gang os on pg 114 raksha bandhan special - Page 47

Created

Last reply

Replies

671

Views

86.8k

Users

42

Likes

1.2k

Frequent Posters

SandCastle. thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
Woah! Finally m back from my vacation...
will comment soon on all ur updates...
wen r u updating????
plzzz update soon...m vry eager to read further...
& BEST OF LUCK for ur new OS...THE BIRD IN A CAGE...
will comment der soon... & plzzz update soon ok...🤗
--unknown-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago

Originally posted by: ekta_monaya

Woah! Finally m back from my vacation...

will comment soon on all ur updates...
wen r u updating????
plzzz update soon...m vry eager to read further...
& BEST OF LUCK for ur new OS...THE BIRD IN A CAGE...
will comment der soon... & plzzz update soon ok...🤗

you returned i dont know you were on vacation nice to see you back i thought you were not fine ok i will update all three today
--unknown-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago

Originally posted by: SajanRox

Edited my spot on Page 75! Check it out... =D

good job ok i will continue today and i promise its a big update
Edited by mjhtmayursajan - 14 years ago
--unknown-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago

Originally posted by: SajanRox

Sorry, I miss understood!! When are you updating? =D

tum har baat pe itna feel mat hona warna mujhe feel hona padega
--unknown-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago

Thanks for all the people who are reading my os wasting their time so actually last i gave small update and gave a long gap so here is a big update for you. hope you like it

Read and enjoy here it goes
Edited by mjhtmayursajan - 14 years ago
--unknown-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago

Part 38

In the middle of night nupur keeps head over mayank he puts hand on her back

M-tum so gayi

N-nahin gunjan ke bare main soch rahi thi pata nahin kaisi hain kaafi pareshan thi

M-is waqt bhi gunjan ke bare main sochna zaroori hain kya

N-uske bare main main nahin sochungi toh aur kaun sochega

M-samrat hain uske bare main sochne ke liye tum uske bare main sochna band karo

N-mayank kab se dekh rahi hun tumhari problem kya hain

M-tumhari behen uski wajah se hamesha tum mujhe chod kar jaati ho tumhare liye sirf uski khushi important hain main tumhare life main koi maanya nahin rakhta tak chukka hun gunjan ke bare main sun sun ke har baat ke aage gunjan peeche gunjan

N-mayank tum bewajah lad rahe ho

M-mujhe tumse koi baat nahin karni mujhe bahut neend aarahi hain goodnight

N(to herself)-ise achanak ho kya jaata hain sadu hain aur sadu hi rahega main bhi nupur bhushan sharma hun tumse is baat ka badla toh lekar rahoongi

(in sajans room gunjan kept head over sam)

S-kya hua neend nahin aarahi kya

G-di se baat karne ka mann kar raha hain

S-tum mujhse baat kar sakhti ho na nupur se is waqt baat karna zaroori hain kya

G-di ki bahut yaad aarahi hain pata nahin mere bare main soch kar pareshaan ho rahi hogi

S-aaram se so gayi hogi tum hoki khud so nahin rahi ho aur nahin mujhe sone de rahi ho

G-samrat gussa kyun kar rahe ho

S-nahin toh kya karoon tumhari muh se di ke alawa aur koi baat nahin aati kya shaadi se pehle tak tik tha ab humari shaadi ho gayi hain ab toh di ka jap karna chod do warna acha nahin rahega

G-par samrat

S-goodnight

(gunjan is seriously confused with his anger)

Next day morning comes gunur doesn't sleep whole night seeing sayanks strange behavior

Nupur gets up but as soon as she sees his face her anger vanishes she kisses his forehead

N-chah kar bhi is par gussa nahin kar sakti aur ye hain ki har baat ka galat matlab nikalta hain

(she gets ready and goes to shilpa )

(she touches her feet)

N-good morning mom

Sh-goodmorning kehne ke liye pair chune ki zaroorat nahin hain

(both sit on dining table cutting vegetables )

