Part 13- A New Feeling
At orphange garden..
Mashru were sitting on bench
Manav tells everything to Shruti about Sharad and Megha fight clearly escaping the details about them being aliens..
Manav - aur issliye maine aur Jacky ne decide kiya ki hame Megha aur Sharad ke bich ki misunderstanding ko mitaana hoga ...aur issliye humne orphanage join kiya..kyuki woh dono yaha saath hote hain toh ek dusre se baat karte hain..
Shruti- toh kya Ab undono ke bich ki dosti hogayi...?
Manav- nahi..abhi tak nahi hui...woh dono ek dusre se baat toh karte hain par dosti nahi hui.. Sharad abhi bhi naraaz hain...
Shruti - I hope undono ki bich ki misunderstanding khatam hojaaye...
Manav was going to speak but Shruti gets a call..
Shruti- haan boliye Samar bhaiya..thik hain mein abhi aati hoon bas 2 min ..mein aayi..
After call..
Shruti - mein jaa rahi hoon bhaiya bula rahe hain...
Shruti leaves
._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.
@Shruti home
Shruti is deep in her thoughts..
Samar- Shruti sunn..ye contractors se baat kr li maine wo hme half rate pe copies dene ke liye ready hain..sunn..Shruttiii..kya soch rhi ho!!
Shruti (comes out of her thoughts)- Haan bhaiya..aapne kuch bola?
Samar- Kaha khoi thi?
Shruti- Kuch nahi bhaiya mai Sharad Megha ke bare me soch rhi thi
Samar- Kyu unhe kya hua?
Shruti- Pyar bhi bada ajeeb hota hai bhaiya...chain se jeene nahi deta
Samar(teasing)- Ahem...kisse pyar hua tumhe?
Shruti- Bhaiyyaaa! Mai apni nahi Sharad Megha ki baat kr rhi thi..aj Manav ne muje Sharad Megha ki story sunai..haye..dono pagal hain..itna pyar krte hn ek dusre se bt phr b paas nahi hain
Samar- Kyu aisa kya hua.?
Shruti narrates the whole story..
Samar- Hmm..ye to tragic love story hai..bechari Megha..
Shruti- Bechari thi..ab mai aa gai hu..mai sb thik kr dungi..
Samar- Kya krogi?
Shruti- Manav aur Jacky ki help.. Sharad Megha ko milwane me...itna kia hai dono ne hmare liye..itna to bnta hai..bss wo akdu Manav maan jaye..phr kamal dekhna..Shruti ka jadoo sab pe chayega(smiles broadly)
._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.
@market
Shruti is buying vegetables for the orphanage kitchen..when she spots Lajo..
Shruti- Lajo aunty..aap yaha..ye market to aapke ghar se boht door hai..aap yaha kyu aai sabzi lene?
Lajo- Arre beta mhare ko Ramdulari ne bola tha yaha achi aur sasti sabzi milti hain..to mai lene chli aai
Shruti- Par aunty..aap akeli kyu ayi.dekhiye kitna thak gai hain..laiye mai pakad leti hu saman..aap aaram se chliye..
Lajo- Na na beta mhare ko koi takleef na h tu rehne de
Shruti- Zid mat kijiye aunty de dijiye..
Lajo hands over the packets to Shruti and walks ahead..she doesn't notice and trips over a large piece of rock..and gets hurt on her foot
Lajo- Haye khatushyam ji..mhara paer..
Shruti rushes over to her- Aunty..aunty aap thik to hain na..uthiye..uthiye..aaram se..
Shruti carefully picks Lajo..and seats her in an auto nearby..
Shruti to auto driver- Bhaiya chliye Sunshine colony
Lajo- Na na beta..thare ko bhi to deri ho rhi hogi na..tu ja..mai chli jaungi..
Shruti- Aunty..mai aapki ek baat nhi sunungi.. (to auto driver)bhaiya chliye aap
._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.
