HUMARI ADHORI KAHANI:
First of all thanks for all to such a great feedback, An another Mystery Which disclose in this part I hope you like this because my SS is near to going end, The upcoming part may be the last , I hope you enjoy this and please leave comments if you like this:
Next day afternoon.
Location: At Zayan School.
Riya is standing outside the school waiting for Zayan, her eyes searches her son here and there. Finally she succedd to search his son.
Riya calling Her son's Name: Zay.
Zayan: Mama.
Riya bent down her kness and hugs her son.
Zayan: mama aap yahan.
Riya: kaisa laga aapko meri surprise .
Zayan: buhat aacha.
Riya: mere betay ka aaj kiya mood hai khanay ka.
Zayan: mama mujhe pizza khana hai.
Riya: theek hai aaj aap ki Mama aapko apnay hathoo say pizza bana k khilay gi.
She picks him up .
Zayan sees some persons. Zayan takes off from her and run towards that person
Zayan: uncle.
Riya turns her head to see that person, she freez at this place, she feels that Grounds skips under her legs, she is totally shocked to see that person infront of her, she turns her face .
Arjun: wait Ms. Priya Khanna, ohh I am sorry Ms. Riya Mukherjee, kahan ja rhen hai aap.
Riya holds Zayan's hand : CHalo zayan humain dyar ho rahe hai.
Arjun:: zayan kahin nahi jaey ga Riya.
Riya: please aap mujhe aur Zayan ko akela chor dyan.
Zayan: Mama..
Arjun: kaisi ho Riya? He says sofly.
Riya: aab tak toh theek thi , jee rahi thi ab ka pata nahi
Arjun: Say clamly: mei zayan ko laynay aaya hun.
Riya: please aap mujh say mere zayan ko dour nahi kejiay mei mar jaungi.
Arjun: mera kiya Riya, tum janti bhi ho mei nay ye 4 saal kaisay katen hain zayan k bina, agar tum ye sich rahi ho k mei nay tumhain maaf kar diya hai toh ye mahaz tumhara bahram hai, mei apnay betay ko apnay sath lay k hi jaunga. ( He says with a low tune, he doesnot want to shout on her)
Riya: theek hai lay jaen, kiya haq hai mera us par kuch bhi toh nahi magar ha ye baat aachi tarha jaan lyn mei zayan k bina ab ek paal nahi reh sakti mei.
Arjun: bhool jao beeti batein, bhool jao apnay betay ko, aaj mei tumhain maaf karta hun sirf islai k mujhe mera beta wapis mila hai , aaj k din mei saray shikway dour karata hun ,bus mujhe mere zayan k sath jeenay do, agar tumahin hamary sath chalna hai toh tum chal sakti ho.
Riya: nahi mei kahin nahi jaun gi.
Arjun: Riya zid nahi karo mei tumhain aur zayan ko sath lay k hi jaunga.
Riya: mei kahin nahi jaugi.
Arjun: theek hai tumhain mere sath nahi chalna toh na sahi par zayan mere sath jaey ga.
Location: At Riya's home.
Arjun and riya sitting on a coutch, they looking at the zayan . They both stares each other and turns their head towards Zayan.
Arjun: kuch bolo Riya, chup kyun ho.
Riya: ab bolnay k liay bacha hi kiya hai.
Arjun: RIya ab mei zayan k bina nahi reh sakta please usay mere sath janay do.
Riya: mei usay khud say dour nahi kar sakti .
Arjun: mera kiya Hai Riya.
Riya: kiya karun , zayan hum dono ki hi zarorat hai, na mei usay k bina sans lay sakti hun, na hi aap us k bina reh saktay hain.
Arjun: tum mere sath chalo na Riya.
Riya: nahi mei khud ko wahen Dehli mei chor aai hun, ab meri pehchan mera zayan hi hai, mere jeenay ka maqsad mera Zayan hi hai.
Arjun: koi shak nahi tum ek aachi maa ho magar tum usay apnay pitta say dour nahi rakh sakti.
Riya: par hum sath bhi toh nahi chal saktay
Arjun: zayan mera beta hai mera khoon hai , mei usay kaisay tumhain sounp sakta hun.
Riya: ha wo mera lagta hi kiya hai zayan aapka beta hai, sorry I am really sorry k mei nay aap say aap k beta ko dour kiya.
Arjun: Mera wo matlab nahi hai Riya, Tum hi uski maa ho.
Flashback:
4 years back.
" Sameer aaj mei nahi aaunga, zayan ko buhat teez bukhar hai"
Sameer: ok
Arjun feels some footstep in his room, he turns his head to see that person who enters in his room. She is Riya, Riya Mukherjee the research specialist in ETF.
