Thanks dear
Glad you love it
Keep reading
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 20 Aug 2025 EDT
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 19 Aug 2025 EDT
DAHII HANDI 19.8
Shradhanjali to Mr Anshuman Raizada
Disaster Monday: War 2 falls 75% to Rs. 6 cr, shows cancelled
IMMORAL CRINGE 20.8
Back to the pavilion when??
Did i heard right ???????
Faissal Khan's Shocking Revelations
Savage Katrina!!
KJO To Return In 2026 With Classic Hindi Cinema
So the roles are officially switched…
Aishwarya Rai Bachchan in a new advertisement for #Loreal
I find it unprofessional
Rashmika Mandanna & Vijay Devarakonda India Day New York parade
Why is this show so PG? S1 was more 15 Rated or nowadays A.
Thanks dear
Glad you love it
Keep reading
Awesome update
loved it
oh my godd!!! this is hilariousss!!! man kar raha tha ki update khatam hi na ho. I read this 3 times
bichara Chotu 4 -4 ko akele sambhal raha hai
bichara Sam itna confident ki Riya akeli achi bachi hogi, ye Shree aur Ayesha ki toh alag hi band bajne waali hai jaisi hi unki pol khulti hai
Riya ne phone par Arjun ka secret bol diya, Chotu toh bichara kuch bol bhi nahi sakta, bas shock ke maare khada hai aur Rathore ka reaction, Arjun ka sharmana🤣
Finally woh dono bhi club ke baahar pahunchte hai... lo Rathore sahab ne toh dhamki de hi di ki office mein sabki band bajne waali hai, aur koi toh hosh mein nahi hai par Chotu ko raat bhar shayad is dar se neend hi na aaye
oh my god gaadi mein bhi Ayesha aur Riya.... 🤣
ek gaaye jaa rahi hai dusri Arjun ki tareef kiye jaa rahi hai
bhai ko khadoos bola toh kitna shanti se na bola, Arjun ko bola toh bhadak gayi madam
the way Sameer baar-baar peeche dekh raha hai ki Arjun aur Riya ke beech aakhir chal kya raha hai aur fir Riya ke Arjun ko cute bolne par offend hona
lol... aage dekh kar gaadi chala
are re Arjun itna kho gaye Riya ki tareef mein ki gaadi ruk gayi hai ye bhi nahi pata chala
Chalo Ayesha toh sahi salamat ghar pahunch gayi
ab Riya Arjun aur Sameer ke aage aur kya-kya gul khilayegi?
Damnnn, cont sooooooooonnnnn
Thanks dear
Glad you love it
Ha chotu bichara akela sabko sambhal raha hai..
Ha sam ko apni behen par pura yakin tha..par kaha pata tha usake dost aise shararat bhi kar sakhte hai..
Ha Arjun ji ko pata hi nahi chala gadi Ruk gayi hai..
Aayesha toh pahuch gayi..par Riya ab aur kya karegi ye bhi next part me pata chal jayega..
Keep reading
Originally posted by: nicronyariya
Bahot hi cute update hai...
Loved every bit of it..
Cont soon
Thanx for pm
Thanks dear
Glad you love it
Keep reading
Originally posted by: RainOfDew
Hilarious updt🤣
Bechara Chotu ise bhi kyu sober choda🤣kaise handle kiya in sabko
Riya tells Arjun secret of holding hand while sleeping😆
Lol Ayesya singing nd Riya praising Arjun🤣Sam shocked😆
Cont soon
Thanks dear
Ha poor chotu..
Yah Riya ko toh Arjun se furasat nahi🤣
Keep reading
Originally posted by: kavya1994
Chapter-5
⚙️Wow, Riya was frustrated with Arjun's repeated questioning that means there's possibility that she can be both upset(naraaz) and angry on him(yeh hua na normal hubby-wifey wala thing
)
~Ha .ha..gussa BHI hogi..
▶️Bahut zyada gussa honi chahiye wo usse, aur sapne mein nahi hakikat mein...jo Arjun ne kabhi sapne mein bhi na socha ho😈
⚙️ The way he made her speak about her pain. He should have let her speak up her feelings by her own not by pressurising her or forcing her to speak because of some emotional blackmail from him
~I know Arjun ne Riya ko uksaya ke woh baat kare..jab ki usse wait Karna Chahiye tha..but usake bare me bhi kuch socha Hai meine..
