AnokhiKhwahish thumbnail
Posted: 12 years ago

my first os "dream dessert"

https://www.indiaforums.com/forum/topic/1721433


my ff "Main tum aur mohabbat"

https://www.indiaforums.com/forum/topic/1743237 

Edited by annokhi - 12 years ago

Created

Last reply

Replies

41

Views

4855

Users

16

Likes

50

Frequent Posters

AnokhiKhwahish thumbnail
Posted: 12 years ago

os "Abhay aur pia"


"Aunty! Aunty, Aunty, meri piyari Aunty, kahan hain aap?" Abhay ghar main enter hua, car park ki aur Haseena ko aawazen dene laga.
"Uff! Abhay! Ye tum 70s, 80s k filmi hero ki tarah mujhe kyun aawazen de rahe ho?" Haseena room se nikal k puchne lagin.
"Aap ko kya pata 70s 80s k hero ka?" Said Abhay.
"What? Mujhe nai pata hoga to kise pata hoga? Us waqt main jawan hua karti thi." Replied Haseena.
"Arey wah Aunty! Aap filmen b dekhti thin? Hmm." Asked Abhay.
"Ofcourse! Filmen dekhne k liye hi banti hain. Tumhare Chand uncle mujhe filmen dikhane le jate the." Answered Haseena.
"Us zamane main aap k kitne maze the. Aap sweet 16 main uncle k saath movies dekhne... How romantic." said Abhay.
"Choro! Tum ye batao k ghar main aate hi aunty aunty ka dhol kyun peet rahe the." Haseena ne muskura k baat badal di.
"Aunty! Aap k liye gift laya hun." Abhay muskurate hue bola.
Hareena ne gift khola to us main se face pack, scrub aur dusre cosmetic ka saman tha.
"Is ko laga k aap phir jawan hojayengi. Aapki jhuriyan b nai dikhengi." Abhay said with naughtness and run.
"Kambakhat! Mere saath mazak karta hai. Ruk abi batati hun tujhe." Haseena run behind him but fail to catch him.
"Kya karun aap se romance nai kar sakta isliye mazak se kaam chalana parhta hai." Abhay artifically disappointed.
"Be sharam! Abi tumhari haddi pasli ek karti hun." Haseena angrily said.
"Aap butcher b hain? Wow, part time job han... Lekin iski zarurat kya hai. I mean aapka business thek thak to chal raha hai." Abhay make fun of her.
"Tum baaz nai aaoge. Tumhe to tumhari biwi hi aake sudhare gi. Aisi larki dhundongi k line ki tarah seedhe hojaoge." Haseena warn him.
"Acha waise hi jaise aap ne Chand uncle ko seedha kar k rakha tha, line ki tarah." Abhay b apne naam ka ek hi tha, har baat ka jawab hai uske paas.
"Abhay!" Haseena sit on sofa and rest.
"Ji Aunty!" Abhay politely said.
"Kyun pareshan karte ho?" ask Haseena.
"Aapko nai karun to kise karun?" Abhay slowly sit near Haseena.
Door bell ring.
"Aap aaram karen main dekhta hun." said Abhay.
Abhay open door.
"Tum! Tum phir aagayen?" ask Abhay.
"Han! Just take a side." Abhay made way for her.
"Hello Aunty!" she said.
"Arey Pia! Aao, kaisi ho?" Haseena look fresh after saw Pia.
"Main achi hun. Aap kaisi hain?" she said.
"I'm good." Haseena smile.
"Kyun aayi ho?" Abhay ask.
"Tum se matlab? Main aunty se milne aayi hun." replied Pia.
"Roz milne aati ho, ek din nai aaogi kuch hojayega kya?" Abhay tease her.
"Abhay!" Haseena said.
"Aunty! Ye roz aap se milne kyun aati hai?" Abhay ask innocently.
Haseena quietly stand and move towards window.
"Fine! Main kal se nai aaungi." Pia angry on him.
"Mujhe dekhe bina tumhara din guzar jayega? Arey tumhara to khana b hazam nai hota mujhe dekhe bina." Abhay saw her with naughtness.
"Han! Guzar jayega." Pia quickely reply.
"O han wo proposal hai na, kya naam tha uska...mmm...yah Brijesh Oberoi.. uske khayalon main din guzar jayega. Waise for change tum us se shadi karlo. Main tumhari mami ji se keh dunga k tumhari shadi Brijesh Oberoi se kar hi den, thek hai?" Abhay ne Pia k mama k divorcy sir k proposal ka hawala diya.
(Pia k mama k sir ka apni wife se divorce horaha tha. Pia k parents ki death fire accident main hogayi thi aur wo apne mama k paas rehti thi jo Brijesh Oberoi k worker the. Ab Brijesh Oberoi Pia k mama se Pia ka haath maang rahe the. Agar Pia k mama ji inkaar karenge to jobless b honge aur jo lakhon ka qarz hai wo b double kardiya jayega.)
"Tum to ho mere pakke dushman." Pia ne ghusse se kaha to Abhay hansne laga.
Haseena enjoying both convo and cut oranges. Abhay like oranges that's why he brought any time.
"Han to phir kahun tumhari mami se Brijesh Oberoi k liye?" naughty smile crip on Abhay's lipr.
"Sir tor dungi tumhara." Pia ne taap k jawab diya.
"Tote sir wala dulha kaisa lagega? Tumhe hi embarrasement hogi." Abhay smile.
"Abhay!" Pia run to hit him but he left from door.
Pia quietly sit with Haseena.
"Don't worry Pia! Sab thek hojayega." Haseena give hope to her.
"Aunty! Agar mama ji ki job aur qary muaf karwane k liye mujhe mama ji k boss se shadi karni pari to main suicide karlungi." tears rolling in her eyes.
"Don't worry Pia! I'm there for you." Abhay in head.
Abhay enter with snacks.
"Brijesh Oberoi ki Mrs..." said Abhay.
"Abhay! Tumne phir uska naam liya to..." Pia cut sentence.
"To main us se shadi kar lungi. Hai naa." Abhay snapped.
"Aunty! Main ja rah hun." said Pia.
"Arey! Main tumhare liye snacks aur boondi k pakorey laya hun, khati to jao." said Abhay.
"Khud kha lo." replied Pia with anger.
"Tumhare bina maza nai aayega." Abhay focus on her face.
"O.k lao." Pia snatch snacks envelope and run outside.
"Arey nadidi! Sab legayi. Mere hisse ka khaogi to dard hoga. Dekha aunty." said Abhay.
Haseena smiles.