@Sunshine colony
Lajo and Shruti arrive..Shruti very carefully tries to take Lajo home..Lajo is limping bad and is in pain
Lajo- Haye khatushyam ji..mhara se to chla bhi nahi ja rha..
Manav arrives and sees Lajo is in pain..he misunderstands the situation and gets angry
Manav- Shruti..ye kya hua hai ma ko..Ma ma aap thik to hain
Shruti tries to explain but Manav cuts her off
Manav- I know..yeh sab tumhari galti hai..
Manav picks up Lajo and takes her inside his home..Bandages her and makes her rest..
Manav to Shruti- Ab will you care to explain tumne Ma ke sath aisa kya kia jo unhe itni tez chot aai..
Shruti- Manav..maine kuch nahi kia..wo to..
Lajo- Manav mhari baat sunn
Manav- Obviously..tum to apni galti manogi nahi..tumne hi kia hoga..dekh ke nahi chal rhi hogi..ma se takra gai wo gir gai haina..i knew it..itni careless ho tum...
Lajo- Manav..
Shruti feels bad and starts to cry
Manav- Ab ro kyu rhi ho...1000 baar bola apni galti accept kr lo..pr nahi tum to Miss Perfect ho..galti nahi manogi..
Lajo(gets angry on Manav)- Mannavv..bss kr
Shruti is too sad and runs away from there..
Lajo- Kuch bhi bolega haan..ek baar bhi nahi sunna samne wala kya bol rha hai
Manav- Par Maa
Lajo- par war mhare ko kuch nhi sunnaa...mai jo bolti hu tu wo sunn(and Lajo tells all what happened in the market and how she tripped and Shruti helped)
Lajo- Kuch bhi bolega..ek baar sunn to leta..ab ja..sorry bol ke aa..pata nahi ke ho ggya hain aajkal thare ko..pehle toh tu aisa na tha..
Manav-thik hain..kal orphanage me milunga to bol dunga..
Lajo- Kal nahi aj..abhi..abhi ja bol ke aa
Manav- Par Maa mere paas uska address nahi hai
Lajo- To orphanage ja..waha se address le..phr ja..mai kuch nhi sunna chahti.
Manav leaves..
._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.
@Shruti house
Shruti is crying hard...Manav words didn't hurt her but the fact that he thought she would hurt Lajo hurt her more..she is dejected...
Shruti -(crying)..(looking Towards the sky) kyu mujhe chodke chale gaye aap log..I need you both.please wapas aajao..bahut akeli hoon mein.yaha...
Shruti starts to cry hard and falls asleep while crying..
After about an hour
Shrutis sleep is broken by constant ringing of bell..She wipes away her tears as she thinks it may be Samar..she doesn't want him to know she is sad..
Shruti(opens the door) -Aa gaye bhaiya..(freezes on seeing Manav standing there)- Tum yaha kya kr rhe ho? Mera address kaise mila? And kyu aye ho? Aur insult krni hai? Kuch aur kehna hai?please jaao yaha se mujhe koi bhi baat nahi karni
Manav looked towards Shruti and he could easily guess that she had been crying earlier...he felt sad for her as because of his mistake she was crying .
Manav-(in mind) lagta hain bahut ro rahi thi..how can I be so rude to her..meri galti hain mujhe use sorry kehna hoga..,mein aisa kaise behave kar sakta hoon uske saath..
Manavs trance is broken.due to Shruti voice..
Shruti- Kya chahiye bologe..!!
Manav-hmm Andar ane ko nahi bologi?
Shruti- (puts hands over the door so that Manav cant enter) Mere ghar me rude logo ki koi jagah nahi hai..
Manav bends under Shruti's hands and enters..
Manav-Dekho. mein tumse jhagda karne nahi aaya..mujhe kuch kehna hain.
Shruti- Jaldi bolo..Jo kuch bhi kehna hain.. faltu time nahi hai mere paas
Manav- I am sorry
Shruti- Kya? Kya bola tumne?
Manav(a little louder) - I am sorry
Shruti- Kya? Sunai nahi dia..zra zor se please..
