Part 16 : After all we are aliens
Bhavna aunty tries to make understand bhadresh
Rustogi enters
Rustogi- ( happily) chalo chalo ghar khali karo iss baar mein koi bhaana nahi sunne wala..chalo..jaldi karo..chalo jaldi saaman nikali abhi yaha naye customer aa rahe hai...
Bhavna- aeee rustogi yeh kya bol raha hai aur hum ghar kyu khali karenge...
Rustogi- ooo sorry sorry bhavna Ben woh kya hain finally ghotala family ghar khali kar rahe hain.. toh jaraa khushi ke maare galat ghar mein aagaya
Bhavna- kya ghotala family ghar khali kar rahe hain...
Rustogi- haan unhone phone karke bulaaya hain mujeh..mein chalta hoon..
Bhadresh- mein bhi aa raha hoon rustogi ruko..
Bhavna- baba yeh tu...
Bhadresh- nai baa Jo mujeh karna hain mein karke rahoonga
All are tensed..bhavna aunty informs ghotala's about rustogi arrival...
At ghotala house,
Rustogi and bhadresh arrives...
All ghotala's -areee aap? yaha iss waqt ?kaise aana hua ??aaye aaye baith ke baat karte hai???
Ronnie-(to ohja uncle)yeh log kar kya raha hain man.. rustogi ko baithe ne ko bol raha hai..
Ohja-(whispering) areee ronnie yeh log !alien ghotala hain toh ghotalagiri toh karenge hi...hi hi
Rustogi- mein baith ne nahi aaya aap mujeh ghar khali karke do bas
Vasant- dekhiye rustogiji woh kya hain na plan mein thoda change aaya hain...aur woh kya hai na ki...ki...ki.. (whispering) varsha baat karo na tum
Varsha- areee vasant mein kyu baat karu aap boliye
Vasant- wooo ooo aage varsha kahegi...
Varsha- woh kya hain na rustogi bhaisahab woh thoda na aise plan mein change hua hai..aur .woh..woh aage sharad batayega
Sharad-(whispering) bhabhi mein?.(towards rustogi) woh kya hain na rustogi bhai woh bhabhi ne Jo kaha na woh sahi hain...woh hum thoda .sa..thoda sa..bas thoda sa
Rustogi- areee aap log aise ek ek karke mat boliye jaldi boliye woh dusra customer aata hi hoga..
Hemant comes and does heeein
Hemant - rustogi uncle mein bata hoon ..woh hum log na ghar khali nahi kar rahe hum yahi reh ne wale hain. Toh aap wapas jaaye ..woh bhi khali haath aur yeh ghar lene ka sapna bhul jaaye. heeein
Rustogi -kya ..nai nai aapne vaada kiya tha
...aapko ghar khali karna hi hoga ...
Ronnie- aeee rustogi bolana ghotala yeh ghar khali nahi karega aur tum apne customer ko dusra ghar dikhao ..yeh meri behen ka ghar hain. Tum samjhana ya. Mein samjhao..
Rustogi- nai nai inhone vaada kiya tha yeh dekho moblie recording bhi.hain..
Rustogi plays the recording..
Ohja uncle- yeh recording nakli hain hum kaise vishwas kare ki yeh alsi hai
Bhadresh- ek min ek min..toh rustogi tum ko yeh ghar khali karvana hain na karvaao...
Ronnie- ae bhadresh tumhara akaal thikane hain tum kya bol raha hai
Bhadresh- ek min walah meri baat puri hone do...haan toh rustogi jaraa moblie do mein phir se recording play karta hoon..taaki sab clear hojaaye
Rustogi gives moblie..
Bhadresh - haan toh yeh recording ki baat kare ho na rustogi ..
Rustogi - haan yeh hi recording
Bhadresh deletes the recording ...
Bhadresh- konsi recording rustogi mujeh toh koi recording ..nazar nahi aa rahi ..
Rustogi- yeh cheating hai... Aapne cheating ki hain.mein dekh loonga sabko.
Bhadresh- aeee rustogi Jo dekhna hain dekh le aur abhi ke abhi yaha se jaao warna ronnie meri taraf se barabar Khabar lega
All gets surprised and happy with bhadresh statement..
