OS: Sameer's Diary Excerpt (Excerpt-2 Pg-2 Updated)

KashafZaroon30 thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 6 years ago
Hello guys, as per the good response I received for the sample excerpt of Sameer's diary, I have decided to make it an OS and upload diary excerpts for all the important incidents that happened in the show. Since the start, the show has been playing Naina's VO but Sameer's VO has just started, and hence I decided to write his Diary excerpts (inspiration Zaroon Junaid from ZGHπŸ˜‰).  In this diary I will try to write Sameer's POV/state of mind during important incidents in YUDKBH. As I'm not much into writing and this is my first attempt ever,these diary excerpts will be of only major episodes and will be in Hindi. Feel free to ask meanings of words and sentences if any issues.Hope you enjoy! 

P.S: Please be genuine critics. Feel free to comment as you wish.
----------------------------------------------------------------------------------------------------------Sameer' Diary Excerpt- 1 (First Day in School)

Nayi jagah, naya school aur naye log. Apne doston ko rusticate hone se bachane ke liye khud apni school se rusticate hoke jab main Nainital se Ahmedabad Nanu ke paas ke aaya tab mujhe kahan pata tha ki mujhe ek Hindi medium school mein apni aage ki padhai karni padegi. Khair, yeh faisla bhi mera apna tha, agar iss Hindi medium school mein admission na leta, toh Nanu ki suggest ki hui school St. Xavier's mein padhna padta.  Mere sautele pita Mr Somani ki school. Aur main aisi jagah kabhi nahi ja sakta jahan se woh padhe ho. 


Waise yeh Hindi medium school Pragati Vidya ka mandir itni buri bhi nahi jitna maine socha tha. Ya phir shayad iss school mein admission lene se pehle hi maine yahan kuchh dost bana liye the. Shayad issi wajah se aaj pehla din itna bura nahi tha. Warna toh School ki discipline monitor ne toh koi kasar nahi chhodi thi mujhe iss school se bhi rusticate karwane ki. Naina Agarwal, woh kya keh raha tha Munna uske baare mein- 'Padhaku', 'Teacher ki chamchi', aur kuchh Gujarati mein naam bhi rakha tha? Haan! 'Maniben'. 


Inn padhaku ladkiyon ka mujhe samajh nahi aata. Khud padhna chahti hai toh padhti rahe saara din, lekin kham-a-khaa mein Teacher ki chamchi kyon banti hai?! Aaj subah jab woh mujhse takraayi tab mujhe kahan pata tha ki yahi woh ladki hai jo principal Sir se meri shikayat karegi. Ab sirf uss ladki ki wajah se Nanaji ko kal  principal sir se baat karni padegi taki woh mera admission cancel na kare. Khair, Nanu thode khafa hue par phir maan gaye, lekin iss ladki ko toh main sabak zaroor seekhaunga, ek baar mera wapis issi school mein admission ho jaye bas! 


Ab pehla din toh jaisa beetna tha beet gaya, ab aage dekho kya hota hai mere saath. 

----------------------------------------------------------------------------------------------------------
If you wish to read the sample here is the link
Edited by KashafZaroon30 - 6 years ago

Created

Last reply

Replies

14

Views

3376

Users

8

Likes

33

Frequent Posters

dixie123 thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 6 years ago
Nice intro Zuleka ! 
I read it imagining Jiten's voice πŸ˜† 
SixteenAgain thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 5
Posted: 6 years ago
Nice! I read it in the young Sameer's voice :)
Samaina_1990 thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 4
Posted: 6 years ago
Mast...beta aage aage dekho tumhari zindagi me ye head discipline monitor kya se kya ban jaati hai...diary ke first page pe to-be-lover aa hi gayiii...n I adored that Sameer jotted down their first bump..I'm just a fan of that first meet!! Looking forward for more!!
KashafZaroon30 thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 6 years ago

Originally posted by: dixie123

Nice intro Zuleka ! 

I read it imagining Jiten's voice πŸ˜† 

Thank you Nivi...please keep reading and commenting like always
KashafZaroon30 thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 6 years ago

Originally posted by: SixteenAgain

Nice! I read it in the young Sameer's voice :)


Thank you dear...next excerpt is coming soon
KashafZaroon30 thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 6 years ago

Originally posted by: Samaina_1990

Mast...beta aage aage dekho tumhari zindagi me ye head discipline monitor kya se kya ban jaati hai...diary ke first page pe to-be-lover aa hi gayiii...n I adored that Sameer jotted down their first bump..I'm just a fan of that first meet!! Looking forward for more!!