Manav(walks over to Shruti..bends and shouts in her ear)- I AM SORRY
Shruti(rubbing her ear)- Haan haan behri nahi hu mai..chilla kyu rhe ho..
Manav- Listen..muje pta nahi tha..jaise hi maa ne btaya tumne kaise unki madad ki to mai yaha aa gya..Seriously sorry..tumne maa ki itni madad ki..warna wo itni door se akeli kaise ati..
Shruti- Lajo aunty ki madad ki wo mera farz tha..bt ur sorry is not accepted..
Manav- Par kyu
Shruti(in tears)-Manav aisa tumne kaise soch liya ki mein Lajo aunty ko hurt kahungi ..mein aisa soch bhi nahi sakti..tumhe patah hain mai hamesha olony aane ke bahaane dhoondhti hoon taaki mai kuch waqt tumhare parents ke saath bita saku...jabhi tumhare ma papa ke saath hoti hoon toh mujhe apne parents ki kami mehsoos nahi hoti..
Manav- Wait wait..mai samjha nahi.. Shruti ..tumhare parents?
Shruti-I m orphan Manav..3 saal ki thi tab se mein shimla ke orphange mein rehti.Hoon..warden kehti hain ki ek riots mein mere ma papa maare gaye..aur tab se mein orphange mein hoon.phir kuch saal baad jab shimla ka orphange bandh hogaya tab mein aur kuch bache yahaa aaye. yeh orphange mein rehne lage
Manav (feeling guilty)(emotional)- Listen Shruti..I m really sorry mere har ek bartaav ke liye.. I m really sorry..
Shruti-(in tears) please tum jao yaha se. Mujhe please akela chod do please.. aj ke liye boht kehna sunna ho gya..darwaza waha hai..goodbye..
Manav thinks something and leaves
Shruti again starts to crying..
Manav tells Lajo and Ohja everything that happened at Shrutis house..Manav was feeling angry on himself for his behaviour towards Shruti ..He decides to manao her..
._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.
Next day @orphanage
Shruti is sitting in her cabin .she was thinking something. When there is a knock at the door..
Shruti- Come in..
Chintu enters..Hands over a flower to Shruti..smiles broadly..
Shruti- areee Ye kya hai..Chintu suno
Chintu waves goodbye and leaves..
Again a knock.. Vandana enters..again hands a flower smiles broadly and leaves..
Same way almost all the kids knock..enter hand a flower smile and leave..
Last to enter is Hemant
Hemant- heeeinn hello Shruti didi..
Shruti- Hemant yeh sab kya ho raha hai?
Hemant- Aapko bhagaane ki koshish ho rhi hai..
Shruti - mujhe bhagaane ki koshish??!! kyu?
Manav enters
Manav- Hemant..woh bhagaane nahi..manane hota hai..inko manane ki koshish ho rahi hai..
Manav looks towards Shruti and both have a mini eyelock
Hemant- Nahi nahi bhaiya..manana to wo..jo hm khate hain..jise hindi me kela kehte hain
Manav- Hemant wo banana hota hai.aur tu card pakda..(snatches the card from Hemants hand)
Hemant-hawww haan haan..sabko mai hi galat nazar ata hu..aur aap bhi bhul gaye mujhe Vasant bhaiya mai responsibility leta hu Hemant ki Aisa bola tha..aur ab dekho ..
Manav- areee Hemant..ja..woh Chintu se toffee le le..uske pass teri fav wali.toffee hai...
Hemant Thumps on the floor does hafu hafu and leaves..
Shruti- Kisko manaya ja rha hai?
Manav- Tumhe..
Shruti- kyu?
Manav- I wanted to say sorry..(hands over the card) Muje nahi pata tha ke tumhare parents(stops then continues).aur mein ne Jo bhi tumhare saath behaviour kiya pehle uske liye..bhi..Suno..mere parents tumhare parents.hain .jab bhi ma papa ki yaad aye..chli ana..Maa boht khush ho jati hai jb tum ati ho
Shruti is touched by his words..tears are brimming in her eyes..