Riya:aap yahan par file parhnay mei masroof hai, aapko zayan ka zara bhi khayal nahi hai, kitna shaded bukhar hai isay magar aapko zayan ki zara bhi fikar nahi hai"
" Arjun: isliay tum say kaha hai Zayan ka khyal rakho, waisay bhi mujhay aaj buhat kam hai, agar tum chaho toh aaj ki off lay sakti ho.
Riya holds his 4 months bady in her arms.
Riya: aap office ja saktay hai, don't worry mei zayan ka khyal rakhun gi, mei nay apna sara kam complete kar liya hai"
Arjun: theek hai tum yahe raho, zayan ka khayal rakho, jab tak mei na kahun kahin nahi jana.
Riya: Don't worry mei zayan ko chor k kahin nahi jaungi.
Arjun: ok bye, He kisses his Son , who is Still in Riya's lap.
Riya: ek minute rukean.
Arjun: ha bolo.
Riya: zayan ki medicine li aap nay, iska checkup karwaya.
Arjun: nahi.
Riya: you are soo careless, ek bachay ka dhayan nahi rak saktay.
Arjun: please tum manage kar lo na, jab zayan tumharay sath hota hai toh mujhe kisi baat ki koi tesion nahi hoti, mei sakoon say case par dhayan day sakta hun.
Riya: mujhe zayan k sath jo khushi milti hai, wo mei aap ko bayan nahi kar sakti.
Arjun: ab jaun mei.
Riya: ha."
Flashback ends.
Present:
Arjun: mei waqai ek careless father hun na.
Riya: nahi aap biklul careless nahi hai, selfish toh mei hun.
Arjun: nahi Riya tum selfish nahi ho.
Flashback:
In ETF.
Shree: riya mujhe day na zayan ko.
Riya: nahi zayan mere pass kitna khush hai, tu isay rula day ga.
Shree: nahi Riyu please.
Riya: dekho please isay zayda tang nahi karna.
Shree: theek hai baba, day toh.
She handed Zayan to shree, but 4 months old Zayan starts crying.
Shree: ye lay isay tu hi sambhal , ye tujhay kitni aachi tarha pehchanay laga hai na"
Riya: ha shree zayan nay apni maa ko pehchan liya hai.
Arjun is silently watching shree, zayan and Riya.
Sameer: Zayan kitna khush hai na Riya k sath , kuch hi dino mei Riya say itna attach ho gaya hai, In dono ko dekh k koi nahi kahey ga k Riya Zayan ki maa nahi hai, Riya zayan k liay wo karti hai, jaisa koi maa apnay aulad k liay karti hai, Zayan ko khyal rakhna us k sehat ka dhayan rakhna uski care karna,us k khanay peenay , us k kapray sab Riya hi manage karti hai, lagta hai bhagwan nay zayan ko uski maa phir say lota di hai"
Arjun: ha bus mere liay mere Zayan ki khushi hi zayda eham hai,, us say barh k mere liay aur kuch nahi hai Sameer,ayan mere pass meri Roshni ki wahid jeeti jagti nishani hai, mujhe samjh nahi aata tha mei is ki parwarish kaisay karun ga, magar Riya nay meri sare problem solve kar dyn"
Shree and Riya still fighting regarding Zay an.
Riya: Shree bachoo ko aaisay nahi laytay.
Shree: tu mujhe mat sekha.
Riya: shree mujhe mera zayan wapis kar.
Shree: nahi ruk na mei nay abhi toh isay liya hai."
After a long fight they both sits on the chair and zayan is sleeping peacefully in his cot:
Shree: thak gaya Riya, tu zayan ko kaisay sambhal leti hai.
Riya: zayan k liay kuch bhi karnay mei mujhe khushi milti hai.
Shree: Tu Zayan say kitni close hai na Ri..
Riya: ha Shree zayan jab say meri zindagi mei aaya hai sab kuch badal gaya hai wo mere jeenay ki wajah banta ja raha hai, us say mei khud ko ek paal k liay bhi dour nahi rakh sakti"
Flashback ends:
Present:
Arjun: kitna pyar karti thin a tum Zayan say ek pal bhi us say dour nahi reh sakti thi, par mei nay kiya kiya Riya tumharay pyar ka mazak banaya, sab meri ghalti thi.
Riya: nahi ghalti merit hi jo mei Zayan apnay sath lay aai.
Flashback:
Riya: " Sir lagta hai aapki neend pori nahi hui.
Arjun: ha Riya, wo zayan ki tabiyat kuch nahi nahi thi isliay us nay mujhe sari raat jagaya hai.
Riya: aap kuch dyar so jaen mei zayan ka khayal rakhun gi.
Arjun: ya I need Rest.
Riya: ok you take rest bye.
She turns off the light when she left the room of Arjun.
At evening.
Riya: Arjun sir.
Arjun: ha bolo RIya.
