sher-o-shayri (ssssh back again guys 01)

ssssshkoihai thumbnail
Posted: 16 years ago
#1

😳😳😳
😳
😳😳
😳
😳😳😳
Kitnay parvaaney jaley raaz yeh paaney kay liye,
Shamaa jalnay kay liye hai yaa jalaaney kay liye,

Ronay vaaley tujhay ronay kaa saleeka bhi nahi,
Ashq peenay kay liye hain ya bahaanay kay liye,

Tum tou nadaan ho,na samjhogay yeh zaalim duniya,
Sarr chadda leti hai nazron say giraaney kay liye,

Aaj karta hun shab-e-gamm kee shikaayit tum say,
Roz aa jaati hai kambakht sataanay kay liye,

Mujhko maloom thaa aap aayeingay meray ghar par,
Khud chala aayaa hun main yaad dilaaney kay liye,

Ishq nay raaz yeh ab tak na bataaya hai ali,
Sarr jhukaaney kay liye hai ya kataaney kay liye,


2.........



mujhy kisi k tasawar me doob jany do,

buhot nahi thora sa hi jal jany do,

main janti hoon mohabat nahi usay mujhy sy,

magar me khush hon k mujh ko fareb khany do,

me bhool jaon usay ye to ho hi nahi sakta,

wo bhoolta hai mujhy to bhool jany do,

meri wafain kal usay buhot rulain gi,

meri wafa pe usay aj mukurany do,

howa wo kaisy juda yaad kuch nahi ata,

main sochti hoon,usay kuch to yaad aany do.!



Edited by ssssshkoihai - 16 years ago

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".