Thanks a lot for ur lovely compliments
Part9 (Love n Challenge)
In Ludhiana
Prem aur Heer ek dosre ke saath dance kar rahe hote hai, aur dosri taraf Geet aur Maan, Geet Heer ko dekh rahi hoti hai
Maan: laghta hai tumhe koi aur pasand aa gaya hai?
Geet: aisi baat nahi hai main to Prem aur Heer ko dekh rahi houn
Maan: Prem aur Heer?
Geet: Heer ko main pehli baar kissi ladke mein itna khoya huwe dekh rahi houn
Maan: Prem hai hi aisa, jahan bhi jata hai sabke dil mein apni jagah bana leta hai, aab tum in dono ko choro aur mere saath dance karne par dihaan do
Geet smiles... and their romance starts...
Prem: tumhara naam Heer hai na?
Heer: haan.. lekin tumhe kaise patta challa?
Prem: Geet tumhe issi naam se bhulla rahi thi
Heer: main aabhi bhi tumhara naam nahi janti, tumhara naam kiya hai?
Prem: Prem!!!
Heer think "kitni strange baat hai na, ke mujhe kabse kissi Prem karne wala ka intezaar tha aur aaj ek ladka jo mere itne gareeb hai uska naam bhi Prem hai"
~~~~~~~~~~
In Shimla (restaurant)
Arohi, Arjun, Purvi, Salil ek hi table par baithe hote hain
Salil: aise har waqat ladne se probleme ka solution nahi millta
Purvi: hum saath baith kar solution dhunde ge
Arjun: time waste karne ki baat hai
Arohi: di main apke kehne par baith gayee aur dekho yeh kaise baat kar raha hai
Salil: tum dono ka jab bhi ek dosre se fight karne ka dil kare na to ek baar apni ankhein baand kar ke koi aise moment soch lena jab tum dono ko ek dosre ke liye kuch acha feel huwa ho
Arjun: aise koi moment kabhi aya hi nahi
Purvi: to woh moment aab bana lo, chal Arohi shuruwaath tu kare gi
Arohi Arjun ko ghusse se dekh rahi hoti hai
Arohi think " ek baar phirse isski taraf dosti ka haath pharha na hoga "
Arohi muskurate huwe apna haath age karti hai
Arjun think " kitna jhoota smile karti hai "
Salil: chal Arjun
dono ek dosre se haat milla the hain aur phir Arjun bhi todha sa muskuraa deta hai
~~~~~~~~~~~~~~~~
In Ludhiana
Prem aur Heer abhi bhi dance kar rahe hote hain aur achanak Prem ka mobile bajhta hai
Prem: excuse me
Prem side pe jaa kar mobile utha tha hai
Prem: kiya Preet tujhe bhi isse time phone karna tha?
Preet: bhai aap to aise baat kar rahe hain jaise kissi ladki ke saath ho
Prem: to haan naa...
Preet: sachchi mein?
Prem: sirf... tu... tu hi ladkyon ke saath reh sakhta hai kiya?
Preet: bhabhi kaisi dikhti hain?
Prem Heer ki taraf dekhte huwe kehta hai: bohot pyari
Preet: wah bhai!!!
Prem: woh.... Preet maine tujhe jo bhi kaha hai na tu yeh baat kissi ko mat bolna
Preet phone bandh karta hai
Prem think " maine Preet ko kiya kiya bol diya? "
~~~~~~~~~~~~~~
In Shimla (restaurant)
Arjun, Salil, Purvi aur Arohi khaa lete hain
Purvi: thanks Salil aapne hamhe khaana khilaya
Salil: please don't say thanks, aab to hum friend hai na to itna to haq banta hi hai
Arjun aur Arohi ek dosre ko ghusse se dekh rahe hote hai
Arohi think " sir aap ne mujhse panga le kar acha nahi kiya, pehle to main apki job chor dena ka soch rahi thi lekin aab main jab tak aapka yeh attitude wala paan uthar nahi deti tab tak nahi choroun gi "
Arjun think " dekhne mein kitni boli laghti hai lekin jab fight karti hai to jungli billi laghti hai, main isse itna kaam doun ga aur itna majboor kar doun ga ke yeh khud hi job chor de gi"
dono ek dosre ko ghoor kar dekh rahe hote hain, phir apne apne ghar chale jaate hain...
~~~~~~~~~~~~~~~~~
In Ludhiana (Geet's house)
Function khatam ho jata hai, sab log apne apne ghar jane laghte hain
Heer: chal Geet aab hum chalte hain
Geet: bohot raat ho gayee hai, yahin rukh jao
Maan think " agar yeh tenoon yahin rukh gaye to main Geet ke saath kaise time spend karoun ga"
Maan: Prem tum bhi to ussi taraf se ghussro ge na to tum ine chor do
Prem smiles: thik hai
Maan: aur phir sida kar chale jana
Heer: isski koi zaroorat nahi, driver to hamhe chorne jaa hi raha hai na
Maan: raat ke waqat ladkyon ko kisse anjaan driver ke saath nahi jaana chahiye, kuch bhi ho sakhta hai to Prem to jaan pehjaan wala hai to phir Prem hai tum dono ko chor de ga
Prem aur Geet dono Maan ke dil ki baat jaan jate hain
Prem: Maan tumhe fikaar karne ki zaroorat nahi hai main ine chor doun ga
Meher: bye
Heer, Prem aur Meher chale jate hain, Maan aur Geet ek dosre ko dekh rahe hote hain
Geet: Maan aap bhi na
~~~~~~~~~~~~~~~~
I hope u all like it,
leave ur compliments,
and hit the like button,
~Amira~