▶️Will wait for that....par uss gadhe ne Riya se judi badi-badi baatein toh apne paitron se ugalwa hi liya😒....... Arjunnn😡
Chapter-6
🔸Ek sawaal uss din comment mein likhna bhool gayi. Arjun ne Sam ko bataya hi nahi ki Riya ne unki kis din ki vartalaap sun li thi, phir Sameer ko kaise pata chala ki woh vat Savitri ke baad wale din ki baat kar raha hain?🤔
⚙️Arjun ke jaldi se puri baat Riya ko spasht kehne par Sameer ki saari pratikriyaein; pehle uska soch pe pad jana, phir kehna "mujhe yaad to karne de" aur phir sirf vahi baat ko batana jiska arth Riya ne kuch aur hi nikal liya tha, yeh sab padhkar mujhe bahut maza aaya😄🤣
~Sam
..Woh toh Jaise Arjun ki galaxy Dekh maze le Raha hai
▶️🤣In the coming updates, Arjun ki buri halat dekh Sam ko aur maze lete dikhana...bahut rulaya hai iss Arjun ne Sameer ko...
⚙️Main ek aisa drishya zaroor chahti thi jaha Riya ke bimaar padne par, Arjun pareshan ho aur uski saari dekhbhaal woh kare aur apne woh bhi yaha par dikha kar meri woh khwaaish bhi puri kar di😊
~Don't worry ..aage toh aur bhi dekhbhal karni padegi usse Riya Ki..
▶️ Karwaao, Karwaao khoob sewa Karwaao Arjun se...
⚙️ Shuruvaat mein, Riya ka saara dard jaane ke baad, uss par Arjun ki pratikriya ya uske vicharon ka varnan bahut sanshipt (brief) tha.
~Don't worry Arjun ne bhale hi uss waqt express na Kiya ho..but he will in upcoming event..
▶️Mujhe intezaar rahega...
⚙️Arjun ko Riya ke sawaal sun, hairaan hote dekh mujhe accha laga, kyuki yah darshata hai ki, Arjun Riya ko apni zindagi mein puri tarah se ek humsafar ke taur par apnane laga hai, saath hi saath yah bhi manne laga tha ki apne rishtey mein aage badhne se way dono khush hain, aur shayad isiliye usne yeh ummeed nahi ki thi, ki Riya usse yeh sawaal bhi karegi
~Sahi Kaha..Riya ke sawal be Arjun ko shock Kar Diya kyo ki Woh Puri Tarah SE Riya KO apna hamsafar man chuka Hai..Woh sach me Khush Hai Riya ke sath,n waqt waqt par Woh iss Khushi KO zahir BHI Kar Raha hai..iss liye Woh hairan Hai ye sochke ke Riya KO aise kaise lag sakhta Hai ke Woh Khush Nahi Hai..
▶️Arjun ko Riya ka sawaal sun uss pal dukh hua yah drishya accha tha par uss pal bhi usse yeh mehsoos nahi hua ki jis tarah usse lagta tha ki Riya uski bhavnaaon ko acchhi tarah se samajhti hain jo usse woh(Arjun) har waqt apne chehre par saaf-saaf zaahir karta hain, aur usne kabhi ummeed nahi kiya tha ki Riya ko usse apni khusi shabdon mein vyakt karne ki zaroorat padegi thik ussi tarah Riya ne bhi kabhi uss se(Arjun) ummeed nahi rakhi hogi ki usse(Riya) kabhi apne pyaar ka izhaar uss se lafzon mein karna padega. Uss ne bhi shayad yahi socha hoga ki woh(Arjun) uski bhavnaaon ko samajh sakta hai jo woh apni kriyaon se hamesha zaahir karti thi; Riya ka uske faislon me saath dena(their first night talk), usse samajhna, usse(Arjun) shadi hote huye bhi ek grihasth jeevan ke shuruaat karne ke liye uska kareeb 2 saal intezaar karna, uski har pal parvaah karna, uske apno ka dhyaan rakhna, uske gussa ho jaane par rona, uske dard mein aansoo bahana, uska usse(Riya) apne saath na le jane par dukhi hona, uske kareeb aane par uski(Riya) ki hichkichahat, uske chote se chote tohfon par bahut khush ho jana...par phir bhi usne Riya ki bhavnaaon ko samajhne ki koshish hi nahi ki yeh andaaza hote huye bhi ki woh usse pasand karti thi aur na hi kabhi socha ki usse bhi iss baat se dukh hota hoga.
