Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 20 Aug 2025 EDT
IMMORAL CRINGE 20.8
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 19 Aug 2025 EDT
DAHII HANDI 19.8
Did i heard right ???????
So the roles are officially switched…
Savage Katrina!!
Out Now - Official Preview - The Ba***ds Of Bollywood
Anupamaa 20 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Aishwarya Rai Bachchan in a new advertisement for #Loreal
How beautiful Katrina used to be.
Which movie will you watch 29th August release?
Why is this show so PG? S1 was more 15 Rated or nowadays A.
First episode of Ittisikhushi
21 years of Fida
Book talk reading challenge September 2025 ~ Sign up open!
EK DUJE KE VAASTE ------------- anuraya fan -------------------------
Veer Hanuman Banner Contest Results
Part 2:
"Ho tohra saajan aayo tore desh
Badli badra badla saavan
Badla jag ne bhes re
Tohra saajan ayo tore desh (from the song Bahaara- I hate love stories)
Devi Mayaan, yeh gaana baar baar humare kaan main goonj raha hai! Ab aap hi kuch kar sakti hain...Humain to kuch samajh nahin aa raha...Kya soch kar aye they aur kya ho gaya. (Arnav pays more attention for a reference of Shyam) Aap ko tou pata hai k hum us Laad Governor ko yahaan kyun laaye they. Un ki himat kaisey hui humain low-class kehney ki! (Really? tum mujhey 'Laad Governor' keh sakti ho aur main kuch nahin!) Acha hai ab pashtaaiye! Kyun ki iss low-class se zabardasti shaadi? (Main kab chahta tha k tum sey yun shaadi ho) Jo jo woh humarey saath kartey rahey hain, us ka poora badla lena ka iraada tha humara, aakhir hum Khushi Kumari Gupta...Singh Raizada hain jo kabhi kisi ka udhaar nahin rakhti! (remembers the kiss she gave him in front of his family and smiles)
Lekin yaheen to garbar ho gayi, Devi Mayaan! Hum ne Arnav Jee ko bohut tang kiya pichley dino...saara udhar sood samait chukaya! (Really, khushi?) Lekin...lekin pata nahin kyun humain kuch ajeeb sa lag raha hai! Hum unhey jitna bhi tang karain ab unhey koi farq nahin parta...jaisey unhey humaari aadat par gayi ho! (True that, khushi) Koi soch sakta tha k Laad Governor, Arnav Singh Raizaada macharon ki toli k beech, humare awaaz kartey palang par soyengey?! Nahin na! (he chuckles) Lekin yeh chamatkaar hua..woh soye...eik raat nahin saari raatain...jiski har subah humaara haath ya pair un k oopar hota (a smile came on his lips..what a pleasant, peaceful feeling it was when he saw her sleeping so close to him) lekin pehli dafa k baad unhon ney kuch nahin jataaya, aur naa hi mana kya, kyun? Kya unhey bhi humari tarah...lekin yeh to ho hi nahin sakta! (What did she mean..mujhey bhi is ski tarah..kya?)
Hum ney unhey akhaade main chinoti di, jis main se woh Salmaan Khan Jee sey bhi zyaada dabang ban kar nikley..pehley kam dashing hain ab aur kitna zulm karaingey? (did she just call me dashing?) Hum ne unhey jaan booj kar sab k saamney nehlaya (knew it) eik nahin do dafa...taakey un ki saari akar dhul kar nikal jaaey..lekin hua kya...unhon ne thoda sa ghussa kya aur chal diye...matlab Shaantivan main to baat baat par humara haath pakad kar chillate they...aankhon se aag k sholey lapaktey they (are you missing my anger...you want me to pull your hand and bring you closer to myself, what do you want Khushi)...lekin yahan tou ,woh thore dair baad bhool bhi gaye...jaisey Arnav Singh Raizaada ko bura hi na laga ho lekin kyun? Aur phir humain bhi tou un par pani phainkney main maza aa raha tha...Aj mausam hai suhaana, arnav jee ko nehlana ka hai bahaana, la la la la la la! yeh kya ho raha hai Devi Maiyaan? Hum tou unhey gussa dilaana chahtey hain taakey woh humain iss zabardasti ki shaadi se azaad karain, lekin yahan to hum khud hi mazaa leney bhet gaye!!! (he remembers her innocent face deep in sleep next to him, her trying hard not to laugh when the neighbourhood aunties asked him all sorts of questions, spraying water on him from the pipe...full of life...like there is no bad side to her at all).
Abhi tou aur bohut kuch rehta hai bataaney k liye...lekin kuch hai jo humsey aur bardaasht nahin hota! Kitna chupaaya khud se, bhoolney ki koshish bhi ki...dekh kar undekha bhi kiya lekin ab kaisey...aur kab tak? (is she missing that bloody Shyam or what?)Jab woh humaarey itney paas atey hain, humain palk jhapkaaye bina dekhtey hain, tou hum kaisey maane k woh hum se nafrat kartey hain?(Shyam nafrat to nahin karta) Hum jo un k baarey main sochtey hain woh alag baat hai..lekin un ki aankhain kuch kehti hain aur karwi zubaan kuch aur! Itney dino main yahaan humain inhey dekh kar shaadi se pehley waley Arnav Jee yaad aagaye.(What the..she means me..kab se meri baat kar rahi hai and re-reads the previous lines)..un ka humain pakar kar sambhaalna, humarey liye chooriyaan khareedna, humare liye fikarmand hona, gaal par woh...woh karna...aur diwali pey jo hua...sab eik eik kar k yaad aa raha hai...(is that the truth..usey mera saath guzra waqt yaad ata hai?) Kya koi insaan itna badal sakta hai, Devi Mayaan? humain to yaqeen ho chala tha k woh humain JiJi ki shaadi par kuch kahengey lekin Shyam.."
The door sprang open; Khushi enters the room holding a tray of 2 cups of tea and samosas talking to Lakshmi behind her. Arnav hastily puts the diary behind his pillow, every nerve of his body praying that Khushi did not see him holding her diary.
"Acha hua aap uth gaye! Hum chaye k saath samose laaye hain aur Lakshmi Jee bhi! Aap aaney k baad in se miley hi nahin!" says Khushi putting the tray on the table and sitting on the bed.
" Umm..hi Lakshmi!," he mumbles confused and embarrassed at reading someone else's diary without their permission.
"Kya hua, aap k mun par 12 kyun baj rahey hain? Fikar mat kijiye, hum ney samoso main kuch nahin milaya..aap nischint ho kar khaa saktey hain!"
Arnav takes a sigh of relief...not caught as yet...but how will he be able to read the rest of the diary...about himself, about that saajan in the song and about Shyam...
"Aaj Mausam hai suhaana, chai samosey khaane ka bahaana...La La La La La!
"Aaah Khushi!! This song of yours...oh wait!" An idea struck, "Saajan kya hota hai, khushi?"
Khushi chokes on her samosa...
One of my entries for Love-O-Rama Pyaar Ka Trope Fest Storyline: Enemies to Lovers Setting: Crime Character/Pairing: Arnav Khushi from IPPKND...
Graphic Credits: itsShonali This is one of my entries for the Love-O-Rama #1: Pyar ka Trope-fest Trope: Set A: Best Friend’s Sibling Set B:...
10