Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 15th Aug 2025 EDT
CHAALBAAZI 15.8
Ahaan and Aneet spotted (watching saiyaaa last show together)
Yaad Karo Qurbaani: Celebrating India's 79th Independence Day
Mohit Suri defends Vanga, accuses Deepika of being a dictator!
War 2 opens below the mark.. first day business 30 crore
King will not release in 2026? And SRK is the reason?
KSBKBT-2 Weekly TRPs
Kartik Basu's film will now release on Christmas 2025
Alia gets trolled for joining hands with Drugs free bharat
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 16th Aug 2025 EDT
TAAL SE TAAL16.8
Where the Light Comes In- A PraShiv SS
LOL did Anupamaa just left Bhavesh to get abused
Raj Kundra Offers Kidney
War 2 opening underwhelming and less than the original
Maddock Films : Thama teaser - Ayushman and Rashmika
part 41
sab kuch badal raha hain ek cheeez ab bhi waise hi hain woh hain sayank ka apne saaliyon se insecurity . Mayank nupur se bahut pyar karta hain is baat ka koi doubt nahin hain par woh gunjan ko bhi utna hi hate karta hain use yehi lagta hain ki gunjan nupur ke saath rahegi toh nupur use dur ho jayegi aur sam ki problem ye hain ki woh gunjan ke life main sabse important rehna chahta hain usse woh sabse jyada pyar kare aur kisi se nahin dono ki problem same hain dono yehi chahte hain ki unki wife ke life main unke alawa aur koi important nahin hona chahiye aur gunur bhi unhe yehi dikhane ki koshish kar rahe hain par sayank ke dimaag main yeh baat nahin aarahi
one day mayank goes to meet nupur asusual in her office
N-tum yehaan kaise
M-soch raha tha ki dono kahi bahar chale main aaj free hoon
(she goes near him puts hands around him)
N-mere pyare patidev aapka idea acha hain par abhi mujhe zaroori kaam hain baad main jaayenge
M-nahin mujhe abhi jaana hain
N-toh phir akela jao
M-tumhein jabardasti uta ke lejaonga
N-mayank please mujhe kaam hain ghar aane ke baad dono bahar jayenge philhaal ke liye tum jao
M-acha teek hain
N-toh phir jaona
M-nahin pehle (he goes near to her to kiss her gunjan enters and sees them )
G-i am sorry woh main
M-gunjan tumhein itna bhi manners nahin hain kisi ke cabin main aate waqt knock karke aane ki
(she leaves from there in tears)
N-mayank ismein uski koi galti nahin hain saari galti tumhari hain yeh tumhara ghar nahin mera office hain tum jao yehaan se
M-tumne apne behen ke liye mujh par gussa kiya na main toh bhul gaya tumhein tumhare behen ke hote koi nahin dikhta meri hi galti hain yeha aaya socha tumhare saath thoda time spend karoonga par tumhare behen ne saara mood spoil kiya
(he leaves in anger)
Gunjan sits in her cabin crying sam calls her
S-hi jaan kya kar rahi ho bahar chale
G-sam please main already pareshan hoon tum mera dimaag mat kao
S-tab toh humein zaroor bahar jaana chahiye
G-sam kahaana mujhe kahin nahin jaana (she cuts the phone)
nupur goes to gunjan's cabin
N-gunjan woh
G-di aap yehaan acha hua aap aagayi mujhe project ke baare main kuch baat karni thi
N-gunjan I am sorry
G-di aap mujhe sorry kahengi toh mujhe acha nahin lagta
N-gunjan mayank gusse main bina soche samje baat kiya uski taraf se main tumse maafi maangti hun
G-jeeju ki koi galti nahin thi mujhe knock karke aana tha aur main hamesha ki tarah bina knock kiye chali aayi
N-tu mere cabin main aane ke liye knock kyun karegi tu koi bahar waali hain kya uska dimaag kharaab hain isiliye aise bina soche samje bolta hain
G-nahin galti meri hi thi
N-nahin mayank ki
G-nahin meri
N-tik hain teri ab mujhe manane ke liye bahar lejaa
G-di
N-kya di bahut din ho gaye hain dono bahar jaa kar, bahar chalenge
G-lekin kaam
N-woh toh chalta rahega tu mere saath chal
(they go to cafetaria and have some gupshup and enjoy)
Sam reaches home and is waiting for gunjan she doesn't come he calls office and comes to know that she went out with nupur. He gets anger
S-mere saath jaane ke liye mann nahin tha par apni di ke saath chali gayi hamesha aise hi karti hain jab bhi mujhe gunjan ke saath bahar jaana hain yeh nupur beech main aati hain
he waits for her outside she reaches late with nupur
S-tum ab tak kya kar rahi thi
N-samrat sorry gunjan ko maine jabardasti bahar leke gayi
S-yeh hum dono pati patni ke aapas ka problem hain tum hoti kaun ho beech main bolne waali
G-samrat shut up
N-i am sorry sam(she leaves in car)
