Serendipity.....Sujal&Kashish....Last-Part...11/07 - Page 5

Created

Last reply

Replies

960

Views

291.6k

Users

68

Likes

302

Frequent Posters

goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#41

Part-21

Ab raat isi tarah bit jati hai. Subaah ke kareeban 9 baj gaye hai. Kripa hospital jane ke taiyariyaan karti hai. Tabhi Angad waha pe aata hai.

Kripa: are Angad tum aao naa. main bas hospital jane ke liye nikal hi rahi thi.

Angad: Kripa, ek baat puchu tum se kya tumhe lagta hai ki pyaar jaisi koi chiz is duniya main hai.

Kripa: pehle vishwas nahin hota tha lekin jab se kashish aur sujal ko dekha hai yeh mera vishwas aur gehra hota ja raha hai. Pata nahin bhagwan us dono ko kyun itna tadpa rahe hai. Kashish ne pehle hi bahot dard jela hai. Kabhi kabhi muje darr lagta hai ki kahin main sab logo ki tarah kashish ko bhi na kho doon.

Tabhi Angad ke cell pe sujal ka phone aata hai aur sujal use kal raat ke bare me batata hai.

Angad: Kuch nahin hoga kashish ko. Abhi sujal ka phone aaya tha bata raha tha ki kal raat kashish ne khud apne haath se sujal ka haath pakda tha.

Kripa: Kya. yeh to bahot hi khushi ki baat hai. Main abhi anjali ko phone karti hoon.

Tring..........tring.................

Anjali: Kripa, sab kuch thik to hai naa aur tu bahot khush lag rahi hai.

Kripa: haa anjali, aaj main bahot khush hoon pata hai kyun kal kashish ne pure do mahino ke baad apna haath hilaya aur doctor ke rahe the kashish ab jald se thik ho jayegi aur yeh sab sujal ki waje se.

Anjali

(shocked): sujal yahaan aaya hai.

Kripa: haa Anjali, main hospital ja rahi hoon kashish se milne.

Anjali: main bhi kuch hi dair main pahonchti hoon.

Kripa: bye see u at the hospital.

Angad dekhta hai ki Kripa bahot hi khush dikhai de rahi hai.

Angad: kripa main bhi hospital hi jaa raha hoon. saath me chalte hai.

Kripa: ek minute main kuch leke aati hoon.

After sometime kripa comes and they both reach hospital.

<><><><><><><>< ><><><><><><><> <><><><><><><>< ><><><><><><><> <><><><>

They both enter kashish's room.

Angad: Kashish thik to hai naa.

Sujal: bahot jald thik ho jayegi.

Kripa: aur yeh sab kuch tumhari waje se mumkin hai. thank you sujal.

Sujal: Maine kuch nahin kiya yeh sab to mera farz tha.

Kripa: tum bahot achche ho sujal. Yeh lo main kuch tumhare liye layi hoon.

She handed to sujal.

Sujal: yeh sab kya hai.

Kripa: yeh kashish ki personal diary hai shayad yeh tumhare kaam aaye aur yeh wahi chudiyaan hai jo tumne use di thi. Kashish ne ise utar di thi kyunki woh tumhari yaadoin se durr jana chahti thi lekin dil se woh tumse kabhi juda nahin ho payi. Yeh use pehna dena.

When Anjali and Kavya enters.

Kavya is surprized to see Sujal.

Sujal: tum yahaan.

Kavya: tum yahaan kya kar rahe ho.

Anjali: kya tum ek dusre ko jante ho.

Kvaya: haa anjali hum log USA me ek hi college me the main iska senior tha.

Sujal: lekin tum yahaan.

Kripa: sujal yeh meri badi behen Anjali aur uska pati Kavya. aur yeh hai.

Kavya: janta hoon sujal aur angad. Muje to abhi yakeen nahin aata ki tum hi woh sujal ho.

Anjali: ab yeh sab baatein chodo aur yeh batao ki kashish kaisi hai.

Sujal: mere hote huye use kabhi kuch nahin ho sakta.

Anjali: janti hoon lekin kya karoo badi hone ke naate maine papa se promise kiya tha kashish aur kripa ki khushi ka.

Kripa anjali ke gale lag kar rone lagti hai.

Kripa: kisne kaha ki hum khush nahin hai. mere liye yahi kafi hai ki hum teeno saath hai.

Angad: aaj se yeh rone ke din khatam huye. aaj se koi nahin royega. agar kuch hoga to sirf khusiyaan.

Kavya: bilkul sahi kaha. Aur kripa agar kashish ko pata chalega ki tum dono is tarah to use kitna bura lagega na.

Kripa just nodded his head.

Sujal: aaj se kashish ki saari jimedari meri. Aaj se hum sab log pehle ki tarah normal life jeyenge. Aur kripa tum phir se KnK boutique khologi. Kashish ke liye. Karogi na tum.

Kripa: Kashish ke liye main kuch bhi kar sakti hoon.

Angad: chalo main tumhari madad karta hoon.

Kripa aur angad nikalte hai.

Kavya: hum bhi nikalte hai ek meeting hai office me.

Anjali: Sujal kashish ka khayal rakhna.

Sujal: anjali tum kyun itna pareshan ho rahi ho. just calm down. mujpe yakeen hai na tumhe.

Anjali: ab tum per hi yakeen hai mera. chalti hoon sham ko aaungi. bye.

Kavya: bye take care..

sujal; bye.

<><><><><><><>< ><><><><><><><> <><><><><><><>< ><><><><><><><> <><><><>

Sujal sabke jane ke baad kashish ki dairy padhne lagta hai.

Page 1

" Aaj main delhi gayi thi kisi aur kaam se lekin milke aa rahi hoon apni zindagi se. Pyaar kya hota hai jaana tha lekin aaj use mehsoon bhi kiya hai. Sujal woh jiske aane se meri zindagi me bahar aati hai aur uske jane se gum ke baadal. Main aaj tumhe kehna chahti thi ki main tumse kitna pyaar karti hoon. Lekin shayad kahin na kahin hamari khamoshi hi sab kuch keh gayi. Jis insaan ne muje ek hi din me badal diya us insaan ke saath main apni puri zindagi bitana chahti hoon. I Love you sujal......"

