ek to bro is show me raato raat sab ka hriday parivartan hota hai
Ek din sab kutto ki tarah larte hai aur agle din hum saath saath hai chaalu ho jaata hai in ka😕
Aur agar pakhi ko maa ki shaadi k liye convince karna itna easy tha ki wo ek baar samjhaane par hi samajh gai to jagat maata anupama ne pehle samjhaane ka try kyu nhi kiya...ye to raah chalte logo ko bhi pakad pakad k gyaan pelti hai but khud ki beti ko samjhaane Anuj ko aana pada🤣
Bhai baat ye hai ke pakhi ya toshu ko itna samjhana hi kyun hai..theek hai anupama ke bacche hain..wo aayenge to maa ko accha lagega..but unhe unnecessary force kyu karna emotionally..unhone aapki advice maangi kya?
Diwali waale din bhi ye ghanchakkar aadmi gaya tha na haath jodkar anupama ki khushiyon ki bheekh maangne shah house me🤪
Pakhi or toshu toddlers nahi hai..adults hain..to unhe apne decisions khud lene do..hamesha force karte hain isliye to dono consistent nahi hai..har doosre din unka mind divert ho jata hai
12