Originally posted by: PassionStar
Behen maine vo part me ye nahi likha ki tumhe show pasand hai....maine vo immj ke liye likha....next time se highlight krke qoute krungi๐
Actually starplus ki marketing strategy kaafi achi hai.
Catchy promos aur frequent promotion.
Aur channel ki reach kaafi zyada hai...kaafi purana channel bhi hai.
Aur jaise meri friend hai....uske yaha jo channel dekhti hai...usi ke saare shows dekhti hai vo....channel change nahi krti...chahe koi bhi show ho.
Agar star hai to star ke saare shows.... Similarly colors aur zee bhi..
To isi tarah kaafi audience hain jo ek channel hi dekhti hain...uspe koi bhi show aaye vo dekh lenge.
@UL-ok ok my mistake mein toh hi sochu ki tum kaise soch sakti ho ki mein us sp jaisa typical serial dekhungi....๐ ๐
@b-han ye hi keh rhi hu mein,ki colors ki marketting achi nhi hai....
Ab jaise is week bajaye kaanch par chlne ke shootout ka promo dena chahiye tha with bg effects par nhi ye pta nhi kyun logo ko bhagane ki koshish krte hai apne promos se...
Abhi bhi riansh ke scenes ke sath promo dena chahiye tha bajaye crib ke aur kabir ke dialogue ke bcha mera maa meri...