Woh mann hi mann muskura raha hai kashish ki aur dekhkar.

Page 2

" Aaj main bahot khush hoon kyunki aaj sab kuch mere saath hai. mera pyaar, meri khushiyaan aur Sujal ka ehsaas. Woh mujse dur hai lekin phir bhi mere dil ke itne kareeb hai ki main khud nahin janti ki kab woh mere itne kareeb aa gaya. Kisi ne sach hi kaha hai ki pyaar ko parkhne ke liye ek nazar hi kafi hoti hai aur Sujal se milne ke bad aisa laga ki main use barso se janti hoon. Sujal bina kuch kahe meri her baat ko smaj jata hai. Iske naam lene se mere dil ki raftar tez ho jati hai pata nahin jab sujal se milungi to kya hoga. I love you sujal......"

Sujal khidki ke pass jakar khada hota hai aur phir se padhne lagta hai.

Page 3

" Sab kehte hai ki main pagal hoti jaa rahi hoon. Haa yeh sach hi to hai ki main tumhare pyaar me pagal hoti ja rahi hoon. jaha bhi dekhti hoon. muje sirf tum hi tum sujal nazar aate ho. Sote jagte udhte bethte sirf sujal hi sujal. Ab to aisa lagta hai main apne liye nahin balke sujal ke liye jeeti hoon. Ab dil me ek hi kwahish hai ki main sujal ki dulhan banna chahti hoon. uske saath kadam se kadam badhake chalna chahti hoon. Main ek bhi pal usse durr nahin rehna chahti. Agar mere dil ki aawaz tum tak pahonch rahi hai to sujal main tumse bahot pyaar karti hoon itna pyaar karti hoon ki khud bhi nahin janti. I Love you sujal......"

Sujal

(to himself): Pagli kahi ki lekin jaisi hai meri hai.

Page 4

"Aaj maine Sujal ko bahot miss kiya lekin miss karne ke bavjud bhi aisa laga ki woh mere aaspass hi hai. Lekin woh mere aaspaas nahin balke mere andar hai. mere dil me. Aaj Anjali ke haath me mehndi lagate waqt jo mehndi mere haath pe lati thi uska woh rang hi mere sache pyaar ka saboot hai. Aur ab to is kashish ke saath uske sujal ka naam jud gaya hai. Main janti hoon ki tum jahan bhi hoge tum muje sun sakte ho. Meri dil ki dhadkan ko mehsoos kar sakte ho kyunki main tumhe apne aap me mehsoos karti hoon. Sujal me tumse bahot pyaar karti hoon. tum ple jaldi mere pass vapas aajo na.I love you sujal........."

Sujal Kashish ke pass jakar uske kareeb beth jata hai.

Page 5

"Zindagi bhi ajeeb hai. Ek taraf papa hai to dusri aur mera Pyaar. Muj jaisi badnasseb is duniya main koi nahin hogi jise pyaar ke sapne to dekhne mile lekin sapno ko haqeeqat ka roop dene ka moka nahin mila. aaj muje faisa karna hai apne pyaar aur apne beti hone ke farz ke beech. Agar main apne pyaar ka saath doon to main khudgarz kahelaungi ki 23 saal tak beti hone ke farz nibhaye lekin ek hi pal main beti ne apne pita ka sir sharm se juka diya. aur agar main papa ka saath doon to apne pyaar ko kho dungi jo mere jine ka sahara hai. Kabhi koi dil dhadkan ke bina nahin reh sakta is tarah yeh kashish bhi to apne sujal ke bina nahin reh sakti. Main kya karoon apni jaan bhi nahin de sakti kyunki muje maloom hai ki sujal meri bewafai ko seh sakta hai lekin meri maut ko nahin. hey! bagwan muje kis dorahe pe lake khada kar diya hai tune. kyun kiya tune mere saath . Akhir kyun................."

Sujal kashish ka haath pakadta hai aur use pyaar se kiss karta hai.

Page 6

"sab log muje galat samaj rahe hai. Per kya kabhi kisi ne yeh janne ki koshish ki ke mere dil pe kya gujar rahi hai. maine apni zindagi ki sari khushiyon ka sauda kar diya hai. Kuch bhi ho jaye sujal ple tum muje galat mat samjna kyunki jis din tum muje galat samjonge woh din meri zindagi ka aakhari din hoga. Lekin sujal jab bhi main apni aakhri sanshe le rahi hogi tab main sujal tumhari baahoin me hona chahti hoon taki main chen se is duniya se ja saku. per filhal muje yeh dard bari zindagi jini hogi. per sujal is dard bari zindagi main bhi main keh sakti hoon ki jo pal maine tumhare saath gujare woh meri zindagi ke sabse haseen pal the. I love you sujal......."

Sujal: Ab nahin kashish. tumne bahot kuch saha hai. lekin ab sirf khushiyaan hogi hamari zinadgi me. Ab tumhara sujal tumhare pass hai. Kashish tumne bahot dard seha hai lekin ab tum akeli nahin sahogi main tumhare saath hoon. tumhare her khushi main tumhre har gumm me.

Sujal dheere se ek ek karke choodiyaan kashish ko pehnata hai. woh her ek choodi pehnane ke baad kashish ke haath ko kiss karta hai aur aakhir me woh kashish ko apne gale se lagata hai.

Edited by goodkashish - 17 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#42

Part-23

Kashish Sujal ke saath ghar pe aati hai lekin raste me koi baat hi nahin hoti shayad kahi na kahi unke beech khamoshiyaan hi sab kuch bayan kar rahi ho.

(In Sinha House)

Kashish aur Sujal andar aate hai.

Kripa: tum log aa gaye. Ab tum log jake aaram karo main tab tak dinner ka intzam karti hoon. Anjali kavya ke saath aati hi hogi.

Sujal: Kripa, woh mera kamra.

Kripa: oh i am sorry, maine abhi angad ko uska room dikhke aayi. Chalo tumhara room bhi dikha deti hoon.

