HAMARA CHOTA SA AASHIYAN part2 UDATD ON PAGE 18

ITSABOUT_DMG thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
   Hey everyone here u will get my os to read 
It's a kind of os gallery 
Below are the links of the os 
I hope u will love this os'es as the love u gave me to my ffs n ss 
Enjoy reading 
Love ya 
HUMERA 




                            OS1 
                           
                            OS2

                            OS3
     
                            OS4 
  
                            OS5


                          PART-2



   
                           MASOOM RISHTA 




 shimla 

  people gather around a street in which two houses got collapsed due to heavy rainfall last nite 
some victims survived n some were died 
the police n rescue officers were trying their best to find out the missing victims which were under the collapsed house 
everyone was hoping there near ones to get back fit n fine 
there were doctors too who were treating the patient's 
some were hurt physically n some where in a great shock 

there was a small cottage which was also collapsed 
the rescue officers were trying their best to rescue the victims 
one of the young doctor came there as his heart tells him to do so the rescue officers were tired n was abt to go from there place 
when that young doctor said 

doctor - aap loag aise kaise jaa sakte ho 
wahan koi ho sakta hai 

officer - Arey sir itna chota sa cottage hai Koun hoga aur 
agar hoga bhi toh uska bachna namumkin hai 

doctor - bina koshish kiye aaploag kaise haar maan sakte hai 
Aap loagon ki duty hai logon ko bachana 

officer - sir aap Hamey hamari duty mat samjhayie 
Hamey aur bhi logon ki jaan bachana hai 
chalo officers 

n the officer n his team went from there 
but the young doctor stood their n said 

doctor - kaise loag hogaye 
kisiki jaan ki parwaah bhi nahi hai inhe 

he slowly went inside the cottage n he started removing the huge rocks n sand with his own hands 
after trying for an hour 
he found a women n a small baby inside 
his heart sank seeing them like that 
he quickly took out the small baby n slowly slowly took out the women 

he placed the women on the floor n checked her wrist 
she was no more 
a tear escaped down from his cheeks 
he was surprised n came back 
from the shock when he heard the baby sounds 
the baby girl started crying n he looked at the girl n a smile form in his lips 

he picked up the girl in his arms n hugged her 

doctor - shhh shhh stop crying baby 

he tried to calm the girl but she kept crying more 
unless she took his shirt buttons in her fist n that calmed her a bit n she slept in his arms 

he looked at the girl n smiles but next moment he looked at the lady n bent down n he picks his phn n called the officers n other doctors 

hospital in shimla 

the lady is declared dead n now the police officers were trying to find out her family n the baby girl was with the young doctor 

some of the neighbors of that lady told the officers that 
she was a single mother n there were no family of hers 

the police officers were confused now abt the child 
what they will do now abt the child 

the officer came n said to the young doctor 

officer - dekhiye doctor humne iss bachey aur unki maa ki family ke baarein mein pata lagaaya hai 
iss bachi ke saath sirf iski maa rehti thi 
inki koi family nahi thi 
ab humey iss bacchi ko koi orphanage mein bhejna hoga 

the doctor looked at the small baby girl who was sleeping peacefully in his arms... far away from the truth That her mother is no more 
...

something was bothering him 
he can't let the girl alone 
he was feeling restless 
he looked at the officer n said 

doctor - aapko Isey orphanage bhejne ki zaroorat nahi hai 

officer - kyun 

doctor - kyunki ye mere saath jayegi 

officers were surprised n 
the doctor continued 

doctor - i am adopting this child rite now 
aaj se ye meri Zimmedari hai 

officer - but sir aap toh young lagtey ho 
aapki family ko objection nahi hogi 

the doctor looked at the girl smiles n said 

doctor - apne saath Ek angel ko lejaraha hun 
kisiko kyun problem hogi 

officer - theek hai sir jaise aapki marzi 

the officers went from there n the doctor looked at the baby girl n said 

doctor - thank you meri life mei aane ke liye baby
 
 he kissed her forehead n hugged her more 



back in Mumbai 

the door bell rang n a old lady in her 60 's went to open the door 

she opened the door n smiles looking at the person 
but next moment her smile turned into a frown 

old lady - ARMAAN 

armaan smiles n touched the old lady 's feet n hugged her with the small girl in his arms 

old lady - armaan Bete ye choti si bacchi Koun hai 

armaan smiles n kissed that girl's forehead 
the old lady smiles seeing the love n effection for the small kid armaan holds for 

armaan sat on the sofa n the old lady too sat besides him n the baby girl was sleeping in his arms 

armaan - bi 

the old lady is a single parent of armaan after he loose his parents in a car accident when he was 13 yrs old 
she was the only family of him 
armaan take her as his own mother

Ar - bi... woh... actually... ye mujhe shimla mein mili 
jab mai wahan gaya tha emergency ke liye 

bi - mili matlab 

armaan - bi maine Isey adopt kiya hai 

bi was shocked hearing this 

bi - kya?????? 

