahe hein, kya yahan pe bhi donon romance hi karenge?

Satyawati came near them. 

Satyawati: Kya baat hein? Donon aise kyun dekh rahe ho ? 

Vidhi: Aapse kuch poochna hein Maa 

Satyawati: Mujhse!!

Dev : Haan. 

Dev show the photo. Satyawati gets shocked

Dev : Maa , kya hein iske peeche kee sachayi ?? Kya aap police officer thi??

Satyawati: Tumhein yeh Kahan se Mila ?

Dev : Jab aapke mobile lene Gaye toh room mein gira huwa thaa yeh photo. 

Satyawati: Yeh toh bas tumhare Paapa ne aise hi mujhe yeh pehnake photo kheechne the.

Dev : Jhoot !! Maa aapki aankhen kahi aur zuban kuch aur keh rahi hein... Sach batayiye naa.

Satyawati: Dev gaadi nikalo. Ghar waapis chalte hein.

Dev : Aapne sach nahi kaha Maa.

Satyawati: Dev , gaadi nikalo.

Dev : Aapko batani padegi Maa.

Satyawati : Dev !!! 

Dev : Aapko meri kasam .. please batayiye.

Satyawati: Theek hein . Ghar Chalke dikhati hun sach.

They reached Raichand house and ViDev accompanied Satyawati.

Satyawati opened the box and started throwing medals, photos, certificates. 

Satyawati: Yahin hein meri sachayi.

Dev : Satyawati IPS

Satyawati: Haan . Inspector Satyawati!! Meri pehchan thi. Par abb woh sirf yaadon kee dharohar hein. 

Dev ; Aap police officer thi aur yeh mujhe batayi kyun nahi? 

Satyawati: Mujhe yahan tumhare Maa aur Shantanu ji ke biwi banne ke liye leke aaye the. Pehchan banane ke liye nahin. 

Dev : Kya ?? 

Satyawati: Yahi kadwi sach hein Dev. Tumhare Paapa ko maine ek baar gundon  se bachayi jab unke business opponent ne unn par hamla karne ke liye unke office mein gunde bhijwaye the. Tab hamari sirf shaadi tay huyi thi. Mein unse milne ke liye aayi thi..Jaise hi gundon ne hamla kiya mein unnpe waar karke sabki haddiyan todi ,par mujhe chot lagi ek gunde ne talwar se hatheli pe waar Kiya toh. Tumhare Paapa ne medicine lagaye . Par woh medicine se ghaw nahi bhara. Sabne comment kee apni honi waali biwi se bachne waale pati kaa kya astitva hein ? Mere Paapa, mere pati kisi ne yeh nahi dekha kee maine Jaan bachayi hein..Sabke liye toh mein hi doshi hun. Unke mardaangi ko chunauti de dee. Aisa kaise ho sakta hein? Tabhi mujhe samjhaye gaye kee mujhe kisi ek ko chunne padenge . Mere saamne tumhare masoom chehre laaye gaye , tumhare woh photo joh Shantanu ji pocket mein rakhte the. Mein compromise ke liye ready ho gayi aur agli muhurat par shaadi bhi ho gayi. Par uske saath mere saare sapne , meri pehchan sab iss sandook mein bandh ho gayi. 



To be continued πŸ˜„πŸ˜„πŸ˜„πŸ˜„πŸ˜„

Lefty hun aur haath mein dard kee wajah se type nahi kar paa rahi hun 😘😘 😘 Jaise hi dard Kam ho jaaye long chapter dungi .

Edited by Revutty - 1 years ago
Posted: 1 years ago

Mera tag kidhar hai re?

πŸ˜­πŸ™ˆ

Posted: 1 years ago

Nice update ❀️❀️❀️, thanks for tagging πŸ™‚



Related Topics

doc-text Topics pencil Author stackexchange Replies eye Views clock Last Post Reply
Teri Meri Kahaani - a ViDev FF part 2 updated pg 5

pencil Srj9   stackexchange 52   eye 5445

Srj9 52 5445 29 days ago Srj9
CHUPKE CHUPKE SE; ViDev; FS updated part 14 on page 19

pencil Shinika   stackexchange 137   eye 13641

Shinika 137 13641 1 months ago Saloni_1235
Devvrat and his Destiny/ Devvrat our unki Vidhi ; ViDev;OS

pencil Shinika   stackexchange 13   eye 1002

Shinika 13 1002 2 months ago Loving2Missing2
Videv FF: Undercover Cop and Business Tycoon ki love story

pencil LadyGaga123   stackexchange 56   eye 5207

LadyGaga123 56 5207 2 months ago LadyGaga123
ViDeV Once Again!!!

pencil Shinika   stackexchange 106   eye 5895

Shinika 106 5895 3 months ago Shinika

Topic Info

14 Participants 59 Replies 6409Views

Topic started by Revutty

Last replied by Srj9

loader
loader
up-open TOP