Kripa aur Sujal upper room ki aur jahi rahe the ki....

Kashish

(kuch sawaal apni aankhon me lekar): Kripa, mera kamra kaha hai.

Kripa aur sujal ek dusri ki aur dekhte hai.

Kripa: Oh...i am sorry kashish. chalo main tumhe pura ghar dikhati hoon.

Kripa pehle hall ko introduse karti hai phir kitchen ko, phir dining room ko aakhir me study room ko.

Kripa: kashish yeh hamara study room hai.

Kashish

(by lookin in side the room): kripa yeh sab kya hai.

Kripa: Yeh tumhara sketch board hai aur yeh tumhare markers aur yeh sab tumhare fabric sample.

Kashish: matlab

Sujal: Matlab tum bahot hi achchi fashion designer ho.

Kashish: main aur fashion designer lekin muje to kuch nahin aata.

Kripa: tum ek bar koshish to karo.

kashish sketch board ki aur jake ek hare rang ki marker se sketch banana shuru karti hai lekin kashish se ek sidhe lakeer bhi khichi nahin jati.

Kashish bas sujal aur kripa ko dekhkar us room se bahar chali jati hai.

============================================================ =====================================

(In the hall.)

Kripa: koi baat nahin kashish. dheere dheere sab kuch yaad aa jayega. hum upper chalte hai tumhare kamre me.

they go upstairs.

(lets me tell you they have 3 rooms on each side like aamne ssamne hote hai)

Kashish: yeh kamra kis ka.

Kripa; yeh kamra papa ka hai.

Kashish: papa kahaan hai.

Kripa: Papa teen saal pehle ek car accident me gujar gaye aur mama to tumhe janam dete waqt hi.

Kashish: iska matlab koi nahin

Sujal: kisne kaha koi nahin hum sab hai naa.

Kashish: kyun meri itna khayal rakhte ho.

Sujal: kyunki tumse pyaar jo itna karta hoon.

Kashish: kyun karte ho itna pyaar.

Sujal: kyunki tum mujse pyaar karti ho.

Kashish; lekin main nahin janti ki main tumhe kab pehchan paungi.

Sujal: koi baat nahin main tumhara zindagi bhar intazaar kar sakta hoon.

Kashish aur sujal ek dusre ki aankhon me kahi kho yeh huye the ki tab neeche se anjali aawaz deti hai.

Anjali: Kaha ho sab log.

Kripa

(upper se); Abhi aayi anjali.

Kripa: chalo tum log usse pehle anjali upper aake muje dante.

Kripa unlogo ko uska kamra dikhakar unko fresh hoke neeche dinner pe aane ko kehti hai.

============================================================ =====================================

(everyone at dinning table)

Kavya: are yeh kashish kahaan reh gayi.

Kripa: maine bataya tha ki hum log khane pe intazaar kar rahe hai.

Angad: kahi uski tabiyat.

Sujal: main dekhkar aata hoon.

tabhi wahan per kashish aati hai.

Anjali: kashish wahaan kyun khadi ho. yahaan aao khana thanda ho raha hai.

Kashish dining table ke pass aati hai aur ek hi chair khali hoti hai sujal ki pass wali. kashish sujal ke pass beth jati hai.

Anjali: Yeh lo kashish tumhara manpasand gajjar ka halwa.

Angad: gajjar ka halwa muje to bahot pasand hai.

Kripa: tumhe kya koi aisi cheez bhi hai jo pasand na ho.

every one laughs.

Kavya; waise Anjali aaj halwe me woh baat nahin jo us din kashish ke halwe me thi.

Angad: kashish ke halwe me.

Anjali: Us din kashish ne pehli bar halwa banaya tha kyunki woh janti thi ki sujal ko pasand hai lekin kya kare sujal to tha nahin to is liye hum sab log kha gaye.

Kripa: lekin tumhe chidane ka bahot maza aaya tha.

Kashish: kyun

Kavya: kyunki tumhe halwa bahot hi meetha banaya tha. mera matlab sakkar se nahin . tumhare pyaar ki meethsh se.

Sujal

(kashish ki aur dekhke): Mere liye banaongi.

Kashish bas sujal ki aur dekhte hi reh jati hai.

Anjali (breaks slience): Ab tum dono ek dusre ko dekhna bandh karo aur khana shuru karo.

sab log khana khane lagte hai ki achanak

Kashish: mera pura naam kya hai.

sab log ek dusre ki aur dekhte hai aur sab ki aankhon me kahi na kahi aanshu the.

Anjali: Kashish Sinha.

Kashish: Kashish Sinha. mera naam Kashish sinha. aur kashish ke aankh se aanshu girne wale hi hote hai ki woh usko sambhal leti hai.

Kashish: Muje mera naam to pata chal gaya lekin aap sab.

Kavya: Hi I am Kavya Nanda

Anjali: aur main iski better half Anjali Nanda.

Angad: Hi i am Angad Khanna sujal ka dost, bhai sab kuch aur tumhara dost bhi.

Kripa: Kripa sharma, tumhare aur mere biche me sabhi ristey hai. chahe woh dosti ka ho ya behen ka ya phir buisness ka.

Kashish (sujal ki aur dekhkar) : Aur aap

Sujal: Sujal.....Sujal garewal. Naam yaad rakhiye ga kyunki kahi na kahi sujal aur kashish ke naam jude huye hai.

Kashish (aankhen sujal se churakar): Main thak gayi hoon. main apne kamre me jati hoon.

Kashish apne kamre me chali jati hai aur Kavya aur anjali bhi apne ghar chale jate hai.

============================================================ =====================================

Kripa, Sujal aur Angad hall me bethkar baatein kar rahe hai.

Sujal: kab tak woh humse apne aapko durr rakhegi. Kabhi na kabhi to use swekarna hi hoga uski zindagi ka sach.

Angad: muje lagta hai ki tumhe pehle dost banke uska vishwas jitna hoga.

Kripa: aur iske liye tumhe her pal use ehsaas dena hoga ki tum uske liye kya ho.

Sujal: lekin kaise.