Ronnie-sahi kaha bhadresh tumne...chalo jaao yaha se rustogi warna mein tumko nahi chodega...
Ronnie takes rustogi out of ghotalas house..
Vasant- bhadresh thank you hum par believe karne ke liye
Bhadresh- nai vasant bhai thank you hame bolna chahiye.. aap sab itne ache ..apna dukh hote hue bhi aapne hamesha dusro ki madad ki hamre baccho ko bachaya.ab humara waqt aaya hain aapki madad karne ka aur hum sab karenge aapki madad aur mere taraf se yeh log karenge ke madad same majja aayega..ka baa
Bhavna -(in tears) haan baba
Vasant and bhadresh hugs ..all are happy and does ding ting dance.
Next day,...
At bhatt house...
Bhavna aunty was giving angry glare to ghotala's...
Bhavna- yeh kya hai varsha ?
Varsha- bhavna aunty yeh chalni hain aapne kaha tha na woh karvachauth aa raha hain toh varsha ek chalni laana..toh dekhiye mai le aayi...
Vasant- haan bhavna aunty aur toh aur yeh kitni useful hai aapko patah hain isse hum woh puri aur mathiya phir bahut kuch tal sakte hain...
Varsha- aur iss mein se hum chand ko bhi dekh sakte hai
Bhavna aunty was getting more angry...
Bhavna - Mein thak gai hoon tum tino se. chakudi yeh chalni utha aur Tere alien mata pita ke sar par maar
Bhairavi- Toh barobar
Samar and shruti enters bhatt house
Bhairavi takes chalni from varsha hand's and goes to hit ...
BANG
Chalni fells down from bhairavi hands..
Shruti picks up the chalni
Bhairavi- yeh kya kiya aap ne mein abhi maar ne wali thi varsha bhabhi aur vasant bhaiya ke sar par yeh chalni...
Samar- kya ??par kyu?
Bhairavi- kyuki baa ne kaha mujeh. Issliye...
Shruti- lekin bhairavi didi Bhavna aunty ne aisa kyu kaha
Bhavna-in logo ki ghotalagiri ki wajah se..
Bhavna tells samar and shruti about vasant and varsha ghotalagiri.
Samar- haan toh Bhavna aunty yeh sahi toh hain..galat kya hain kitna useful hai yeh chalni..kitna acha logic lagaya hain socho paise kitne bachenge aur ek hi chizz se itne saare kaam hosakta hain
Bhavna aunty gets further more angry on hearing Samar logics...and vasant defending him..
Bhavna- shruti beta Ab tu hi samjha in sabko Ab mujeh mein himmat nahi hain..
Shruti - mein samjhti hoon bhavna aunty...bhhaiya aap galat samjha rahe hain... Chalni matlab yeh waali nahi ...karvachauth mein yeh chalni use nahi karte ..
Shruti explains to samar and ghotala's about karvachauth and chalni
Suddenly samar start feeling weird ...
Samar-( whispering ) shruti mujeh phir se bahut ajeeb lag raha hai kahi mere powers phir se
Shruti-bhaiya hame nikalna hoga warna bahut gadbad hojaayegi..
Shruti lies that they have to go ..to orphange as they got important message from warden.
Shruti- hame nikalna hoga. ..aunty bahut jaroori kaam se jaana hai orphange...
.samar shruti leaves...
Outside colony
Samar starts feeling more weirdly...
Shruti- bhaiya aap thik hain na aapke powers woh phir se bekaabu ho rahe hai..
Samar- haan shruti power control mein nahi hai.hame yahaa se jald se jald se nikal na hoga..
At ghotala house,
Hemant shishir,padmavati pritesh mitesh were playing hide and seek...
Hemant sees detector doing timi timi...
Hemant comes out of his hiding place ...
Mitesh- hemant bhaiya wapas aaye hum pakde jaayenge..
Hemant-shishir..jaldi aao jaldi..aao bahaar yeh dekho detector timi timi kar raha hai
Mitesh-iska kya matalb hain hemant bhaiya?
