Originally posted by: Chinmayi18
Ye hamare parents itne boaring and sentimental kyu hote hai
See, ek boring si serial hai "kanyadan " karke uska Bengali remake meri mummy dekhti hai 7.30 baje and usi serial ka Marathi remake mere papa dekhte hai 8.30 baje. Aur story bhi kya 1 old father and his 5 daughters and their married lives with lots of struggles only rona dhona and family drama , ek marriage hall me jitne guests hote hai Itne sare unlimited characters 😕
Maine irritate hokar TV band kar diya to parents bole hame bhi kanyadan karna hai na is liye dekh rahe hai
Fir maine bhi bol diya aap mera kanyadan kardo isse pehle mai hi aapka "matru-pitrudan" kar dungi 😛par no use within 5 minutes firse TV on and meri mummy boli is 4th daughter ke husband ki tarah jamai chahiye muze bhi
Kitna dukh hai meri life me 😭🤣
Serial se seedha swayamwar tak pahuch gaye, arey baap re baap 🤣🤣🤣
I'm sorry I dont wanna but cannot stop laughing on @bold, unke plans toh solid lag rahe hai, bachke rehna yaar, kahi koi pakad ke leke aa jaye kal hi, yeh bolke hi humko pasand aa gaya🤣🤣
Waise, will you prefer Bengali or Marathi? Tumhare parents ke kaan mein hum log hints daal denge ki mann chahe varr mil jaye (unko)😛🤣