(gunjan goes up in anger becoz she knows talking to him is of no use)
(nupur reaches home mayank is in angry mood)
M-tum itni late aayi hum bahar jaane waale the na oh shit main toh bhul hi gaya tumhein bahut important kaam tha na apni behen ke saath baahar jaane ka tumhare paas mere liye time kyun raheega
N-main gunjan ko baahar leke gayi tumhari wajah kyunki subah tumne use bahut badtameezi se baat ki
M-right mujhe manners nahin hain mujhe tumhare behen se manners seekna hain jo bina permission ke kisi ke private life main aajati hain
N-woh mere private life nahin office ka cabin tha jahaan aane ke liye meri behen ko meri permission ki zaroorat nahin hain
M-permission woh kyun legi mujhe lena hain na tumse milne ke liye tumhari behen ki permission
N-tum bina matlab ke baat ka batangad bana rahe ho tumse baat karna bi bekaar hain goodnight
(she goes and sleeps on bed in anger)
S-tum mere saath aane ke liye mana kyun kiya
G-tab main pareshan thi isiliye mana kiya
S-phir apni behen ke saath kaise gayi
G-samrat tum jo bhi soch rahe ho waisa kuch nahin hain
S-phir kya hain chashmish main jaanna chahta hun tumhein mere saath jaane main kya problem thi
G-maine kahana mujhe tumhare saath jaane main koi problem nahin thi par us waqt main upset thi
S-kis liye upset thi
G-main tumhein bata nahin sakti
S-kyun nahin bata sakti
G-kyunki woh mera personal matter hain
S-samaj main aagaya tumhein apne behen ke saath bahar jaana tha isiliye mujhe mana kiya
G-samrat tumhein is waqt kuch bhi samjaana bekaar hain
(she also goes and sleeps on bed)
Both mayur and sajan are sleeping on two corners of bed facing their backs to each other
Mayank's Conscience-main tumhein jitna apne paas rakhna chahta hun tum mujhse utna hi dur jaa rahi ho
Nupur's Conscience-aisa kuch nahin hain main tumhare paas hi hun tum apne darr se mujhe khud se dur kar rahi ho
Mayank's Conscience-agar tum mere paas hoti toh tum aisa nahin karti hamesha tumne gunjan ke liye mera saath hoda tum mere saath US nahin aayi gunjan ki wajah se, shaadi ke din bhi tumne gunjan ke liye mera haath choda, aaj bhi tum mujhe chod kar usko chuna
Nupur's Conscience-main tumhare liye hi gunjan ko bahar leke gayi main nahin chahti koi bhi tumhare baare main koi bura soche tum mere sabse ache mayank ho aur sab ke liye bhi ache hi rahoge main tumhein meri wajah se sabke saamne bura hote hue nahin dekh sakti
Mayank's Conscience-main tumhare liye bura banne ke liye bhi tayyar hun agar mujhe tumhein apne paas rakhne ke liye humein yeh shehar chodna pade toh main uske liye bhi tayyar hun
Nupur's Conscience-main tumhein sabke saamne bura hote hue nahin dekh sakhti iske liye mujhe jo karna pade karoongi
Next comes sajan
Samrat's Conscience-tumhein kaise yakeen dilao ki main tumse bahut pyar karta hun tum mere liye sab kuch ho
Gunjan's Conscience-main jaanti hun tum mujhse bahut pyar karte ho main bhi tumse utna hi pyar karti hun
Samrat's Conscience-tumhein mujh par barosa nahin hain isiliye tum mujhe kabhi apni dil ki baat nahin kehti main tumhara dard baatna chahta hun main tumhara raazdaar banna chahta hun par tum hamesha apne dil ki baat sirf apni di se kehti ho mujhse nahin
Gunjan's Conscience- main tumhein chah kar bhi kuch baatein nahin bata sakti kuch baatein aisi hoti hain jinhe chupaane main hi hum sabki balai hain
Samrat's Conscience-par tum mujhe toh keh sakti ho na kya main tumhare dard baatne ke laayak bhi nahin hoon tumhein main takleef main nahin dekh sakta tumhein is dard se dur karne ke liye main yeh shehar chodne ke liye bhi tayyar hun
Gunjan's Conscience-in saare pareshaniyo se dur jaane ka ek hi rasta hain ki iske jad ko kaat de main tumhare liye kuch bhi karoongi yeh karna mushkil hain par mujhe karna hoga hum sabki khushi ke liye tumhari khushi ke liye
Next day in office nupur was sitting in her cabin and lost in thoughts gunjan comes there
N-tu yehaan kuch kaam tha kya
G-aaj aap mujhe pick karne nahin aayi
N-woh main bhul gayi
G-di ye lijiye
N-yeh kya hain
G-mera resignation letter main ab yeh company main kaam nahin karoongi I am sorry di par mera is company main naa rehne main hi hum sabki balaai hain
Nupur looks at her in shock she remembers the bidaai moment when gunjan doesn't want to go
G-kya hua di aap kuch bol kyun nahin rahi
