After mayur reach home mayank says what happened to gunjan because she is his best friend.
G-tumhein aisa nahin karna tha itni si baat ke liye haat utane ki kya zaroorat thi tum jaante ho na nupur kitni naazook hain har choti si baat ko dil pe leti hain
M-jaanta hun pareshaani main maine aise kaise kiya pata nahin chala
G-phir bhi mayank tumne bahut badi galti ki hain nupur ne kuch kahaan toh nahin
M-woh mujhe bhi uski tarah samaj rahi hain
G-sahi samja
M-gunjan tum bhi
G-nahin toh kya mayank tumne kaam hi aisa kiya
M-kahaana maine jaanbuz kar nahin kiya anjaane main hua tha badi mushkil se woh mujhe apna samaj rahi thi ab ek baat ne saare kiye karaye par paani pher diya tumhein nahin pata main kaisa feel kar raha hun I am hating myself yeh guiltiness pata nahin kaise jayegi
(she puts hand on his shoulder)
G-mayank its ok
(he hugs her and starts crying)
G-mayank shant ho jao rone se kuch nahin hoga tum agar aise rone lagoge toh nupur ka kya hoga she needs you aur mujhe pata hain mere dost se jyada usse koi pyar nahin kar sakta galti kabhi kabhi ho jaati hain aise rone se kuch nahin hoga apni galti ko sudaro
(he felt little bit comfortable after he shared is pain with his best friend)
Gunjan went to some hotel to meet a client she finds her old friend pooja
Pooja-hi yaar tu yahaan wat a suprise
G-office ke kaam se aayi thi tu bata tu kahaan thi itne din koi phone bhi nahin kiya
(just den pooja's cell rings she talks and cuts)
P-my fianc next month marriage hain
G-wat ab bata rahi hain agar nahin milti toh kabhi batati hi nahin college main tu meri best friend thi mujhe tujhse yeh umeed nahin thi
P-sorry yaar kuch family problems ki wajah se itne din tujhe contact nahin kar paayi acha woh sab chod aur yeh bata hamara gang kaisa hain
G-mayank ki shaadhi ho gayi
P-wat kisse dia se
G-nahin yaar meri choti behen nupur se
P-yeh choti behen kahaan se tapki
G-bahut badi story hain kabhi fursat main bataongi
P- baaki sab kaise hain
G-di right now career ke baare main soch rahi hain aur apne Mr.right ka wait kar rahi hain benji ka bhi wohi haal hain
P-aur sam
G-pooch mat uske baare main abhi tak waisa hi hain roz ek ladki ke saath gumna aur late night ghar aana gada kahin ka use kisike feelings ki parvah hi nahin hain uncle aunty kya sochenge , uske bhai kya sochenge yeh sab ki use chinta hi nahin hain
P-gunjan shant ho ja tujhse sam ke baare main poohna meri hi galti hain
G-tu kya kar sakti hain woh hain hi aisa I hate him
P-really mujhe nahin lagta
G-tujhe mere chehre par gussa nahin dikhai de raha
P- haan woh gussa jab kisika boyfriend use chod kar kisi aur ko dekhta hain
G-tu kehna kya chahti hain
P-i think you love sam
G-kya tu paagal ho gayi hain tu mujhe nahin jaanti main use hate karti hun
P-main tujhe jaanti hun isiliye keh rahi hunt u hi bata jab benji kisi aur ko dekhta hain tujhe koi problem nahin hain , tune mayank ke liye bhi girlfriend doondna chahti thi par jab sam kisi ladki ke saath hota hain tujhe gussa aata hain
G-kyunki woh ek ladki ke saath nahin dus ladkiyon ke saath rehta hain
P-toh tujhe kya problem hain jab uske family use kuch nahin keh rahi tu kyun uske peeche padi hain tu jab dekho sam kya karta hain yeh kyun dekhti rehti hain uski apni life hain tu usmein involve kyun ho rahi hain tu chahe mujhse jooth bol sabse bol par apne dil ko bata kisach kya hain tu agar is baarein main sochegi toh acha rahega warna baad main bahut pachtayegi gunjan tu meri sabse achi dost hain main teri balai chahti hun please apne gusse ki wajah se apne pyar ko mat chod ok mujhe late ho raha hain main jaa rahi hun bye apna khayal rakhna bye
G-bye
After office mayank reaches home and gives nupur a surprise
M-yeh lo tumhare liye
N-yeh kya hain
M-khol ke dekho
(she opens and finds a cell)
N-phone mere liye
M-haan tumhein phone pe baat karna pasand hain na isliye ye lo tum jab chahe hum main se kisi se bhi baat kar sakte ho
N-par tum kabhi mujhse baat nahin karte ho hamesha yehi kehte ho kaam hain
M-nahin kahoonga aur agar mujhe kaam hain toh gunjan se baat karna ya phir sam kisina kisise baat kar sakte ho
N-thanks
M-thanks tum aur English zaroor kuch gadbad hain
N-benji ne bataya ki agar koi humein kuch deta hain toh thanks kehte hain
M-par mujhe thanks kehne ki zaroorat nahin hain
N-kyun
M-kyun ka kya matlab tum mujhe thanks nahin kahogi
N-acha teek hain
M-bahar chale
N-kahaan
M-chalo mere saath batata hun
(he takes her in the car)
(she is again lost in her thoughts)
M-nupur tum driving seekogi
(she doesn't reply he moves hands infront of her)
M-kahaan kho gayi
N-woh main sab dekh rahi thi kyun kya hua
M-main pooch raha tha ki tum driving seekhogi
N-driving mujhe nahin aata
M-main seekaonga
N-mujhe bahut darr lagta hain
M-darr kis baat ki main hoon na tumhare saath
(he makes her sit in driving seat and explains her how to drive)