Ar - haan bi aaj se ye hamare saath rahegi 
mujhe nahi pata maine sahi kiya ya ghalat 
mujhe ye bhi nahi pata ke mai Isey kiss rishtey mein apni kahunga 
mujhe jab ye uss halath mei mili toh mere dil mei ek alag sa dard hua usey uss halath mein dekh kar 
mujhe shayad aapse poochna chahiye tha Isey yahan laane se pehle 
par mere pass sochne ka time hi nahi tha bi
uss waqt jo mujhe theek laga maine kiya 
iski koi family nahi thi sivaaye iske maa ke jo ab nahi rahi iss duniya mein 
mujhe pata hai maine bahot hi bada faisla liya hai bi 
par mujhe iska koi pachtawa nahi hai aur naahi kabhi hoga 

bi smiles with some tears in her eyes n kissed his forehead 

bi - Tuney ek besahara ko Sahara diya Bete 
issey badi khushi ki baat aur kya hogi mere liye 
Tuney bina apne baarein mei soche bina apni zindagi ke baarein mei sochey Isey apni zindagi mein jagah di hai 
aisa koi bhi nahi karta armaan... 
Tuney aaj bahot hi nek kaam kiya Bete 
mujhe tujhpe garv hai beta 

armaan smiles too n bi continued 

bi - par Armaan 
teri toh shaadi bhi nahi hui 

Ar - toh 

bi - Bete mujhe toh koi aeitraaz nahi hai tere iss faisle se par Bete teri ek din shaadi toh honi hi hai na... 

armaan knows what bi is trying to say 
he said 

Ar - bi mujhe pata hai aap kya kehne ki koshish karrahe ho 

bi looks at him n he continued 

Ar - mujhse shaadi wahi ladki karegi jo mujhe aur Isey apni zindagi mein apnana chahegi 
jisko duniya ki baaton se fark nahi padega 
jo sirf mere aur iske baarein mein sochegi 
aur kisiki nahi 

bi - par Armaan aisi ladkiya milti hi kahan hai Bete 
aajkal ki ladkiyon ko toh paise waala acha sona munda hi pasand aata hai 

armaan smiles n said 

Ar - aapka beta bhi toh kisise kam nahi naa bi 

bi smiles n said 

bi - mera beta toh laakhon mein ek hai 

Ar - aur aapke iss Bete ko koi laakhon mein ek. hi milegi 
dekhna aap 

bi smiles n armaan too smiles 




same in the other side of the city 

a girl in her mid 20 's was playing with the kids in the park 
she was enjoying her time with kids 

one of the kid said 

dekho didi Meko basketball khelna aagaya 

the girl smiles n said 

very good... 


she was playing with the kids when another girl with a curly hair came towards her n said 

girl - ridzi chal yaar office ke liye dair horahi hai 

ridhima turned n smiles n said 

ridzi - haan ruk abhi aayi 

she turned towards the kids n said 

ridzi - Acha Bacchon ab mai chalti hun 
mujhe office ke liye dair horahi hai 
kal phir miltey hai 
ok 

kids - ok 

ridzi - bye Bacchon 

kids - bye di 

ridhima came towards her friend n said 

ridzi - chal na ab kyun khade khade muskuraa rahi hai tu muski 

muski - tu na inn Bacchon ke saath bilkul bacchi banjaati hai 
tujhe dekh kar koi kahega ki tu ab 22 saal ki independent ladki hai 

ridzi - UMr se fark nahi padta muski 
insaan waisa hi rehta hai jaisa rehna chahta hai 
Phir Chahe woh 2 saal ka ya 22 saal ka kyun na ho 
aur waise bhi tu toh jaanti hi hai ke mujhe bacche kitne pasand hai 
unke saath time kab guzarta hai pata hi nahi chalta 

muski - haan ye toh sahi hi hai 
waise Tuney kabhi socha tha kya ke hum dono Ek saath badey hongey 
ek saath padengey 
ek saath job karengey 
aur toh aur ek saath ek hi ghar mei rahengey 

ridhima smiles n said 

ridzi - maine toh nahi socha tha par god ne zaroor socha tha issilye Hamey milwaaya 
ek hi orphanage mein hum miley 
school aur college Ek saath kiya aur ab job bhi ek saath karrahe hai 
but u knw what mujhe kabhi god se koi shikayat nahi hai 
agar unhone mujhse mere parents cheena hai toh mujhe tujhse bhi toh milwaya hai 

muski hugs her n said 

muski - mujhe bhi koi shikayat nahi hai 

they both smiles n went from there 


back in mallik house 

armaan named the girl  aruhi... 
aruhi was slowly slowly getting attached to Armaan 
days passed n weeks too 
n the mallik house was filled with happiness with the Lil kid 
bi used to take care of aruhi when Armaan works in hospital as he is a doctor in sanjeevani 
bi took care of everything related to aruhi 
but when Armaan came back to the house 
the first thing he used to do is take aruhi in his arms n plays with her for sometime n he lovingly feeds her by doing small little cute antics n aruhi used to smile at his antics 
she finishes her food when he do that cute things n armaan makes her sleep on his chest 
in the Lil span of time 
aruhi became his life 
the day starts with aruhi n ends with aruhi for armaan 
when aruhi cries for armaan when he is not around 
bi used to call him n aruhi listens his voice n calms down after hearing his voice 

it was one such day when Armaan went sanjeevani early before aruhi wakes up n did not even make a call as it was a busy day 
n aruhi was missing him 
though she is a 6 months old kid
but she missed his voice 
his touch 
his effection 
it was 7 in the evening 
still there was not a sign of armaan aruhi started crying as she was missing him badly 

bi tries to call him but he wasn't picking up his phn 

bi was trying her best to make her calm but all was in vain 

aruhi cried more for armaan n bi is now worried 

she was crying continuesly n bi don't know what to do now as armaan was not picking his phn 

the door bell rang n bi soon went to open the door 

she opens the door n armaan was standing there tired but when he saw his angel was crying 
her whole face became red due to continuous crying 
he quickly picked her in his arms n caressed her back 