Sh-kya hua mayank ne kuch kahaan kya

N-aapko kaise pata

Sh-kyunki tum itne concentration ke saath vegetables cut kar rahi ho

N-aisa kuch nahin hain mom main toh bas aise hi

Sh-tu jooth mat bol main tujhe aur mere bte ko bahut ache se jaanti hoon

N-kuch nahin mom maamooli ladai hain main sambhal loongi

Sh-tik hain agar meri help chahiye toh poochne ke liye sochna mat

N-aap use main ghar kyun gayi iske bare main kuch nahin kahengi

Sh- samaj gayi use kuch nahin kahoongi

N-thanks mom ab dekna main kya karoongi

Sanjay-good morning

N-goodmorning dad

Sa 'kya baatein kar rahe ho humein bhi toh pata chale

Sh-kuch nahin aapke bte ki taareef kar rahe hain

Sa-usne phirse ladai ki kya

N-aapko mayank ke bare main itni ache se kaise pata

Sa-tum use paanch saalo se jaanthi ho aur hum use jab se paida hua hain tabse jaante hain

In sajan house

Gunjan is completely confused thinking about samrat .She feels like crying.She comes out and helps Geeta in the kitchen.Suddenly she cuts her finger in deep thinking

G-auch

Geeta sees that and brings band aid and ties it to her finger

Ge-kahaan ko gayi kya hua beta bahut pareshan lag rahi hain di ki yaad aarahi hain kya

G-nahin kuch nahin

Ge-tab toh zaroor samrat ne kuch kaha hoga

(she is silent)

Ge-samrat ka gussa kuch jyada hain woh gusse main bina soche samje bolta hain tu uski baton ko dil pe mat le

Dadi comes and sees geeta putting band aid

Da-kya hua meri beti ko

Ge-aapke pote ka karnama hain aap hamesha use bachati hain dekho ab usne ise bhi pareshan karna shuru kiya

Da-usne kuch kahaan toh main uski kabar loongi

G-nahin dadi aap kuch mat kehna

Da-tik hain nahin kahoongi tu ek kaam kar sham tak apna phone switch off kar

G-lekin kyun

Da-tu bas dekhti jaa main kya karti hoon

(she hears car sound )

G-lagta hain di aayi hain

Da-di ki baat aate hi chehre kil gaya hamesha aise hi reh sakti hain na

(she goes out and sees benji. her eyes were searching for nupur and anyone can understand seeing her face)

B-tumhari di ko doond rahi ho woh uday ke saath ghar aayegi (she becomes dull) ghar jaate hi mil sakti ho ab jaldi chalo

(she bids bye to geeta , rishi and dadi )

G-dadi samrat

Da-uski chinta tum mujh par chod do yaad hain na maine kya kahaan

G-jaise aapne kahaan main wohi karoongi par koi problem nahi hogi na

Da-nahin hogi mujh par barosa hai na(she nods her head and leaves with benji)

Nupur decides to give mayank a good dose so she writes a letter to him saying she is angry at him so she left the house .She bids bye to shilpa and sanjay and leaves with uday

Samrat gets up and sees his surroundings and realizes that his marriage occurred yesterday only

S-chashmish kahaan hain lagta hain mom aur dadi ke saath baat kar rahi hogi

Mayank also gets up and looks for nupur

M-bahut jaldi ut gayi

(he looks at the photo frame smiles)

Gunjan reaches home and as soon as she sees nupur hugs her like she saw her after many years

G-di maine aapko bahut miss kiya

D-gunjan tumhara ek din ka yeh haalat hain toh pata nahin aage kya hoga

(gunur start discussing)

N-sab teek toh hain na

G-kuch teek nahin hain di pata nahin sam ko kya hua bada ajeeb behave kar raha tha

N-mayank ka bhi wohi haal hain

G-kya hua di

N-poochna mat paagal ho jayegi

Mayank reaches dining table.Shilpa and sanjay are busy talking.he says goodmorning to both of them.His next question

M-nupur kahaan hain

(shilpa gives him letter.He reads it and is shocked

M-itni si baat pe koi ghar chod ke jaata hain kya

Sh-tujhe itni si baat lag rahi hain nupur toh bahut naraaz thi

M-bahut naaraz thi kya

Sh-use itne gusse main maine aaj ta nahin dekha

(Sanjay is reading magazine sorry hiding using magazine and smiling)

M-lagta hain phone karke sorry bolna padega

(but she doesn't lift the phone.he is completely worried and in that mood goes to office everyone congragulate him for marriage he is like biwi hi nahin hain toh wishes ka kya karun.he again calls nupur but she doesn't lift the phone)

