Love and Love only💓💓💓💓 ViDev SS part 8,9, 10 - Page 2

Posted: 1 years ago

Thank you 😌. Show ko bahut kharab Kiya hein makers.

Posted: 1 years ago

Let's hope they improve it, it has the highest rating on Star Bharat. 🀞🀞

Posted: 1 years ago

Don't know what they are going to show.Aamna Sherrif is entering in show. May be she will be Divya's mom..Let's see what happens.

Posted: 1 years ago

Tum bhi ab romantic maina bn rhi ho❀️woww

But ye last mein phone kyu bja dia itna acha romance likhte likhteπŸ˜”

Kbab mein haddi zyada mt bnana i know u have potential to write videv romance. Banglore mein mjhe is se zyada wala romance dikhaogi tum🀣kyuki i know dev sir itne bhi shareef nhi k ghar se itne door biwi k sath akele Or koi kaand na kren🀣


Dev whispered at her ear : Har husband and wife bedroom mein players kee tarah hote hein...Iss khel mein bas Jeet aur haar nahi, sirf khel kaa maza lete hein.Toh are you ready!!

@bold these lines were aptπŸ‘πŸΌtumhare husband ki lines to nhi hain zrur tumse khin hongi unone🀣

Posted: 1 years ago

Yaar Paro 🀩🀩🀩 Romantic Maina πŸ€—πŸ€—πŸ€—πŸ€— sirf hamari Nany Madam hein..Uski imagination bahut zyada khatarnak hein πŸ˜‰πŸ˜‰ mere ko suit nahi karti woh title..Rahi baat romance kee abb show mein jaise Dev ko dikha rahe hein usi kaa asar hein kee meri FF mein bhi Dev aise hein.. Shaadishuda bhi hein toh thoda thoda dikha sakti 😘😘😘 hun. Aur kya tum dialogue ke peeche πŸ˜‚πŸ˜‚πŸ˜‚πŸ˜‚πŸ˜‚πŸ˜‚πŸ˜‚πŸ˜‚πŸ˜‚ meri class lag jaayegi agar hubby ko pata chala kee mein aise dialogues likh rahi hun toh kahegi mein bigad rahi hun saaree ladkiyon ko..

Posted: 1 years ago

Arre ye to ekdu dhaayeen hai Revutty! Superb, very well written! I could actually visualize the scene happening between Dev and Vidhi β€οΈβ˜ΊοΈ


Pls continue writing, you have such great talent! πŸ‘πŸ‘

Posted: 1 years ago

Thank you 😊 will update by evening 🀠

Posted: 1 years ago

Look forward to reading it, your writing deserves a separate fan base πŸ‘πŸ‘ thank you for treating us to your gems! 


Hats off to you for writing despite a baby at home! Hugs to youπŸ€—πŸ€—

Originally posted by Revutty


Thank you 😊 will update by evening 🀠

Edited by tulip.johar - 1 years ago
Posted: 1 years ago
Originally posted by Revutty


Yaar Paro 🀩🀩🀩 Romantic Maina πŸ€—πŸ€—πŸ€—πŸ€— sirf hamari Nany Madam hein..Uski imagination bahut zyada khatarnak hein πŸ˜‰πŸ˜‰ mere ko suit nahi karti woh title..Rahi baat romance kee abb show mein jaise Dev ko dikha rahe hein usi kaa asar hein kee meri FF mein bhi Dev aise hein.. Shaadishuda bhi hein toh thoda thoda dikha sakti 😘😘😘 hun. Aur kya tum dialogue ke peeche πŸ˜‚πŸ˜‚πŸ˜‚πŸ˜‚πŸ˜‚πŸ˜‚πŸ˜‚πŸ˜‚πŸ˜‚ meri class lag jaayegi agar hubby ko pata chala kee mein aise dialogues likh rahi hun toh kahegi mein bigad rahi hun saaree ladkiyon ko..

