Hello friends.. Hopee you all aree finee, I'm s sorry for late uptd.. Hope you aree enjoying your lyf.. Thnk a lot for you loveely compliments n for liking the previous part n for reading n fr ur love&support n for everything.. Lovee ya <3
Part25 (Love is on the way)
* Next Day *
In Ludhiana (Heer's home)
Heer uthti hai aur kaafi dinon baad usse aise laghta hai ke usne chain ki neend soyi hai aur barson baad ek khubsuraat subhe ayee hai, Heer apni ankhein baand karti hai aur apne dil mein kehti hai
Heer: aaj ki subha dekhne se pehle main Prem ka chehra dekhna chahti houn ke yeh din acha ghusre, (to God) meri ankhein khulte hi aisa kuch ki jiye ki mera Prem meri ankhon ke samne ho
Dheere se room ka darwasa khulta hai to Prem andher ata hai, dheere se Prem jaa kar Heer ke paas baith tha hai, Heer Prem ka hona mehsoos karte huwe ankhein kholti hai. Dono ek pal ke liye ek dosre ki ankhon mein kho jate hain
Heer leete huwe hi Prem ka haath pakkar leti hai aur usse jhumti hai to Prem muskurah kar usse puchta hai: Kiya huwa? aaj bada pyar aa raha hai..
Heer sharmaate huwe kehti hai: Prem! tumhe patta hai aaj meine ek dua mangi thi woh puri ho gayee aur waise tumse pyar karne ke liye mujhe koi wajah nahi chahiye
Prem: arre Heer!! tum itna ghussa kyon kar rahi ho? maine to aise hi puch liya aur hum dono ko ek dosre se pyar karne ke liye kabhi bhi koi wajah nahi chahiye
Heer Prem ke seene se lagh jati hai... Dono ke hothon par muskuraat hoti hai, kuch hi dher baad dono piche hote hain
Heer: aaj Maan Geet ki mehndi hai, tum aa rahe ho na?
Prem: unnki mehndi pehle ho chuki hai to phir se kyon?
Heer: unke yahan koi rasm hai, pehli daffa ladki ke ghar ki mehndi laghti hai aur usske baad ladke ke ghar ki mehndi laghti hai
Prem: Ohh achaa!! agar tum chal rahi ho to main bhi chal raha houn!
Heer: aur agar main na chaloun to tum jaoge kiya?
Prem muskurahte huwe Heer ka haath pakkarta hai: nahi jaoun ga, mere liye tum se zyada zaroori kuch nahi hai
Heer sharmate huwe apni nazrein niche kar leti hai, Prem ko sharmati huwi Heer bohot pyari laghti hai, Prem ke chehre par ek badi si smile aa jati hai
~ ~ ~
In Shimla (Cottage)
Arjun aur Arohi nashta kar rahe hote hain aur saath mein koi aurat bhi hoti hai jisska woh cottage hota hai
Arohi: Thank you unty.. apne hame yahan rokhne diya aur aab nashta bhi diya!
Unty: oh baas jee baas!! mainee to sirf tum logon ki madat ki hai.. jaldi se nashta kar ke kabre badal lena warna bimaar par jao ge
Arjun: aab to bahar barish bhi rukh gayee hai aur raste bhi khul gaye honge to hamhe jana chahiye
Unty: hamaree gaoun mein jab koi ata hai na to hum usse aise kaali haath nahi jane dete aur waise aaj hamare yaahan ek shaadi hai to tum dono bhi shamil hona
Arjun barbarate huwe kehta hai: kal se shaadi jaise hi musiibaat mein hi phasse huwe hai
Arohi Arjun ke paas baithi hoti hai to usse awaaz aa jati hai to woh usse baasu marti hai... To woh unty puchti hai: tu ne kuch kaha?
Arjun fake smile karte huwe kehta hai: nahii jee maine kuch nahi kaha..
Arohi: sir... yeh itna force kar rahin hai to thik hai na rukh jate hain..
Unty: yehh kuri hi tez hai mundee tujhse... waise kuriye tu isse sir sir kyon bhula rahi hai, rab ne itne jageh naam diye hain to unne istimaal karna chahiye, kyon pootar?
Arjun: jee bilcool! Arohi jaisa unty keh rahin hai waisa karo!!
Arohi: thik hai Arjun..
Unty: tum dono jaldi se change karlo! main bahir intezaar kar rahi houn
Dono change kar ke bahir aate hain
* * *
Thnks for reading..
Please hit the like button..
Waiting for ur lovely compliment..
Thanks.. Lotz of lovee <3
~Amira~
Edited by Amira10 - 14 years ago