Shruti-(in tears) I m sorry too.maine pehle Jo bhi behaviour kiya tumhare sath uske liye
(looks at the card..a cute drawing is made on it...a boy and a girl..and a small sorry with a cute red flower is drawn..Shruti smiles)
Shruti- Chintu ki drawing achi ho rhi hai..good.. bahut improvement hai
Manav(with a serious look on his face)- Yeh Chintu ne nahi maine banaya hai
Shruti at first is shocked then bursts out laughing..
Shruti- Whattt!!! Tumne!!! Tumhari drawing bilkul ek 5 saal ke bache se milti hai...how cute
Manav(gets angry)- Bhalai ka to zamana hi nahi hai..ek to card banao..upar se attitude..humph(turns and stands like a small bacha rutha hua from his parents)
Shruti stops laughing and goes over to him and pulls his cheeks
Shruti- Awww...u r soo cute tum na please gussa mat karo jabhi gussa hone ki koshish karte ho aur bhi cute lagte ho(and again bursts out laughing)
Manav looks at her laughing and a huge smile appears on his face
Manav(Says without realising)- Tum haste hue boht khoobsurat lgti ho
Shruti is stunned to hear this..blushes and turns around..
Manav realises what he just said and is about to leave when Shruti holds his hand and stops him..
Shruti- Ruko..muje kuch baat karni hai
Manav feeling awkard but maintains silence and waits for Shruti to speak
Shruti clears her throat
Shruti- Uss din tumne muje Megha aur Sharad ke bare me bataya..suno..mai bhi Megha ki help krna chahti hu..she's so sweet..and kuch hi dino me woh meri best friend ban gai hai..please please kya mai tumhare and Jacky ke plan me partner bn skti hu..please please(makes a puppy face)
Manav(smiles seeing her cute expressions)- Sure...but sshhh..(turns all secretive and makes a pose like James Bond)dushmano ko nahi pta chlna chahiye ke hm sarhad paar krne ki koshish kar rahe hain
Shruti(imitates Manav's pose)- Chinta mat kijiye commander.. dushmano ko pata bhi nahi chalega aur un pe hamla ho jaayega
Both burst out laughing..
._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.
At ghotala house
All are discussing about MaShru fights
Megha- yeh Manav bhaiya aur Shruti kitna jhagda karte hain...I mean yeh insaan har baat pe kyu jhagda karte hain .. .mujhe samjh nahi aata..
Sharad - aajkal yeh Manav aur Shruti ka behaviour ka patah nahi chalta ek min bahut khush hote hain dono aur jaise hi ek dusre ko dekhte aise mu bigad te hain jaise kachra dekh liya ho..logically hame in dono ko samjhana hoga ko chotti chotti baat pe jhagda karna nahi chahiye
Meanwhile here VaVa were giving them I really don't believe this wale looks..
Megha- sahi kaha Sharad...
Vasant yeh tum dono bol rahe ho! Varsha in dono pe na woh Bhavna aunty bolti hain na Gujarati mein jo muhawara hai woh in dono pe sahi laagu hota hai ..
Varsha - konsa muhwara Vasant??
Vasant - areee wohi muhwara Varsha..woh... 'Daahi saasre jaai nahi ane gaandi ne sikhaman aape'..
Megha- yeh muhwara ka kya matalb hain? Aur yeh hum pe laagu kyu hoga Vasant bhaiya...
Sharad- nahi nahi Megha yeh muhwara hum pe nahi Manav aur Shruti pe laagu hota hoga..
Hemant was thinking something..
Hemant- hawww..Sharad chacha aur Megha didi yeh muhwara toh aap dono pe sahi mein laagu hota hai. Aur aapko hi uska matalb nahi patah.
Vasant - (happily) shabaash Hemant tujhe pehli baar bina gadbad kiye sab samjh aaya ...(looking towards MeSha) yeh dekho Hemant ko bhi patah hain matlab.
