Originally posted by: Anu_02
manbir angad ko control karke rakhna chahti h mera beta aisa h vo h ussey dur rehna ..dekha party mein kaise ussey chipak Rahi thi jabki vo angad tha jo sahiba se chipak Raha tha 😆kya ye nahi dekha manbir ne😆 sahiab ne to bas natak kiya but mauke p chauka angad maar Raha tha manbir ne sab dekha or blame sahiba ko kiya...
Or sahiba jaanti h tabhi to bola ki kya vo apne bete ki guarantee de sakti h ki vo kabhi zabardasti apna haq nahi jatayega uspe or manbir ka ghamand dekho sahiba ko hadd mein rehne ko bol rahi h jabki iska apna beta ab saari haddey paar kar raha h ..
Jasleen Yun hi manbir k good books nahi rehna chhati
vo jaanti h manbir angad ko control karke rakhti h jo sara business sambhalta h ...lekin jahan tak maine GC mein dekha tha is incident k baad paromita ne manjira ko bhi bohot sunaya tha riddhi ko lekar ...
Yahan p pata nahi Jasleen sunayegi ya nahi ...but iske baad se vo samjah jaayegi ki iska beta ab jyada iske control mein nahi rehne wala ..
Manbir ka control kiya hua beta ab out of control ho raha h 🤣...or future mein to pura hi ho jaayega 😆...manbir or Jasleen ka bhi apna chalta rahega apne apne beto ko lekar
Jab Garry k liye rich ladki ka rishta aayega tab jasleen kitna dikhawa karegi manbir k aagey taunt karegi but jab Garry ka sach bahar aayega na tab manbir bhi mauka nahi chodegi 😆...or jab jab angad iski baat na maankar sahiba ko support karega tab kaise Jasleen manbir ko taunt karegi😆...
Jabki sach ye h ye jitna bhi lad le sab kuch kaand inke bete hi karne waaley h Garry ka kaand Jasleen ka kya haal karega purey gharwaalo k aagey mazaak bana dega Jasleen ka dekhna
Or angad ka sahiba ki taraf attract hona sahiba k sath aana manbir ko aag lagayega but dono ki dono sirf sahiba ya seerat ko blame karengey apne bete ki khot nahi dikhegi inko