My opinion on THE INSULTS.

  •  
  • Page of 1 Go
  •  
Posted: 6 years ago
There are many conflicts on the issue wether Karna's revenge to insult Draupadi was right or wrong , and here i just want to share my opinion.
vese to personally  me ,dono hi incident ( swayamvar aur dyut sabha) ko galat manta hoon. Jo hua vo sahi nhi tha . 
,
log kehte hain ki vo Draupadi ka decision tha usme insult kya tha .

before commenting on this , i would like to share a story with you .

ek baar , ek black woman ,newspaper pe job vacancy ke invitation ko padh ke vahan jane ki sochti hai .
us job ke liye vo bilkul perfect thi . usko pura viswas tha . 
vahan interview se pehle ek exam clear karna hota tha , jo ek tarah se namumkin tha , jitne bhi highly qualified log aye ,unme se koi bhi vo exam clear nhi kar paya. par vo black lady kar payi .
interview ke liye age gayi to company ke selector ne use mana kar diya just because vo ek woman thi uper black .
vahan bhethe sabhi log hasne lage uspe , vo sab jo exam bhi clear nhi kar paye . 
kuch comments sunaye de rhe the 
" ye black log aab hum white logo se competion karne lage hain! " 
" in ladkiyon ko samjh nhi ata ki inki asli jagah Kitchen me hai, yahan nhi " 
" ab to laurat log bhi mardo ki jagah lena chahti hain" 

ye sunte hi vo vapas apne jagah chali gayi .

.
.
.
.NOW , i want to ask , kya yeh koi insult thi? isme kya galat tha ? 

company ko koi black woman nhi chahiye thi , vo apne company ke malik hai , unko jo insaan sahi nhi laga usne use mana kar diya .
aur vo ladky ko bura kyu laga , vo use insult kyu samjhti hai , kya vo black nhi hai , kya vo ek woman nhi hai , jab hai , aur usne accept bhi kar rakha tha to use ye apni identity ek insult kyu lagi ?


hope samjh me aa gayi hogi  ki , vo swayamvar Karn ki insult kyu thi . 
aur co relate karne ki kosis karna , jo scene us ladki ke sath hue hain vo actually modified version hai jo karn ke sath hua tha .

now , think about this , . us black lady ko nikalte hi , ye elaan kiya jaye , ki ab duniya me koi bhi insaan ake is job ki vacancy le sakta hai , irrespective of cast , gender and color . tab us balck lady ko kesa lagega , kya vo abhi bhi ise apni insult na mane. hmm


one more thing , Draupadi ne to pehle hi arjun k apna husband maan liya tha , par fir bhi swayamvar rakha . Dont you think so ki ye to vahan aye hue sabhi kings ki insult hai . 
think it like this ,  tum ek company ki job ki vacancy ke liye jaa rahe ho , par us company ne pehle hi decide kar liya hai ki vo kis ko as an empolyee choose karegi ,  then wont you feel cheated . Wont it be your insult.  Kya ye galat nhi hai . Amba ne bhi pehel se hi apna husband chun rakha tha , fir bhi swayamvaar ka dhong rachaya . 
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

par kabhi kabhi log fir bhi nhi mante , aur kehte jo hua vo galat nhi tha , to fir me unki soch ko inherit kar leta , fir me manta ki haan , jo swayamvar me hua , vo itna bhi galat nhi tha ...but ..but ...jo dyut sabha me hua , me usko bi galat man ne inkaar kar deta . Situation ke hisab se apne aap ko dhaal leta hoo kya karu .

so , kya hua kya tha . 
Karn ne kaha ki ek slave royal things nhi pehnta , aur usne pandava aur druapadi ko vo sab nikalne ko kahe . 

pandava ne bina kuch kahe apne saare jewelries, mukat ,earings , sab nikal ke rakh diye , fir slave ka form le liya. 
par draupadi adi rhi . usne vo sab sacrifice karne se mana kar diya . 