Angad: I think kashish ko is waqt kuch waqt akela bitane ki zaroorat hai. Woh khud nahin janti ki woh kaun hai. woh khud ko ek ajnabee manti hai to uske liye hum to bahot durr ki baat hai. Kuch waqt do use khud ko sambhalne ke liye. Hum sirf humdardi baat sakte hai lekin sahi me kya use pe bit rahi hai uska andaza bhi nahin laga sakte.

Sujal; lekin main kaise use akela chod sakta hoon.

Kripa: muje lagta hai angad sahi keh raha hai. aur is waqt raat bhi kafi ho gayi hai. muje lagta hai hum sab ko so jana chahiye. Good night guys.

Angad: Good night to both of u.

SUjal: Good night.

============================================================ =====================================

Sujal aur kashish ka room ek dum aamne samne hai.

Sujal apne kame me janewala hota hai ki dekhta hai ki andar kashish khidaki ke pass khadi hai.

Sujal

(apne aap se): jitne aankhu bahane hai baha lo is andheri raat me kyunki kal ka ujala tumhari zindagi ke daman ko khushiyon se bhar dunga. main tumhe itni khusiyaan dunga ki kabhi kabhi tumhara daman chota pad jayega. good night kashish.

Edited by goodkashish - 17 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#43

Part-24

(It is morning at Sinha house's dining room)

Kripa

(zor se): kashish, sujal, angad....brakefast is ready.

Sujal aur Angad upper se neeche aate hai.

Kripa: are yeh kashish ab kaha reh gayi. Koi baat nahin aap log shuru kijiye main kashish ko bulakar aati hoon.

Kripa kashish ke room me jakar dekhti hai lekin wahaan pe koi nahin hota aur kripa darr ke mare neeche daud ke aati hai.

Kripa

(kuch bol hi nahin pa rahi): sujal woh kashish.....woh kashish.

Sujal: kya hua kripa....kuch to batao.

Angad: kripa just calm down aur batao kya baat hai.

Kripa: sujal kashish apne kamre me nahin hai.

Sujal

(shocked): kya..

Angad: kuch nahin bas yahin kahin hogi. chalo dekhte hai.

Sujal, kripa aur angad pura ghar chan marte hai lekin kashish kahin per bhi nahin hoti.

Sujal: kuch pata chala.

Kripa: nahin lekin woh ja kaha sakti hai. Main anjali ko phone karti hoon.

Angad: main bahar jakar dekhta hoon.

Kripa is dialing Anjali's phone numbers and sujal is sitting on sofa holding his head.

Angad

(shouts) : Sujal....Kripa bahar aao. jaldi se.

Sujal aur kripa bhagte huye bahar aate hai aur dekhte hai ki kashish bahar garden pe chair pe bethi hai.

Kashish ko dekhkar aisa lagta hai ki woh puri raat wahi per thi aur uski aankhon se lagta hai ki woh puri raat bahot royi hai. lekin ab to uski aankhon me aanshu bhi nahi hai lekin woh kuch gehri soch me kahin khoyi huyi thi.

Sab log kashish ke pass aate hai.

Angad: thank God tum yahaan ho.

Kripa

( roti huyi): Kashish....tumhe pata hai hum log kitna pareshan the. kam se kam kisi ko batana to chahiye tha na.

Sujal: Kripa, bas kar,,,ab to sab kuch thik hai na. chalo kashish breakfast ke liye.

Kashish: Muje bhukh nahin hai.

Sujal: bhukh to sabhi ko lagti hai aur waise bhi kal raat bhi tumne thik se khana nahin khaya. chalo kashish.

Kashish

(gusse se): maine kaha na muje kuch dair ke liye akela chod do.

Sujal kripa ko ishara karta hai ki kashish ka brakefast bahar lane ko.

Thodi der bad kripa sujal ko plate dekar angad ke saath wahi se chali jati hai.

============================================================ ==================================

Kashish: maine kaha na muje nahin khana.

Sujal: mere liye hi sahi.

Kashish: kyun khau main tumhare liye.

Sujal: thik hai to aaj se hum naya rista shuru karte hai. Dosti ka. dosti karna pasand karogi mujse.

Kashish: kya tum muj jaisi ladki jo khud ko nahin janti uske dost banoge. bahot muskil hoga.

Sujal: muskil hi sahi lekin main apni dosti nibhaunga.

Kashish

(smiles little bit): to thik hai aaj se hum dost.

Sujal: hamesha muskurati rehna achchi lagti ho.

Kashish: apne dost ko breakfast nahin khilaoge. bahot bhukh lagi hai.

Sujal: lekin abhi to koi keh raha tha ki use bhukh nahin hai.

Kashish: ple do na sujal....

Sujal: aisi hi hamesha ladti rehna mujse.

sujal and kashish both lost in each other's eyes. Kripa and angad are watching them from the balcony.

Kripa; chalo tum bhi breakfast karlo phir hume chalna hai.

Angad; kaha

Kripa: bhul gaye abhi bahot sara kaam baki hai boutique ka.

Angad; aap ke liye to jaan bhi hajir hai.

kripa; shut up angad. you know me.

angad; bahot hi achichi tarah.

============================================================ ==================================

(let's check on sujal and kashish)

Bin Tere Kya Hai Jeena

(sujal kashish ko khana khilata hai apne haathon)
Mere Dil Ki Raani Tum
(thoda sa kashish ke hoth pe lag jata hai aur woh kashish ko kehta hai lekin kashish use samaj hi nahin pa rahi)
Meri Khushiyon Ka Mausam
(sujal kashish ke hoth se khana nikhalta hai aur aise hi woh saara khana kha jati hai)
Mere Khwaabon Ki Taaviz
(phir sujal kashish ko park me ke jata hai aur woh dono wahi park me chal rahe the aur kafi sari baatein ho rahi thi)
Mere Sapanon Ki Tasveer
(tabhi waha pe ek phool wala hota hai aur kashish phool ko dekhte hi muskurati hai)
Bin Tere Kaisi Aas
(Sujal us flower wale ke pass jakar aise hi roses leta hai jaise kashish ko pasand hai red roses ke bich ek yellow rose)
Woh Jeet Ho Ya Haar
(Sujal kashish ke pass akar use deta hai aur kashish khush hoke use lekar kahin na kahin unki khusboo main khoyi huyi thi)