Hemant- iska matalb yeh hain ki hamare 2015 bhaiya yahi kahi hai...mitesh..
Shishir- hemant bhaiya mein bag leke aata hoon aap mummy Papa ko bulaaya hoon
Hemant-hoon
Colony garden
Hemant calls out vava..
Vava , and other colony memeber come out
Vasant- kya hua Hemant kyu chilla raha hai ,?
Ohja- haan lambe ghotala ke hua ..kyu chilla raha hain bhavna bhabhi ko competition de raha hain ke..
Bhavna - are Rajasthan express shaanti rakho thodi der hemant kitna Pareshan hain dekho...
Vasant- kya hua Hemant bolna beta?
Hemant- papa detector jor jor se timi timi kar raha hain yeh dekhiye ..
Hemant shows detector ..
Varsha - vasant iska matalb hamara beta yahi kahi hain. ... Woh yahi kahi hain
Ohja- areee yeh ke ho raha varsha thare ko kaise patah chala ki tarah 2015 yahi kahi hain...
Varsha- ohja uncle yeh hamara prajati detector hain hamare grah ka koi bhi alien yaha ho toh detector timi timi karta hain.. .
Vasant - varsha jaldi chalo ...hemant shishir yahi rehna kahi jaana mat ...
Bhavna- Vasant bhai aap jaldi jaaye
Vava goes out of colony
Here,shruti samar were running ..
Shruti- bhaiya aap thik hai na.. hum bas pauch ne wale hain...
Samar- mein thik hoon shruti jaldi chalo isse pehle mein apne alsi roop mein aajau
Shruti- bhaiya yaha se short cut hain chaliye yaha se chalte hain..
Vava meets shanav on way ...
All follows detector
Samar - shruti yaha koi nahi ..jaldi mera haath pakdo..
Samar shruti holds each other hand's ...and fly away...vava and shanav reach their..
Vasant- varsha detector ne timi timi karna bandh kar diya..woh wapas kahi door chala gaya hai..
Varsha- hum bahut nazdik the hamare bacche ke . vasant...hum ...
Vasant- varsha hum jaldi dhoodh lenge hamare bacche ko tum udaas mat ho ..Hosla mat haaro...
All comes back to colony...
At shruti house
Shruti- bhaiya aap thik hai...
Samar- haan shruti mein thik mein ne formula 070 le liya...
Shruti-aap sach keh rahe hai na bhaiya...
Samar- haan shruti tu phikar mat kar mein bilkul mmm hoon
Shruti gets surprised when samar does mmm
Shruti-bhaiya aapne aise mmm kyu kiya.
Samar-shruti iska matalb hain ki mein acha hoon...issliye mein ne mmm kiya
Shruti-( in mind) aisa toh sharad ne kiya tha ek baar...
Samar- shruti kya hua ... Tum pareshan kyu ho...mein sach keh raha hoon..mein abhi thik hoon..
Shruti- haan .woh kuch nahi bhaiya woh bas puchna tha ki kya sab aliens mmm karte hai ya sirf aap
Samar- hum sab aliens aise mmm karte hain...koi bhi chizz jab Hume bahut achi lagi ho tab hum aisa karte hain
Shruti-(in mind ) toh iska matalb sharad bhi alien hain?..ussne bhi aisa ek baar kiya tha..aur hemant ne kai baar kiya hai mmm ..patah lagnaa hoga...bhaiya ko abhi nahi keh sakti ..unhe jhuti umeed nahi de sakti mein...
Shruti trance is broken..
Samar- shruti ...shruti kaha kho gayi phir se...
Shruti-kuch nahi bhaiya woh mein bas kuch soch rahi...thi aap kuch bol rahe the...na
Samar- shruti Aaj mujeh ma papa ki bahut yaad aa rahi hain ..patah hain..Aaj vasant uncle aur varsha aunty se milne ke baad lagaa ki maano ki mein apne Maa Papa ke saath tha..
Shruti-bhaiya...aap apne ma papa se jaroor jaldi milegi mein haroz bappa se prathna karti hoon ki woh aapko appke ma papa se jald se jald milwaaye..