N-(with tears in her eyes)dekh rahi hun meri choti behen kitni badi ho gayi hain main tujhe rokhoongi nahin kyunki main ache se jaanti hun ki ab hum dono ka dur hona hi teek hain humne socha ki humein koi alag nahin kar sakta lekin hum galat the
G-(she hugs her and cries)kyun yeh sab kuch hua di hum yeh shehar kyun aaye, hum kyun inse mile, yeh pyar kyun hua phir shaadhi ab yeh yaad hain jab hum pehli baar aaye main kitna darr rahi thi aur jab sam ne aapke baaare main bura kahaan toh kaise maine usse badla liya mujhe nahin pata tha ki woh apna badla aise lega mujhe aapse hamesha ke liye dur karke
N-usi din toh maine mayank ko thappad bhi maara tha bina uske galti ke usne tab mujhe kuch nahin kahaan lekin aaj usne itna kuch kiya main usse kuch nahin keh sakti aur toh aur uske khushi ke liye tujhse dur ho rahi ho shayad yehi hamari kismet hain
G-di bauji se kya kehenge
N-pata nahin par yeh hamari problem hain aur humein isse face karna hoga main sambhaloongi tu chinta kyun karti hain main hoon na tere saath
G-ab aap kisi aur ke saath hain aur koi aur mera saath hain yehi hamare zindagi ka sabse bada sach hain
(she runs from there in tears and nupur falls on chair and breaks down)
Navya comes
Na-mam is everything fine gunjan mam bahut pareshan lag rahi thi aur aap bhi
N-tum aaj ke mere saare meetings cancel kardo main ghar jaa rahi hoon
Na-ok mam
Geeta 'itni jaldi aagayi beta
G-woh mom thoda sar dard hain isiliye chali aayi
Geeta-doctor ke paas chale
G-iski koi zaroorat nahin hain tablet leke sojaongi teek ho jayega
(she goes to her room locks the door falls on bed and starts crying)
Nupur also gives similar reason to shilpa
(she closes the door falls down and starts crying)
(there eyes become red crying whole day)
In the afternoon shilpa calls nupur for lunch she washes her faceand goes down
Shilpa-kya hua beta bahut pareshan lag rahi ho mayank ne kuch kahaan kya main uski khabar loongi
N-aisa kuch nahin hain mom bas aaj kal office main zyada kaam hain isiliye stress jyada ho raha hain
Shilpa-tik hain lunch kaar ke aaraam karle main tere sar dabati hun neend jaldi aajayegi
N-lekin mom aap
Shilpa-tu meri beti hain tere liye itna nahin kar sakti
(she keeps head on on shilpa's lap and sleeps like that only)
On the other side dadi comes to know that gunjan was not feeling well so she came home early she goes to gunjan's room and knocks the door
She wipes her tears and opens door
Dadi-kya hua beta geeta bata rahi thi ki teri tabiyet teek nahin hain samrat ne toh kuch nahin kiya na
G-nahin daadi bas kaam ki wajah se main tablet leke sojaongi
Dadi 'pehle kuch kha le uske baad so jaana
(geeta brings the lunch daadi feeds her)
Geeta- mom aapne sam ko bhi aise nahin kilaya aur aaj
Dadi-meri marzi main jo chahe karoongi
(gunjan remembers how nupur used to feed her during her exams when she was busy losts in her books she hugs dadi in tears )
Dadi-sar bahut dard de rahaaan toh doctor ko bulaati hoon
G-main teek hoon dadi
Dadi- acha ab sojaa
(she sleeps on bed dadi moves hand in her hair to make her sleep after gunjan sleeps she closes the door)
In the evening sam reaches home
Dadi- gunjan ki tabiyet teek nahin hain tu use pareshan mat kar use sone de
S-kya hua chashmish ko
Dadi-bas thoda sar dard hain
(he goes into their room and finds her sleeping peacefully)
(he kisses her forehead softly his eyes become wet)
S-kahin chashmish kal ki baat ke liye pareshan toh nahin hain sab kuch nupur ki wajah se hamesha uski wajah se main chashmish ko hurt karta hun pata nahin yeh problem kab khatam hogi mujhe maaf kardo chashmish main nahin chahta ki humare beech koi aaye hamari life main sirf hum dono hona chahiye aur koi nahin
On the other side mayank comes into their room and finds nupur sleeping on shilpa's lap. Shilpa sighs him not to make sound
M-nupur ko kya hua
Shilpa 'uski tabiyet teek nahin hain isiliye so gayi (she makes her sleep on bed )
Shilpa-tu chup chap apna kaam kar use mat utana agar kuch chahiye toh mujhe bata dena
M-tik hain mom
(she leaves he goes near nupur and looks at her lovingly)
(he puts hand on her head and kisses her hand)
M-main tumhein hurt nahin karna chahta par jab bhi gunjan ki baat aati hain pata nahin mujhe kya ho jaata hain I am sorry nupur I love you more than my life main tumhein khona nahin chahta
ok guys sanu and majan scenes you will get in future