Megha - par Vasant bhaiya mujhe samjh nahi aaya
Sharad - haan Megha..logically muhawae ka matlb hai Ulta chor kotwal ko dante..matlb jo khud galat hai wo kisi aur ko galat keh rha hai..par bhaiyyaa..logicallly..
Vasant : Ohh Logically..!! Arrey!! jo tum dono abhi Manav-Shruti ke liye bol rahe ho, woh tum dono bhi toh karte ho...matalb ki tum dono khud chotti chotti baat pe jhagda karte ho aur dusro ko samjhane ki baat karte ho..pehle khud chotti baat pe jhagda karna bandh karo phir Manav Shruti ko bolna
Megha : kaise Vasant Bhaiya!! mai kahan Pluto se jhagda karti huu. aur Manav bhaiya toh Shruti kuch kahe uska ulta matlab leke unhe daate hain, aur jagda shuru hota hai.
Sharad : Haan Bhaiya mein kaha Minto se jhagda karta hoon aur logically Shruti bhi kam nai hai, jo bhi manav kehta hai uspe woh aur do baate sunati hai!!!
Megha : Vasant Bhaiya aapko lagta hai ki hum unka jagda karwate hain? hum aisa kyun karenge.. aap aisa kyun bol rahe hain..
Vasant : Arey!! tum dono ko toh na me!!...(looking towards Varsha) Varsha .yeh dono bhi dimaag ka tourture kuch kam nahi ..karte..
Hemant -nai nai papa woh tourture nahi turturee hota hain aap galat bol rahe hain...School naahi gaye naa!!
Vasant- areee woh tourture hota hain tu thik se nahi bol raha .. ..tourture jo tu aur Tere chacha chachi dete hain mujeh galat logic lagaa. Ke
On listening this both MeSha starts crying..
Sharad-( crying) bhabhi dekho bhaiya kya bol rahe hain. .
Varsha- dekho tum dono shaant hojaao mein samjhati hoon Vasant ko..(looking towards Vasant) shaant hojaaye gussa mat kariye..bhole hain dono..
Vasant- Varsha tumhe yeh baniyan aur Megha kis angle se bhole lage..haan..pure ke pure Hemant chacha aur chachi hain dono..
MeSha stops crying
Sharad - Megha chalo yaha se..( holding Megha hands) bhaiya thode eeeh hogaye hain...hun...
Megha- huuunnn
With this MeSha leaves ghotala house...
Varsha was laughing at what Sharad said..
Vasant- tum kya hass rahi ho Varsha yeh dekho woh tumhara bhola devar mujhe eeeh bolke gaya
Hemant- Pehli baar Chacha ne ek dum pate ki baat boli hai
Vasant- Pate ki baat haan pate ki baat..rukk tu..
And there is laughter in the ghotala house as Vasant and Hemant play dodge and catch..
._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.
@Ojha house
Lajo and Bhawna are sitting and chatting
Lajo: Bhawna bhabhi..ye dekhiye..meri nayi sari...achi hai na
Bhawna: Arre wah wah wah Lajo..wo kanjus kumar Rajasthan express ne tumhe itni mehngi sari kaise dilwa di..wo mane kaise iske liye...nakhre wahre to kiye honge..aise nahi mane honge..
Lajo: Bhawna bhabhi..wo ser hain to mai sawa ser hu...ek tarkeeb apnayi aur unse paise nikalwa hi liye..aur hmara beta bhi hai na..wo team Lajo hai team Ohja nahi...(both laugh)
Manav enters...lost in his own thoughts.
Lajo: Arre aa gya beta..kuch lega..chai ya coffee
Manav doesn't reply..he is deep in his thoughts about his convo with Shruti...
Bhairu enters..
Bhairu: Manav...manav...Manaavvv
Bhawna: Chakudi..kya hua..kyu chilla rhi hai beta?