At colony garden,
Sharad- manav mujeh patah nahi kyu par lag raha hain ki samar koi baat chuppa raha hai.. varsha bhabhi ne kaha ki Aaj woh log aaye the par achanak se woh log chale gaye..
Manav - sharad mujeh pura yakin hai ki woh koi baat chuppa raha hai...
Sharad- Hume nazar rakhni hogi samar...par...
Manav- haan sharad hum uspar nazar rakhenge par yeh baat hum abhi kisi se nahi kahenge..kisi se bhi nahi ..yeh mera aur tumhara secret hain...hoon?
Sharad- hoon
At ghotala house,
In vava room
Varsha- vasant .. vasant yeh dabba khul nahi raha..khol dijiye na...
Varsha looks towards vasant...who was lost in thoughts...
Varsha-vasant kya hua kuch boliye na kya soch rahe ..hain..
Vasant doesn't reply...
Varsha pinches on vasant hands...
Vasant- aaah varsha kya kar rahi ho...chutti kyu kaati tumne
Varsha- aapko aapke khayalo se bahaar laane ke liye..mein kabse aapko awaaz lagaa rahi hoon air aap sunn nahi rahe.
Vasant- ooo sorry sorry woh mein samar ke baare mein soch raha tha varsha...
Varsha- kya soch rahe the aap vasant..kya hua bataye na
Vasant- varsha patah nahi kyu par Aaj jab samar se mila toh ek alag sa judaav lagaa mujeh ...Aaj bahut acha lag raha .. hai Varsha samar se milne ke baad..
Varsha- aapne sahi kaha vasant mujeh bhi Aaj alag sa judaav lagaa ..samar se milne ke baad..
After few days...
At d souza house...
Liza- Ronnie ronnie darwaaza kholo man koi aaya hain... .mein busy hain kitchen mein
Ronnie - liza tum kholo darwaaza mein abhi furniture bana raha hain ... ..
Anna - mein kholti hoon darwaaza bhabhi...
Anna open the ...door...
Anna- yes kahiye aapko kya kaam hai kisse milna hain...
P- oh my god anna I really don't believe this tum itni badal gayi ho... .. mujeh pechana nahi ...
Anna - sorry par mein ne aapko pechana.. nahi...
Anna calls out for ronnie and liza...
P- bhale hi tum mujeh nahi pehchani par mein tum ko achi tarah se jaanta hain man. Tum kitni moti hua karti thi bachpan mein
Anna-(gets angry) excuse me..aapki ki ...
Liza comes and becomes happy in seeing person...
Liza- oh my god ,Victor tum ho??
Ronnie jaldi aao man dekho victor aaya hai...
Victor- liza bhabhi aap kaise hai?aap bilkul bhi nahi badle
Liza- kya victor tum bhi... Aao aao ander aao..
Anna is all clueless...
Ronnie- areee victor tum yaha ..tum toh kitna badaa hogaya hain...
Liza- anna tum ne pehna nahi yeh victor hai aree hamare goa ka house tha na hamare neighbour Mr.Pinto ka beta... Victor..tum usse Vicky kehke bulaata tha ..ek hi school mein jaata tha..yaad aaya..
Anna - Vicky!!! Oh my god Ab yaad tum Vicky...oh I m so sorry mujeh yaad .. kaise ho tum ...
Victor -oh Jesus..acha hua tumhe yaad toh aaya warna mujeh toh lagaa tha Mumbai aane ke baad mujeh bhul hi gayi hogi...ek phone bhi nahi kiya
Anna- Vicky ..!!! Toh tumhe mujeh kaha phone kiya..tumne bhi toh phone nahi kiya mujeh...
Ronnie - aeee tum dono jhagda bandh karo ..Aur yeh batao victor tum achank yaha kaise
Victor- ronnie bhaiya woh mujeh Company ks kuch kaam tha issliye Mumbai aaya hoon...
Ronnie- yeh toh bahut acha hai victor abhi tum yaha ruk...jaao
Victor- nahi mein nahi rukh sakta mein already apne kuch colleagues ke saath yaha hotel mein ruka hoon..
