The Legendry Jagjit Singh - Page 3

Created

Last reply

Replies

33

Views

2797

Users

10

Likes

39

Frequent Posters

thambu thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 9 Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
this is my favrt ...

Ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo
Bhale chhin mujhse meri jawani
Magar mujhko lota de bachpan ka sawan
Woh kagaz ki kashti wo barish ka pani

BeautyFooL thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
Na umar ki seema ho.. na janmo ka ho bandhan
jab pyaar kare koi.. toh dekhe kewal man..
nayi reet chala kar tum.. meri preet amar kar do..
ban jao meet mere.. mera geet amar kar do..
gaurijw thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago

Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Kisi Ko Dekhna Ho Gar
To Pehle Aake Maang Le Meri Nazar Teri Nazar
Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Ye Ghar Bahut Haseen Hai
Ye Ghar Bahut Haseen Hai Ye Ghar Bahut Haseen Hai

Na Baadlon Ke Chhaon Mein Na Chandni Ke Gaaon Mein
Na Phool Jaise Raaste Bane Hain Iske Vaaste
Magar Ye Ghar Ajeeb Hai Zameen Ke Kareeb Hai
Ye Eent-Pattharon Ka Ghar Hamaari Hasraton Ka Ghar
Ye Tera Ghar...




thambu thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 9 Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
I love this ...

Tum ko dekha tho ye khayaal aaya
zindagi dhoop tum ghana saaya...
Amrita thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
Prem geet

Honthon se choo lo tum mera geet amar kardo
baan jao meet mere  meri preet amar kar do
Edited by .Amrita. - 9 years ago
Amrita thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
Pinjer

Haath chhute bhi toh rishte nahi chhoda karate 
 Waqt ki shaakh se lamhe nahi toda karate 
 Haath chhute bhi toh rishte nahi chhoda karate J

isaki aawaaz mein silwat ho nigaahon mein shikan 
 Aisi tasweer ke tukade nahi joda karate 

 Shehad jine ka mila karata hai thoda thoda 
 Jaanewaalon ke liye dil nahi thoda karate -

 Lagake saahil se jo behata hai, use behane do
 Aise dariyaan ka kabhi rukh nahi moda karate 

 Waqt ki shaakh se lamhe nahi toda karate
 Haath chhute bhi toh rishte nahi chhoda karate
Edited by .Amrita. - 9 years ago
Amrita thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
Veer zara
--


Dheere, dheere, dheere, dheere, aankhon mein chhaa rahe ho
Tum paas aa rahe ho 
Chupke, chupke, chupke, chupke, dil mein sama rahe ho
Tum paas aa rahe ho 
Dheere, dheere 
Chupke, chupke 

Jhukti huwi ye palkein, khulte huwe ye gesoo.
Ye sharm ki adaayein, woh shokhiyon ka jaadoo 
Kaise, kaise, kaise, kaise, sapne dikha rahe ho
Tum paas aa rahe ho 
Dheere, dheere 
Chupke, chupke 

Phoolon bhare, nazaare, ye khushbuwon ke dere.
Lagte hain, khwaab jaise, ye shaam ye savere 
Holle, holle, holle, holle, armaan jaga rahe ho
Tum paas aa rahe ho 
Chupke, chupke 
Amrita thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
Dhoop-

Benaam sa yeh dard
Thahar kyon nahi jaata
Jo beet gaya hai vo
Guzar kyon nahi jaata
Benaam sa yeh...

Sab kuch to hai kya dhoondti
Rahti hain nigaahein
Kya baat hai main
Waqt pe ghar kyoon nahi jaata
Jo beet gaya hai vo 
Guzar kyoon nahi jaata

Vo ek hi chahra to
Nahi saare jahan main
Jo door hai vo dil se
Utar kyon nahi jata
Jo beet gaya hai vo
Guzar kyoon nahi jata

Benaam sa yeh...

Main apni hi uljhi hui
Raahon ka tamasha
Jaate hai jidhar sab
Main udhar kyoon nahi jata
Jo beet gaya hai vo
Guzar kyoon nahi jata

Vo naam jo barson se
Na chehra hai na badan hai.
Vo khwab agar hai to
Bikhar kyoon nahi jata
Jo beet gaya hai vo
Guzar kyoon nahi jata
Benaam sa yeh...

Amrita thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
Khap
Tumse bichhad kar tumko bhulana
Tumse bichhad kar tumko bhulana
Mumkin hai aasaan nahi
Deewane dil ko samjhana
Mumkin hai aasaan nahi

Tumse bichhad kar tumko bhulana
Mumkin hai aasaan nahi

Sadiyon se raasaan hai jaari
Jurm hai duniya me dildari [x2 times]

Aisi duniya se takrana
Mumkin hai aasaan nahi

Tumse bichhad kar tumko bhulana
Mumkin hai aasaan nahi

Chahat par pabandi kyu hai
Duniya itni andhi kyu hai [x2 times]

Tumse bichhad kar tumko bhulana
Mumkin hai aasaan nahi

Kashti yunhi chalegi kab tak
Ulti Ganga behegi kab tak [x2 times]

Khoye huey ko phir se paana 
Mumkin hai aasaan nahi

Tumse bichhad kar tumko bhulana
Mumkin hai aasaan nahi

Tere mere beech ki doori 
Kyu dono ki hai majboori [x2 times]

Doori ki deewar girana
Mumkin hai aasaan nahi

Tumse bichhad kar tumko bhulana
Mumkin hai aasaan nahi

Deewane dil ko samjhana
Mumkin hai aasaan nahi

Tumse bichhad kar tumko bhulana
Mumkin hai aasaan nahi
Mumkin hai aasaan nahi
Mumkin hai aasaan nahi


.BSPS. thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Jagjit Singh can never be replaced!!

one of my many fav songs of his is..

Tum ye kaise juda ho gaye...har taraf har jaga ho gaye...