Sam gets ready and reaches dining table. He finds three of them but not gunjan

S-chashmish kahaan hain

Da-tune use kya kahaan gusse main aakhar uske bauji ke paas chali gayi

Rishi splits water from his mouth seeing dadi lying to sam for gunjan

S-maine kuch bhi toh nahin kahaan (again he remembers what he told her in night) woh to maine anjaane main kahaan isike liye aise ghar chod kar jaati kya

Da-mujhe kya pata khud apni wife ko phone karke pooch

(he calls her but phone is switched off.till evening he tries but no use same is position with mayank)

G-mujhe bahut darr lag raha hain sam se

N-gunjan darr ne se kuch nahin hoga tujhe sam par ulta waar karna ho ga tabhi sab teek hoga

G-par kaise di

N-jab sam dusri ladkiyon ki taraf dekhta hain tune kya kiya ab wohi kar dekhna apne aap ladai karna band kardega

In the evening at last nupur lifts the phone

M-tum paagal ho gayi ho kya itni si baat pe koi ghar chod ke jaata hain kya

N-jab tumhein meri feelings ki value nahin hain main tumhare saath kyun rahoon

M-nupur I am sorry phir kabhi tumse nahin ladoonga please maan jao

N-acha tik hain ghar jaate waqt mujhe pick karne aajaana bye

(she cuts phone and smiles)

Gunjan calls sam to ask him to pick her up

S-chashmish acha hua tumne phone kiya subah se kitni baar call kiya aur tumhara phone switched off tha tumse maine jo kuch bhi kahaan uske liye really really sorry

G-acha tik hain maaf kiya tum jaate mujhe pick karne aarahe hona

S-matlab tum maan gayi tumhein pick karne zaroor aaonga

(gunjan doesn't understand how sam told her sorry suddenly )

G-lagta hain dadi ne sam par gussa kiya hoga par dadi ko maine mana kiya tha

(sayank come to pick gunur and come to know that it was a rasam that's why gunur come to bhushan house)

(In mayur car)

M-tumne mujhse jooth kahaan

N-kya jooth

M-tum ghar chod kar nahin gayi thi

N-kyun jaongi woh mera ghar hain main apni ghar chod kar kyun jaongi

M-phir letter kyun likha

N-agar letter nahin likhti toh tum mujhe itne pyar se sorry nahin kehte

M-nupur

N-mayank phir se ladai shuru mat karo

M-warna ghar chod kar jaogi kya

N-nahin tumhein ghar se bahar bejoongi

M-nupur tum

(she hugs him)

N-mayank please tum aise stupid baato pe ladna band karo hamari shaadi hoke 1 din bhi nahin hua waise bhi kal kisine mujhse kaha ki humein is waqt faltu cheezon ko chod kar khush rehna chahiye

(he smiles and puts his hand on her )

M-main bhi toh wohi chahta hun ki hum dono ke life main ek dusre ke alawa aur kuch nahin hona chahiye

N-meri life main tumahre alawa aur kuch nahin hain gunjan meri responsibility thi jo ab puri ho gayi

(she kisses his cheek)

(in sajan car)

G- I am sorry maine tumhein bahut hurt kiya samrat ab tak meri life main di ke alawa kuch nahin tha mujhe us environment se is environment main aane ke liye thoda time chahiye main dubara tumhein kabhi hurt nahin karoongi I promise

S-chashmish main tumhein apne life ka sabse important part samajta hun aur main chahta hun ki main bhi tumhare life ka sabse important part banoo kya main galat hoon

G-galat tum nahin main thi di pe depend hote hote main bhul gayi ki meri life main mujhe kya chahiye lekin aage se aisa nahin hoga

(she hugs him)

G-i am sorry, dil se, duniya main jitni sorry hain utni

S-galti meri bhi thi I am also sorry

(they reach home)

Nupur is standing at window thinking something mayank slowly hugs her from back

N-gunjan

He leaves her she realizes that her marriage is over

She catches mayanks hand goes near him

N-mayank I am sorry woh kya hain na gunjan mujhe roz aise hi pakadti thi isiliye maine aisa kahaan please bura mat maano