Liza- kya man...tum yaha reh jaao .. yeh tumhara hi toh ghar hai
Victor- mein ruk jaata liza bhabhi per mein already hotel mein ruka hua hoon...aur abhi company ka kaam bhi pura karna hain...
Anna- rehne dijiye liza bhabhi ..isse force mat kijiye bahut bhav kha raha hain Vicky..
Vicky- areee kaise baat kar rahi ho Anna .. Tum.
Mein seriously nahi ruk sakta .mujeh kaam hain..
Ronnie- acha thik hai...abhi free hai na tum...
Victor- ..haan mein abhi free hoon
Ronnie - very good ..anna jaao victor ko Mumbai ghuma laao ..waise bhi abhi tum free hain..phir shaam ko bahar chalte hain dinner ke liye
Liza- sahi kaha Ronnie ..jaao anna victor ke saath bahar ghum aao
Anna-areee par bhaiya bhabhi aap..mujeh nahi jaana...
Vicky- yeh bahut hi acha idea..mein toh ready hoon chalo anna hum ghum aate hain aur agar tumne na kaha na toh colony mein jor se kor se moti moti keh ke chidhaaunga..
Anna- I don't believe by this..tum mujeh dhamki de rahe ho..
Victor- wohi samjh lo...
Anna- fine thik hai mein aa rahi hoon
Next day
At ohja house...
In hall
Mashru were playing scrabble
Shruti -(in mind) aree yar mujeh yeh word banna ne ke liye 'U' letter tile chahiye ... shayad manav ke pass hoga yeh U wala letter. Tile..dusre U letter Tiles bhi use hogaye hai. .dekhna hoga .. kuch sochna hoga ...
After few min...
Shruti- manav woh dekho woh cupboard be niche kuch hai... .dekho ..kuch hain...
Manav looks towards cupboard ...
Manav-kaha hai shruti mujeh kuch dikh nahi raha ..kuch bhi nahi hain waha..dekho...
Shruti- areee mujeh dikh raha hain dekho dhyan se mujeh kuch dikhai de raha Hai...woh dekho ..
Manav sees again...
Meanwhile here shruti sees the letter tiles which manav has got ..Manav senses something wrong..
Manav -(in mind )pakka kuch gadbad hain .. ..I have to see it...
Here shruti exchange's letter..tiles
Manav-(acting)kaha shruti mujeh kuch nahi dikh raha...
Shruti-(acting) haan haan abhi mujeh bhi kuch nahi dikh raha ..hum game continue karte ..hai yeh dekho mera word ban gaya ...
Manav- (in mind)hmmm I knew it shruti ne pakka cheating ki hai.. mera letter tile exchange kar diya ...hmm koi baat nahi Ab mera turn hain..kuch sochna hoga...
Manav's trance is broken by shruti's voice
Shruti- ( waving hand ) manav ...manav ...Kahaa kho gaye ho tumhara turn hain...
Manav- oh haan ... haan mein word ke baare mein soch raha tha..
.
After few min.
Manav- shruti tumhe MA bulaa rahi hai.
Shruti- kaha. Manav???mujeh toh sunnai nahi diya
Manav - aree mujeh sunnai diya MA ne tumhe awaaz di abhi..
Shruti- thik hai... mein aati hoon..
Shruti leaves
Here manav immediately changes the letter tile
Shruti comes after few min...
Shruti - kaha manav mujeh lajo aunty ne nahi bulaaya tha...tumhare kaan baj rahe honge...
Shruti sees her letter Tiles ...
Shruti- ek min... Ek min tumne mera letter tile change kiya na ...Ab samjh mein tumne jaan bhuj kar bolna na.. . Taaki mein jaao aur tum yaha letter exchange kar sako..ek no.ke cheater ho...
Manav- haan toh tumne pehle mere saath bhi aisa hi kiya ...toh hisaab barabar hua na..
Shruti-(in mind) manav ko toh patah chal gaya . Koi faayada nahi manav ke saath behas karne ka .. warna aur jhagda hoga hamara ..
(Towards manav) acha chalo maana ki mein ne thoda aise thoda sa letter exchange kiya ..lekin thoda bahut chalta hain ... hum game khelte hain.. waise bhi hisaab barabar hogaya na...