Tumhare hubby bhi na bs dev k time ki soch chlrhi hai unki even abto dev bhi naughty raichand bn gya haiπŸ˜†

Nhi bigadti tum kisi ko agar itne ache dialogue tum likh rhi ho to tbhi to hum story k sath connect ho paate hain. Ye bhi smjha dena apne hubby koπŸ˜‰

Waiting for the next part or haan mein door next love ka bhi wait kr rhi hoon meri sbse fav story h vo tumhare dwara likhi hui😊

Posted: 1 years ago

Part 3

Dev attended the phone call.

Vidhi : Kya huwa ?

Dev : Socha kal subah office jaake documents ready karunga, aaj auditor bhi aaye the toh ho nahi paaya. Dupahar tak ke waqt mein aur bhi work honge office ke. 

Vidhi : But Sir kal dupahar tak toh humein nikalna bhi hein. 

Dev : Mein naa abhi ready karta hoon, kal uske saare printouts office jaake nikalenge. And Vidhi tum bhi tayyari Karo presentation kee. Kal we won't get time.

Vidhi smiled and nodded her head.

Dev ; Bura laga kya ? Woh urgent call aaya thaa and time bhi nahi hein toh

Vidhi held his hand and said: Sir , mujhe bilkul bura nahi laga. Kal sabse bade deal joh hone waala Hein. Uss mein koyi Kami nahi honi chahiye. Aap Zara help karenge? Woh zip ?

Dev : Oh yeah!! 

Dev gently put the zip and during that time Vidhi kissed at his shoulder.

Dev looked her intensely

Vidhi: Abb dekhna bandh keejiye. 

Dev : Kaash thode der aur milta khelne ke liye?

Vidhi blushed with a smile and said : Sir mehnat karte rahenge toh hi aage badhenge naa. Khelne ke liye aur bhi time milenge.

Dev : Toh kya meri pyaari wife ko khel mein bahut maza aa gayi?

Vidhi; Kuch bhi bolte ho aap 

She stood away from bed and said ; Aap jaldi se shirt pehaniye aur fatafat apne kaam pe lag jaayiye

Meanwhile someone knocked the door.

Dev : Mera T shirt kidhar hein?

Vidhi: Sir jaldi dhoondiye 

Vidhi opened the door and Satyawati came inside.

Satyawati: Tum logon kaa khaana yahin bhijwladun kya ?

Satyawati's eyes suddenly went on Dev who  has covered his body with Vidhi's dupatta.

She laughed

Dev : Maa aise kyun has rahi ho ?

Satyawati: Dev , tum kabse Vidhi kee dupatta pehanne lage ?

Dev realized that in hurry burry he did it.

Dev : Woh Maa !!

Satyawati looked Vidhi who had bowed her down with shyness.

Satyawati lifted her chin and kissed Vidhi's forehead.

Satyawati: Mujhe bahut khush laga kee Dev abb bahut kareeb aa chuke hein tumhare Vidhi... Mein jaa rahi hoon, zyada awkward hone kee zarurat nahi hein, Mmhhh!!

Satyawati left the room with a smile.

Vidhi: Sir kya aap bhi ? 

Dev : Toh kya karta mein? Do theen saal kaa hota toh Bina kapde maa ke saamne jaa sakta hun..Abb toh nahi naa. Mere bhi izzat hein aur aaj woh izzad tumhari dupatta ne bachayi.

Vidhi laughed and said: Sir aap kitne cute hein !!!

She pinched his cheeks and smiled.

Dev : Chal abb bahut ho gaya. ..Let's do work 

Vidhi : Sir aap aise baithenge laptop leke ? 

Dev : Vidhi !!

Vidhi and Dev hugged each other with a sweet smile.

And at that night both of them fully concentrated on their work and finally by 12 pm they finished their works. They both quickly fell down to bed and fell asleep.When the morning alarm got ring Vidhi waked up first and saw Dev was sleeping like a kid. She kissed at his cheek and Dev pulled her towards him.

Dev : Aise Roz good morning kiss dekar mujhe udana Vidhi , mera har din accha ho jaayega.

Vidhi : Haath hatatiye naa Sir , mujhe jaana hein.

Dev held her towards his body put his leg over her leg.

