Teri tasweer meri aankhon mein basi kyun hai..
Jidhar dekhu udhar bas tu hi kyun hai..
Teri yaadon se wabasta meri taqdeer hai lekin
Tujhe naa paakar meri taqdeer ruthi kyun hai..
Mujhko hai khabar asaan nahin tujhe paana
Phir bhi yeh intezar yeh bekarari kyun hai..
Barson guzar gaye mere tanhayi mein lekin
Meri baahon ko aaj bhi tera intezar kyun hai..
Teri chahat ki kasam khoon ke aansu roye hai hum
Ab nahin hai kuch baaki phir yeh jaan baaki kyun hai..
Khatam hua mera afsana magar ek baat batadu
Anjaam tha malum mujhko phir bepanah mohabbat kyun hai....!