Days were passing ...shashank and Riddhima were so happy in their own world but Armaan was feeling restless each and every day ...living in a fear that what will happen the day Riddhima will leave... how he will manage with his papa and his questions...
One day shashank called Muskaan to his room.
Shashank -Muskaan tum Ria ki bohot aachi dost hona... kya vo tumse apni pareshani share karti hai...
Muskaan - haan uncle karti hai ...Ria mujhse koi baat nahi chupati ...par aaj aap ye sab kyun puch rahe ho uncle ..
Shashank - muskaan beta mein ne akele hi maa baap ban kar Ria ko bada kiya hai but kuch Baatein aise hoti hain jo betiyan sirf apni maa se hi share karti hai ...
Muskaan - kya hua uncle sab theek hain mujhe kuch samjh nahi aa raha aap kya kehna chahate hain... ...
Shashank - pata nahi beta ...kuch toh baat hui hai... kya Ria ne tumse kuch bataya ...
Muskaan - kis bare mein uncle ...
Shashank - Ria aur Armaan ke beech koi tension hai kya...vo dono ek dusre bilkul baat nahi karte ...Pehle toh Armaan office me kum aur ghar pe jayda rehta tha ...par aab vo ghar sirf mein kaisa hun dekhne ke liya aata hai ...na vo dono baat karte hai na hi kahin bahar ghumne jaate hai ...Pehle dono me kitna pyaar tha par aab... aab toh vo dono ajnabee jaise behave karte hain ek dusre ke saath ...
Muskaan - uncle aap khamaka tension le rahe ho ...aise koi baat nahi hai agar hoti toh Ria mujhse jarur batati ... aur waise bhi haal hi mein abhi Armaan ne new branches kholi hain toh uss ke kaam me busy rehta hai vo aur Ria aapke saath busy rehti hai ...kitne din badh aap theek ho ke ghar aaye ho uska sara dhyan aap pe hai... bahut pyaar karti hai vo aapko isliya kuch aur nahi sujh raha husse aabhi... aur Armaan ka kaam pe dhayan hain bas aabhi iss wajah se vo ek dusre ko waqt nahi de pa rahe honge... Aur koi tension nahi hain uncle... Aap tension maat lo... ...
Shashank - are you sure beta ...ya phir shayad Ria ne tumse ye baat chupayi hogi...
Muskaan - nahi uncle Ria mujhse kuch nahi chupati ...everything is fine... Aap bus aaram kariye... koi tension nahi ... uske liya hum sab hain na...
Shashank - i hope so Muskaan ...un dono ne bohot kuch dekh liya mein agar vo accident nahi karta toh aaj vo dono apne bache ke saath bahut khush hote ...
Muskaan - uncle aap phir purani baat le ke sad ho rahe ho mein Ria ko bata dungi
Shashank - nahi nahi beta vo gussa ho jayegi mujhse... pata nahi kyun mujhe lag raha hai ki vo dono... kahir tum mera ek kardogi beta ...
Muskaan - aap order karo uncle... apka kaam ek chutki mein kar dungi mein ...
Shashank - smiled)Ria aur Armaan ko kisi bhi tarha aaj candle light dinner pe bhejo ...ye kaam toh hote rahenge aur rahi meri baat i am much better now ...
Muskaan - bas itni si baat ...aapka kaam hogaya samjho uncle...
Shashank - jeeti raho beta ...
*****************************************
"candle light dinner???"
Armaan and Riddhima both asked shockingly at the same time ... seeing there shocked faces Muskaan giggled and said "tum dono aise shock ho rahe jaise mein ne candle light dinner pe nahi kiska murder karne ke liya keh diya ho tum dono ko..."
Riddhima - Muskaan tu ye kya bakwaas kar rahi hai ...
Armaan - haan ye kya hai Muskaan... tumne mujhe phone karke emergency hain kaha toh mein bhaga chala aaya... soch ki na jaane kya ho gaya hain.. aur tum ye sab...
Muskaan - Armaan ye sahi mein emergency hai ...tum dono ki behaviour ki wajah se uncle ko shak ho gaya hai..
Armaan - sacredly)papa ko sach pata chal gaya ...
Muskaan - arey nahi Armaan... bas unko shak hua hai ki tum dono no ke beech koi tension hai aur iss liya tum dono ek dusre se baat nahi karte ...aur uncle ne hi kaha mujhse ki mein tum dono ki convince karke kisi bhi tarah candle light dinner pe bhejun ...
Armaan and Riddhima both looked at each other confusedly and nervously...there is deep silence in the room ...Muskaan was about to say something then shashank entered the room while saying
"mein ne table book kar diya ...tum dono ready kyun nahi hue aabhi tak ..."
Riddhima/Ria - papa aap bhi chalo hamare saath ...
Shashank - mujhe kabaab mein haadi bane ka shock nahi hai Ria...
Hearing it Muskaan laughed out loudly in her style while saying "kya baat kahin uncle apne" and gave Hi-Fi to shashank ...
Armaan - par papa mein ne aise kabhi nahi socha aap bhi chalo hamare saath..