Ar - kya hua hai meri angel ko 
kyun rorahi hai meri baby 

he caressed her back n he kissed her forehead 
armaan wipes her tears n said 

Ar - chup hojao aru 
Shhh 
chup hojao baby 

aruhi calmed a Lil bit holding his shirt 's button n bi took a sigh of relief 

bi - huh... bhagwaan ka lakh lakh shukar hai tu aagaya Ammy 
pata hai aru kitna rorahi thi shaam se 
aur tu phn kyun nahi utha raha tha mai kabse try karrahi thi 

armaan came n sat on the sofa with aruhi in his arms 
she was hugging him tight 

Ar - woh bi mera phn silent par tha 
toh check karna bhul gaya tha 
par aru itna kyun rorahi thi 
aapne kaha shaam se rorahi thi 

bi smiles n said 

bi - tu aaj iske uthne se pehle chala gaya tha na sanjeevani toh subah se tera chehra bhi nahi dekha isne aur naahi teri awaaz suni isne 
issilye tujhe miss karrahi thi 

armaan smiles n asked aruhi in a childish way 

Ar - aru ne mujhe missy kiya aaj... 
haan... princess ne mujhe miss kiya 

he plays with her hands n aruhi smiles n made sounds 

bi smiles seeing the cute scene infront of her 

bi - tujhe dekhey bina teri awaaz suney bina isko chain hi nahi milta

armaan smiles n bi continued 

bi - kitni attached hogayi hai ye humse 
khaaskar ke tujhse Ammy 
mujhe toh kabhi kabhi lagta hai ke ye teri hi beti hai 

armaan looked at bi n said 

Ar - lagta hai??? 
ye toh meri hi beti hai bi 
meri aru hai 
hai na princess 
( aruhi smiles n plays with his hands)  
mai toh Isey apni beti hi maanta hun bi 
Isey duniya ki saari khushiya dena chahta hun... 
kyunki ab mere liye sabse zyaada zaroori aruhi hi hai... 
iske alaawa kuch bhi zaroori nahi hai 

bi - aur teri shaadi 
woh zaroori nahi hai????? 

Ar - bi... 
maine kaha na aapse mujhe shaadi karne mein koi problem nahi hai 
but abhi nahi bi 
abhi toh aru hi meri priority hai 

bi - mai samajhti hun Bete 
par tu kab tak shaadi nahi karega 
ek na ek din toh tujhe shaadi karni hi hogi na 

Ar - toh maine kab mana kiya ke mai shaadi hi nahi karunga 
karunga bi aur aap jis ladki ko mere liye pasand karogey 
ussi Se hi karunga 

bi smiles n armaan continued 

Ar - but abhi nahi bi 
kuch der rukjao aap 

bi smiles n said 

bi - theek hai Bete 
jaise tu theek samjhe... 

armaan smiles n said 

Ar - Acha bi mujhe shimla jaana hai kal 
aruhi ke birth certificate collect 
karne ke liye 

bi - Tuney toh jaana hai shimla 
teri iss badmaash beti ko mai kaise sambhalungi 
dekha na Tuney aaj kaise poora ghar apne sar pe leliya isne 

Ar - bii... aap meri angel ko badmaash mat bolo 
ye toh mera pyaara sa baby hai 
( he kissed her cheeks n aruhi clapped her hands)  

bi - par Armaan tujhe toh shayad do din lagjayengey aane mein 

Ar - do din toh nahi bi par mai poori koshish karunga jaldi aane ke liye 
mujhe bhi aruhi ko chodkar jaane ka mann nahi karraha 
par jaana padega bi 
iski birth certificate bahot hi important hai 

he caressed her back n she plays with his shirt buttons 

bi - theek hai Bete 
par phn karta rahe tu
warna aru ko sambhalna mere liye mushkil hojayega 

Ar - haan bi mai phn karta rahunga 


next day 
armaan wokes up n saw his angel sitting beside him playing with his vest 
armaan smiles n said 

Ar - gud mrng princess ( he kissed her cheeks)  meri baby toh jaag gayi 
chalo aapko ready kartey hai 
he got up from his bed n picks aruhi in his arms 

he makes her ready n feeds her as he is going away from her for whole two days... 
he will miss her n knows that she will miss him too 

armaan came down all ready to go to shimla with aruhi in his arms 

bi saw them n said 

bi - Arey aruhi toh jaldi uthgayi aaj 
aur toh aur ready bhi hogayi 

armaan smiles n sat on the sofa n said 

Ar - haan... aaj aruhi ko uske daada ne ready kiya 

bi - Acha Chal mai naashta lagaati hun 
aur aruhi ka doodh bhi toh taiyyar karna hai 

Ar - nahi. bi aruhi ko maine cerelac khilaa diya 

bi - Acha phir tu aaja naashte ke liye 
tujhe der hojayegi warna 

Ar - haan... 

he took aruhi in his arms n went n sat on the dinning table with aruhi in his lap 


he was having his food n aruhi was playing with her toys 

he now got up from the table with aruhi in his arms n kissed her forehead n aruhi hugs Him 

Ar - Acha bi mai chalta hun 
aur aap bilkul chinta mat kijiye 
mai jaldi aajaunga aur phn bhi karta rahunga 

bi took aruhi from his arms n aruhi started crying 
armaan sighed n took aruhi in his arms n said 