Riya: Sir mei kuch din zayan ko apnay sath rakh lun, aapki neend bhi poori ho jaey gi aur meri raat bhi sakoon say guzar jaey gi.
Arjun: Riya Zayan raat ko satata hai, sonay nahi deta aur tum sakoon ki baat kar rahi ho.
Riya: Sir aab toh Zayan ki aaisi aadat ho gai hai k meri raat zayan k bina nahi guzarti.
Arjun: theek hai tum isay lay ja sakti ho"
Flashback Ends.
Arjun: Riya tum nay mujhe meri neend toh lota di thi magar na janay kyun mera sakoon lay gait hi.
Riya: wo raat meri zindagi ki sab say pursakoon raat thi, us raat k baat aaj tak koi raat aaisi nahi guzari k mei sakoon say soo pai hun, dil par ek bojh sa hai k mei nay jo kiya wo ghalat kiya.
Falshback:
Arjun enters in Riya Home , When he enters in her bedroom he is totally shocked by seeing his picture on Riya's bedroom walls. He brust out on Riya.
Arjun: what the hell is this Riya?
Riya: Nothing Sir.
Arjun: kiya tum mujhe is baat ka jawad do gi k meri tasweer yahan kiya kar rahi hai.
Riya: Sir wo actually.
Arjun: koi bahana nahi Riya, mei sach sunnaa chahta hun, I need to know the truth, the whole truth.
Riya: mei aap ko nahi bata sakti.
Arjun: No excuse Riya, mujhe batao meri picture tumharay room mei kiya kar rahen hai.
Riya: Please Sir.
Arjun: Shaid tum nay sahi say sunaa nahi ( He shouts) mujhe sach sunna hai.
Riya: theek hai sunaen " I love You", aaj say nahi buhat pehlay say mei aapko chahti hun, Roshni ki aap k zindagi mei aanay say pehlay, magar kabhi keh nahi paai, kyun k mei janti thi k aapki zindagi mei Roshni ki jagha koi nahi lay sakta isliay'
Arjun: isliay tum nay zayan ko mujh tak pohchnay ka zarya banaya, isliay tum nay mere betay ka istemal mujhe panay k liay kiya, isliay tum nay zayan ki care kit a ka mei tumhain aapna lun, par ye tumhari ghalta fehmi hai Riya, mei nay mujhe khud par munhasir kar diya , Par afsos Riya tum zayyan ka sahara lay k bhi mujh tak nahi pohnch paoo ge, please meri aur zayan ki zindagi say chali jao, chali jao hamesha k liay mere betay par mei tumhara saya nahi parnay dunga, I Hate You"
Riya: mei aap k bina toh jee sakti hun, magar zayan k bina ek paal bhi jee nahi paun gi,
Arjun takes Zayan from her and ruches his car and drive away , Riya is running after him " Please ap zayan ko mujh say dour nahi Karen mei nahi jee paungi zayan k bina, wo mere jeenay ki wajha hai Please aap mujh say mer sansein nahi cheen saktay, mujh say mera zayan nhai cheen saktay" but all her voice is useless because he doesn't want to hear any thing .
Flashback Ends:
Arjun: Riya mei us raat buhat roya tha, kyun k mei Roshni say pyar karta tha, us k ilawa kisi k baray mei soch bhi nahi sakta tha.
Riya: janti thi, par mei bhi apni mamta k aagay majboor thi, phir mei nay wo rasta chunna jis nay hum sab ki zindagi tabha kar di, mei aap ko btaey bina zayan ko aap k ghar say lay aai aur sirf ek note chor diya, mei nay apni mamta ki khatir ek gunaah toh kar liya tha magar iska pachtawa har paal hota tha, ye soch soch k mei har paal ek mout marti thi, mei nay shehar , naam , ghar , apni pehchan sab badal dala sirf isliay k kahin aap mujhe dhond k mujh say mere zayan ko na cheen lyn, mei nay us paal apni khush chahi thi mei suwarti ho kar zayan ko aap say dour kiya, ye bhi nahi socha k aapka kiya hoga, buhat bar platnay ki koshish ki magar aap ki narazgi ka soch k himmat nahi ki, aur ye bhi dart ha k mujh say mera beta na cheen jaey.
Arjun: Riya mei any bhi jo kiya thaw o ghalat tha, mujhe tum say is tarha baat nhai karni chaheay thi, Meri aana mujhe lay doobi mei nay apni aana mei apnay betay ko judai k bhent chehrah diya, mujhe saza mili mere betay ki judai ki sorat mei, par aabb meri saza poori hui hai, aaaj mera zayan mere sath hai.
Riya: Lay jaen aap zayan ko ye aaki hi toh aamanat hai, ab aapki saza khatam aur meri saza shru hui hai.
503