Hello lovely people...m back wid a new update...thnks a lot 4 ur lovely comments n lyks..I really hope u lyk dis update as well...EnJoy..Extremely sorry 4 da delay..
VirMan...Tum Ho Mera Pyaar...Part 22...
~Recap~
She turned of the light and laid beside him. She looked at her Husband, who's back was facing her, disappointingly.
Maanvi: (to herself) Dur sone ke liye thodi na paas bulaya tha...akhir ho kya gaya hai isse, kahin woh party wali baat se toh naraaz nahi hai? Ab kaise bataun tumhe main Viraat, ki main tumse pyaar karne lagi hun. Nahi, pyaar karne nahi lagi hun, (blushingly) pyaar karti hun...be intehaan pyaar karti hun.
*********************************************************************************************************
Viraat opened his eyes as the alarm went off, he rubbed his eye with one hand, while the other was wrapped around something, or should I say someone. He looked down and saw Maanvi, sleeping peacefully, with a lovely smile. She was hugging him tightly in her sleep, her hand around his stomach, while his was around her slim waist. Viraat smiled looking at his Wife's cute baby face, so close to him. He leaned close to her and kissed on her forehead. Maanvi's smile widen even more, she opened her eyes and found her Husband, looking at her lovingly, with a cute smile.
Maanvi: (smiles) Good Morning Viraat.
Viraat came back to his sense and looked away from her. Maanvi's smile faded as she saw Viraat getting up, after sliding his hand away from her body.
Maanvi: (sitting up on the bed/looking at his direction) Viraat..?
Viraat took out his cloths from his wardrobe and walked into the bathroom, without even looking at her once.
Maanvi: (pouts) Itni mushkil se kareeb aaya tha woh tere Mannu, tujhe Good Morning bolna zaruri tha kya? Dekh ab chala gaya na, fir naraaz ho kar. (after a pause) Magar yeh naraaz hai toh hai kyun? Maine toh kuch kiya bhi nahi hai. Pyaar toh usse bhi hai mujhse, toh fir kyun mujhse dur bhaag raha hai yeh Chep?
She laid back on the bed, while cuddling onto a pillow, with a smile.
Maanvi: (pouts cutely) Kaise bataun tumhe ki mujhe bhi tumse pyaar ho gaya hai. Aur yeh pyaar aaj se nahi hua, yeh toh hamesha se tha, (smiles) par iska ehsaas mujhe do din pehle hi hua...jab tum Di aur Jiju ke saath baat kar rahe the...jab tumne unse kaha tha ki tumhe mujhse pyaar hai..
~Flashback...VirIka's Room~
Viren and Viraat were sitting on the bed talking, when Jeevika walked in the room.
Viren: Jeevika, Maanvi kahan hai?
Jeevika: (smiles) Woh apne kamre mein hogi Viren ji.
Viraat: (worried a little) Bhabhi uski tabiyaat toh..I mean...
Jeevika: (smiles) Haan Viraat, Mannu bilkul thik hai ab.
Viraat smiled at Jeevika and turned back to face Viren.
Jeevika: (serious tone) Viraat, mujhe ek baat sach sach bataoge?
Viraat: Haan Bhabhi pucho na.
Maanvi, who was looking for Jeevika, came towards VirIka's room and stopped as she heard Jeevika's question for Viraat.
Jeevika: Tumne Maanvi se shadi kyun ki?
Viraat: (shocked/little confused) Bhabhi, aap aisa sawal..
Jeevika: Mujhe sach janana hai Viraat, please.
Viren: (looking at Viraat and then at Jeevika) Jeevika, tum aisa kyun puch rahi ho?
Maanvi was eagerly waiting for Viraat's answer, and for what reason...She didn't understand.
Jeevika: Mujhe pata hai ki Mannu ne yeh shadi is liye nahi ki kyun ki woh tumse pyaar karti thi, usne yeh shadi kisi aur wajha se ki hai. Mujhe woh wajha jaanana hai Viraat, please mujhe batao, tumne Maanvi se shadi kyun ki yeh jante huye bhi ki usse cancer hai. Kyun?
Viren and Viraat exchanged glance, while Maanvi and Jeevika were impatiently waiting for his answer.
Viraat: Kyun Ki...kyun ki main Maanvi se...Main Maanvi ko khud se dur nahi dekh sakhta...Kyun ki main, main usse pyaar karta hun.
Maanvi's heart skipped millions of beats at his answer, she was actually smiling at his answer...the reason was still unknown.