bas itna hi hua tha , log pata nhi kyu samjhte hain ki uske dresses nikalne ko kahe , esa kisi bhi book me nhi likha .

hota kya tha , us samay to koi upper body pe kuch pehnta bhi nhi tha , just ek kapda lower body ko dhaka karta tha , jo simple sa hota tha . to undress ki to baat bhi nhi aa sakti .

original mahabharat ek poem ke form me likhi gayi thi . usme metaphors use kiye gaye the . 
par aaj ke translator kuch galat hi samjh gaye .

vo jeweleries , royal hone ki nishani hoti thi . aur ye to sab jante hain ki us samay women ke liye uski jeweries hi uski izzat hoti thi ( kyunki kapde to us time hote hi nhi the) ...aur ek kul vadhu ke sath ho to vo ek insult hi hai .

to ved vyas kehna chahte the ki jis tarah se dushashan un jewleries ko nikal raha tha , vo esa lag raha tha jese mano , draupadi ka vastr haran ho raha ho . 

basically , draupadi ka vastrharan to hua hi nhi tha , ye misunderstanding hai. 
us time me esi chhoti soch nhi hoti thi . ye aaj ke time ko dekh ke change kiya gaya hain . agar koi bhi sanskrit ka knowledgeable ho to us original poem ko padh ke dekh le . itna sabko samjh aata hai .

jo bhi ho , karn politically right tha , ki ek slave ko vo jewleries pehn ne ki izzat nhi hai .

dusri badi baat , Unchaste kehna...ek to logo ko pata nhi hai ki unchaste aur wh**e me difference hai .. google pe search karlo

to me keh raha tha , draupadi ko usne unchaste kaha tha jo morally right tha . yes , koi bhi ja ke puranas , vedas , ya upnishad khol ke padh le . usme likha hai ki ek woman ke 3 man ke se jyada se physical relation use unchaste sabit kar deta hai . 

vese draupadi , yagyeseni thi, use vardaan mila tha ki vo whole life chaste rahegi . 
but ,...but ..but ...Karna never believed on birth rights , he believes on deeds , aur draupadi ki deeds karn ko chaste bilkul nhi lagte hai .( vese dusro ko bhi nhi lagte hunge , par kisi ke pas guts nhi hunge ki hastinapur ki kul vadhu ko muh pe bol sake , karn me tha , agar vahi draupadi kisi low caste poor family se hoti , aur 5 husband hote , tab to har koi yahi boli uspe barsata , itna to mante hi hunge aap sab ) . 

basically me kehna chahta hoon , jese swayamvar me draupadi ka decision tha vo , vese hi dyut sabha me , ye karn ka opinion tha , and hume sikhaya gaya hai ki dusro ke decisions aur opinions ki respect karni chahiye . 
vese bhi sabko to pata tha na , draupadi ko boon hai , vo hamesha chaste rahegi , to draupadi ko kya farak padta hai ki koi bhi uske bare me kya opinion rakhta hai . 

to finally , Karn bhi galat nhi tha iss scene me . usko right to speech tha , usne use kar liya . 

------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

vese dyaan se soche to vo dusri vali baat  sach hai par , thodi ...ah ...kadvi si lag rhi hogi 

isiliye to me personally , pehle vali theory accept karta  hoon, khamkha log mujhe dusri vali theory accept karane me lag jate hainπŸ€”



P.S - I am really sorry agar koi offend huya ho to  . me hurt karne ke intention se nhi keh raha tha ye sab , mujhe bas logic lagane me maza ata hai ...jo mene laga diya πŸ˜Š

koi criticize karna chahta hai , you are most welcome , i am always open for you πŸ˜‰


joota , chappal , tamatar , everything is acceptable here πŸ˜†
Edited by .Karna - 6 years ago
  1  

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

1 Participants 0 Replies 1054Views

Topic started by .Karna

Last replied by .Karna

loader
loader
up-open TOP