----------------------------------------------------------------------------------------------

Abhay Haseena Raichand ki sister ka beta hai. Abhay ki maa ko cancer hogaya tha jiski waja se Abhay ka baap Abhay aur uski maa ko chor k chala gaya. Abhay ki mother ki death k baad Haseena aur Chand Abhay ko apne ghar le aaye. Chand aur Haseena ki koi aulad nai thi isliye wo Abhay ko apni aulad ki tarah chahne lage aur Abhay b unhen bohat pyar karta hai aur unse bohat attach hai.

-----------------------------------------------------------------------------------

Pia is worried coz uske mama ji ne khud ko jobless hone se bachane k liye Brijesh Oberoi ka rishta accept kar liya tha. Abhay came.
Abhay: Mrs. Oberoi! Kis k khayalon main khoi hui hain?
Pia gave angry look.
Abhay: What?
Pia: Just get lost Abhay.
Abhay: O.k ja raha hun.
Abhay jane lagta hai k uski nazar rat poison pe parhti hai. Abhay picked.
Abhay: Ye kya hai?
Pia: Tum se matlab.
Abhay: Pia! Answer me.
Pia: Why? Why? Sab apne barey main soch rahe hain. Kisi ko mera khayal hi nai hai.
Abhay: Rat poison yahan kya kar raha hai Pia?
Pia: Khaungi...! Kha k marungi. Mil gaya jawab. Now leave.
Abhay poison ki bottle le kar chala jata hai. Pia zor zor se rone lagti hai.
Pia: Tumhen b mera khayal nai hai Abhay...

-------------------------------------------------------------------------------

Shadi k din qarib aate jate hain. Pia ka darr din ba din barhta jaraha hai. She was praying for herself. Abhay us din k baad se nai aaya aur Pia b us k ghar nai gayi.
Pia ko Mr. Oberoi ne shadi k din subha call kar k airport bulwaya. Wo jana nai chahti thi lekin majboor ho kar usey jana papa.

-------------------------------------------------------------------------

On Airport:

Pia reach at airport. Mr. Oberoi waiting. He came towards Pia.
Mr. Oberoi: Acha hua Pia tum yahan aagayi. Mujhe tum se zaroori baat karni hai.
Pia: Ji kahiye!
Pia panic for a while.
Mr. Oberoi: Pia! Main tumse shadi nai kar sakta. I'm sorry. Main apni wife ko divorce nai de raha.
Pia feel easy.
Pia: Thanx alot!
Mr. Oberoi: Thanx ki koi baat nai. Main ghalti pe tha lekin kisi ne mujhe ehsaas dilaya tab mujhe ehsaas hua k main kitni bari ghalti kar raha hun.
Pia: Matlab? Kis ne?
Mr. Oberoi told her.