Viraat: Usne mujhse shadi is liye nahi ki kyun ki woh bhi mujhse pyaar karti hai, usne yeh shadi aapke liye ki thi.
Jeevika: (confused) Mere Liye?
Viraat: Bhabhi, (looking down) maine usse blackmail kiya tha, ki agar woh mujhse shadi nahi karegi toh main aapko uski bemari ke baare mein...(looking at jeevika) Par yakeen maaniye Bhabhi, maine yeh sab sirf aur sirf Maanvi ki bhaliye ke liye kiya tha. Main janta hun ki usse mujhse pyaar nahi hai, par main...main usse bahut pyaar karta hun. Maine pyaar ka matlab ussi se sikha hai, jabse pyaar ko mehsus kiya hai, sirf Maanvi ko apne saath, apne paas paya hai. Main usse khud se dur, akele tadapte huye nahi dekh sakta tha, isiliye maine usse shadi ki. Mera yakeen kijiye Bhabhi.
Maanvi had tears in her eyes, his each and every word touched her heart, now she started understanding what the reason was...
Jeevika: (smiles with teary eyes) Yakeen kiya Viraat...main tum par aankhein band kar ke bhi yakeen kar sakhti hun. Meri Mannu ko tumse acha, tumse zyada pyaar karne wala Pati kahin bhi nahi mil sakhta hai. Aur mujhe iss baat ka yakeen tab huya, jab tumne meri Mannu ko maut ke muh se ladh kar laya tha. Usse ek nayi zindagi di hai tumne, tumhare pyaar ke aage Bhagwaan bhi kamzor padh gaye. Jo kaam main nahi kar payi, woh tumne kar dikhaya tha Viraat.
Maanvi was smiling widely, with tears rolling down her cheeks. Jeevika's words made her realize, how much Viraat loves her. She didn't knew that she was nearly dead, and Viraat brought her back to life. Her heart filled with love, only for her Husband.
Viren: (smiles) Log sach kehte hai, Pyaar mein itni taqaat hoti hai ki woh maut ko bhi hara deta hai.
Viraat: Bhai, main yeh toh nahi janta ki mere pyaar mein kitni taqaat hai. Par itna zarur janta hun ki main Maanvi ko khud se bhi zyada chahta hun, agar usse kuch ho jaata toh main bilkul bhi jee nahi paata.
Maanvi turned around and starts walking towards their(VirMan's) room, while smiling through her tears. Once she reached their room, she sat on the bed and was lost in her thoughts.
Maanvi: Yeh sab...Viraat ne jo bhi kaha, mujhe itna acha kyun lag raha hai? Yeh jaan kar, ki woh mujhse pyaar karta hai, mujhe itni khushi kyun ho rahi hai? Kya mujhe bhi usse pyaar...?
She blushed all red at her own question.
Maanvi: (pouts) Mujhe usse pyaar kaise ho sakhta hai, ho sakta hai mujhe usski baat achi lagi ho isiliye yeh mujhe aisa feel ho raha hai...(after a long pause) Agar mujhe usse pyaar nahi hai, toh fir kyun? Kyun jab woh mere paas aata hai toh mujhe ek ajeeb si feeling hoti hai. Kyun jab usse kisi aur ladki ke itne kareeb dekhti hun toh mujhe jalan hoti hai? Kyun uska mujhe pasand karne na karne se itna farak padhta hai? Kyun, kyun main hamesha uske paas rehna chahti hun, (smiles/blushes) uske saath rehna chahti hun? Kyun jab woh mujhse baat nahi karta (pouts) toh main bahut udaas ho jaati hun? Akhir kyun? Kyun itna farak padta hai mujhe uske hone na hone se. KYUN? Yeh pyaar nahi toh aur kya hai.
She placed her hand on her chest and closed her eyes. The only image that came in front of her eyes, was Viraat's. A cute smile crept over her lips and she opened her eyes...
Maanvi: Yeh pyaar hi hai...Mujhe pyaar ho gaya hai...main Viraat se pyaar karne lagi hun...mujhe usse pyaar ho gaya hai.
**********************************************************************************************************
~Present~
Maanvi came back from her flashbacks, as Viraat came out of the bathroom. He walked towards the dresser without looking at Maanvi, who was just looking at him, poutingly. After getting ready, Viraat left the room, while Maanvi went to freshen up sadly.
**********************************************************************************************************
~VirMan's Room~
Maanvi entered their room and saw Viraat, surfing internet with his laptop, while resting on the bed.