Bhairu: Baa..dekhiye na..mai kabse Manav ko awaz lga rhi hu wo jawab nhi de rha..wo Mitesh Pritesh ko homework me kuch madad chahiye..Anna bhi ghar pe nahi h..muje lga Manav madad krega..par wo apni dhun mein hai
Bhawna: Arre ye aa kaha se rha hai magar!!
Lajo: Orphanage se..Kal jo bhi hua to maine strictly bol dia tha..aj ghar me kadam mat rakhna jab tak shruti se maafi maang ke nahi aata lagta hain .maaf kar diya shruti ne..
Bhawna: Achaaa...rukk
Bhawna goes over to Manav...bends..n slightly blows some air in his ear and he feels ticklish
Manav -(lost in thought &smiles) : Shruti kya kar rahi ho.. disturb mat karo...
Hearing this Bhawna and Lajo laugh out loud..which breaks Manav's trance..
Manav - kya hua Ma ..Bhavna kaki aap hass kyu rahe hain
Bhavna- le bol Lajo yaha yeh Manav khud apne khayalo mein khoya hai..khud kuch soch raha hain aur hame..
Manav cuts in
Manav- nai nai Bhavna kaki mein kaha Shruti ke khayalo mein khoya hua... mein toh Shruti ke baare mein soch bhi nahi raha mein..
Lajo- lekin Manav humne toh yeh tujhe pucha hi nahi ki tu kya soch raha hain ya kiske khayalo mein hain...
Manav - kya ..Ma mein woh mein woh ...
Manav sees bhairavi searching something and diverts topic
Manav - areee bhairavi didi aap kya dhoondh rahe hain
Bhawna looks at her puzzled..
Bhawna: Chakudi..kya dhoond rhi hai..
Bhairu: Baa..Manav ne abi to kaha..Shruti disturb mat kro na..to mai Shruti ko dhund rhi hu..kaha se ayi..aur kaha gai..muje nazar hi nahi ayi wo..lagta hai use gayab hona ata hai..
Bhawna and Lajo again laugh and Manav looks at them embarrassed
Lajo: Haan Bhairavi..ye to bilkul thik boli tu..use gayab hona ataa hai..jadoo janti hai woh .tabhi to kuch hi dino me mhara dil jeet liya.aur Manav ke khayalo ki toh rani ban gayi hai ..din raat Manav bas yahi baat karta hain ki unke bich kaise ladaai hui
Manav unknowingly blushes .. Lajo and Bhavna notice it & tease him further..
Bhawna: Dekh dekh Lajo dekh...kaise sharma rha hai ye sipahi..muje nahi pta tha hmara chota sa Manav itna bada ho gya..
Bhairu upon listening to Bhawna closely looks towards Manav and then blushes
Bhairu: Same Mitesh Pritesh ke pappa...muje aj bhi yaad hai...wo kali ghani raat...jab ghar par koi nahi tha..baa bhi Ella maasi ke ghar rehne gai thi...tb jo hua..jo hua..
Lajo: Ke hua Bhairavi
Bhavna: Mai mai..mai chlti hu..kuch kaam hai mujhe
Manav: Rukiye rukiye Bhawna kaki..ab kaha jar hi hai aap..rukiye sunn ke to jaiye Bhairavi didi ko kya kehna hai..
Bhairu: Ghar ki light chali gai thi..ek dum sannatta tha...badal garaj rahe the...bijli chamak rhi thi...wo ek dum romantic raat thi..
Bhawna: Chakudi chal chal hme Mitesh Pritesh ko khana khilana hai..
Manav: Abi sham ke 4 baj rhe hn Bhawna kaki..dopahar ka khana ho chuka..Bhairavi didi..continue..
Bhairavi: Ghar me mai aur Mitesh Pritesh ke pappa akele the..wo muje dekhte..mai unhe dekhti..mai unhe dekh ke sharmati...wo muje dekh ke ghabrate...phr phr wo uthe aur mere kareeb aye...
Bhawna: bss bss bss Chakudi mujse aur nahi suna jayega
Lajo: Sunn bhi lijiye Bhawna bhabhi...