M-its ok tumne anjane main kahaan hoga

N-mujhe samajne ke liye thanks

(she hugs him but doesn't see he is still angry for that)

Sam is busy working on his laptop gunjan comes and sits beside him

G-samrat office ke baad bhi office ka kaam itna intrest padai main lagai hoti toh tumhari mba ho jaati

S-chashmish please tum books ko yaad mat dilao do saal se unke bina bahut aaram se reh raha hun

G-waise main tumhari help karoon

S-tum mere paas mat baito mera concentration divert ho raha hain

G-kyun kya hoga

S-chashmish please kaam bahut urgent hain thodi der ke liye mujhe akela chod do

G-acha tik hain jao

(she goes from there and starts reading magazine suddenly falls asleep. He sees her sleeping like that only takes her in his arms and makes her sleep on bed she opens her eyes)

S-sorry maine tumhare neend ko disturb kiya

G-sorry nahin i love you(she hugs him)

part39

Edited by --unknown-- - 14 years ago
--unknown-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago

part 39

Next day morning gunur get up asusual early only .They work less and do lot of gupshup with sayanks family

Sh-nupur mayank lo jaake utao agar office ko late hua na toh hum par barsega

(nupur goes to room and finds him sleeping peacefully she moves her hand over his head and kisses his forehead)

N-mayank uto na

He opens his eyes and looks at her smiling dreamily

N-mayank jaldi se ut ke ready ho jao

(he doesn't reply actually he is feeling like it is his dream )

N-mayank mayank mayank

Sh-nupur chilla kyun rahi hain main dekh kar aati hun

(shilpa comes there in tension)

N-mom acha hua aap aa gayi pata nahin ise kya hua dekho kaise dekh raha hain

Sh-mayu kya hua ut kyun nahin raha

M-mom sone dona acha sapna dekh raha hoon

Sh-anke kol kar sapna dekh raha hain

(nupur gets irritated and pinches he gets up shouting)

M-matlab tum sach main ho

N-sach main ho matlab

M-mujhe laga ki yeh koi sapna hain

(nupur and shilpa burst out laughing mayank makes a confused face)

N-jaldi se ready ho jao hum neeche wait kar rahe hain

(they leave he moves his hand over his hair in confusion)

Gunjan samrat ko utane jaati hain.She sweetly kisses his forehead and moves her hand over his hairs and tries to make him wakeup . But he doesnt getup he is gigling over the bed

G- pichle aade gante se ise utne ke liye keh rahi hoon par ispar koi asar nahin hain ek hi option hain

(She takes water jug)

G-sorry patidev aapne mere paas koi option nahin choda

(he gets up in anger fully wet)

S-chashmish tumne yeh kya kiya

G-tumhein pyar se utane ki puri koshish ki lekin maan nahin rahe the

S-toh aise koi utata hain kya

G-sam mujhse ladna band karo aur jaldi ready ho jao warna tumhare bina hi humein breakfast karna padega

S-mujhe chod kar breakfast karogi kaisi wife ho tum

G-main aaj ke zamaane ki biwi hoon main tumhare liye booka nahin baitoongi jaldi aao warna bahut pachtaoge main tumhari dadi nahin hoon isiliye dadi ke naatak mere saamne mat karo koi faida nahin hain

(she leaves)

S-chashmish jo dikhti hain woh hain nahin husband ki koi value hi nahin hain

in sharma house

(at breakfast both of them are continuously laughing mayank angrily stares at them)

Sanjay-itna kyun has rahe ho humein bhi toh batao ki hua kya

M-kuch bhi toh nahin dono aise hi has rahe hain

Shilpa says wat happened and even he starts laughing

M-isme itna hasne waali kya baat hain

N-mayank tumhara chehra dekhne layak tha abhi bhi yaad karti hoon toh bahut hasi aarahi hain

(he cant do anything other than smiling after remembering the incident.her cell rings )

N-gunjan ka phone hain abhi aayi

(listening to that his smile disappears.she talks and come back)