Vidhi: Yeh toh cheating hein. Ittu see mein kaise hata pawungi aapke pair ? 

Dev ; Yeh husband kaa lovelock hein, itni aasani se nahi khulega. Try karo kholne kee.

With with her tiny palms made attempts to remove his leg and Dev was smiling over her deeds. Slowly he removed his leg and kissed at her cheek.

Vidhi looked him with a smile.

Dev : Tum aise bed pe rahogi toh mera mind phir se khelne ke baare mein sochega Vidhi..Phir joh hoga uske liye mein responsible nahi hoon.

Vidhi stood away from the bed blushing like strawberry red....She turned and give a flying kiss to Dev..Dev received it by showing heart symbol at his chest.

At Raichand Office

Vidhi: Yogesh Sir , Aapko kal hi inform Kiya tha Maine kee factories ke expenditure reports maine ready kee hein.... Sir uss mein kuch gadbad bhi hei ......Koyi hein joh factory funds mein se paison ko gayab kar rahe hein ....Par Sir aap abhi tak isse verify kyun nahi kee ?

Yogesh: You are Chief Accountant Mrs Vidhi and I am the Director of Factory wing....Kabh verify karna hein yeh tum mujhe mat sikhawo. And ilzaam lagane se pehle apni aukat mat bhoolo.

Vidhi: Sir, mujhe business meeting ke liye nikalna hein..Aap verify karenge tabhi toh reports submit ho jaayenge. And mein apna kaam kar rahi hun iss mein aukat kahan se aayi ? 

Yogesh; Mera mood nahin hai Vidhi verify karne kaa... Waise bhi mujhe pata hein tum itni Utawli kyun ho rahi ho ? Company kee free paise mein tum apne husband Dev ke saath trip pe jaa rahi ho naa

Vidhi: Sir please, aap aise mujhse baat nahi kar sakte.

Yogesh: Really!!!! After all tum ek accountant ho , hissab kitaab dekhna tumhara kaam hein , par mere calculations kaise hein yeh tum mujhpe chod do... you are not supposed to question me. Office ke rules ko break karke , Cabin mein Dev se  romance Karke usse patake....

Vidhi: Stop it Sir. Just stop it now itself....Yeh ek office hein.. Yahan saare employees se respect se baat keejiyega Sir. Maine kabhi bhi office ke rules ko nahi toda hein, apna kaam immandari aur puri lagan ke saath karti hun.

Yogesh: Ho gaya!!! After all tum ek ladki ho !!!! Ek ladki kaa position kabhi higher nahi hota !!!! Lottery mein mile naukri ke liye itni paseene kyun bahate ho !!! 

Vidhi: Woh kya hein naa!! Joh log apne khoon pasine ek karke hard work karte hein unki keemat kaam naa karne waale nikamme  log kaise jaanenge? Aapke saath argue karne ke liye mere pass time nahi hein. Excuse me!!! 

Vidhi walks from there. Meanwhile Dev calls both Yogesh and Vidhi in his cabin. Kanika was also present at the cabin.

Dev : Yogesh , abhi tak Factories ke Reports kyun nahi aaye ? 

Yogesh: Come on Dev, tum Boss ho..Kisi ki side mat lo .

Kanika: Yogesh, Vidhi ke diye huye factory ke expenditure reports verify kyun nahi kee ?

Yogesh: Kanika!!!! Mujhe apna kaam mat sikhawo.

Dev : Why ?? Yogesh, Kanika iss company kee HR hein.. Uski position kaafi higher hein, tumse bhi higher .

Yogesh gets shocked.

Kanika: Shayad tum bhool gaye, CCTV har jagah pe hote hein. And speakers bhi hein chaaron taraf. Office mein koyi gossiping kare , koyi kisi se badtameezi se baat kare toh woh record ho jaate hein.

Dev : Ek aur saboot lag chuke hein tumhare nek kaam ke.

