Originally posted by: Moonks
Kis galti ki saza thi jo aaj mere hisse aayi,
Kya itna galat tha mai ki wafa bhi na kar paayi,
Jo kabhi khud se bhi na kaha tha maine,
Woh dard aaj bayan kiya tujhe,
Dekh kar dard jo mere hisse aaya tha,
Usi mein khokar ek aansu tune bhi toh giraya tha,
Apni Mohabbat mein bebas hokar ek waada tujhse chaaha tha,
Par yeh samajh na paaya kyun tu mujhe na de paaya tha,
Mere apnon ki zimmedari ke liye khudko khoya tha maine,
Tere milne ke baad fir se ek baar jeena sikha tha jaise,
Par aaj na jaane kyun khud ko phir tanha paaya tha,
Shaayad ek baar fir zindagi ne mujhe koi sabak sikhaya tha!!