Sh-kya baat hain beta sab teek toh hain

N-kuch nahin mom pooch rahi thi ki kab tak aaogi mujhe pick karne ke liye

Sh-abhi time hain na

N-maine bhi wohi kahaan sirf ready rehne ke liye pooch rahi thi

M-tum gunjan ke saath office jaogi

N-dono ek hi office main kaam karte hain toh saath hi jayenge na

M-main tumhein drop kardoonga

N-tumhara office 9 baje ko hain mera 10 baje aur agar office jaane ke baad mujhe kuch kaam hua toh kya karoon

Sh-nupur tik keh rahi hain use apne car main hi jaane do

(he leaves in anger nupur notices it)

in shergil house

Sam comes for breakfast and sits quietly looking angrily at gunjan.she made his favorite dish seeing that his anger vanishes a smile comes on his face

S-gajar ka halwa meri favorite so sweet

G-thanks oh shit

Da-kya hua

G-main di ko call karna bul gayi warna dono ko late hojayega

S-tum mere saath office nahin jaa rahi ho

G-tum ho itna busy main tumhein disturb nahin karna chahti di mujhe pick karlegi

S-par chashmish

G-samrat please agar maine late kiya toh tum pura din ladai karoge jo main nahin chahti waise bhi tumhare aur mere timings main bahut farak hain so its better main khud jaon ya di ke saath jaon actually main khud jaana chahti thi lekin di ne kahaan ki woh jaate waqt mujhe pick karegi

(he was not completely convinced )

Gunur reach office they receive a grand welcome from their employees as their office is on fashion designing all the employees are girls.Navya is their personal asst who manages entire work when they aree not available

Navya-mam treat kab de rahe ho

N-at present bahut saare pending works hain ek baar complete ho jaaye we will celebrate both at same time waise kal hum sab lunch saath main karenge so dont bring your boxes

Navya-aaj kyun nahin

N-mujhe lunch main kuch zaroori kaam hain isliye ok baatein bahut ho gayi lets get back to work

later in nupurs cabin

Gunur are doing work suddenly nupur remembers its lunch time for mayank and she knows he is in anger so will not have his lunch

N-gunjan main jaathi hoon tu lunch pe mera wait mat karna

G-par aap jaa kahaan rahi haindi

N-kuch zaroori kaam hain main lunh wohi karloongi bye

G-lekin meeting ka kya

N-yeh kaam meeting se jyada important hain

G-lekin project haat se chali jayegi yeh project aapka dream hain na

N-haan par is waqt mera wahaan jaana important hain main jald se jald aane ki koshish karoongi tab tak tu manage karlena

(nupur goes to meet mayank )

at the reception

N-kya main mayank sharma se mil sakti hun

receptionist(sona)-sir busy hain thoda wait kijiye

(she stands there at the reception.mayank's p.a comes there her name is sterla. She comes there in sadness

Sona-kya hua phir se hitler ne kuch kaha kya

Sterla-ofcourse yaar mujhe lagaa abhi abhi shaadi hui hain ab atleast thoda sudrega lekin nahin aur bhi sadu ho gaya

Sona-lagta hain biwi se ladai hui hain isiliye aisa hain

Sterla-yeh hamesha aisa hi hain us bechari ko dosh kyun deti ho pata nahin usne kya dekh is akdu se shaadi ki

Sona-maine toh suna hain ki hitler ne love marriage kiya hain

Sterla-zaroor uska dimaag kharab hoga isiliye isse pyar kiya varna koi villian se kaise pyar karega

N-tumhare boss iitne bure hain kya

Sterla-poochna mat paagal ho jaogi maine aaj tak ek baar bhi unhe haste hue baat karte nahin dekha jab dekho order deta rehta hain by the way aap hain kaun

N-woh main

(sanjay comes there)

Sa-nupur beta tum yeha kya kar rahi ho

N-dad woh main mayank se milne aayi thi lagta hain busy hain

Sa-tumhein usse milne ke liye kisiki permission ki zaroorat nahin hain tum andar jao

N-dad aap bhi humein lunch main join kar sakte hain na

Sa-main inke saath bahar jaa raha hun yeh mere dost hain mr.saxena aur yeh meri bahu nupur bhushan sharma

N-hello uncle

Saxena-hello beta tum se phir kabhi aaram se baat karoonga abhi main busy hoon

N-ya sure uncle

Sa-tik hain ab hum chalte hain

(they leave leaving sterla and sona in shock)