Maanvi: (to herself/looking at Viraat) Chep Vadhera, aaj toh tumhe batana hi padega ki akhir tum mujhse itna gussa kyun ho?
She sighed and walked towards their bed. Viraat looked up at her for a while, then went back on his previous work.
Maanvi: (low voice) Viraat?
Viraat: (without looking at her) Hm..
Maanvi: Mujhe tumse kuch baat karni hai.
Viraat: (gaze fixed on his laptop) Kaho main sun raha hun.
Maanvi: (pouts) Tum nahi sun rahe ho mujhe pata hai.
Viraat: (annoyedly/gaze still fixed on the laptop) Kya hai Maanvi?
Maanvi: (cutely) Tum mujhse naraaz ho?
Viraat stopped typing and looked up at her.
Viraat: (annoyedly) Nahi...(after a pause) Puch liya, ab main apna kaam kar sakhta hun?
Maanvi: (confused/sadly) Viraat tum aise behave kyun kar rahe ho? Akhir maine aisa kiya kya hai?
Viraat: (looking back at his laptop) Kuch nahi kiya hai tumne Maanvi, ab please mujhe disturb mat karo.
Viraat looked up at Maanvi angerily as she closed his laptop .
Viraat: (stands up angrily) Maanvi...?
Maanvi: (teary eyes) Viraat main tumse baat kar rahi hun? Agar maine kuch nahi kiya hai toh tum aise behave kyun kar rahe ho? Kyun mujhse baat nahi karte? Kyun mujhse dur bhaagte ho? Why Viraat?
Viraat: (turns his back towards her) Maanvi please, mujhe mera kaam karne do, tum jao yahan se?
Maanvi: Viraat kahin tum uss baat se toh nahi naraaz ho na jo uss raat hua tha, mere aur Tanya ke beech mein?
Viraat: (sternly) Mujhe uss baare mein koi baat nahi karni hai Maanvi, tum jao yahan se.
Maanvi: (angerily/shouting at him) Kyun Jaun Main? Kyun Jaun? Shadi ke baad yeh mera bhi kamra hai, aur is kamre par mera bhi utna hi haq banta hai jitna ki tumhara.
Viraat: (turns to face him) Chalo, tumhe itna toh yaad hai ki humari shadi ke baad tumhara mere kamre par utna hi haq banta hai jitna ki mera. Kash tum yeh bhi samjh paati ki shadi ke baad Pati aur Patni ka ek dusre ki zindagi par bhi utna hi haq banta hai.
Maanvi looked at Viraat questioningly, his words actually confused her, where as Viraat looked away with tear filled eyes.
Maanvi: Viraat tum kehna kya chahte ho? Zindagi? Haq?
Viraat: Rehne do, tumhe waise bhi samjh nahi aayegi meri koi bhi baat.
Viraat turned to walk away, when Maanvi came in front of him.
Maanvi: (eyes filled with tears) Viraat? Aaj tumhe mujhe batana hi padega ki akhir maine aisa kiya kya hai jiski wajha se tum itna naraaz ho? Maine aisa kiya kya hai?
Viraat was trying to control his tears, his anger, but he couldn't.
Viraat: (shouting at the top of his lungs/tears rolling down) TUM MUJHE CHODH KAR CHALI GAYI THI MAANVI. Akele, beech raha mein. Tumne yeh bhi nahi socha ki tumhare jaane ke baad mera kya hota? Main kya karta? Tumhari Di kaise jeeti tumhare bagair? Main kaise reh paata tumhare bina?
Maanvi: (teary eyes) Viraat...?
Viraat: (crying) Tumne apna vada tod diya tha Maanvi, tum mujhe bilkul akela chodh kar chali gayi thi.
Viraat, while crying sat on the floor, looking up at Maanvi, who was just looking at him with tears rolling down her cheeks. She could feel all his pain, his love in his words, for her.
Viraat: (crying while looking up at Maanvi) Tum nahi janti uss waqt mujhe kaisa lag raha tha...main pagal ho gaya tha tumhe waise dekh kar, khud se itna dur...tum mere samne thi, mere paas thi, par mujhse itni dur khadi thi. Main kitna dar gaya tha...main, main tut gaya tha...(holding his head in his hands/eyes closed)
Maanvi sat in front of him and cupped his face in her palm, making him looked up at her.
Viraat: (looking at her with tear filled eyes) Aise kyun chali gayi thi tum? Kyun nahi socha mere baare mein? Kya main tumhare liye koi maayene(importance) nahi rakhta? Kya humari shadi tumhare liye sirf ek samjhauta(compromise) tha?