Shashank - Muskaan tumne kaha tha mera kaam hogaya samjho par ye kya hai ye dono bahane bana rahe hai
Muskaan - uncle ye dono ready ho gaye they bas aapko dekh ke formality sake aapko bula rahe hai ...samjha karo na uncle ...aab aapko nahi bulaya toh aap in dono ko beshaaram kahoge na... kahoge ki beshaaram ek bar bhi nahi pucha dono ne ...
Hearing it Armaan and Riddhima looked at each other and can't able to look at shashank unknowingly both were blushing and feeling embarrassed
Shashank laughed out loudly hearing it and said "Muskaan beta tera toh jawab nahi... dono ko dekho kaise sharma rahe hai ..."
Muskaan - oye hoyeee ...
Riddhima/Ria rolled her eyes at Muskaan to stop it then Muskaan said seriously "chalo uncle hum bahar chalte hai ...aab inn dono ko tayar bhi toh hona hai aur kuch der yahan rahe toh face pe keh denge ki get out ..."
Shashank laughed and said "haan beta chalo ...let them get ready "
Muskaan winked her eye at both and walked out with shashank and closed the door ...Riddhima was damn nervous she was twisting the corner of her dhupatta ... Armaan kept quite for a while and said while clearing his throat "aap fikar mat kijiye Riddhima ji mein jaa kar papa ko kisi bhi tarha convince karta hun ki hum nahi ja payenga .."
saying this armaan was about to go from there when Riddhima called him "Armaan ji"
Armaan *turning around - ji ...
Riddhima - papa ki khushi ke liya hum dono ko chale jana chahiye warna vo upset ho jayenge...
Armaan - par aap ko problem hogi Riddhima ji ...aapko mere saath bahar aana uncomfortable lagega ...
Riddhima - nahi Armaan ji ... i am okay bas thodi nervous hun par mujhe aap pe yakin hai...
Armaan looked in her eyes and smiled a bit and said "thank you Riddhima ji.."
Riddhima did not say anything ...then Armaan said "aap tayar hojaye mein bahar hun ..."
Riddhima - aapko bhi toh change karna hain Armaan ji ...mein uss room mein change kar lungi... and Armaan simply nodded his head...
Ridhima was about to go from their to her room to change when she heard armaan saying
Armaan - Ria candle light dinner pe hamesha saree pehanti thi ...
Riddhima did not reply anything hearing it... and then she quietly moved near Ria's wardrobe...took out saree and went to other room to change letting armaan to change in his room...
***************************************
In car
while driving Armaan was looking at Riddhima from the corner of his eyes ...Riddhima was twisting her pallu nervously and looking out from window ...both were not talking with each other there was an awkward silence between them...
After awhile Armaan stopped the car in-front of temple ...Riddhima looked at Armaan confusingly and thought "Armaan ji ne yahan car kyun rokh di ???
[she wanna ask but stopped thinking]
puchun kya armaan ji se... nahi nahi ...koi kaam hoga yahan shayad ... mein puchungi toh unko bura lagega..."
she came out of her thoughts when Armaan opened the door of her side and asked her to get down through his eyes ...Riddhima get down from the car...
then Armaan escort her inside the temple ...she silently went inside temple ...both performed prayer and then Armaan asked "yahan bhait jaye ..."
Riddhima was not getting anything that they were supposed to go on a candle light dinner then why they came here... what they will do here... she was hell confused but because of hesitation she could not able to give words to her thoughts in-front of armaan ... but seeing her facial expression Armaan asked "kya hua Riddhima ji ...aapko mandir aana acha nahi lagta kya??"
Riddhima while sitting little away from Armaan on floor said "nahi aisi baat nahi hain ... vo mein aur muskaan har Friday ko temple jaate hai... mujhe yahan aa ke bohot acha lagta hai ...aap kyun aise puch rahe hai Armaan ji ..."
Armaan - aap ko confused dekhe mujhe aise laga ...
Riddhima - ji vo ...
Armaan - don't hesitate Riddhima ji ...aap freely baat kar sakti ho mujse...aap kuch puchna chahati hain mujhse toh bina kisi hesitation ke puch sakti hain... mein bure nahi manunga bilkul bhi...?
Riddhima - hmmm
Armaan - toh puchiye ...
Riddhima - vo ...hum dono ko dinner pe jana tha na toh hum yahan kyun ...
she lowered her head
Armaan smiled a bit and said "ridhima ji aap mujhe pe aur papa pe bohot bada favour kar rahi ho... aur mein aapki aachai ka aur faida nahi utha sakta... aap dinner pe aane ke liya ready toh ho gayi papa ki khushi ke liya par mein samjh sakta hun aap kitna nervous and uncomfortable ho... ek ajnabee ke saath dinner pe jaana kitna odd lag raha hoga aapko mein janta hun... more over aapki and sid ki shaadi hone wali hain in future agar ye baat use pata chale toh shayad usse bura lag sakta hai aur mein nahi chahta ki because of me aagey jake aap pe koi bhi ungli uthey...
waise hi bahut bada ehsan kara hain aapne mujhpe aur papa pe aaj ke jamaane mein koun kisi ki parwah karta hian... aaj ke jamane mein toh koi aapno ki nahi care karta aur aap ek abnaabe ho kar hamare liya itna kar rahi hain"
Riddhima was soo touched with his every word... how caring man he is ... how much he thinks for her then she asked "agar papa ko pata chal gaya toh ?"
