matlab tu jaldi update nahi karegi ja ab baat hi nahi karni tujhse bye😡😭
YRKKH SM updates, BTS and Spoilers Thread #124
ONE CHANCE GIVEN 2.8
CID Episode 65 - 2 August
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 03 August 2025 EDT
Saiyaara Male lead is overrated!!!
ONE MONTH TIME 3.8
🎉 Book Talk Forum July 2025 Reading Challenge Winners👏
A joke called National award
CID Episode 66 - 3rd August
Asli Gunehgar
Maira’s classes
Anupamaa 03 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
The mockery of National Awards
Theme for September
Who will win best new face female of 2025?
Member topic: What do you do on weekends?
Are you interested to watch War 2 in cinemas?10 days to go!
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 04 Aug 2025 EDT
matlab tu jaldi update nahi karegi ja ab baat hi nahi karni tujhse bye😡😭
Dusri taraf Mumbai me Jab riya ko pta chalta hai k rathore aur aisha sath me' sare din to wo kuch nhi kehti pr jab arjun use ghar chodne jaata hai..arjun drive kr rha hai riya co driver seat pr baithi hai
Raste me
Arjun : Pareshan lg rhi ho???????
Riya : lg nhi rahi hu..main pareshan hu'aur mere face pr na ekdum sahi expression aata hai
Arjun : pr pareshan kyun ho??????
Riya : wo Bhai aur aisha sath me hai naa''. Agar dono k bich kuch gadbad ho gyi to???????
Arjun : kaisi gadbad???????
Riya : arre last time jb dono akele ghar aaye the Kran mehra ki party se..tab se dono k bich duriya badh gyi thi'.. ab fir dono sath me hai'to tension wali baat to hai naa????????
Arjun : zaruri nhi'jaisa pichli baar hua ho waisa hi ab ho'..aur wo dono ko bacche nhi hai'..tum bekar ki chinta kr rhi ho'.
Riya : apko nhi krni to mat karo'mujhe chinta krne do'ek to dono me se kisi ka number bhi nhi lg rha'kam se kam ek baar phone krke bta to dete sab thik hai'waise bhi dono hoshiyarpur gye hai'.wo jagah jahaan aisha ka past hai'.aisha kuch kahe na kahe'pr past always hurts'(riya arjun ki taraf dekhti hai'..arjun ko roshni ki yaad aati hai'pr wo iss baar apne emotions pr control kr leta hai..aur chup chap driving krta hai'.riya realized k usse aisa nhi bolna chahiye tha)
Riya : Mera aapko hurt krne ka koi maksad nhi tha''
Arjun : janta hu'.. ab iski adat ho chuki hai mujhe'.. it's ok'. Waise baat to sahi hai'hoshiyarpur me kuch bhi ho skta hai..balki ye accha hai rathore aisha k sath hai'.. agar kuch bhi aisa hota hai to rathore aisha ko sambhal to bhi lega' aur syad unke bich ki misunderstanding solve ho jaye
Riya : mujhe naa apki planning ploting bilkul samjh me nhi aati..kal jab tak aap aur main aisha aur bhai ko sath rakhne ki koshish kr rhe the to wo sath aa nhi rhe the' aur jb humne socha k dono ko dur rakha jaaye taki wo ek dusre ko miss kre'to dono sath me hai'.aur aap ho k aapko fark hi nhi padta'.matlab apko zara tension nhi hai k agar humara plan fail ho gya to?????
Arjun : relax ye tumhare boards k exam nhi hai k fail ho jaogi'to parents marenge'agar ye plan fail ho gya to dusra bana lenge..aur waise bhi rathore aur aisha ko sath rakhne ka plan hamara nhi hai'ye natural bana hai..to dekhte hai k akhir zindagi unse kya chahti hai'apne chote se dimag pr itna dimag pr zor mat dalo'.(riya kuch bolne ko hoti hai..uss se pehle hi arjun continue) jaanta hu'tum RAW agent reh chuki ho'.
(riya arjun ko look deti hai..k uske hisse ka dialogue bhi wahi bol gya hai')
Riya though : inka sach me kuch nhi ho skta'
(Arjun riya ko ghar chodta hai')
NEXT MORNING IN HOSHIYARPUR
(raat me kab light aayi aur dono ki aankh kab lag gyi ye dono me se kisi ko kuch pta nhi hai'.rathore ki aankh khulti hai..wo khud ko aisha k sath zameen pr baitha pata hai..aisha uska kandhe ka sahra lekar abhi bhi so rhi hai'.)
Rathore though : '.jitna socha tha uss se kahi zyda darr lgta hai aisha ko andeere se'.. accha hai main sath tha' atleast aisha mere sath safe feel to krti hai.. ye aisha k liye accha hai aur mere liye bura'.. main jitna iske kareeb hota hu'mere liye apni feeling control krna utna hi muskil hota jata hai'..
(Rathore aisha ki taraf dekhta hai..uske forehead pr kiss krta hai'Aisha ko uthata hai)
Rathore : aisha utho'subah ho chuki hai'
(aisha apni aankhen kholti hai'khud ko rathore k pass dekhti hai' wo ekdum se uthti hai'.use samjh nhi aa rha kya kare aur kya kahe'..)
Aisha : main taiyar hoti hu court jaana hai'.(aisha jaane lgti hai'..)
Rathore : aisha '''(aisha ekdum se ruk jati hai..)