Tere Sang Hai Sab Kuchh

(Phir kashish sujal ko ek mandir batati hai aur waha per jane ki jid karti hai.)
Tu Na Ho Toh Bekaar
(kashish sujal ke saath mandir me jati hai aur dono haath jodke bhagwan ke samne khade hote hai)
Bin Tere Kya Hai Jeena
(sujal sirf kashish ko dekhta hi rehta hai jab kashish use ishara karti hai bhagwan ke samne dekhkar prarthna karne ko)

Sujal : hey bhagwan main aaj tumse kuch nahin magta sirf itna ki kashish ko uski yadash wapas mil jaye. Kyunki kashish ki khushiyaan usme chipi hai aur muje kashish ki khushiyaan ke alwa aur kuch nahin chahiye.

Kashish: Main nahin janti ki main sujal se pyaar karti hoon ya nahin muje kuch yaad nahin hai lekin ha main jab bhi sujal ke saath hoti hoon to ek ajeeb sa sukun milta hai. na koi gumm na hi koi darr. kuch hota hai to sirf khushiyaan. Kabhi kabhi darr lagta hai ki agar muje kabhi kuch yaad na aaya to main kahi usse uski khusiyaan chin nalu. Main janti hoon ki main jo bhi karungi usme aap hamesha mere saath hoge. shayad yeh mera imtihaan hai. muje aashirwad dijiye isme pass hone ka.

Sujal: chale kashish

Kashish: haa...

Panditjee: Are kashish betiyaa....kitne dino baad aayi ho. Sab kuch thik to hai na. aur tum aise kya dekh rahi ho jaise muje janti na ho. bachpan se tumhe janta hoon. apni behen ke saath aati ho.

Kashish: Woh do mahine pehle mera accident hua tha aur isme maine apni yadash kho di. maff kijiye lekin main aapko nahin janti.

Panditjee: Koi baat nahin beti. (by looking at sujal), aap....maine aapko pehle kabhi nahin dekha.

Kashish: yeh sujal hai...

Panditjee; to yeh hai woh. jiske liye tum hamesha yahaan aati thi. Beta tum bahot hi naseebwale ho yeh tumse bahot pyaar karti hai. Hamesha tumhari khusiyon ke liye prarthna karti rehti hai.

Sujal: janta hoon. chale kashish

kashish: haa

Panditjee: bhagwan tum dono ki jodi banaye rakhe.

Kashish aur sujal bas ek dusre ki aur dekhte hi rehte hai.

============================================================ ==================================

(1 week has been passed )

Kashish aur Sujal ab bahot achche dost ban gaye hai.

Raat ke kareeban do baje hai. Sujal pani pine ke liye neeche kitchen me aata hai to dekhta hai wahaan kashish hall me andhere me sofe ke pass zameen pe bethi ro rahi hai.


Suni Khaali Raaten

(Kashish us andheri raat me sujal se apne aanshu chupa rahi thi)

Ruthi Feeki Baaten
(Sujal hall me aakar light on karta hai)
Har Aahat Pe Chaaukun
(Kashish ek dam darr ke sujal ko dekhti hai)

Tujhko Harsu Dekhu
(sujal kashish ke pass jakar wahi beth jata hai aur bas kashish ki aankhon ko dekhta hi reh jata hai.)


Tujhko Hardam Sochu
(Sujal apne haaton me kashish ka chehra leke use aanshu bahane se inkar karta hai)
Tujhko Har Pal Chahu
(Sujal apne haathon se kashish ke aanshu ponchta hai)
Tere Bin Toh Jeevan Mera Hai Intezaar
(kashish sujal ke gale lagkar rone lagti hai)


Bin Tere Kya Hai Jeena

(Sujal use kas ke pakda hua uske balon ko sehlate huye use hosla de raha hai)

Sujal : Kashish, janti ho mere liye yeh aanshu bahot keemati hai aur tum ise aise hi baha rahi ho. Main chahkar bhi iski keemat nahin chuka paunga. Tum ise sambhal ke rakhna. Jab bhi tumhare aankhon se yeh aanshu girte hai to sab se jyada taklif muje hoti hai. pata hai kyun.

Kashish sirf apna sir hilati hai.

Sujal: Kyunki main khud hi apne aap ko diya hua vaada todta hoon. Aur main janta hoon ki tum bhi nahin chahti ki muje dard ho. sach kaha na.

Kashish: Sach hai main kabhi bhi tumhe dard dena nahin chahti lekin kabhi kabhi anjane me maine tumhe bahot dard diya hai aur ab bhi de rahi hoon.

Sujal: kisne kaha tum muje dard de rahi ho. tumne muje aaj tak woh khushiyaan di hai jo aaj tak kisi ne nahin di. Abhi meri khushi isi main ki tum jake aaram se so jao.

Sujal kashish ko uske room tak chodke aata hai aur khud bhi apne kamre me chala jata hai.

============================================================ ==================================

(2 week has been passed)

Aaj KnK boutique ki re opening hai.

Kashish, Kripa, Sujal, Anjali, Kavya aur Angad sab log maujood the. Sirf ribbon katke andar jane ki dair.

Kripa

(giving a scissiors): Kashish yeh lo, main chahti hoon ki tum iski opening ceremony karo.

Kashish: main kaise kripa, yeh sab kuch to.

Kripa: Yeh sab kuch maine jo kiya hai tumhare liye to kiya hai. Agar tum yeh karogi to sabse jyada khushi muje hogi.

Anjali: Comeon kashish, dair ho rahi hai.

Kashish cuts the ribbion and everyone enters. Saare officewale kashish ko welcome karte hai. Phir kripa aur sab log kashish ko uski nayi cabin me le jate hai.

Kripa: yeh hai tumhara cabin. Kaisa laga.

Kashish kuch bina kahe andar jakar sab cheeze dekhne lagti hai.