(she was shivering he catches her hand and helps her)
(when he feels her comfortable he leaves her hand and she hits the car to a tree)
N-maine jaanbuz kar nahin kiya woh
M-tum itna kyun darr rahi ho pehli baar aise hi hota hain maine bhi aise hi kiya tha
N-tumne bhi(she starts laughing)
(he beats on her head)
M-ab hasna band karo aur driving pe concentrate karo
Gunjan is thinking about pooja
Gunjans conscience-pooja paagal ho gayi hain main sam se kaise pyar kar sakti hun I hate him par yeh baat maine pooja se kyun nahin kahaan main uski baat sun kyun rahi thi. Kahi main sach main
gunjan tu paagal ho gayi hain tu aur sam se pyar impossible par pooja jooth kyun kahegi kahin usne mujhe aur sam ko close toh nahin dekha par hum close the kab hamesha ladte rehte hain par main sam se ladti kyun hun yeh uski life hain main uske life main interfere kyun karti hun jab bhi use kisi ladki ke saath dekhti hun muje itna gussa kyun aata hain
just then sam comes there
S-Gunjan mujhe woh project ki file milegi
(she is still thinking something he shouts in her ears)
G-tumne chillayan kyun
S-mujhe lagaa tum behri ho gayi ho isiliye test kar raha tha
G-tumhein toh main
(both start fighting with pillows suddenly he falls over her on bed she feels somewhat awkward)
(he gets up she is still on bed looking at him)
(he is breathing heavily)
S-mujh main abhi ladne ka patience nahin hain woh file dedo ladai baad main
(she realizes what happened she goes and gets file)
(he takes it and leaves)
(gunjan beats her head)
Tujhe ho kya gaya hain aisa kyun behave kar rahi hain tu sam ke baare main aisa soch bhi kaise sakti hain tu use hate karti hain and that's all yeh sab sochna band kar aur soja
She tries to sleep she gets that pillow incident she wakes up and drinks water
She goes to window and starts thinking about their past she gets a smile on her face
Gunjan and sam used to fight from childhood but if anyone else says her something he used to not leave them and always he used to give everyone a reason that gunjan and dia are his parents responsibility that's why he need to take care of them. Gunjan also gets mad at him when she finds him with other girl. There relation was different not normal one they don't know why they fight but they love that fighting it brings some kind of happiness to them
Sam comes there
S-yeh lo tumhara file
G-thanks
(just then he gets a call )
Girl-hi sweet heart kya kar rahi ho
S-tumhein miss kar raha tha
Girl-really I was also missing you so much kyun na bahar chale
S-kal sham ko kyun na ek date sirf main aur tum and lot of romance
Girl-waiting for tomorrow evening bye
S-bye sweetheart
Gunjan was fuming with anger
G-kaun thi woh kamini
S-main tumhein kyun bolun waise bhi woh meri nayi girlfriend tia hain
G-tum bore nahin hote in ladkiyon se
S-tumse boring kuch ho nahin sakta
G-you are sick just get lost
S-same to you (he leaves)
She has tears in her eyes she fell on bed and starts crying
G-mujhe ho kya raha hain kyun main use kisi aur ke saath nahin dekh sakti kyun main usse ladti hun
In car
M-kaisa laga driving mazaa aaya
N-haan (she has a smile on her face he kisses her forehead )
M-acha ab kuch khalenge mujhe bhuk lag rahi hain noodles khaogi
N-mujhe nahin khana
M-phir kya khaogi
N-paanipuri
M-paanipuri health ke liye acha nahin hain kuch aur kaa sakti ho na
N-mujhe paanipuri hi chahiye
M-tum aaj kal bahut ziddi ho gayi ho acha teek hain
(he takes her to paanipuri stand and she was enjoying paanipuri)
M-gunjan ke saath rehkar usiki tarah bangayi hain
In the night he kept a movie for her to watch as he was busy with office work she sleeps like that only on sofa watching movie he lifts her in arms and makes her sleep on bed in sleep she catches his hand and keeps head over it. He puts her hair on her face backward and kisses her cheek
M-tumhein badalte hue dekhkar bahut acha lag raha hain
Next day in the morning as soon as he reaches office she calls him he looks at phone and smiles
M-madam ko ab phone milgaya hain ab 24 hours yehi kaam karegi
M-hello kya hua
N-hello mayank
M-haan main hi baat kar raha hun ab batao tumne phone kyun kiya
N-mujhe phone pe baat karni hain
M-kya baat karni hain
(she is confused he understands )
M-acha teek hain yeh batao kya kar rahi ho
(he asks questions she is answering he is talking to her at same time doing office work nearly 2 hours she talks with him)
M-nupur mujhe abhi thoda kaam hain main tumse baad main baat karoonga
(she becomes silent just then dia comes to mayanks cabin)
M-dia tum free ho
D-haan kuch kaam tha kya
M-thodi der nupur se baat karogi mujhe kuch zaroori kaam hain (she smiles and takes the phone and starts gossiping with nupur)
Mayank on the other side does his work
Later when he is free he again talks with her