noddiye thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago

Yeh Pyaar Na Hoga Kam


Sardiyoon ke mausam ki hai ek baat
Bin baadal jab huyi thi barsaat
Tehzeebo ke sehar lucknow mein aayi
Ek khoobsurat pari leke pyar ki saugaat

Tha ek shehzaada Abeer babu tha uska naam
Apne ghar ke chat pe farma raha tha aaram
Hawayein chali baadal barse, jab nikli pari apne gharse

Aayi woh chat par ud gaye hosh
Bas dehkte rahe Abeer unko hi har soz
Khilkhilati huyi, muskurati hui , aayi who leher
Bikher di roshni , chamak gaya lucknow sehar

Abeer babu ko ho gaya unse pyar
Par brahmin ka ladka aur kayasth ki ladki ke naam par
Leher aage badne se kar rahi thi inkaar


Unke pyaar ke bich aaye kaye dhurandhar
Ghar mein daadi aur chacha toh college mein peche pade lafange Bandar
Bandar ka naam tha Omi aur ban gayi lehar ji unki dil ki matter
Par Abeer babu prove huye har mamle mein unse behetter

Kalibadi ke hadse ne kiya lehar ko majbur
Apne abeer ko kuch ho na jaye is khayal mein hogayi chur chur
Bhagti bhagti pohochi apne Abeer ko dhundne
Milte hi kiya pyar ka izhaar
Dhul mitti mein bhi cha gayi bahar hi bahar

Paas hokar bhi milne mein aayi badi mushkile
Bahar milne ki koshisho ne bhi karwadeye kai hadse

Apnaya omi ne helpwa karne ka dhong
Seedhe sadhe abeer samajh na paye unke irade hai wrong
Jab aankh khuli toh ho chuki thi izzat nilam
Ghar wale dono ke ho chuke the muhaale mein badnaam

Lehar ne apne papa se kahi apne pyar ki sachhai
Papa pyare ne socha jake de aaye padosiyoo ko badhai
Sabko chauka ke Abeer ke papa ne kiya rishte ka sweekar
Unki maa ho gayi haka bakka machaya ha ha kar


Phir bhi shuru ho gayi sagai ki tayari
Saj dhaj gayi pyari Lehar hamari
Par nek na the TN ke irade
Bhari mehfil mein tod diye saare wade
Karaya apmaan buri tarah se Mathuro ka
Nahi raha sthiti ko sambhalna Abeer ke bas ka

Apmaan na sehen huya chod diya ghar
Chacha ne tai ki Lehar ki shaadi idhar
Khush hua kapti dulha Omi naam ka
Cha gaya mausam matam hi matam ka

Leher na kuch kar payi
Kar diya khud ko kismet ke hawale
Par haar na mani Abeer ne
Nikal pada raste par apne saare dosto ko bullaye

Banaliya plan karne chale Lehar ko apna
Pan Lehar thi duvidha mein tod na paayi babul ka sapna
Kiya Abeer ne aisa jaadu, Lehar hogayi tayyar karne shaadi

Shaadi huyi par apnapan na mila
Ghar hote huye bhi dhundna pada dusra aasra
Is ke charche huye sare mohalle mein
Mathur simat gaye sharam ke jharoke mein

Vajpayee ke yaahan aaye TN ki behna
Abher ko wapas layiye yeh tha unka kehna
Nayi saazish ke janam lete laut aaye Abher ghar
Dadi-Bua ne than li karegi Lehar suffer

Kai paitare aazmaye kai chal khele
Par Leher thi chalak usne sare hadse jhele
Tha Abeer ka saath har kadam par
Amma ka ashirwad unke sar

Par Abeer ke man mein shak ne ghar kar liya
Nikkame Alok ne aur kahar kiya
Thi uski leher par buri nazar
Rakh diya lehar ne bhi ek tamacha gaal pe khich kar

Par dushman kayi the in masoom pyar karne walo ke
Kuch had tak ulaj gaye done haiwano ki jaalo mein
Omi miyan aaye wapas pichla sabak bhul gaye the shayad
Mathur khandaan samjhte the unko bade layak