Tere Saath Jiye Jo Pal
(Kashish sabse pehle ek frame ko chuti hai jis pe likha hua hai "Top student of the univercity" kashish ke aankh me kuch aanshu aa jate hai)
Kuchh Unse Nahi Badhkar
(Tabhi woh frame ke kanch me sujal ko dekhti hai)
Tere Khaatir Saans Main Loon
(Kashish apne aanshu pochke aage dekhti hai to kahi sare gold medals or awards pade huye hai.)


Teri Khaatir Jeeta Hoon

(Kashish apni chair pe beth jati hai aur sab ki taraf ek dard bahri nazar se dekhti hai. sab log wahan se chale jate hai sujal ko chodke)


Marne Ki Tamanna Bhi (Sujal kashish ke pass aakar bethta hai aur kashish ke chehre ko apni aur karta hai)


Tere Saath Main Rakhta Hoon

(Sujal use aankhon ke ishare me kehta hai ki woh har pal uske saath hai)
Tu Hai Jeene Ki Wajah (Sujal kashish ka haath pakad ke use cabin ke bahar le jata hai jahaan per sab log kashish ko wapas dekhkar bahot khush the)
Kar Mera Aitbaar
(Kashish sujal ki aur dekhti hai jo ki aaj woh bahot hi khush hota hai)


Bin Tere Kya Hai Jeena

(Sujal kashish ki aur dekhta hai jo sujal ko dekh rahi hoti hai aur dono ek dusre ki aankhon me kho jate hai)

============================================================ ==================================

Kavya: Hey family and friends, main aap sab ko bata na chahta hoon ki aaj sham ko maine KnK ki reopening ki khushi me ek choti si party rakhi hai aur aap sab ko meri is party me aana hoga. thik 7 baje hotel hilton. So see guys at seven.

Sab log bahot hi khush the.

Anjali: Kavya tumne muje kuch bataya nahin.

Kavya: Isme chupane wali bhi to baat nahin hai na.

Anjali: tum bhi kavya.

Angad: Yeh hi haal hota hai shaadi ke bad.

Kripa: kya burai hai shadi me.

Angad: Shaadi ke baad reh jate hai yeh zagde ladai aur pyaar woh to kahin durr chut gaya hota hai.

Kavya: Angad tum nahin samjoge. yeh shaadi hai na woh us laddoo ki tarah hai khake bhi pastaye aur na khake bhi. to kyun na khake hi pastaye. kya kehte ho sujal.

Sujal: Shaadi kya hoti hai yeh to muje pata nahin. lekin itna maloom hai ki shaadi ke liye pyaar, vishwas aur ek dusre ka saath hona zaroori hai. aur main kavya se sehmat hoon agar pastana hi hai to kyun na khake pastaye.

Anjali: bilkul sahi kaha, sikho angad kuch sujal se.

Angad: woh to sujal ko shadi ke bad hi pata chalega. Kyun kashish.

Kashish: Mujse aap log kyun pooch rahe ho meri thodi hi shaadi huyi hai.

Kripa: huyi nahin hai to ho jayegi waise ladka bhi hai aur moka bhi kya kehti ho.

Kashish: shut up aur tu chal mere sath muje tujse kuch baatein karni hai.

Kavya: main chalta hoon. muje aaj sham ki party ki taiyaariyaan karni hai. Sujal, angad kya aap log meri kuch help karenge.

Sujal: sure.

Kavya: ok ladies aaj sham ko milte hai party me.

Everybody bids good bye to each other.

Edited by goodkashish - 17 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#44

Part-25

It's party time.

It is 7:10 at the hilton hotel and Kavya, Sujal and Angad are waiting for the girls.

Kavya: pata nahin kaha reh gaye. jiske honor me party hai wahi hajir nahin.

Angad: kavya, woh ladkiyaan hai. time pe kabhi bhi kahi bhi aana usko shobha nahin deta.

Kavya: kya matlab,

Angad: taiyaar hone me jo itna time leti hai yeh ladkiyaan. Tabhi hamesha hum logo ko unki waje se lait ho jata hai.

Sujal: lekin ek baat aur bhi hai.

Angad: kya

Sujal: jab woh log party me aate hai to party ka maza hi kuch aur hota hai.

Kavya: kya matlab.

Sujal: woh dekho aa rahi hai teeno aur tum logo ne dekha sare ke sare guests ki nazar uspe thiki huyi hai.

Kavya: baat to tune bahot hi sachi kahi hai. Unki ada pe marnewale ke list me hum teen bhi hai.

Angad: shut up kavya aur jake unko recieve karo. akhir you are host of the party.

Kavya: thik hai main chalta hoon.

Thodi dair baad kavya teeno ladkiyon ke saath waha aata hai.

Sujal aur Kashish dono ek dusre ki aankhon me kahi na kahi khoye huye hai.

Angad: kitni dair kar di aap logo ne. pata hai pure 15 minutes lait ho tum log.

Kripa: lait aana hamari marzi.

Angad: lekin kabhi to dusro ki marzi ki fikar kiya karo.

Kripa: Angad will you just stop it?

Angad; maine kab shuru kiya.

Anjali: both of you just shut up. Main nahin chahti ki press ke samne tum log koi tamasha shuru karo.

Kavya: tumhari ladai me to main bhul hi gaya ki press wale tumhare official introduction karna hai. Chale kripa.

Kripa: kavya media muje pehchanti hai. Agar tumhe introduce hi karna hai to kashish ka karo. Chale kashish.

Kashish

(comes to her senses): Tumne kuch kaha.

Kavya: chale tumhe sabse introduse karta hoon.

Angad: Kashish ko to sabhi jante hoge. I mean she is a great designer.

Kripa: Nahin kashish ne kabhi koi Media ya press me apni personality ko kabhi release nahin kiya.

Sujal: aisa kyun.

Kripa: kashish apne design, articles sabhi mere aur kashish ke naam se publish karti hai lekin media ya press woh sirf main hi attand karti hoon. kyunki Kashish ko private life jyada pasand hai.

Kavya: ab tum logo ki baatein khatam ho gayi ho to chale.

Kashish: muje yeh sab ajeeb lag raha hai.