So-mam humein nahin pata ta aap kaun hain aap bata sakti thi na

N-batati toh tumhare boss ke baare main pata kaise chalta

So-we are sorry

N-kya kahaan hitler, sadu, akdu aur haan yaad aaya villian mujhe nahin pata tha mere husband ke itne saare nick names hain tumhare liye jo bhi ho mere liye woh hero hain bye

(both look at each other in confusion she goes inside)

M-tum yeha kya kar rahi ho

N-maine socha ki hum lunch saath main karenge

M-mujhe kaam hain abhi time lagega

N-main wait karoongi

M-tumhare office ko late ho jayega

N-koi problem nahin hain jaldi lunch karo uske baad chali jaongi

M-lekin mujhe abhi meeting hain

N-tum meeting complete karke aao

(he completes his meeting and comes back after that they have lunch)

M-nupur tumne itna der kyun wait kiya

N-kyunki mujhe pata hain ki agar main nahin aayi toh tum lunch skip karoge tum subah subah gusse main office aaye tumhein kya laga maine notice nahin kiya

M-(like a small child)phir tum mere saath kyun nahin aana chahti

N-mayank maine tumhein subah reason bataya sirf office main apne car main jaongi kahin aur jaana ho toh tumhein jabardasti le jaongi tik hain

(they complete lunch)

N-acha ab main chalti hun already bahut late ho gaya bye (she goes and comes back)

M-ab kya hua kuch bhul gayi kya(she kisses his cheek and goes before he realises )

M-i love her

(sterla and sona catch her)

Sona-sorry mam

N-ismein sorry kehne ki koi zaroorat nahin hain sabke apne apne opinions hote hain mujhe bhi meri school teacher raakshas ke jaisi dikhti thi kyunki woh mujhe jabardasti padati thi tumhara bhi same position hain waise ek baat kahoon mere pati itne bure nahin hain unka dil sabse acha hain

Sterla-zaroor hoga isiliye unhe aap jaise madam mili

N-thanks for the compliment waise mujhe late ho raha hain bye

Both-bye mam

(she goes to office but no use the meeting was over it was her dream project she struggled a lot for it she lost it for his happiness.she gets into dull mood)

G-di please aap chinta mat kijiye koi aur project aajayega

N-rehne de gunjan main teek hoon

(they go home and nupur goes and sits in room silently.he comes and sits beside her)

M-hi jaan kya kar rahi ho

(she doesn't reply he sweetly kisses her cheek )

N-mayank yeh kya kar rahe ho

M-wohi jo tumne subah kiya

(she just keeps head over him)

M-kya hua

N-kuch nahin thoda mood off hain

M-toh bahar chalein

N-is waqt

M- bahar jaane ke liye time nahin dekhte chalo

(they go out he takes to paanipuri shop)

N-tum aur paani puri tumhein paanipuri unhygienic lagta hain na

M-usse bhi unhygienic cheez ek aur hain

N-kya

M-tumhari udaasi jo main bare nahin kar sakta isiliye tumhein khush karne ke liye thodi paaanipuri chalti hain

(she kisses his cheek)

N-thanks

M-sab ke saamne

N-tum mere pati ho main jo chahe kar sakti hun

In shergil house

Gunjan decides not to discuss office matters at home .Sam is busily doing his work gunjan comes and sits beside

S-chashmish aa gayi lagta hain late hua

G-ek meeting thi isliye

She catches his shoulder keeps head over him

S-chashmish maine kya kahaan jab main office ka kaam karta hun please mere paas mat baito main kaam nahin kar pata

G-tum office ka kaam office main karte ho na ghar pe bhi kyun kahin bahar chale

S-tik hain aapne order diya toh manna padega kahaan jaana hain

G- drive pe

S-kya baat hain bahut romantic ho rahi ho

G-tum nahin ho rahe ho na isliye

(they go out she catches his hand and keeps her head )

G-yakeen nahin ho raha ki tum mere saath ho hamesha ke liye

(he puts hand on her and brings her closer )

S-actually mujhe bhi ye sapna lag raha hain

(she pinches )

S-tumne pinch kyun kiya

G-tumhein batane ke liye ki main tumhare saath sach main hun

S-chashmish(she kisses him cheek)