Armaan - mein ne manager ko call karke bol diya hai agar papa unhe call karein toh kehna ki we are there ... bas thodi der yahan bhait ke hum ghar chale jayenge...aur sorry mein aapki izzat liye bi na mandir le ke aaya ...mein ne socha tha ki mandir mein aap comfortable hongi agar kahin aur jaye toh shayad you may not like it
Riddhima - sorry mat boliye Armaan ji ...apne theek hi kiya ...bohot din ho gaye the mein mandir nahi aa pai issi bahane mein ne bhagwan ki dhrasan kar liya ...mujhe ye Jagah bohot aachi lagti hai ...maan ko shanti milti hai yahan ...
Armaan - hmmm...Ria bhi yehi kehti thi ...subha sham pooja karti rahti thi... bhagwan ko bohot manti thi kehti thi ki bhagwan uski Baatein sunte hai aur usey bohot pyaar karte hai iss liye unhone uske aanchal mein khushiya hi khushiya dal di ... jaabi vo udas hoti thi tab bhi bhagwan ko bol deti thi aur kehti thi ki mein ne bhagwan ko bol diya hian aapni problem aab vo sab theek kar denge aur
{he stopped and looked at Riddhima who was listening his words quietly and said]
i m sorry to bore you...
Riddhima - Armaan ji aap har bar sorry mat kaha kijiye ...apne mujhe bilkul bore nahi kiya ...Ria ke bare mein janke mujhe bohot acha lagta hai aise lagta hai ki mein khud ke bare mein sun rahi hun ...
Armaan - haan Riddhima ji aapki aadatein aur behaviour ko dekhe mujhe bhi kaai bar aise laga hai ki mein Ria ko dekh raha hun par ...meri Ria toh aab mujhse bohot dur ja chuki hai ...[.tears formed in his eyes]anyway chodo ye baat aur apne and sid ke bare mein kuch batayegi ...aap dono kaise mile?...only if you don't mind
Riddhima - i don't mind Armaan ji ...mein aur Muskaan har roj kaam ke bad ek coffee house mein milte the aur waha se hostel aate they saath mein ...sid bhi wahi aaya karta tha har roj ...mein ne toh kaabi dhyan nahi diya ...ek din mein Muskaan ka wait kar rahi thi toh sid aake mujhse baat karne laga aur dheere dhere hamari dosti hui ...phir ek din unse mujhe propose kiya aur mein ne haan keh diya ...
Armaan - frowned)yun hi haan kar diya ???aap ko bhi usse pyaar hogaya tha kya?? ya phir uske proposal ke badh apne aapni feelings ko realize kiya???...
Riddhima did not say anything then Armaan bit his tongue and said "i should not ask like that ...its ur personal things ... i m sorry bas jahan tak mein ne aapko samjha hai aap bohot shy girl ho aur koi ladka achanak se propose kare toh yun hi haan nahi karogi ..."
Riddhima - Armaan ji mein shy girl ke saath saath ek orphan bhi hun bachpan se hi ek family keliya... family ke pyaar ke liya... apno ke saath ke liya taras rahi thi... jab sid ne propose kiya mere maan bas ek hi khayal aaya ki aab mera bhi ek pariwar hoga jine mein apna keh sakungi aur pyaar milega... ek khud ka ghar mile ga ...toh mein ne haan kar diya... mujhe laga ki sid turant shaadi kar lega par jaabi mein shaadi ki baat karti hun toh vo mujhe kuch na kuch bahana bana deta hai.. kabhi kabhi khud ki business settle karna hai bolke taal deta hai ...
Armaan - aap udas mat hoye Riddhima ji ...apka jaldi hi ek hasta khelta parivaar hoga apne honge ...meri Ria kehti hai agar dill se mango toh bhagwan jarur sunte hai aur agar vo na sune toh uska matlab hai ki bhagwan hamare liya aur bhi aachi cheej soch rahe hai aur waqt pe vo humein de denge ...
Riddhima - haan i know mera bhi yehi mana hai Armaan ji ...hum dono ne kabhi jayada baat nahi ki par aaj iss pavitr Jagah pe aap se itni sari Baatein karke mujhe bohot acha lag raha hai ...
Armaan - mujhe bhi bahut aacha laga Riddhima ji aapse baat kar ke... aur i guess aab humein thodi bohot baat karte rehni chahiye warna papa ka shak bhadh jayega ...
Riddhima - ji ...
Armaan - hmm par aap bohot hichkcihati hai baat karne ke liya toh kya hum dosti kar le taki aap comfortably mujhse baat kar sake ...
Riddhima - while forwarding hand )so aaj se friends
Armaan shook his hand with her and said "yeah friends"
37