Bhairu: Wo uthe mere kareeb aye aur bole Bhairu light nahi hai hum kuch nahi kr skte...to mai sone ja rha hu..tu b so ja same majja ayega
Lajo Manav laugh..Bhawna is embarrassed
Bhawna: Ek number ka alsi kumar hai..andheri raat me so jate hai..hey bhagwan...kya hoga baba ka...tu Chakudi...kahani khatam kr aur chal mere sath...
Bhairu: To barobar..
._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.
Next day..
At ghotala house...
Sharad comes to main hall..
Vava does some ishaara to each other.
Sharad- Megha ..Megha kaha ho..Megha...Bhabhi aapne Megha ko dekha...
Varsha- Manav ke saath hogi Sharad ya Jacky ke saath hogi puchna apne power se Manav ko.. ya Jacky ko..
Sharad- bhabhi mein ne pucha lekin woh nahi hain unke saath..
Varsha - haan toh aajayegi kahi bahaar gayi hogi acha yeh le seb ki kheer tujhe pasand hain na
Sharad- par bhabhi Megha kaha gayi hain aapko toh kuch bataya hoga na
Varsha - fikar mat kar aajayegi..tuje kabse uski chinta ho gai..tu aaram se tv dekh na..
Vasant- haan Varsha sahi kaha tumne..kyu haan Sharad aajkal kya hogaya hain tujhe.. itni fikar haan..jab wo baat krne ati hai to door bhaga deta hai..ab nahi hai to chinta..kyu?
Sharad- (stammering) kya mujhe kaha ..mujhe kaha uski fikar hain..mai to bss generally
Vasant- acha toh abhi kyu uske naam ki mala Jap raha tha...
Sharad- areee bhaiya woh toh bas aise hi woh abhi yaha nayi aayi hain toh kahi gum na hojaay..issliye... bhaiya uska mobile bhi nahi lag raha..
Hemant becomes fully visible ..and is behind vasant...
Hemant- heeein..
Vasant gets scared..
Vasant- aeee hemant aise koi daraata hain kya ...
Hemant- papa woh mere power fluctuate ho rahe the toh mein pura invisible hogaya.. aur chacha Megha chachi toh phone kaise uthayegi unka moblie toh mere pass hain aur woh toh aurphirnaag gaye hain..kaam se..
Vasant- Phir se aurphirnaag..(to Varsha) dekho apne bete ko..phir kehti ho kyu dant te ho
Sharad(cuts Vasant) - areee par use bata ke toh janna chahiye tha na mujhe.
Vasant- oh ho Varsha yaha kisi ko bahut bura lag raha ki usse Megha bata ke nahi gayi
Vasant does ishaara to Varsha to speak..
Varsha- haan Vasant..bata ke nahi gai..gum ho gai to..kya baat hai..ajnabee ki itni chinta
Sharad- ajnabee kaha hai wo...aapki friend hai bhaiya ki responsibility hai..aur koi chinta nai hain muje.. mujhe kaha chinta ho rahi bhabhi..mujhe kyu bura lagega..nahi btana na btaye..
Vasant- lekin Sharad Varsha ne kaha aisa tera naam liya.. sach sach bata tujhe uski chinta ho rahi hain.na aur tu usse pyaar bhi karta.hai na..
Sharad- kya pyaar? Megha se? mein? nahi karta..
Hemant- heeein chacha papa ne toh Megha chachi ka naam liya hi nahi..
Sharad- aree matalb tha. ki..woh woh..
Vasant comes near Sharad and says..
Vasant- - rehne de baniyan ..jhut mat bol...tere dil mein kuch aur hain aur zabaan pe kuch aur hain...bada Bhai hoon tera ..mujhe sab patah hain... tere dil me abhi bhi Megha ke liye pyar hai..wo teri iss chinta se saaf jhalakta hai..wo chupana chod de..
Sharad unknowingly blushes..Vasant notices it...