Ar - chup hojao aru... daada jaldi aajayengey 
( he kissed her on his hairs) 

bi - abhi ye haal hai iska 
jab tu jaayega pata nahi mai kaise sambhalungi Isey 

Ar - Shhh... shant hojao baby 
warna daada nahi jaapayengey 

he somehow calms her n asusual she holds his shirt buttons n bi n Armaan smiles n bi somehow took aruhi in her arms n armaan knows if he stays more she will cry more 
so he left the place immediately after bi took aruhi in her arms 



evening @ 6 pm 

ridhima was sitting on a bench in a park n was admiring the nature view 
it relaxed her n she loves to sit their enjoying the chill weather n relaxing her nerves 

when bi came with aruhi in her arms n sat bedside her 
Ridhima looked at aruhi n smiles seeing her 
she was looking cute 
bi looked at ridhima n smiles n was memerized with her beauty 
no make up at all she was looking like an angel in pink churidaar with her hair left open 

ri - bahot hi pyaari bachi hai 

bi smiles n said 

bi - thank you Bete 

ridhima was admiring the Lil angel 
she wants to take her in her arms but was not sure if what bi thinks 
she some how asked bi 

ri - kya... mai... baby ko lesakti ho 

bi smiles n said 

bi - haan beta 

she gave aruhi to ridhima n ridhima took her in her arms n kissed her on her cheeks n aruhi clapped her hands 

bi - Arey ye toh Tumhare saath ache se behave karrahi hai 

ridhima smiles n said 

ri - mujhe bacche bahot pasand hai aunty 
aur mujhe lagta hai ke Bacchon ko bhi mai pasand aati hun

bi smiles n said 

bi - haan aru ko tumhare Godh mei aakar dekh kar aise hi lagta hai ke isko Tum pasand Aagayi 

ridhima smiles n plays with aruhi n aruhi smiles n giggle whenever ridhima kissed her on her cheeks 

bi looked at ridhima n thinks 

bi - kitni pyaari ladki hai
Isey dekh kar lagta hai ke ye mere armaan ke liye bilkul perfect hogi 

bi asked her 

bi - aapki shaadi hogayi kya Bete 

ridhima looked at bi surprised n said in a slow voice 

ri - nahi... 

bi took a sigh of relief n thinks 

bi - Acha hi hai 
armaan ke liye issey perfect ladki mil hi nahi sakti 

her thoughts came to an end when ridhima called her 

ri - aunty... aunty 

bi - huh... 

ri - aapka phn bajraha hai 

bi looks at her phn n smiles n picks up the phn 

bi - haan Bete 
tu pahonch gaya shimla 

Ar - haan bi mai theek se pahonch. gaya 
aruhi kaisi hai 
woh aapko pareshaan toh nahi karrahi na 

bi - nahi Bete aruhi theek hai aur mujhe bilkul bhi pareshaan nahi karrahi 
mai usey paas ke park mein le aayi 
Woh bilkul theek hai armaan 

as soon as aruhi heard armaan 's name she stared crying n bi looked at aruhi n took her in her arms n said 

bi - dekha tera naam liya maine aur teri beti teri awaaz suney ke liye betaab horahi hai 

armaan smiles n bi put the loud speaker n armaan said 

Ar - hi aruhi... kaisi hai meri angel 

aruhi smiles n makes sounds n armaan continued 

Ar - daada ko miss karrahi hai aru 
daada bhi aruhi ko bahot bahot bahot missy karrahe hai 

aruhi smiles n makes sounds n armaan smile widened 

ridhima smiles seeing aruhi excited hearing to her daada n an unknown feeling started coming in ridhima ' s heart after listening to armaan 's voice 

Ar - daada jaldi hi apni aru ke paas aajayengey 
ok baby 

aruhi clapped her hands n bi said 

bi - agar baap beti ki baatein khatam hogayi ho toh mai phn rakhun 

armaan smiles n said 

Ar - Acha bi mai phn rakhta hun 
aur aap apna aur aruhi ka khayaal rakhiyega 
mai jaldi hi waapas aane ki koshish karunga 

bi - ok beta 
tu bhi apna khayaal rakhna 

she hungs up the call n bi said to ridhima 

bi - Acha Bete Ab Mai chalti hun 

ridhima - Jee aunty 

ridhima kissed aruhi 's cheeks n bi smiles n went from there 
ridhima stood their thinking abt armaan ' s. n aruhi Lil cute convo n smiles to herself 


since that day bi was going to park daily n there ridhima too meet bi n they talked alottt n bi got to know that ridhima is an orphan n she leaves with her friend 
bi always talks abt armaan n ridhima always smiles listening abt armaan n she kinda liked to hear more abt armaan 

when bi suddenly had leg sprain n ridhima picked aruhi in her arms n took a rickshaw n went to drop bi n aruhi to their house 

bi n ridhima with aruhi enters into mallik mansion n bi sat on the sofa n said 

bi - thanks Bete mujhe ghar drop karne ke liye 

ri - Arey isme thanks ki kya baat hai aunty 
aap please aagey se mujhe thanks mat Boliye 

bi smiles n said 

bi - theek hai Bete nahi bolungi 

ridhima smiles n her gaze fell on a photo frame hanging on the wall 
it was picture of armaan n aruhi 
armaan kissed aruhi's forehead n aruhi smiles wide hugging him 

it was a cute picture n ridhima smiles seeing it, bi looked at ridhima n said 

bi - ye armaan hai 

ridhima looked at bi nervously as she was admiring armaan n aruhi 
just then armaan entered in the house n first thing he said is 

Ar - aruhi... dekho daada aagaye 

aruhi saw armaan n jumped from ridhima's arms n Arman smiles n took aruhi in his arms n kissed her forehead 