Manav was trying to control his laugh..
Shruti- zyada khush mat ho ki mein ne apni galti maanli hai.dekhna jab mein jeetungi na tab tumhari smile gayab hojaayegi..
Mashru are playing scrabble..
Shruti- yeh bangaya mera aakhri word ...
Manav- ek min aisa koi word nahi hota ...shruti
Shruti-hota hain yeh word .mujeh patah hain .yeh bolo ki tumhe nahi patah
Manav-kya ?? Yeh word nahi hota hain..tumne galat word banaya hain .. sahi mein yeh word hota
Manav changes the word
Shruti- nahi tum galat bol rahe ho...yeh word galat hai .
Manav- areee kaha na tum galat bol rahi ho..aisa koi word nahi hai dictionary mein check karlo...
Shruti- sahi hain dictionary mein check kar lete hain ..patah chal jaayega ki kon sahi hai aur kon galat..
Manav was checking in dictionary and immediately ... Shruti snatches the dictionary...
Manav- areee..
Shruti- mein check karungi ...
Manav -(snatching dictionary) mein check karunga...
Manav shruti starts to run around sofa .. behind each other like kids trying to snatch dictionary from each other
Shruti takes cushion from near by sofa and throws towards manav..but manav catches it
Shruti- kaha na mein dekhungi bas that's final..
Manav- haan dekh lena pehle mere haath se dictionary toh le ke dekhao
Shruti -acha hua lajo aunty aap aagaye
Manav looks backwards..shruti immediately snatches dictionary..
Manav - shruti dictionary mujeh do ...
Shruti-(laughing) pehle mere haath se le ke dekhao manav...
Manav tries to take dictionary but fails...
Shruti-dekha mein jeet gayi ...
Manav- shruti woh dekho chuha..
Shruti- aaa
Shruti gets scared and tries to move hurrdiely but stumbles upon sofa and looses her balance and falls on manav..
Both falls on ground...
Shruti tries to get up..
Mashru shares a mini eye lock...
Meanwhile ohja uncle enters ..
He was drinking water and sees them and gets shocked...ohja uncle immediately leaves from their..
In kitchen
Ohja- ke ke ke ke ke ke ke ..
Lajo- Ab ke k ke ke aage bhi toh kuch boliye ohjaji ...
Ohja- areee lajo areee lajo woh manav ...woh manav .ke kare hain .
Lajo- areee ke kare se ohjaji jaldi boliye maareh ko bahut kaam hai..
Ohja- areee lajo dekh chora ke kare hain bahaar .jaldi aa mareh saath...aa..
Ohja uncle and lajo aunty comes towards main hall..
Lajo aunty sees them and smiles...
Ohja- dekha lajo yeh chora ...
Lajo-ssshhh dhire boliye ohjaji...
Ohja- areee lajo tu ke bol rahi bawaari hogayi hain ke ..
Lajo- mein bawaari nahi hui hoon ohjaji..aur koi problem hain aapko agar manav kuch waqt bitaaye shruti ke saath ..
Ohja-areee par lajo yeh manav aise.
Lajo- areee ohjaji rehne dijiye taaki dono ko patah chale ki woh dono ek dusre se pyar karte hain...
Ohja-haan woh toh hain choraa fauj mein captain hain par itni simple baat patah chalti jhallar.. ko. ...hey Marhe khatushyamji indono ko buddhi do aur samjhao ki yeh dono ek dusre se pyar karte hain..
Lajo- ..shruti badi hi pyari chori hain..aur manav bhi badal gaya usse Milne ke baad ..
Ohja - haan woh toh hain air manav se bahut ache se behas karti hain chori aur manav ko chup kara deti hai...
Lajo- .Ab ohjaji jaaye aur un dono ko wapas unke khyalo se bahar laaye..
Lajo leaves ..
Ohja uncle coughs a little..
But no effect..
Ohja uncle - hi hi hi. ... Ke ke ke ke ke. Ke ke ..
Due to ohja uncle voice ..mashru trance is broken ..
Both stands up...
Manav- woh papa ...woh papa...papa.