G-tum gusse main kaafi cute lagte ho

next day mayank comes to know about nupurs project from shilpa

M-meri wajah se hi sab hua ab main hi sab tik karoonga

Sh-tumne kya kiya

M-kuch nahin mom

(he with great difficulty bring her her project back and goes to her office to give her this good news)

M-tumhaari mam kahaan hain

Na-kaunsi mam nupur ya gunjan mam

M-nupur

Na-nupur mam meeting main hain ek minute main abhi gunjan mam se poochti hoon aapka naam

M-mujhe nupur se milne ke liye kisiki permission ki zaroorat nahin hain

Na-par sir aap hain kaun

gunjan comes out

G-jeeju aap yehaan

M-nupur kahaan hain(in anger)

G-di woh

(just then nupur comes)

N-tum yeha kya kar rahe ho

M-tumhein gud news dene aaya tha par mujhe tumse milne ke liye bhi permission leni pad rahi hain

Na-sorry sir

N-(to navya)its ok ismein tumhari koi galti nahin hain waise kya hain tumhari gud news

M-yeh dekho

(she sees the papers)

N-yeh toh wohi company hain jiske saath meri meeting nahi hui

M-aur isi wajah se project chala gaya aur tum pareshan thi main tumhein pareshan nahin dekh sakta isiliye maine tumhara project tumhein waaapas dilaya

(she hugs him in happiness )

N-thanks mayank

M-thanks nahin abhi isi waqt mere saath chal ke mujhe treat do

N-acha chalo(she leaves with him)

Na-just made for each other madam kitni sweet hain aur sir bhi utna hi sweet hain kaash mujhe aisa boyfriend milta

G-mere jeeju ek hi hain unke jaise aur koi nahin hain woh di se sabse jyada pyar karte hain aur yeh baat aaj unhone phir saabit kiya

in the night.gunjan was thinking about nupur and mayank she was very happy for nupur .

S-kya baat hain madam kaha koyi hui ho

G-kuch nahin

S-acha yeh dekho

(she opens it same pearl set which nupur gave to mayank this is only known as coincidence)

G-yeh bahut sundar hain

S-par meri chashmish ke jitna nahin

G-par iski kya zaroorat hain

S-aise hi shop main dekha tumhari yaad aayi leliya

(he takes it and puts it in her neck and kisses her on her neck)

part40

Edited by --unknown-- - 14 years ago
agreatperhaps thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 4
Posted: 14 years ago
Res! ^Edited^
Hey!🤗
First of all I am extremely sorry for unresing late!!..
I had completely forgetten I resed here..😳
And then, I am first to comment 🥳(even though one of the last to unres!😆)
You updated with a Bang! Such an awesome update!!👏👏👏
Words stop coming in my mind...!! Only I know how I am managing to write this words...!😆
I loved the way you potrayed the insecurtities of SaYank!!😆 Even though they shouldn't be!😉
Wow, GunUr's plan was very wicked and cunning!!😈 They put SaYank in a wrong illusion!!
They apoligize scene was fabulous!👏
Aww, begging to drop at office!?!?😳 Can they get any cuter??
And the Pagphere rasam where GunUr meet was like they were dying to see each other since ages!!
I can completely understand their feelings! Nupur is like a motherly figure to Gunjan and it will take her sometime to get used to it!😊
So I believe Samrat should understand rather than be angry on her!
And the Nupur's secretary scene was awesome! Mayank has looks-to-die for and her secretrary literally died!😆
Nupur missed her meeting for Mayank and he made up by re-scheduling the meeting...!!😳😳
Aww, shooo sshwweeett!!
If I say this update was superb, mind-blowing, awesome, cute, wonderful, lovely, magnificent, flawless etc. it would be an understatement!!😳😳😳👏👏👏 I love it sooo muccch...
And the part where Mayank's receptionist misuderstood Nupur and later learnt that she is his wife was awesome!!👏
I am loving SaJan in this OS thoroughly and I enjoy reading the updates..🤗
Thanks a lot for the PM!!😊
Please update soon...
Love Nivriti❤️
Edited by SajanRox - 14 years ago
ginny09 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
yupeee
2 parts ek saath 😃
terriffic mayur sajan moments loved it 👏
loved it 👏
gopi06 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
nice updts dear..both parts are lovely
thanks for the pm

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".