Ar - kaisi hai meri angel... daada ko missy kiya 

aruhi makes sounds n hugged him n armaan kissed her hair 
bi smiles seeing armaan n aruhi 
n she looked at ridhima who was admiring armaan n aruhi 

bi smiles n said 

bi - Arey ridhima issey milo ye hai armaan 

armaan looked at bi n then his gaze fell on ridhima who was looking at him 
he was mesmerized by her beauty 
he smiles at her n she smiles back 

bi - armaan ye hai ridhima 
jab tu yahan nahi tha toh aruhi ne issey dosti karli aur ridhima ne aruhi ka ache se dhyaan rakha 

armaan smiles n said 

Ar - hi ridhima 

ri - hi 

Ar - i hope aruhi ne aapko zyaada pareshan nahi kiya 

ri - bilkul bhi nahi 
balke mujhe toh bahot zyaada maza aaya aruhi ke sath 
bahot hi pyaari hai ye 

armaan smiles n looked at aruhi who was playing with her daada 's shirt 

ridhima smiles n said 

ri - Acha aunty ab mai chalti hun 

bi - Arey beta tu akeli mat ja 
armaan tu Isey drop kardega Bete 

ridhima said 

ri - nahi aunty iski koi zaroorat nahi hai 

bi - zaroorat kaise nahi hai 
Tuney mujhe drop kiya aur mai akele jaane dungi tujhe woh bhi itni shaam ko 
nahi... 
armaan tu drop karde Isey 

Ar - Jee bi 
chaliye ridhima mai aapko drop kardeta hun 

ri - nahi armaan... aap kyun takleef karrahe ho 

Ar - isme takleef ki kya baat hai 
aap meri beti ki dost hai 
toh mera toh farz banta hai Aapko ghar drop karna 
hai na aru 

aruhi smiles n ridhima smiles n said 

ri- theek hai 


bi took aruhi from armaan 's arms n said 

bi - aati rehna ridhima 

ridhima smiles n said 

ri - bilkul aunty 

n they both went from there

both was silent in the car n 
armaan break the silence n said 

Ar - waise i hope aruhi ne aapko pareshaan nahi kiya 
bahot hi zyaada pareshaan karti hai 

ridhima smiles n said

ri - Bache toh hotey hi aise hai 
waise bhi woh aapse bahot pyaar karti hai 
aur toh aur aapki awaaz sunkar hi uske Chehre par ek badi smile aati hai 

armaan smiles n said 

Ar - haan... 

they smiles seeing at each other n ridhima said 

ri- mera ghar aagaya 

he stop the car infront of her house n said 

Ar - ok 

ri - thanks 

Ar - u'r welcome



the days passed n armaan ridhima meets every alternate days 
n they became good friends 
they share each n every things related to work, aruhi, n everything 

ridhima got to know from bi that armaan adopted aruhi n she started respecting him more 

ridhima used to talk abt Arman n aruhi with muskaan n muskaan noticed that ridhima have some feelings for armaan 
the way she talked abt him a smile adorned her lips 
n muskaan met armaan n aruhi n she too liked armaan 

armaan too started liking ridhima n bi was hoping that armaan will agree for marriying to ridhima 

it was one such day when bi armaan sat in the main hall n aruhi was sleeping in armaan arms 
she loved to sleep like that 
when bi out of the sudden said 

bi - armaan kya tu ridhima se shaadi karega 

armaan was shocked n he said 

Ar - bi... aap ye kya kehrahe ho 

bi - wahi jo tu sunraha hai 
dekh armaan mujhe ridhima bahot pasand hai Bete 
aur toh aur woh aruhi ke saath bhi ghul mil gayi hai 
aru bhi uske saath comfortable hai 
toh kyun na tu ussey shaadi karle
aru ko maa bhi miljaayegi aur tujhe teri life partner bhi 

Ar - bi aapko achanak se ye khayaal kaise aagaya 
aur ridhima mujhse kyun shaadi karegi 
jabki woh jaanti hai ke mai ek bacchi ka baap hun 
aur mai ridhima ke saath aisa nahi karsakta 
woh bahot hi achi ladki hai 
aur mujse better ladka deserve karti hai 

bi - Bete mai ridhima se baat karke dekhungi 
aur jahan tak mujhe pata hai 
woh iss Rishtey ko mana nahi karegi 
woh zaroor haan kahegi 

Ar - nahi bi aap ridhima se baat nahi karenge 

bi - armaan... Bete meri baat ko samajh 

Ar - aap Samjho bi... mai ridhima ke saath aisa nahi karsakta 
ye ghalat hai 

bi - agar ridhima haan kahegi iss Rishtey ke liye toh kya tu shaadi ke liye haan kahega 

Ar - kya 

bi - armaan jo maine poocha uska jawaab de 

Ar - ridhima kyun haan kahegi bi 

bi - agar usne haan kahi toh 

Ar - toh mujhe problem nahi hogi iss shaadi ke liye 

bi smiles n armaan continued 

Ar - agar woh sab kuch jaankar bhi mujhse shaadi karne ke liye haan kahegi toh mai bhi iss Rishtey ke liye haan kahunga 

bi kissed Arman 's forehead n said 

bi - mujhe pata tha ke mera beta meri baat nahi taalega 

armaan smiles n took aruhi in his arms n went back to his room 


on the other side 

ridhima sat near the Window n looked at the moon n smiles 
she thinks abt armaan n said 
to herself 

ri - armaan jaise loag bahot hi kam hotey hai iss duniya mein 
woh aruhi se Kitna pyaar Kartey hai
uska kitna khayaal rakhtey hai 
usey adopt kiya hai phir bhi usey apni beti maantey hai 
kaash duniya mein armaan jaise loag aur bhi hotey 
toh kuch Bacchon ko anaadh hona nahi padta 

just then muskaan came n said 

muski - kiske khayaalon mein khoyi hui hai 
armaan ke haan 

she nudges her n ridzi blushed n said 

ri - shut up muski 
tu bhi na 

muski - cmon ridhima 
Jabse tu armaan se mili 
tabse har waqt armaan aruhi 
armaan aruhi 
karti phirti hai 
tujhe pata bhi hai tu din mein armaan aur aruhi ka kitni baar naam leti hai 