Rathore : aisha''.. Hum dono k pass whqt ki koi kami nhi hai...Mujhe intzaar rahega'..aur behtar rahenga k hum log apas me naa sahi pr kam se kam apne aap se jhut naa bole'kyunki jhut se sirf takleef hi hoti hai''
(Aisha kuch reply kre uss se pehle rathore room se nikal jaata hai'.Aisha ko pta hai rathore ka matlab kya hai'dono time se pehle court pahuchte hai'jis lawyer ne unhone baat ki thi'')
Lawyer : sir main to assistant hu'.wo mam bahar gyi thi to kal sari details maine aapko samjhai thi'case to mam hi ladengi'
Aisha aur rathore ek dusre ko dekhte hai'
Lawyer : Mam aa gyi'..(dono ussi direction me dekhte hai'..use dekhte hi rathore k face me ek badi si smile aa jati hai jo ye batati hai k rathore use pehle se jaanta hai'. Wo lawyer ki mam aa kr khadi hoti hai')
Lawyer : ji ye meri mam hai..
Rathore : Sakshi Anand''''
Sakshi : memory to badi acchi hai'.ACP Sameer Rathore (dono ek dusre ko hug krte hai')
Rathore : to tum ye case dekh rhi ho'.
Sakshi : haan..ab vakeel hu to case to ladna padega'.
Rathore : lad bhi pati ho'.ya fir apni smile se hi kam chala leti ho''
Sakshi : waise koshish to rehti hai smile se kam chal jaye..pr jab nhi chalta to ladna bhi aata hai'.
(Dono k baat krne k tarike se pta chal rha hai..k dono ek dusre ko acche se jaante hai' Aisha ko kafi ajeeb sa lagta hai'.usne rathore ko pehle kabhi aise nhi dekha tha')
Assistant to Sakshi : Mam case ka time ho gya hai'..
Rathore to Sakshi : sakshi ye hai'.
Sakshi : Aisha'. Don't worry case hum hi jeetenge'(aisha haan me sar hilati hai'.)
Sakshi to Rathore : waise to main hi case jitungi..pr mujhe badle me kuch chahiye'.
Rathore : tumhe kya chahiye..case jeeto ya naa'tumhe jo chahiye mil jayega..after all itna to banta hai tumhara haq'..
Sakshi : ab chale'..
(Sabhi court room ki taraf jaate hai'.case already kafi strong hai'aur sakshi ka jeetna bhi tay hi tha aur sakshi case jeet bhi jati hai'.Pr Mahesh jaate whqt aisha se..)
Mahesh : tumhe to humne barbaad kr hi dia tha'accha rehta jaan se bhi maar dete''to aaj mujhe jail nhi dekhni padti'..sab tumhari aur sirf tumhari galti hai'.(aisha Mahesh ki taraf dekhti bhi nhi hai'pr Mahesh ki baatein sun kr Rathore ko kafi gussa aa jata hai'.rathore apna gussa control nhi kr pata'aur Mahesh ko uske coller se pakad kr zameen se lagbhag utha kr uski aankhon me aankhen daal kr bolta hai'.)
Rathore with so much anger : jaan se maroge usse''..tumhari itna sochne ki himmat bhi kaise huyi'' tumhare ye sochne se pehle tumhe main khud goli maar dunga'aur iss baar koi kanoon mujhe nhi rok payega'..(aisha ye dekh kr kafi pareshan ho jaati hai'use pta hai rathore itne gusse me hai k wo kuch bhi kr skta hai..aisha rathore ko Mahesh se alag krne ki koshish krti ahi..)
Aisha : chodiye usse''..use apne kiye ki sazaa mil chuki hai'aur uske bolne se mujhe kuch nhi hone wala hai'.chod dijiye usse'kyun usse maar kr apne hath gaande kr rhe hai Sameer'''chod dijiye use''.
(this is the 1st time jab aisha ne rathore ko sir kehne ki jgah sameer keh kr bulaya hai'.rathore aisha k kehne pr Mahesh ko chod deta hai'.Police custody wale Mahesh ko le jaate hai'.Aisha rathore ko chair pr bithati hai)
Aisha to Rathore : Aap theek hai???? (rathore aisha ki taraf question bhari nazaro se dekhta hai..)
Rathore : hummm'tum theek ho????? Tumhare liye ye kafi muskil tha jaanta hu'.aur maine isse aur muskil bana dia''
(sakshi ye sab dekh aur sun rhi hai')
Sakshi though : Sameer rathore itne gusse me''. Kamal hai..gussa to pehle bhi tha'.pr itna gussa''Jo sameer rathore kabhi kisi girl ko bhav nhi deta tha' aaj wo ek apne staff ki girl k liye itna concern'kuch to chutt rha hai'. Ab itna haq to tera banta hai Sakshi Anand k thode se maze Sameer Rathore k bhi liye jaaye'.chal'. mazaa aayega'.
TO BE CONT'''..
new morning, new day. what does the new day bring us. what will the morning be like after the storm that rages in my heart all night. What is...
Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...
Hey guys, This is the place where you can request for comment migration. Please know that FFEs are going to migrate your comments. Rules - You...
From the author's desk : Welcome to thread 6! I started to write this story years ago when the show was live and now when I look back on what...
[NOCOPY] Hello readers! I am Aditi, I have been writing stories here but this is my first short story on RiKara. Alike, you all have been...
98