Papa ki tabiyet bigadti gayi taane pade subah shaam
Paise na operation ko toh sirf Omi hi aaya kaam
Shart rakhi ke kare shaadi unse bittan
Tabhi bachenge papa, kuch na kar payi guddan


Shadi ko rokne ki Leher ne badi koshish
Par badi hi ghinoni thi kisi ki saazish
Karaya kidnap ho gayi gayab leher
Dhundta raha Abeer baarish mein raat bhar

Papa jante huye sach rok na paye shaadi ko
Kul hasta raha anjaan apni hi barbaadi ko
Badi mushkile di Omi ne bittan ko
Maksat tha takleef poheche Guddan ko

Leher aayi wapas par yaad na tha kuch bhi
Abeer tha pareshan dekhke uski chuppi
Tarah tarah ke ilzaam lagaye gaye
Par is baar Abeer ne thani ki koi dukh leher ko na chuye

Alok ki asliyat jab khuli tab padi use khup maar
Police ke dar se maan li apni haar
Nikal gaye ghar se apni patni aur maa ko lekar
Par hairan the Abher asli gunegaar ke bare mein sochkar

Omi ne jalana chaha Bittan ko taki paa sake guddan ko
Khud hi phas gaya aag ke rele mein
Bachaya use bittan ke ache khele ne

Omi sudhar gaya khush huye Abher
Par ab tak asli gunhegaar tha anjaan
Apne hi ghar mein mila who shaitaan

Apne pita ki sachhai jankar huye dono dang
Amman ne bhi ki apni patni tapasya bhag
Than ke apne Leher ka hath Abeer babu nikal pade
Amma bhi aayi sath Hairan reh gaye bade

Yeh anth nahi hai dosto, yeh hai nayi shuruaat
Aayenge phir apne Abher leke sunheri saugaat
Aur unke jaise hum bhi kahenge janam janam
Yeh Pyar Na Hoga Kam!!!!




Edited by noddiye - 13 years ago

Created

Last reply

Replies

18

Views

1956

Users

15

Likes

64

Frequent Posters

--Ratna-- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
NEHA πŸ€—....thank you ...that was wonderful....you covered the whole eight months story in the poem......so many memories came to mind..really missing the show and AbHer.πŸ˜•...i am always amazed by all the talented members we have in this forum....what creativity and imaginationπŸ‘......i  really appreciate your efforts 😊

           Edited by PerfectYaRav - 13 years ago
ssroomani thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 5
Posted: 13 years ago
Neha.........that is one great poem!  You fitted in the whole 8 months of the show in that many lines.............and reading it the whole story unfolded again in my mind.............great job!  πŸ‘πŸ‘πŸ‘
daddys_girl thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 13 years ago
awww, neha...that was such a sweet poem, πŸ€—
 
it was the whole 8 months, so many lovely memories...😍
 
really awesome poem...loved it, πŸ€—
ASHVIKrocks1 thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 13 years ago

awesome poem....hope gaurav and yami watch dis poem....!

Raconteuse thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 13 years ago

NehaπŸ€— How Sweet !😳

You Summarized The Eight Months So Beautifully !😍

Brilliant Poem !❀️ Loved It !πŸ˜ƒπŸ€—

Veer_FFM thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 13 years ago
this is one awesome poem, neha  πŸ‘ really, very well written. i even read till the end. it's very creative and detailed, yet light and humorous and very eloquent. liked it a lot and please continue!! 😊
gaurisgaurav thumbnail
Posted: 13 years ago
awesum poem..what a beautiful way to summarize the last 8 months..loved it
Thinker_Belle thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 13 years ago
Wow Neha, Awesome poem!! You covered all 8 months so well!!
hinz thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 9
Posted: 13 years ago

wow Neha
wonder how I missed it before

this is just so cool
u covered all 8 months so well
loved Omi's matter mention
and the first para was just so dreamy

and the last was the best
thanks so much !