ri - haan toh 
armaan mere ache dost hai aur aruhi toh hai hi cute 

muski - sirf dost ridzi 
dost se badhkar hogaya armaan tere liye 

ri - shut up muski 
tujhe toh bass yahi baatein aati hai karne ko 

muski - dekh ridzi Mujje pata hai tu armaan ko pasand karne lagi hai 
aur mujhe ye bhi pata hai ke armaan bhi tujhe pasand karne laga hai 
woh jis tarah tujhe dekhta hai 
jiss tarah teri baatein sunta hai 
jab tu aruhi ke saath khelti hai toh tujhe smile karke dekhta hai 
aur tu bhi toh uske saath comfortable rehti hai 

ri - muskaan tu na 

but muski cuts her in the middle n said 

muski - tu ab kuch nahi kahegi but jab tujhe ye Baat realize hogi ke tu armaan ko pasand karne lagi 
toh tab tujhe meri baatein samaj aayegi 

with this she went from there n ridhima stood their lost in what muski said 

armaan too looked at the moon n thinks of ridhima n smiles more 
just then aruhi wakes up n cries n armaan went towards her n picks her in his arms 

Ar - daada yahi hai baby 
Shhh 

aruhi calmed a bit n suddenly she spoke her first word 

aruhi - daada 

armaan was surprised n looked at aruhi n said 

Ar - kya kaha angel ne 

aruhi smiles n said 

Aruhi - daada 

armaan hugged her n smiles more n he went outside n said 

Ar - bi... bi 

he calls her n bi came out n said 

bi - kya hua kyun chilla raha hai 

Ar - bi aruhi ne mujhe daada kaha 
aruhi ka first word bi 

bi smiles n said 

bi - sach... 

armaan nods n said 

Ar - meri aru ne daada kaha mujhe 

he was sooo happy he kissed her whole face and aruhi Giggles n said once again 

aruhi - daada 

bi smiles hearing her n said 

bi - Arey Waah 
aruhi ko bolna aagaya 
aru ne daada kaha 

armaan smiles more n he hugged aruhi 


he slept making aruhi sleep on his chest n a smile was adoring his face 
his angel said daada to him 
he was sooo happy n slept hugging her tight 


next day 

bi told ridhima that aruhi spoke for the first time n she said daada to armaan 

ridhima was sooo happy 
bi said that she wants to talk to her Ridhima agreed n they both sat on the bench of the park 

bi - ridhima mujhe tujhse zaroori baat karni hai Bete 

ri - Jee aunty kahiye na 

bi - Bete kya tum armaan se shaadi karogi 

ridhima looked at her surprisingly n she said 

ri - aap ye kya bolrahe ho aunty 

bi - dekho beta mai chahti hun ke tum aur armaan ek doosre se shaadi karlo 
Jabse maine tumhe dekha tabse yahi chaha ke tum armaan ki dulhan bano 
tum armaan se mili aur tum dono ache dost bhi bangaye 
aruhi ko armaan ke baadh agar koi sambhal sakta hai toh woh tum ho Bete 
mai nahi jaanti ke tum iss waqt kya samajh rahi ho 
par Bete maine dekha hai armaan ko jab woh tumhare saath rehta hai
toh kitna khush hota hai 
mai ye toh nahi kehti ke woh tujhse pyaar karta hai 
par ye zaroor kahungi ke woh tujhe pasand karta hai 
maine ussey iss Rishtey ke baarein mein poocha toh usne mujhe kaha hai ke 
pehle teri marzi mai jaanlun 
woh nahi chahta ke teri zindagi ek aise insan ke saath Judey jo pehle se hi Ek bacchi ka baap hai 
aur aisi bacchi ka jisko usne adopt un halath mein kiya hai 
Jin halath mein apne bhi apno ka saath nahi dete 
armaan aur aruhi ka rishta toh baap beti ka hi rahega 
ek Masoom rishta hai unn dono ka jisko samajhna har kisike bass ki baat nahi hai 
par Tuney iss baat ko samjha hai 
unke rishtey ko samjha hai 
aur kahin na kahin mujhe ye lagta hai ke tu bhi armaan ko pasand karne lagi hai 
aruhi ko maa ki tarah pyaar karti hai 
agar tu iss Rishtey ke liye haan kahegi toh armaan bhi maan jayega 
uske liye teri haan bahot mainey Rakhti hai 
aur teri khushiya bhi 

ridhima listened carefully n she think that what bi said was right 
aruhi n armaan became her first priority 
what muskaan said n bi said abt armaan was right 
whenever he is with her he always looks happy n she too started liking him 
but she needs some time to think 

bi - bol Bete tu kya kehna chahti hai 

ridhima came out from her thoughts n said 

ri - aunty... woh... mujhe sochne ka thoda time dijiye 

bi smiles n said 

bi - take your time Bete 
tu sonchkar hi jawab dena 
koi jaldi nahi hai 



ridhima was thinking abt bi 's talks in her room when muskaan entered 

muski - tu phir armaan ke khayaalon mein khogayi 

ridhima came out of her thoughts n said 

ri - muski 
aaj aunty ne mujhse armaan aur meri shaadi ke baarein mein poocha 

muskaan looked at her shockingly n said 

muski - kya baat karrahi hai 

ri - haan unhone bhi mujhse wahi saari baatein ki jo Tuney kal raat kahi thi mujhse 

muski - Tuney kya socha phir 

ri - mujhe samajh nahi aaraha 
unhone ye Baat armaan se bhi kahi but armaan ne pehle meri marzi jaan na zaroori samjha 

muskaan smiles n said 

muski - zyaada mat soch ridzi 
haan kehde 
armaan jaise ladke kismet waalon ko milte hai 
aur woh tujhe bahot khush rakhega tujhse bahot pyaar karega 