Vidhi: Factory ke funds se apne personal kharche ke liye Yogesh sir ne 50 laakh transfer kee hein unke bank account mein. Yogesh Sir aapko yaad dilawun kee mein accountant hoon aur pure Raichand group of companies kee jitne bhi expenditures , expenses, deposits hoe hein woh sab dekhna mera job hein...Ek ek paise kee kharch , uski usage kee acchi jaankari mujhe hein ....Aur Haan Mera Shaq tabhi strong huwa jab aapne kaha mujhe kee aapke calculations kaise hein yeh mujhe aap par chodne chahiye..... Kanika Mam ne jab CCTV photage dikhaye kee kaise aap chupke se office hours ke time pe  apni office laptop mein  factory funds ke website kholke account se bank account mein transfer karwa rahe the. 

Dev : Maine kisi kee side nahin lee, Yogesh...Vidhi ko sirf Shaq huwa thaa..Par usne bina saboot report nahi kee. Woh toh yahan ke hamare HR Kanika ne dekhi aur report kee....

Kanika: Vidhi ne mujhe aur Dev ko batayi kee paise gayab huye par kaise aur kisne yeh sab pata nahi laga paayi..Upar se Yogesh reports ko verify karne se mana karke tumne joh violation Kiya hein naa work kaa woh maafi ke layak nahi.

Dev : Yogesh, Mrs Vidhi ko kaam samjhane se pehle tum theek se kaam karna seekho...Kya huwa bahut pasine aa rahe hein chehre pe? ? Mehnat ke baad pasine aaye hote toh promotion hota tumhara kisi higher position pe.Lekin jinke mehnat kee pasine ko keemat naa dene waalon se kaam karne kee umeed rakhna hi bekar hein....Joh ladkiyon kee respect nahi karte, joh mere office ke employees kee respect nahi karte, joh kaamchor hote hein unke liye meri office mein koyi jagah nahi. You are fired Yogesh. Get out . 

Yogesh: Dev Tum iss Vidhi ke liye mujhe kaam se nikal rahe ho ? 

Dev : Tameez se baat karo Yogesh. She is the Chief Accountant of Raichand group of companies. Vidhi kee jagah koyi aur hota naa tabh bhi mein yahi karta.... Kanika for now you will verify all the reports.

Kanika: Yes Dev. Yogesh, office ke Identity card, laptop sab waapis karo aur chale jawo.

Yogesh : What ?

Kanika: Mein apne boss Dev kee orders ko follow karne waali sincere employee hun. Office ke rules sabke liye barabar hein....Is that clear ? Yaa phir security ko Bulawun ? 

Yogesh goes away from the cabin.

Kanika: I am sorry Vidhi , Yogesh ne bahut badtameezi se baat kee. 

Kanika's eyes went teary.

Vidhi: Mam, you are so brave. Apni saari emotions ko dabake aapne ek imaandar employee kee joh farz nibhayi aaj woh waqai mein tareef ke kaabil hein.

Kanika wiped her tears and held Vidhi's hand

Vidhi, brave toh tum ho. Tumne bahut tameez se karaara jawab diya Yogesh ko .... Hamesha aise hi brave and honest rehna Vidhi..And aaj ke presentation bhi acche se Dena. Good luck.

Vidhi: Thank you Mam.

Dev : Kanika, Tum theek ho 

Kanika: Yeah. Thoda toh dukh huwa , insaan hun.. But office mein koyi daag nahi hein, isliye khush bhi hun. 

Kanika left the cabin with a smile.

Dev looked Vidhi.

Dev : Mrs Vidhi, aaj tumne joh kiya uske liye mujhe tum par bahut garv hein...Tum uss waqt ghabrayi nahi , I know kitna hurt huwa hoga tumhein.

Vidhi: Sir aap ne mujhse kaha thaa kee inn baaton mein dhyan nahi dena hein.. Aur abb toh woh baatein hi khatam huye and abb toh mein ekdum bhannat presentation dungi Sir.

Dev : Good, ek ghante ke baad parking area mein aana. Humein tabhi nikalna hein 

Vidhi: Okay Sir. All the best Sir, yeh deal aapko hi mile.

Dev : And all the best, pehli baar tum company ke bahar presentation joh dene waali ho

They both shook hands together and smiled.