Sharad- offo bhaiya bhabhi mein sach keh raha mujhe koi chinta nahi ho rahi aur nahi mein pyaar karta hoon...aur woh aise thoda tension mein tha kyuki aapko batake nahi gayi thi na issliye
Hemant - haan toh aap tension mein kyu hain chacha. . Chill chill relax (imitating Sharad) kuch nahi hoga Megha chachi orphange mein hain aur woh bhi Samar bhaiya ke saath ..
Sharad kyaaa!! Hemant tune muje pehle kyu nahi bola..mein jaa raha hoon orphange...
Varsha - areee Sharad ruk yeh seb ki kheer toh leja Shruti aur Samar ke liye... undono ko pasand hain..
Sharad leaves in hurry..
._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.
At orphange ...
Megha was helping Samar in making laukii ki kheer..
Samar- aap Sharad se bahut pyar karti hain na..
Megha - Samar..kitni baar kaha hain ki tum mujhe aap mat bulaao aur Sharad ko bhi aap kehke mat bulaao..
Samar- sorry par kya karu mein bhul se bol jataa hoon logically ..agar mere chachi aur chacha yaha hote toh woh bhi aap matalb tum dono ki umar ke hote.
Megha - Samar Tum bhi sharad ki tarah logically bolna Sikh gaye ho...
Samar- (winks at her) logically pura din aap logo ke sath bitata hu to ek achi aadat to aa hi jayegi
Megha -(laughs ) tum bhi bahut mazzak karte ho Samar..Acha chalo yeh saari lauki kopatile mein daaldo..Mein aati hoon..
Samar-(in mind) Aap logo ke sath reh kar parivar ki kami mehsoos nahi hoti..Shruti sahi kehti hai..jo apnapan ye log hme dete hain..koi apna b na de pata..
Samar trance is broken..due to sudden noise...he rushes out and sees all milk spilled on floor..
Samar - kya hua Megha...tum thik toh ho.
Megha- aaah kuch nahi Samar woh patila bahut garam tha toh haath se chutt gaya..aur woh thoda sa garam dhoodh haath par gira...
Samar - areee tumhara haath toh thik hain ..chalo pehle thanda paani daalo haath par .
Megha- nahi Samar mein thik hoon.. .pehle yeh floor saaf karte hain..
Samar -nahi pehle aap dawaai lagaa lo...Chalo..
Sharad reaches orphange and searches for Megha..He meets mali kaka and asks him about them..mali kaka tells Sharad he has seen them going towards Medical room
Sharad rushes towards the medical room and sees them sitting too close to each other with Megha holding Samar's hand too tightly as she was feeling a little pain
Sharad was feeling jealous on seeing them..he immediately goes to them
Sharad- Megha..Megha.yaha ho tum mai tumhe kabse dhoodh raha hoon. ..aur tum yaha(looking towards Megha hands ) yeh kya hua Megha..
Samar- Sharad ..Megha ke haath par gram dhoodh ka patila gir gaya .aur issliye medical room le aaya ...aur yeh bas dawaai lagaa hi raha tha.
Sharad- Megha tum thik toh ho..chalo jaldi pehle thanda paani mein haath daalo..Samar jaao thanda paani le aao
Samar didn't say anything but leaves ..and brings cold water in a vessel..
Sharad- bilkul bhi dhyan nahi rehta tumhara...
Megha- Pluto..umm.woh.Sharad.. sorry..woh galti se ..
Sharad- kya Sharad Sharad lagaa rakha hain haan..aur kya sorry ..mein kuch nahi sunna chahta..apna khayal toh kabhi rakhti nahi tum...
Samar smiles at them and remembers Shruti's convo and decides to tell the incident to Shruti and leaves the place so that the two can talk freely..
Precap-Pritesh is all set to reveal ghotalas identity..will Manav be able to save them this time?
Manav Anna have a heart to heart conversation..
A new guy is all set to enter..will he be able to break the solid relations in Sunshine Colony?
Edited by Krish58 - 9 years ago
62