ri - mujhe pata hai muski armaan ek ache ladke hai 
jo bhi unse shaadi karegi woh bahot hi lucky hogi 
unhone ek aisi bachi ko sahaara diya jiska iss duniya mein uski maa ke alaawa koi nahi tha 
agar koi unki jagah hota toh shayad woh aruhi ko orphanage mein chod aata 
uss bachi ko adopt kiya aur toh aur usey itna pyaar karte hai ke ek baap apni beti se karta hai 
undono ka rishta bahot hi Masoom sa hai 
mujhe pata hai ke armaan mera poora khayaal rakhengey mujhe bahot khush rakhengey 
par kya mai bhi unka aur aruhi ka khayaal rakh paungi jaise woh rakhengey 
undono ko khush rakh paungi 

muskaan smiles n said 

muski - agar tu inn dino mein undono se itni attached na hoti toh aunty tujhe unke Bete ke liye nahi chunti 

ridhima looked at muskaan n muskaan blinks her eyes n said 

muski - zyaada mat soch ridzi 
haan kehde iss Rishtey ke liye 

ridhima thinks all night abt armaan n aruhi n slept with a smile 


next day 
bi was waiting for ridhima ' s answer n ridhima called bi as she was feeling shy to say that 

bi picked up the phn n said 

bi - hello 

ri - hello aunty namaste 

bi - namaste beta 
kaisi ho 

ri - mai theek hun aunty 
aap kaise ho aur aruhi aur armaan kaise hai 

bi - hum sab theek hai Bete 

ri - aah.aunty woh actually aapne jo kal poocha 

bi smiles n said 

bi - matlab tumne decide kiya hai
 

ri - ji... aunty mai iss shaadi ke liye taiyyar hun 

bi smiles wide n said 

bi - sach... 

ri- ji 

bi - thank you beta 
thank you very much 
tu nahi jaanti kitni badi khushi di hai Tuney aaj mujhe 

armaan heard bi talking to someone n was confused abt bi ' s sudden happiness 

bi hungs up the call n turned to see Armaan stood their with aruhi in his arms 

bi went towards armaan n kissed him on his forehead n said 

bi - aaj mai bahot khush hun beta 

Ar - kyun... aisi kya baat hai 

bi - ridhima ne iss shaadi ke liye haan kehdiya 

armaan is surprised n said 

Ar - kya??????? 

bi - haan usne abhi mujhe phn karke bataya 
aaj mai bahot khush hun armaan 
bahot khush hu 

she kissed him again on his forehead n aruhi Giggles n clapped her hands again n said 

aruhi - daada... kisshyyy 

she means daada is getting kisses

armaan smiles n kissed aruhi n said 

Ar - aru bhi khush hai 

aruhi makes sounds n armaan smiles again 


both armaan n ridhima agreed for marriage 
n they get married in a simple way 
only bi n muskaan were present in their house 
they called pandit ji n they did all rasm
n they both finally got married 


AR ROOM 

bi took aruhi with her as that was their first night 
so armaan n ridhima were alone 
both were silent as they dnt know what to say 

armaan breaks the silence n said 

Ar - woh... ridhima mai aapse ye kehna chahta hu ke 
Chahe aapne iss Rishtey ke liye haan kehdiya 
par mai samajh sakta hun ke hum dono ko thoda time aur chahiye hamare rishtey ko aagey badaane ke liye 
aur mai waada karta hun aapse ke mai aapko khush rakhunga 
aapko kabhi kisi mod pe akela nahi chodunga 
har kadam aapke saath rahunga 

ridhima smiles n said 

ri - mujhe pata hai armaan 
mujhe aap par poora vishwas hai 
mai bhi aapse vaada karti hun ke mai aapka aur aruhi ka poora khayaal rakhungi 
aruhi ko maa ki tarah pyaar karungi aur aapko koi bhi shikayat ka maukha nahi diyungi 

Ar- mujhe pata hai ridhima 
aruhi ka aap ache se dhyaan rakhegi 

ri - aur aapka bhi 


they both shared an eyelock n ridhima looked down immediately n armaan smiles 

they both slept on the same bed 
knowing that they will not cross their lines n they can trust each other as they have been very good frnds 

next day 

Armaan n ridhima went down n saw bi n aruhi sat on the sofa 
armaan went towards aruhi n picked her up in his arms n kissed her where as ridhima touched bi 's feet n bi gave her blessings 

Aruhi - daada... missy... aru 

bi n ridhima smiles n armaan said 

Ar - awww 
mera baby ne miss kiya daada ko 
daada ne bhi Khoob miss kiya aaru ko 

they both played n ridhima make breakfast n all the three had their breakfast 
n ridhima feeds aruhi her cerelac while talking in a childish way 

armaan n bi smiles seeing the scene infront of them 


days passed quickly n armaan ridhima were becoming more comfortable with each other 
whenever armaan goes to hospital 
he kissed aruhi on her cheeks n he kissed ridhima on her forehead 

At first ridhima got goose bumps all over her body n she used to blush whenever he did that 
but slowly slowly she get habituated of armaan ' s love n effection 

sometimes they both hug eachother when Armaan gets tired from the hospital n the first thing he did coming back to the house 
is hugging his two angels 

this small small encounters makes them happy n bi n muskaan noticed that they both fell in love with eachother but they didn't confessed yet 
n they think more than the words 
the care the affection is what's more important 
n they both knows that they dnt need to confess 
they can feel the love in their eyes for each other 


 armaan came home tired n ridhima opened the door 
he smiles at her n hugged her 
she hugs him back he kissed her on her forehead 

after sometime 
armaan came down after changing into his nite track n saw bi n aruhi sitting on the sofa 
where as ridhima was in the kitchen 

armaan came n sat on the sofa beside aruhi n aruhi jumped into his arms n she said 

aruhi - daada... aru... kissyyy 

armaan smiles n said 
Ar - kissyyy... 