Maanvi: Nahi Viraat...yeh shadi mere liye utne hi maayene rakhte hai jitna tumhare liye. Tum mere liye kya maayene rakhte ho yeh toh main ab jaa kar samjhi hun. (tears continuously streaming down) Main tumhe kabhi bhi chodh kar jaane ke baare mein soch bhi nahi sakhti thi Viraat, aur na hi soch sakhti hun. Par shayad Bhagwaan ji ko yahi karna tha, mujhe yeh samjhane ke liye ki tum mere liye kya ho. Tumse dur jaa kar maine samjha hai ki tumse bichad kar main kabhi jee nahi sakhti. Aur agar aaj main yahan sahi salamat khadi hun toh woh sirf tumhari aur Di ki wajha se. Main tum dono ko chodh kar, jaane ke baare mein soch bhi nahi sakhti.
Viraat: (looking down/away from her) Chali toh gayi thi na hume chodh kar..
Maanvi: (held his face in between her palm and made him look at her) Wapas bhi toh tumhare aur Di ke liye ho aayi hun na.
Viraat: (looking at her eyes) Ab toh mujhe chodh kar nahi jaogi?
Maanvi: (smiles) Tum chaho ge bhi na, toh bhi nahi jaungi...
Viraat: (smiles) Don't worry main do saal tak aisa kuch nahi chahunga.
Maanvi: (pouts) Sirf do saal kyun?
Viraat: Arey sab ki priorities badalti rehti hai, meri bhi badal jaye gi. Shayad do saal bhi na lage, ek saal, ya kuch mehne mein change ho sakhte hai.
Maanvi: Haw..kuch mehne...Chep kahin ke. (pointing finger at him) Mujhe chodh kar uss make ki dukaan Tanya ke paas jaane ka iraada hai kya? Waise yaad hai mujhe, uss defend kar rahe the na, woh bhi mujh par chilla kar, aag barsa rahe the mujh par toh. Aur uss Chipkali ko kuch bhi nahi kaha, Kyun?
Viraat: Main usse defend nahi kar raha tha samjhi, maine uss din jo bhi kaha woh sirf aur sirf tumhare liye tha. Tanya mere liye maayene nahi rakhti jitna ki tum rakhti ho. Uss din main tum par iss liye gussa nahi tha ki tumne Tanya ko thapad mara, main iss liye gussa tha kyun ki pecchle kafi dino se tum bahut weak thi, tumhari halat bahut nazuk thi. Aur tum chali Jhansi Ki Rani bann kar us par war declare karne. Aur mujhe jis baat ka dar tha wahi hua. (frowns) Tumhari tabiyaat...
Maanvi noticed the pain in Viraat's eyes again so immediately cuts him off.
Maanvi: Tumne kaha aur maine maan liya, wah. Tumhe main pagal dikhti hun, mujhe pata hai tum uss Chudail Tanya ki hi side le rahe the, (faking anger) Chep kahin ke.
Viraat: (smirks) Tum itni jal kyun rahi ho Tanya se, arey woh becchari toh...
Maanvi: (stands up) Becchari my foot. (angerily) Besharam hai woh, kisi aur ke Pati par apna haq jata rahi thi. Ek nahi mujhe toh hazaar thappad lagana chahiye the uss Chudail ko.
Viraat: Tenu ki farak painda hai..(what difference does that makes to you)?
Maanvi: Oye, kyun nahi padega, main Patni hun tumhari.
Viraat: (looking at her) Pyaar toh nahi karti na mujhse...
Maanvi's heart skipped a beat, she stood there, looking into Viraat's eyes, who was standing there with a smirk.
Viraat: Tumhe koi farak nahi padhna chahiye.
Viraat turned around to leave, when Maanvi held his wrist, preventing him from leaving.
Maanvi: Par mujhe padhta hai...Jante ho kyun?
Viraat: (turns around) Kyun?
Maanvi: Kyun ki...Kyun ki hai mujhe...pyaar...tumse...
Viraat was shocked, he was just looking at her with widden eyes,
Maanvi: I...Love...You...Viraat!!!!
Lame? I dn't mind u calling dis update lame, cuz I knw it is...again stopping at a vry wrong place, but wat 2 do..sorry...will continue soon pakka...sorry 4 da late update again...Thnk u, tc, Luv Aarti...sorry 4 ne mistakes..