Kavya: Kabhi na kbhi to tumhe logo ke samne aana hi hai to yeh to bahot hi achcha moka hai after all sare media aur press wale hai.

Kashish: phir bhi ek darr lagta hai. Main to kisi ko janti bhi nahin.

Sujal: Darr kis baat ka. Main hoon na tumhare saath.

Kashish wahase Kavya aur kripa ke saath chalne lagti hai.

Kashish

(Piche mudke smile karti huyi) : thank you sujal.

Kashish wahi se chali jati hai aur sujal use dekhta hi rehta hai.

============================================================ =====================================

(on the stage)

Kavya: Ladies and gentlemen let me have honor to introduse Kashish Sinha aur Kripa Sharma. The famous Bridal Fashion Designers of the fashion world. Today we are proud to present Knk Boutique. So let's enjoy the party in honor of reopening of Knk. Kashish would you like to tell something?

Kashish aage badti hai mike ki aur.Media wale aur press wale paglo ki tarah uski pictures le rahe hai.

Kashish: I just want to say thank you to my family and friends.

Press: Miss SInha, ple aapko kaisa lagta hai KnK ki reopening ke bad.

Kashish: bahot hi achcha.

Press: Aap dono akele hi aise hai jo India ke bridal desingner hai. Kya aapke parents ko proud hai.

Kashish: aaj mere parents mere saath nahin hai lekin agar woh hote to unhe bahot hi khushi hoti. Lekin main khush hoon ki mere dost, behen aur meri business partner mere saath hai kripa.

Kripa kashish ke pass akar khadi hoti hai.

Press: Kya aap dono me kabhi zagda hota hai.

Kripa: Kabhi nahin. Agar ho sakta hai ki kaun kis ke liye apni jaan de sakta hai.

Press: Miss Sinha aap kyun kabhi kisi ke samne aana nhin chahti. I mean you are a brilliant designer and you are so beautiful.

Kashish: thank you so much but i love to live a simple private life.

Press; Kuch din pehle aap ka accident hua tha aur usme aapne apni yaadash kho di. Aap ko kaisa mehsoos hota hai ki aap ko aapki pichli zindagi ke bare me kuch nahin janti.

Kripa: No more question. Ple

Kripa wahase upset kashish ko le jati hai.

============================================================ =====================================

(back to bar stand where Kavya, Sujal, Anjali aur angad khade hai)

Angad: muje nahin pata tha ki yeh dono Page 3 celebreties hai.

Kavya: Mano ya na mano lekin Yeh dono ne apni age ke mutabik bahot kuch hasil kiya hai.

Anjali: At age 22, dono ko fashion designer of the year ka award mila tha. Yeh dono pehle the jo itni kam umr me yeh award milta hai.

Sujal abhi bhi busy tha kashish ko dekhne me.

Angad: wake me. ab is sujal ko kya ho gaya, Sujal......

Sujal

(come to his sense): Kya hai chilata kyun hai.

Angad: agar kuch hamari aur dhayan de to main nahin chilata. Ek baat kahu kyuna tu kashish ko bol nahi deta ki tu use kitna pyaar karta hai.

Sujal: Nahin abhi woh aisi halat me nahin hai.

Anjali: Sujal agar uski yadash wapas na aayi to.

Sujal: Main uska intazar karunga.

Kavya: Muje lagta hai ki anjali sahi keh rahi hai at least tumhe use apni dil ki baat bata deni chahiye.

Tabhi waha pe Kripa aur Kashish aate hai.

Angad: Congreats on success of KnK

Kashish: thank you.

DJ: Friend, ple join the dance floor with your partner.

Kavya: May i anjali?

Anjali: sure why not.

Angad: Kripa kya tumhe invitation dena hoga?

Kripa: shut up and lets go.

Kashish aur Sujal akele khade the.

Sujal: kashish..

Kashish: Sujal, hum kahi aur ja sakte hai jahan hamare alawa koi na ho. mera matlab is bhid se kahin durr.

Sujal: kyun nahin. Chalo.

============================================================ =====================================

Sujal aur kashish dono car me beth ke nikal jate hai. Raste me koi kuch nahin bolta. Kashish sirf khidki se bahar dekhti rehti hai aur Sujal drive karte huye Kashish ko dekhkar muskurata hai. Sujal seher se durr ek hill pe jakar car rokta hai jhaan se pura seher nazar aata hai. Kashish aur sujal car se bahar nikalke wahi hill ke aakhir end me khade ho jate hai.

Kashish: Sujal yeh jagaah kitni achchi hai na. Seher se durr, Na koi shor, nahi koi bhid.

Sujal: Sach kaha yeh jagah bahot achchi hai.

Kashish: Sujal, woh dekho yahaan se chaand kitna saaf aur kareeb dikhta hai. Kitna khubsurat hai.

Sujal: Us chand pe to phir bhi koi daag hoga lekin mere chand pe koi daag nahin hai.

Kashish

(sujal ki aankhon me aankhen dalkar): tum kyun itne achche ho.

Sujal: Kynki tum mujse bhi jyada achchi ho.

Kashish ke aankhon se aanshu girne lagte hai.

Sujal: yeh kya kashish tum rone lagi.

Kashish: kabhi kabhi darr lagta hai ki agar tum bhi muje chod ke chale gaye to.

Sujal: Kya kabhi yeh chand apni chandani ke bina reh sakta hai. nahin naa. Kya kabhi sagar pani ke bigar reh sakta hai. nahin naa. to yeh sujal bhi kabhi apni kashish ke bigar nahin reh sakta. Maine tumse pyaar kiya hai kashish. Aur main itni jaldi har mannewala nahin ho. muje mere pyaar pe yakeen hai. Kya tumhe mujpe yakeen hai.

Kashish: yakeen na hota to main tumhare saath is waqt anjani jagah pe na aati. khud pe yakeen nahin hai lekin tumpe hai.

Sujal: ab yeh rona bandh karo warna main ja raha hoon.

Kashish: Sujal..yeh keh ke use gale lagkar rone lagti hai.

Tabhi achanak sujal ka cell bajta hai.