he asked her n she makes sounds n armaan kissed her on her cheeks 
aruhi clapped 
bi smiles n  ridhima came n sat beside armaan n aruhi 

aruhi smiles n said 

aruhi - daada... kissyyy.. mamma 

ridhima was shocked n Armaan grinned n look at ridhima n ridhima quickly got up from the sofa n said 

ri - mai khaana lagaati hun 

she quickly went from there n armaan smiles n bi laughed n armaan said 

Ar - aru... aap toh bahot hi badmaash horahe ho 

aruhi frowns n armaan pecked her lips n aruhi smiles widely 

after having dinner armaan decided that aruhi will sleep with them 
as she was missing him n he too misses him 

armaan was playing with aruhi on the bed 

when ridhima stood near the Window  looking at the father daughter duo smiling looking at them 

armaan looked at ridhima n smiles n came towards her with aruhi in his arms 

Ar - ridhima 

ri - ji 

Ar - actually  ek baat karni thi tumse 
but i dnt think uski ab zaroorat padegi 

ri - kounsi baat  armaan 

Ar - yahi ke i love u 

ri- haan toh ye... 

she registered what he said n blushed 

Ar - haan i knw iski zaroorat nahi hai 
but still yaar  mujhe kehna hai 
i love u 

ri - armaan 

she whined n he took her in his arms  
Ar - waise i dnt think ke iska reply bhi aana chahiye 
hai na 

she bit her tongue n said hugging him 

ri - i love u too 

armaan smiles n kissed her on her forehead n aruhi clapped her hands 
n armaan n ridhima looked at aruhi n they both kissed her on her either cheeks 

armaan hugged his both angels n 
ridhima smiles n aruhi Giggles 





i hope u all enjoyed this 
the concept was taken from a real story 
n i executed with my thoughts 
i hope it works 
finger crossed 
my first ever os 
Eeksss 
i am so nervous 
please do hit the like tab n do comment 

with loads of love 
HUMERA 



Edited by SGROVER_WINGET - 8 years ago

Created

Last reply

Replies

149

Views

28743

Users

37

Likes

319

Frequent Posters

..Phoenix.. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
os res

awww it was super duper cute yaar.. i soo love small babies... i soo wana kiss aruhi and see her gigling ans smiling...

respect armaan for what stepp he took in shimla for 1st day... and saved the baby and adopted her... and baby going comfortable with armaan 
a=haye shirt ka button pakad ke soi hayee...

and ridhima too loved her too... 
mast OS humz...
maja aa gaya...

full of packages of

love
affection
care
emotions
hppiness
respect..

loved it
Edited by Aayu-loveKaJen- - 9 years ago
Ruppkotha thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
hey
its aisha
I hope u recognize me
nhi hua to bhi koi baat nhi...

u know as 1st i started to rad naam se hi mujhe ek film k nam & ek music album k naam yaad agayi
that was shahid kapoor's mausam & another adnaan sami's mausam..

starting...sad sad...
i hope everyone got ok...
then how can this rescue guys can leave they should have try na till the last person is there
u know last year yaha bhi boht aise build collapse hui thi
& i still remember how fateful fact that was
i saw those on tv..
public me se bht sare log gaye the help karne
even mere ek cousin bhi gaya that uske ghar k pass hui thi isiliye..

feeling so bad for that little girl
& feeling so great for this doctor i think its armaan
lets see further...

see my guess is correct*silly grinπŸ˜ƒ*
then heroine ki entry
love the bond of muski & riddhima
then aruhi& armaan ki bond is so adorable

awww...aru missed armaan
So cute...
then riddhima meet aruhi...
So nice

then armaan-riddhima meet to good
phir dost bane aur shadi bhi ho gayi...yohooo
& the last wala confession
So sweet

u write to well
btw i read ur writing 1st time
& really its so good...
aise likhte raho...
tc
DMGThings thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
Dude!!!!
Ekdum amazing amazing tha! 
Aru is soo cute! Aur Armaan usko kitna zyada pyaar karta hai! Un dono ki relationship se toh itna achcha laga ki kya batau! 
And Ridz is so sweet! Befriending Aru and all.
Bohot hi achcha tha! 
Tu tension mat le.
Love ya!
gaurijw thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
too good yr 
aru is so cute 
and loved armaan and aru relationship
and ar to were super cute 
ur first attempt was too good
do post more 
nilusoni thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
ITS awesome loved it
armaan and aruhi is cute and lovely moments
ar together amazimg
thanx for pm
plz pm me for your other work
megbans thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
awsume OS humzzz
loved  it yaar...
Armaan is so sweet guy...
he adopted aaru...
aaww so sweet of him..

and Aaru hi is such a cute girl
always naughty n sweet πŸ˜Š
and Armaan n aaru's bond ia awsume...
loved it..

and Riddhima's entry...
and then the bond created b/w Riddhima 
n Aaruhi...
and then armaan n riddhima's marriege...
and the bond b/w Armaan Riddhima n Aaruhi..  πŸ˜› 

plzzz write more OS yaar...
loved ur OS 
its awsume...superb...
fabulous...
mind blowing πŸ˜ƒ

bye
tc :)

cyaa at WA  πŸ˜‰
tacker_karan thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Awww humera
such a cute os...I actually love reading OSes so I ws really happy seeing ur pm...
write more of dese...u r suprb
marhaba1 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Really nice story, written lovely. Enjoyed reading it. 
lashyyy thumbnail
Posted: 9 years ago
aww thats a simple ,sweet and a lovely os 😊
loved armaan nd aruhi bonding 😊
i really enjoyed reading it :-)