Thank you Samaina...will write the next excerpt soonπŸ˜›
KashafZaroon30 thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 6 years ago
Sameer's Diary Excerpt- 2 (Tuitions by Naina)

Aaj toh bahot thak gaya hoon. Lagta hai shayad ek page bhi diary mein likh ke poora na kar paun. Jab se maine Headboy competition mein hissa liya hai, padhai aur Cricket ke ilawa kisi aur cheez ko waqt hi nahi de paa raha hoon. Aaj toh Munna-Pandit ko bhi thik se nahi mil paaya. Achha hua pichhle do din se Naina meri padhai mein madat kar rahi hai. Agar woh Vanasthali chali jaati toh main shayad iss Headboy competition mein sirf Cricket hi khel pata, kyunki padhai aur woh bhi saari Hindi mein mujhse hone se rahi. Ek baat toh maan ni padegi, woh behenji ho, Maniben ho ya Teacher ki chamchi ho, padhati toh woh waaqai mein bahot aasaani se hai. Mujhe humesha se lagta tha, saara din padhai ke alawa uss ladki ki koi aur interesting hobby, ya phir koi aur kaam karna usse pasand hi nahi hoga. Woh jab bhi kisi cheez ke baare mein baat karti hogi, toh sirf aur sirf padhai aur school se judi hoti hongi. Lekin ab mujhe pata chala ki woh padhai karne ke saath-saath, kisiko padhana bhi bakhoobi jaanti hai aur woh bhi woh zindagi ki roz-mara chizo ka example deke padha sakti hai.  Khair yeh baat interesting ho ya na ho, mere liye toh uska yeh hunar faaydemand hai.

Gannit ho ya Biology...woh kya kehti hai Naina usse? Haan! Jeev Vigyaan, Naina ne inn complicated subjects ko mere liye samjhna bahot aasaan kar diya hai. Iss ke chalte maine bhi uss se aaj keh diya, ki agar Headboy competition mein meri jeet hui, toh woh jo kahegi main woh karunga. Aakhir iss competition mein mujhe jeetaane mein uska bhi contribution hoga. Waise woh lagti toh seedhi-saadhi hai toh mujhe nahi lagta woh mere jeet jaane par mujhse kuchh maangegi. Aur agar maangegi bhi, toh koi chhotisi cheez hi hogi. Kal hi jab main uske liye ek chhotisi Pepsi-cola le gaya tha, toh woh khush ho gayi thi. Koi aur ladki hoti toh shayad kehti ki itni chhotisi cheez laaye ho, kam-se-kam ek Gold Spot ya phir ek Amul chocolate hi le aate. Lekin Naina ne toh woh Pepsi-cola khushi-khushi leli. Aur saath hi usne mujhe apni rough-notebook bhi di, aur woh bhi kis liye? ...Uss book ke pages se main rocket bana ke uda saku iss liye...Maine yeh kabhi socha hi nahi tha ki koi ladki kore panno ka rocket udaane se rokne ke liye  mujhe apni rough-notebook de degi.  Woh sach mein padhai aur kitabon ki kadardaan lagti hain.

Kuchh dino pehle jab canteen mein usne Maths ka formula Swati yun 2 min mein ek gaane ki tarah suna diya, tabhi main samajh gaya ki Naina Agarwal hi woh insaan hai jo iss Headboy competition mein meri madat kar sakti hai. Lekin jab usne Vanasthali jaane ki baat mujh se ki tab maine socha ki jaise mera koi imtehaan liya ja raha hai. Ab agar woh mujhe nahi padhayegi toh iska matlab yeh saari padhai mujhe khud samajh ke karni padti ya phir uss Sanjay Tibriwal se seekhni padegi. Lekin shaayad sahi kehte hai- jo hota hai achhe ke liye hota hai. Kisi ka nuksaan , kisi ka faayda ban jaata hai. Ab Naina Vansathali nahi ja paayi, woh mere faayde ki baat hi thi. Waise main ek baat samajh nahi paaya...Naina ne jab kal mujhse aake kaha ki woh Vanasthali nahi ja rahi aur woh ab meri padhai mein madat kar sakti, maine uske chehre pe ek halki-halki si muskurahat dekhi. Aisa laga jaise woh Vanasthali na jaane aur mujhe padhane ke iraade se bahot khush hai. Yahaan tak ki usse mujhe na padha paane ka itna dukh tha ki usne Swati ke haatho mere liye kuchh Maths ke important formulas bhi bheje the. Khair maine toh woh formulas dekhe nahi, aur ab mujhe dekhne ki zaroorat bhi nahi, Naina jo hai mujhe yeh saare formulas khud samjhane ke liye! 

---------------------------------------------------------------------------------------------------------------P.S: Unfortunately I didn't get time to watch the Tuition episodes again to write the sequences in proper chronological order. There are chances I might have mixed up the order of the sequences. Apologies for that! 

 

Edited by KashafZaroon30 - 6 years ago
dixie123 thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 6 years ago
Zulekha, you made Sameer so shareef in his praise for Naina πŸ˜†
I liked these lines.. I hope one day he is able to remember this moment also... "Waise main ek baat samajh nahi paaya...Naina ne jab kal mujhse aake kaha ki woh Vanasthali nahi ja rahi aur woh ab meri padhai mein madat kar sakti, maine uske chehre pe ek halki-halki si muskurahat dekhi. Aisa laga jaise woh Vanasthali na jaane aur mujhe padhane ke iraade se bahot khush hai. "
Anjali33 thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 4
Posted: 6 years ago
Hayee, purane episodes yaad dila diye mujhe
Superb work