Originally posted by: Chahat_A_Doshi
Khayali Pulao
“Here you go sweetheart, aapki adrak wali chai.” Rishabh handed Prerna’s favorite (I ❤️ My Husband) mug to her. He settled next to her on their bench in the back garden of Bajaj Mansion. “Waqt itna jaldi guzar jaata hai na?” She asked as she flipped a page in the photo album. “Ye dekhiye Mr.Bajaj humaari Kukki, choti si sirf 6 saal ki jab main use pehli baar mili thi.”“Hmm and now she is a 20 year old young lady. Kaash wo itni hi choti si rehti.”He took the album in his hands. A tear dropped as he looked at the first picture they had taken of Sneha. “Sneha ko jab pehli baar dekha tha tab use pehchaan bhi nahi paaye hum ki wo humaari beti hai. Kaisa laga hoga use ki uske mumma papa ne use nahi pehchana.” Prerna wiped his tears. “Lekin usne humaare sacche pyar ko pehchaan liya isi liye toh humse itni jalddi ghulmil gayi thi.” “And look at her chubby cheeks! Aapko dekhkar toh mujhe tension hoti thi ki baby kitni kamzor hogi. Lekin jab pehli baar Kasak ko dekha I was so relieved. It must have been so difficult for you to give birth to her.” He pecked her on the cheek and whispered “Thank you for coming into my life.”
“Mr. Bajaj, Kasak ab 5 saal ki ho gayi hai I think…” “Yes it’s a wise decision to join the office full time.” “Mr. Bajaj meri baat ko poora suna kijiye. Main keh rahi thi it’s time for Baby Rishu.” “I’m too old for this. I can’t do it again." Rishabh kept the album away and closed his eyes. “Oh come on Mr. Bajaj we do IT time and again bas iss baar humaare KAAM ka PHAL bhi chahiye mujhe.” “NO.” “Mr. Bajaj, aapne mujhe no kaha. Mujhe! Mrs. Prerna Rishabh Bajaj ko. Aapne aaj tak mujhe kabhi no nahi kaha aur itni si baat keliye mujhe NO keh rahe hain.” “Itni si baat! Aapne coffee ke saath muffin nahi maanga hai. It’s not itni si baat.” “Mr. Bajaj aapke paas teen teen papa ki princesses hain mere paas ek bhi mumma’s boy nahi hai meri team bahut kamzor hai.” “Mrs. Bajaj aapki team kabhi kamzor nahi ho sakti because Rishabh Bajaj is always on Team Prerna.” “Haan toh meri team Rishabh Jr. ke aane se aur bhi strong ho jaayegi.” “NO means NO.” They had reached the main hall by the time Rishabh refused for the last time. “Dad,aap mumma ko NO keh rahe hain!” Kukki looked out of the window to see where the sun had risen that morning. “Ab mumma ko pata chalega how it feels when dad tells us no. Mujhe humesha samjhati hain dad hain tumhaare bhale ke liye no keh rahe hain.” Sneha was happy that her dad said no to her mumma. Kasak started humming “nono nono no no no!”
“Chup teeno papa ki princesses! Tum logon ke faayde ki baatkar rahi hoon.” “Mrs. Bajaj don’t get the girls involved.” “They are already involved Mr. Bajaj. Kukki late night bahar nahi jaa sakti, kyun? Kyun ki uska koi bhai nahi hai jo bodyguard bankar uske saath jaata. Sneha school se ladkar aati hai, kyun? Kyun ki uski friend ka bhai uske liye na jaane kya kya karta hai par Sneha falls short kyunki uske paas bhai nahi hai. Kasak, uska my family essay wo kabhi complete nahi karti, kyun? Kyun ki mumma family mein toh bhai bhi hota hai par uske paar bhai nahi hai ye bolkar.” One by one Kukki, Sneha and Kasak had gone and stood near their mumma. “Look around aapki team kamzor lag rahi hai aapko?” “Dad, aap bahut alone lag rahe hain humein. Aap humaare ghar mein only boy hain na. Agar aapke paas one more boy hoga toh aap alone feel nahi karenge na?” Kasak asked innocently. “Yeah dad jab mumma aur hum teeno girl’s night karte hain aap kitne akele feel karte hain. Bhai hoga toh you will also get someone to have boy talk with.” “I’m with Kukki di on this one. Sochiye dad aap bhaiyyu ko shave karna sikhayenge. Boys section mein shopping karne jaayenge. Log jab bhaiyyu ko aap ke saath dekhenge toh kahenege like father, like son.”
“OK.” Rishabh said softly. “Kya sunayi nahi diya?” Prerna,Kukki, Sneha and Kasak all asked him to reply louder every time he said ok. “OK OK OK. Tum charoon ko kabhi mana kar sakta hoon main.” Rishabh always gave in to his Special 4.
A year later,
“Mrs. Bajaj, it’s your turn.”
“Mmm nahi na. Aap dekhiye main bahut thaki hui hoon.”
“Mrs. Bajaj main bhi thaka hua hoon. I had told you I’m too old for this.”
“Please iss baar dekh lijiye.”
Rishabh pecked her on the forehead. “Come here babu.”Rishabh placed their son, Stavan on the bed and lay down between Prerna and him. He protectively held the two. He pecked Stavan and Prerna, “Thank you for coming into my life.” The two of them smiled in their sleep and a wide smile spread on Rishabh’s lips.
Note" Khayali hai par logical, Kukki is 20, Sneha 14 and Kasak 5.