And after the important works ViDev started their journey. Dev stopped car near a Dhaaba.

Vidhi: Sir gaadi kyun roki ?

Dev ; Kuch khaate hein Vidhi.Waise bhi airport mein jaane ke baad jaise hi flight milenge phir kaafi time lagega pahunchne mein.

Vidhi; Okay.

They both sat together and started having food. When they finished their food Dev saw a boy of 12 - 13 years was crying.

Vidhi: Yeh baccha ro kyun rahe hein ?

The lady who was running the Dhaaba said : Madamji yeh naatak hein isska.

That kid : Mujhe poori khila do Aayi.

Lady : Chup kar !! Abhi das- Pandrah dilaye  tujhe aur tu jaake padhai kar.

Dev : Ek puri hi toh maanga kaakee aap daant kyun rahe ho isse ?

Lady : Saab!! Zara uske peeche dekhiye 

Dev and Vidhi saw four kids behind him.

Vidhi: Yeh saare bachche

Lady : Mere hein. Paanch bacchon kee Aayi hun, aur iske baaba jab dekho tab Nasha karte rehte hein. Naa biwi kee fikar naa bacchon ke . Inn sabko pooriyan de- deke meri halat kharab ho rahi hein.

Dev : Aapke pati koyi job nahi karte hein kya ?

Lady : Jaap !!!

Kid : Aayi, jaap nahi job.. matlab kaam dhandha

Lady : Hein naa har saal ek hi kaam karte hein jiske lambi line aapne dekhi naa apni aankhon ke saamne.

Vidhi smiled.

Dev : Accha yeh leejiye paise.

Lady : Saab chutta nahi hein

Dev ; Koyi baat nahi, aap rakhiye .

Vidhi was unable to control her Laughter. Dev coughed and looked her.

Dev : Itna bhi has kyun rahi ho ?.

Vidhi: Sir woh kaakee ne joh kaha aapse 

Dev also laughed.

Dev ; Waise inki lambi line aise chalte rahenge toh lagta hein bahut khelte honge.

Vidhi: Aapko cricket team thodi banani hein joh aise keh rahe hein

Dev : Mujhe nahi pata thaa kee tujhe cricket pasand hein. Abb toh lautne ke baad pakka khelunga bahut. Aise chote chote cricketers bhi 

Vidhi : Besharam Raichand!!! 

Dev : Accha chodo, bahut ho gaya mazak. Let's go.

At Bangalore

Vidhi was taking deep breath again and again.

Dev : Yeh breathing exercise kyun kar rahi ho ?

Vidhi : Woh confidence ke liye. Sir mein kar pawungi naa ?

Dev : Of course Vidhi. Bilkul nervous mat hona.

Vidhi nodded her head.

" Excuse me"

Vidhi and Dev turned back

Dev : Yamini!!

Yamini : Dev !!!

To be continued πŸ˜„πŸ˜„πŸ˜„πŸ˜„πŸ˜„



Related Topics

doc-text Topics pencil Author stackexchange Replies eye Views clock Last Post Reply
Teri Meri Kahaani - a ViDev FF part 2 updated pg 5

pencil Srj9   stackexchange 52   eye 5447

Srj9 52 5447 29 days ago Srj9
CHUPKE CHUPKE SE; ViDev; FS updated part 14 on page 19

pencil Shinika   stackexchange 137   eye 13660

Shinika 137 13660 1 months ago Saloni_1235
Devvrat and his Destiny/ Devvrat our unki Vidhi ; ViDev;OS

pencil Shinika   stackexchange 13   eye 1003

Shinika 13 1003 2 months ago Loving2Missing2
Videv FF: Undercover Cop and Business Tycoon ki love story

pencil LadyGaga123   stackexchange 56   eye 5212

LadyGaga123 56 5212 2 months ago LadyGaga123
ViDeV Once Again!!!

pencil Shinika   stackexchange 106   eye 5905

Shinika 106 5905 3 months ago Shinika

Topic Info

14 Participants 59 Replies 6414Views

Topic started by Revutty

Last replied by Srj9

loader
loader
up-open TOP