Flashback:

Mr. Oberoi POV:
"Main office main baitha tha k ek larka bina ijazat andar ghuss aaya. Maine us se kaha k wo is taraha kisi k office main zabardasti kaise ghuss sakta hai? Us main manners nai hain?
He replied: Aap b to kisi ki zindagi main zabardasti ghuss rahe hain kya ye manners aur attiqates hain?
Mujhe ghussa aagaya. Maine usey bahar jane ko kaha usne inkaar kar diya.
He said: Sharam aani chahiye aapko. Apni beti ki umar ki larki se shadi karne ja rahe hain. Kya hasil hoga aapko?
I said: That's none of ur business.
He yelled: It is! It is. It is my business. You doing wrong.
I said: Get lost now! Main jo kar raha hun wo sahi hai ya ghalat ye tum mujhe na batao.
He said: Agar mere mama ji aapki beti se shadi karna chahen to aap kar denge?
I shout: Bakwas band karo.
He said: Why? Aapki beti k liye bakwas aur kisi dusre ki beti k liye perfect? Aap jaise business man ko business dealing hi suit karti hain relations dealing nai. Rishte nibhane k liye hote hain kharidne aur baichne k liye nai. Aap se shadi na karne k liye agar us larki ne suicide ki to aap zimedar honge. Aapki is shadi se aapki beti pe jo guzre gi us k responsible b aap honge. Us pe logon ki ungliyan uthengi, usey apne in laws se nazar milate hue sharam aayegi sirf aapki waja se. Apni khusi k liye aap us orat ko divorce de rahe hain jisne aap k liye kya nai kiya hoga. Aap ka ghar sanwara, aap k bache paley, aap k liye itne saal tiyag diye aur aap? Sharam nai aati aapko? Kisi k itne saal aap barbad kar rahe hain, ehsaas hai?
Main ek pal main apne aapko bohat chota mehsus karne laga.

Flashback Over.



Mr. Oberoi: Aur tab mujhe ehsaas hua k main apne liye kitne logon ko taklif pohncha raha hun. I'm sorry Pia.
Tears in Pia's eyes.
Pia: Koun tha wo?
Mr. Oberoi: Wo... (he pointing at Pia's back) Good bye. Have a bright future.
Mr. Oberoi leave. Pia turn. Abhay stand and tears rolling in his eyes.
Pia: Tum...
Abhay: Han main! Plz is bare main koi baat nai.
Abhay sit on his knee.
Abhay: Marry me? Pia plz marry me. Mujhse aur koi shadi karne k liye tayyar nai hoti. Tum karlo warna main kunwara mar jaunga.
Pia place hand on his lips and smile.
Pia: You know what! Mujhse b koi shadi nai karna chahta. Abi abi ek shakhs reject kar k gaya hai. Tumse shadi nai karungi to buddhi hone tak kunwari reh jaungi.
Both smile.
Pia: Pehle kyun nai kaha?
Abhay: Tumne b to nai kaha tha.
Pia: Main kaise kehti. Waise b larki zuban se nai aankhon se bolti hai.
Abhay (naughty): really!
Pia: abhay! Main naraz ho jaon gi.
Abhay: or main tumhen har bar manaon ga.
Pia: promise..?
Abhay: promise.
Both hand in hand, they leave airport area. Pia place her head on abhay's sholder and they wake toward their happy life waiting.

===========================================================

this is it.

i m not a good writer, but hope u guys like my os.😃

thank you.

Edited by annokhi - 12 years ago
Trouble. thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
                                                     --res--
                                               AWESOME OS
Edited by abhiya_pkyek - 12 years ago
Rmuk thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
Really nice os dear. I liked the story. U are a good writer.
Anj_01 thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 7
Posted: 12 years ago
awwe  it was really cute n sweet abhiya story.
sukusnavnit thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 12 years ago
beutiful os first part was full of abhays naughtiness and second part full of abhays love and care for piya. loved the story. 😛 by the way u gave a nice and new way of proposing 🤣
--Rose-- thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
Wow DI LOVELY OS:-) So cute...
FantasyFan_8 thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 6
Posted: 12 years ago
thts a really nice and cute OS ðŸ˜†
bellaaa thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
wow thts really gud yar
like this os...
somethg different in os
lovely
-Sonia- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 12 years ago

Awesome OS
BEAUTIFUL ... Loved it