Thnkx for ur lovely compliment 😉
Part6 (Nazrein)
In Shimla
baarish rukh jaati hai to Arohi apne ghar challi jaati hai...
At Arjun's house
Arjun think "yeh ladkiye kitni batein karti hain, shuru hojaye to rukhne ka naam nahi leti (he smiles) lekin yeh ladki sab ladkyon se todhi si... baas todhi si alag hai"
At Arohi's house
Arohi think "yeh ladke kitna attitude dikha the hain, patta nahi khud ko kiya samajh the hain
(she smiles) lekin yeh ladka phir bhi todha sa acha hai... mujhe itne pyar se tea bana kar di"
~~~~~~~~~~~~
In Ludhiana
Next day, It's morning
Heer uth thi hai aur Prem naaha raha hota hai
Heer: iss ladke ne mera kitna khayal rakha, maa pareshaan ho rahi hon gi
saath mein ek pen aur paper pare huwe hote hai to Heer us par "Thanks" likh thi hai aur bed par rakh kar challi jati hai
after sometimes... Prem naha kar nikal tha hai, uski nazar uss paper par pharti hai to woh utha kar pharne laghta hai
Prem smiles: iss me Thanks ki kiya zaroorat hai, yeh ladki bhi na!!!
~~~~~~~~~~~~
In Shimla
Arjun's office, in cabin
Arohi: Thnks sir
Arjun: for what?
Arohi: kaal ke liye
Arjun: oh! It's ok
Arohi: and sorry
Arjun: aab yeh sorry kiss liye?
Arohi: meine kal aapke attitude ke bare mein bohot kuch bol diya
Arjun ko yaad ata hai jo kuch ussne Arohi ko badle mein bola hota hai to usse bhi buda feel hota hai
Arjun think " mujhe bhi sorry bol dena chahiye "
Arjun: koi baat nahi, I'm... (in his mind: Arjun punj ne aaj tak kabhi kissi ko sorry nahi bola to phir aaj iss ladki ko kyon bole!)... I'm getting late
Arjun yeh keh kar challa jata hai to Arohi ko bohot buda laghta hai
Arohi: kal sir ne bhi mujhe kiya kuch nahi bola, agar ek baar sorry bol dete to kiya hota
~ ~ ~ ~ ~ ~
In Ludhiana
Heer apne ghar pohnj thi hai to teji maa usske paas ati hai
Teji: Heer betha to sari raat kahan thi?
Heer phir sab kuch batta thi hai...
Teji: aab tu kaisi hai?
Heer: maa main thik houn, uss ajnabi ne mera bohot khayal rakha... baalke main to perfect houn
Teji: tu ne usse Thanks to bol diya na
Heer smiles: haan maa
~~
Prem Maan ke saath baitha huwa hota hai
Prem usse sab batta tha hai
Maan: woh ladki kaun thi?
Prem: i don't know... yahan tak ki main usska naam bhi na jaan tha
Maan: tumne ek anjaan ladki ko apne ghar par rakha... man, you are great!! issi liye to tu mera sabse acha dost hai, tu sabka kitna khayal rakhta hai
Prem: teri Geet kaisi hai?
Maan: uss bechari ka bhi wohi haal hoga jo mera hai, shaadi tak hum dono akele mein nahi mill sakhte (he is sad)
Prem: oooh... how sad!!
Maan ke dimaag mein kuch aata hai to woh muskuraane laghta hai
Maan: Prem tu sabka kitna khayal rakhta hai to apne dost ke liye kuch kare ga na?
Maan Prem ke kaan mein kuch bolta hai...
~~~~~~~~~~
In Shimla
Arohi canteen mein baith kar khaa rahi hoti hai tab uske paas ek ladka ata hai
Ladka: kiya main aapke saath baith sakhta houn?
Arohi: suree!
woh Ladka Arohi ke paas aa kar baith jata hai
Ladka: main Sid houn... main bhi yahan par kaam karta houn
Arohi: ohh!! Hi Sid
Sid: Hi... yahan par jitni bhi girls hai tum unse alag ho
Arohi: isse main comment samjhoun ya compliment?
Sid: jaise tumhe acha laghe, main to sirf itna kehna chahta houn ek colleage hone ke naate ke tum jab bhi iss office mein mushkil mein ho to mujhse help mang sakhti ho
Arohi smiles: thanks
Arohi apna haath age karti hai aur kehti hai
Arohi: friend?
Sid bhi apna haat age karta hai aur usse milla the huwe kehta hai
Sid: friend!
Arjun wahan se ghussar raha hota hai to dono ko aise dekh kar kehta hai
Arjun: agar aap dono ka khaana khatam ho gaya hai to todha sa kaam kar sakhte hain
Sid Arjun ke galle par baasu rakhte huwe kehta hai
Sid: sure dude
Arjun usse ghusse se dekhta hai aur kehta hai: I'm ur boss not a dude
Arjun yeh keh kar challa jata hai to Arohi ko bohot buda laghta hai aur phir Sid smile karta hai
Sid: hey sweetie, don't worry... jahan par Sid hai wahan par sirf enjoy karo
Arohi ka mood kharab hota hai lekin Sid ki batein sunne ke baad thik ho jata hai
~~~~~~~~~~~~
In Ludhiana
At Geet's room
Heer aur Geet baith kar batein kar rahe hote hain, Prem ghidki se andher ata hai
Geet: arre kaun ho tum? zaroor tum chor ho
Geet pilow utha kar Prem ko marne laghti hai to Heer usse aa kar rokhti hai
Heer: yeh wohi ladka hai jisske ghar par main raat ko tehri thi
Geet: tumhe itni bhi akkal nahi hai ke side raste se ao?
Prem: Maan ne mujhe aise ane ko bola tha
Geet: Maan?
Prem: haan woh tumse millne aya hai, woh niche garden mein hai
Geet: maine tumhe chor samjhaa uske liye sorry
Prem smiles: It's ok
Geet challi jaati hai
Heer: woh... kal raat ke liye Thanks
Prem: no Thanks... please!!!
Heer smiles: ok..
bohot zor se hawa chalne laghti hai, Heer bahir jane laghti hai to uska phair mudhta hai to woh girne laghi hoti hai lekin Prem usse pakkar leta hai, dono ek dosri ki ankhon mein khoye huwe hote hai
Song: woh mille the
kyun mille the
~~~~~~~~~~~~~~
In Shimla
at Arjun's office, Arohi library mein kuch books dhund rahi hoti hai chair par gadhe ho kar woh ghir ne laghi hoti hai to Arjun aa kar usse pakkar leta hai, Arohi usski ankhon mein dekhne laghti hai, Arjun bhi uski ankhon mein khoo jata hai

Song: dekhne baas une
waqt bhi rukh gaya
Arjun Arohi ko sida karta hai aur wahin dosri taraf Prem Heer ko piche karta hai, aur phir ek dosre se nazrein chura ne laghte hain....
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
I hope u all like it,
leave ur compliments,
and hit the like button,
agar maine koi galti ki hai to please i'm sorry 😕
I'm very buzzy with my exams, and m in very bad situation
please pray for me and for my family...
~Amira~
Edited by amira_saeed - 14 years ago