📌Aur toh aur Roshni se apne liye pyaar ka izhaar sunne ke baad usne ek dusri aurat ke pyaar ke izhaar ko apni patni ki bhavnaaon ke saath tola(compared it), woh patni jiska auda uski zindagi mein, mata swaroop streeyon ke pashchaat uss uchayi par hona chahiye tha jahan koi stree kabhi bhi pahuch na sake. Uska yun ek parayi stree ke liye apni patni ko tuchcha kar dena, woh patni jisne ek bhi kaaran nahi diya unki shadi ke baad jisse Arjun dukhi tha aur jo apne aap ko uske liye badalne ki liye bhi taiyaar thi taaki ve dono saath mein khush reh sake, wala karya purnatah grinaprad (completely disgusting) tha.
Yeh ek aur cheez thi joh mujhe tab pasand nahi aayi thi, dusri ladkiyon ke saath tulna karna samajh mein aata hain, har koi karta hai par ek pati hokar bina apne patni ko janne aur samajhne ki koshish kiye, bina apni shaadi ko ek mauka diye........nahi, bilkul nahi........Arjun toh pehle se hi neeche gir chuka tha, uss din aur bhi neeche gir gaya.
⚙️Suddh Hindi me aapki comment padh Kar Maza aa gaya
▶️Yah jaan kar mujhe ati prasanata huyi ki aapko mere dwara likhi tippaniyan padhkar maza aaya 🤗
Ha Arjun ne past me bahut kuch galat faisale liye hai..aur woh issi guilt me jal raha raha hai..
Arjun bhi apne iss kiye ki saza bhugat hi raha hai..roshni ki maut hui,usake papa ki halat bhi aise hai..badle ki aag me kayi mahine jalta Raha..fir bhi sukoon ki kami hai..
Aur aage bhi bahut kuch aisa zelna hai Arjun ko jo usse Riya ki tadap ka ehssas dilayega..
Originally posted by: kavya1994
Chapter-7
⚙️Aap sach me sab kuch guilt ki wajah se nahi kar rahe hai na?
Yeh huyi na baat
Instead of making assumptions of your own better to ask clearly. Ladki hamari samajhdaar hain, jaldi samajh gayi
~Ha.. experience se samzdar ban gayi hai ladki..ab sidhe sidhe sawal kar rahi Hai..
▶️Aise hi rakna ab hamari Riya ko.
⚙️ Guilt to toh aur hamesha rahega shayad...
If he want to have little guilt or some amount of guilt, yeh yaad rakhne ke......how can he give happiness to her in their relationship, which will be again doing wrong with her.
~Hmm..iss point ke bare me mujhe sochna padega.
▶️Take your time dear.... I will wait to read.
⚙️ Toh aap sach mein hamare hamadard banna chahte hain?
Go Riya
, mauka pe chauka laga hi de
khel le jitna khelna hain KBC/Bournvita Quiz contest apne Pati ke saath, subjective wala😜Aaj tumhare Pati tumhare har prash ka uttar dene ko taiyaar hai kanya😂🤣
~Ha Sab Puch rahi Hai..ab Roz Roz thodi mauka milta Hai ACP Arjun ki interrogation Karne ka..
▶️🤣🤣Main toh chahti hu aap Riya ko roz-roz na sahi par bar-bar yeh mauka zaroor de😆
⚙️Bechara Pati Arjun
, so many times he had said this to her but still she wants to listen, better he should give the answer by writing imposition 7times, saat phere liye hain, toh kam se kam saat bar likhna toh padega hi
Aaj toh ACP Arjun hi fas Gaye Hai interrogation me..Jawan BHI dena pad Raha Hai ..biwi Jo kar rahi hai interrogation🤣
▶️Update mein toh shayad hasne layak kuch tha nahi par uss update ke comments ke saath aapke replies padke mujhe bahut hasi aa rahi hain.
⚙️Arjun hugged Riya
I love how he hugged her remembering that he had said the same words to her. He was truly happy that he could do something for her to make her heart at peace. Hoping that very soon she will also reciprocate to his hug or hug him herself
~
agar Woh khud hi Arjun ko hug kare toh ...?
▶️Hmmm... Depends....on both Riya's feelings and the situation. If at this stage you want to show then it will be good if it would be an emotionally weak moment for her or she will not be in a fully conscious state.
~As a friend if you want to show her initiating a hug then it will be better to show after
(i) Her getting answers to the unanswered questions of regarding their broken relationship.
Ariya ke pehli shaadi toh tut gayi par woh adhyay kabhi khtm nahin hua, still there are questions between them which are left unanswered aur woh uss ghav ki tarah hai jisse kabhi siya nahi gaya, jis par kabhi malham nahin lagaya gaya, jiski wajah se woh ab nasur ban chuke hain. So pehle unhe silne aur bharne ki jarurat hain.
(ii) Her getting open and comfortable with Arjun atleast as a friend.