Ohja-(enjoying ) ke woh haan ke woh ...ke woh
Shruti- uncle woh hum ..woh hum gir gaye ...thoda aise gir gaye.
Manav- haan papa ..woh kya hua na ki shruti ka pair fisal gaya
Ohja- toh shruti ko Girna chahiye tha
Shruti- uncle woh mera pair fisla aur mujeh manav help karne aaya par uska pair bhi fisla aur woh gir gaya ..toh issliye ...
Manav- haan toh issliye hum log zameen par gir gaye...
Ohja- thik hain thik hain..koi baat nahi ..chalo khaana khane ..(in mind) manav ko toh thik Tarah se jhut bolna nahi aata .. jhallar
At night ...
At ghotala house...
All colony men except shanav and Jacky are present.Bhadresh is as usual sleeping
Ohja- areee ke acha khanna banati hai..lajo hamesha khanne mein gadbad karti hai..
Vasant -yeh kya bol rahe hain lajo aunty bahut mmm khanna banati hain..
Ohja- kaha Ghotala woh jaan bhujke ke karti jab gussa hoti hai tab toh aur jyada kharab khanna banati hain...
Ronnie- sahi kaha ohja uncle man..liza bhi patah hain har do din ke baad woh ba woh ba...
Ohja uncle and vasant -tch tch tch...
Ohja- atka jhallar..
Ronnie-areee ek min man ..woh key ko hum kyu use karte hain ?
Ohja uncle- taala kholne ke liye...
Ronnie- haan aur taala ko English mein kya bolta hai
Vasant- ronnie tum se yeh umeed nahi thi tum Ab English mein atak ne lage.
Ohja- haan wohi toh dekho ab usko yeh bhi maalum nahi ki taala ko English mein lock kehte hain... jhallar..
Ronnie areee tum samjha na mein kya bola..haan toh woh liza mereko har do din baad lockkey ka sabji khillata hai...aur jab mein puchta hai ki lockkey ka sabji kyu banaya toh bolta hain yahi mila tha market se toh bana diya...
Ohja uncle and vasant doesn't understand what Ronnie said..
Bhadresh-(in sleepy tone) aeee woh lauki hota lauki aur naa ki lockkey.. ka baa?
They hear haan baba
Vasant-aree yeh toh kuch nahi varsha khanna banati hain toh hamesha gadbad karti hai.abhi thode din ki hi baat hain..varsha raat ke khaane mein bolo ussne kadu aur papdi aati hai na usske parathe banaya jabki mein ne usse kaha tha ki nimbu ke paratha bana...hamesha gadbad karti hai
All Colony ladies... Enters ghotala house when all Colony men are talking...all gets angry...
Varsha starts crying..
Varsha(emotional)- toh mein gadbad karti hoon.. haan.. heeein aur aapko gadbad karte hain khanna banate waqt woh kuch nahi.
Vasant- varsha ..woooh mein ...woooh mein..
Varsha-boliye Ab haan atak kyu gaye...
Liza- rehne do varsha ..inlogo ko lagta hain ki hum manmaani karta hain khanna banate waqt..khud kabhi market gaya hain ronnie haan ...market mein sabjiya nahi milti.. aur tum expect karta hain haroz mein alag alag nayi nayi sabji laao...
Lajo-sahi kaha liza..inke toh nakhre hote hai Aaj yeh kam hai khanne woh kam hai.. khanne..mein
Ohja-- ke ke ke ke bol rahi hai lajo tarreh kehne ke ka kya matalb hain ki mein nakhre karta hoon...
Lajo- haan..
Bhavna- areee ek din khanna banake dikhao patah chal jaayega .sabko ..kitna kaam hota ..itna aasan nahi hain khaana bannana...
Ohja- haan toh phir hojaaye mukabla..dekhte hain kon khaana banayega ...
Liza- haan toh hojaaye competition...Patah chalega kon kitna paani mein hain
Vasant- haan hojaaye competition patah chalega kon gadbad karta hai
Ronnie- hum kisi se darta nahi ...dekhna hum log kitna acha khanna banayega...
Precape- Competition between colonymen and colonyladies...
62