Jab ateet ke ghav bhar jaayenge, unke beech ki khaayi bhi khatm ho jayegi which will give way to a close friendship, jisme Riya poore haq se Arjun ke saath woh sab kar sake jo gehri dosti mein allowed hain.~As a lover and then as a wife, woh sab iske baad.
Above cases I just wrote keeping the progression of their relationship in mind, but it's not necessary. I feel hug is gesture which can be done to show many emotions, so it totally depends on situations.
⚙️Main ek aisa insaan hu jo saaf-saaf bol deta hu sab jo dil mein ho.
~Ha tab Arjun ne baat chupna sahi samza tha..
⚙️Hum aapko pareshan nahi karna chahte the Bhaisa...
~Hmm..she just don't want to bother him more..n moreover she thinks ke isase samjun ke bich problem aur badhegi..
▶️Inn dono ka kuch nahi ho sakta....kaun inko sadbuddhi dega....
Chapter-8
⚙️Loved Riya showing attitude to Arjun. Finally she said it Aurat ke kabiliyat par shaq nahi karna chahiye.
~Jaha Riya waha aurat ki kabiliyat wala dialogue na ho..ye toh ho hi Nahi sakta..
▶️Correct👍🏼
⚙️Koi iss Arjun ko samjhaye aise compliment Ghar mein dene chahiye, but I liked it.
~Are compliment diya yahi badi baat hai..
▶️Yeh baat bhi sahi hai😆
⚙️SamJun's banter was so good
Riya bechari kaha phas gayi
But I love these trio.
~Yah Riya fas jati Hai Dono ke bich
▶️I want more scenes of these three😛
Thanks for your replies🤗
I enjoyed reading it😊
Ha dost toh woh acche hai hi..ab jab woh ekdusare ke hamdard honge toh sara dard dukh toh woh batege hi kisi dost ki tarah ..Arjun toh batata hi hai..ab Riya bhi pure dil se khud hokar bategi..(thoda sa time hei isake liye)
Aur rahi baat ghehre dosto Jaise behave karne ki toh ye toh hoga hi jab woh dono ek dusare ke hamsafar ban jayege..
Originally posted by: kavya1994
Chapter-9
~Arjun realise that Riya is upset..he try to talk to her..n she try to avoid it..
I know Arjun Ka aise force karna sahi nahi tha..par Riya jo itni shy n introvert hai usake liye ye bahut mushkil Hai ke khud hokar Woh Arjun se apna dard bate..
▶️I understand that she is shy and introvert, but last some years has brought change in her, now she can easily talk to others when its related to other things. That change reflects in her nature too, so its not too difficult to open up to others at this point of time.
You open up to that whom you are comfortable with, who gives you needed space to think and act and not pressurise you even after knowing that something is troubling you, who make you feel that your pain is equally affecting them too and by hiding your problems from them you are hurting them more. But here Arjun neither try to attempt make her feel something like that nor had given her a proper space and time to think. Only thing he has done is to force or trick her to speak out everything or know about her by other means😠
~Ha sahi kaha abhi Riya ko lag raha Hai Arjun uss ka hamdard hai..par abhi true sense me Riya ne usse apna hamdard nahi mana..
Jab tak woh khul ke apna dard usake Sath Nahi bategi,Jaise Woh Apne Bhai ya kanha we batati hai..tab tak Woh uss ka hamdard Nahi ho sakhta..
▶️ Exactly
Par ye bhi hoga ..meine kuch socha hai..kuch parts lagege..ariya ek dusare ke hamdard zarur banege.
▶️Will wait...I also want them to see as each other's Hamdard in true sense.
Chapter-10
~Ha Arjun BHI janana Chah Raha Hai ab Riya ke bare me..
Kya kare Riya Arjun SE jyada toh kanha ji se baat Karti Hai .
▶️🤣🤣🤣🤣
~Yes thoda sa romance n thodi comedy toh hogi hi..
▶️Thodi comedy.... thodi se zyada thi...😆
Thank you for replying🤗
Ha Riya bhale hi kafi badal gayi hai pehle se jyada ..par fir bhi ham apna dard har kisike sath toh nahi share kar pate..it's difficult..
Rose Day – A Bloom from the Past The world outside was painted in hues of red and pink. Valentine’s week had begun, and the city was celebrating...
The Unending Pursuit: Arjun's Quest for Justice In the heart of Mumbai's relentless cityscape, a tragic tale unfolded that would forever alter...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
Hey guys, i know that i am very late and i have left my book incomplete. Actually had problems that forced me to focus on my life for a period...
38