Sujal: haa anjali bolo. kuch kaam tha.

Anjali; kaha ho tum aur kashish.

Sujal: kashish mere sath hai.

Anjali: woh tum dono is tarah achanak party chodakar.

Sujal: hum log aate hai.

Anjali: koi zaroorat nahin hai party khatam ho gayi hai. Tum dono bahot raat ho jaye usse pehle daut jana. main kripa se keh dungi ki kashish tumhare saath hai.

Sujal: thik hai bas hum log kuch hi dair me nikalte hai.

Anjali

(hasti huyi): waise tum chahe to tum apna waqt le sakte ho.

Sujal: anjali tum bhi.

Anjali; thik hai main rakhti hoon lekin kashish ka khayal rakhna.

sujal; bye

anjali; bye

Kashish: Sab kuch thik to hai na.

Sujal: Nahin woh anjali hum dono se bahot naraz hai.

Kashish: per kyun.

Sujal: woh hum log party se chale gaye na is liye.

Kashish car ki aur mud ke chale lagti hai.

Sujal: kaha ja rahi ho.

Kashish: wapas party me.

Sujal: party to khatam ho gayi.

Kashish: kya

Sujal: anjali keh rahi thi ki hum chahe to apna waqt le sakte hai kyunki ab to hume sidhe ghar hi jana hai,

Kashish: Sujal, tumhe to main nahin chodungi.

Sujal: Yehi to main chahta hoon.

Kashish apni palke neechi karke car me beth jati hai aur sujal aake car drive karne lagta hai.

============================================================ =====================================

(in the car)

Kashish: Sujal tumse ek baat puchu.

Sujal: Tumhe izazat lene ki kabse zaroorat hone lagi.

Kashish: Sujal, tum mere liye Delhi se yahaan aa gaye. Kya tumhare parents khush hai is baat se.

Sujal: Pata hai kashish, jab tum hospital me maine pehli bar dekha to main bahot hi tut gaya tha tabhi meri Mom se baat huyi aur pata hai unhone kya kaha.

Kashish; kya

Sujal: Mom ne kha ki jab bhi main vapas jau tab mere saath tum ho. Aur usse pehle mom ne muje ghar anae se inkar kiya hai.

Kashish: Kya tumhari Mom ko main pasand hoon.

Sujal: woh to tumhe apni bahu man chuki hai.

Kashish: tum is baat se khush ho.

Sujal: Mujse jyada khush kaun hoga.

Kashish: yeh jante huye ki main ....

Sujal: yeh jante huye bhi main tumse utna hi kya balke usse jyada chahne laga hoon.

Kashish bina kuch kahe bas apni aankhen juka deti hai aur tabhi woh log ghar pahunchte hai.

============================================================ =====================================

Kashish car se utarkar andar jane lagti hai.

Sujal: kashish

Kashish piche mudti hai.

Sujal: main tumse kehna chahta tha ki..

Kashish: ki...

Sujal: tum aaj bahot hi khubsurat lagti ho. agar tumhare bal khule hote to tum aur bhi khubsurat lagti.

Kashish apne balon me se pin nikalti hai.

Kashish: ab..

Sujal: bahot hi kubsurat.

Kashish sarmake andar chali jati hai aur sujal bhi apne kamre me chala jata hai.

Edited by goodkashish - 17 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#45
Hi friends! i am little bit disappoint.....i dont get as many comments as i expected.....i think that many readers are quite readers.....if you like my story atleast in few words you can cheer my story....i need your cooments as my supports bcoz it fels that someone wants me to continue story..........if you read this and i dont get and feed back, i am not going to post next part......thanks to those wondeful people who always post their comments and i trully want to thank them from my heart...........bye..

love

kashish
Edited by goodkashish - 18 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#46

Part-30

Aaj ka din najane Sujal aur kashish ke zindagi me kya naya daur lanewala hai.

(it is 9:00 AM in SInha house dining room)

Kripa: Sujal, kya tumhari koi kashish se baat huyi.

Sujal: Kya tumhari bhi koi baat nahin huyi.

Kripa: Woh darsal kal meeting ke bad woh mere saath aanewali thi per usse pehle hi kashish ne mere office me aake muje akela hi bhej diya.

Sujal: Kal se mere saath bhi thik tarah se baat nahin ki. Kya usne tumhe kuch batana chaha ki kya pareshani hai use.

Kripa: Kal main jab ghar wapis aayi to Kashish so chuki thi aur tum bhi apne kamre the.

Sujal: pata nahin lekin muje uski bahot fikar ho rahi hai.

Tabhi waha pe kashish upper se apne kamre me se aati hai lekin uska chehra abhi bhi mayus hota hai.

Kripa: Kashish, Tumhari tabiyat to thik hai na. kal se buji buji si lag rahi ho.

Kashish: kuch nahin bas thodi si thak gayi thi.

Kripa: Koi aisi baat to nahin jo tum humse chupa rahi ho.

Kashish: nahin kuch bhi to nahin.

Sujal: lekin tumhari aankhen tumhari zuban ka saath nahin de rahi.

Kashish: Kabhi apni hi aankhen khud ko khoka deti hi. Aankhen pe hadd se jyada aitbaar nahin karna chahiye.

Sujal: Aankhen sachchai ka aaina hoti hai. Jo dil me hota hai wahi aankhon me nazar aata hai.

Kashish: yeh sab khud ki soch pe aadhar rakhta hai.

Kripa: Chod na kya behash kar rahi hai. Chal ke nasta karle phir nikal the hai boutique ke liye.

Ab sab log bina kuch kahe breakfast kar lete hai.

============================================================ =========================================

Sujal: chalo main tum dono ko chod deta hoon.

Kripa: nahin main khud car leke ja rahi hoon woh meri aaj mere photographer ke saath appoinment hai. Thik hai to main chalti hoon tum chahe to kashish ko chod do.

Kripa yeh kehke chali jati hai.

Sujal: Kiska intazar kar rahi ho. Nahi yaha koi driver hai aur nahi koi taxi. Saath to tumhe mere saath hi chalna hai.

(he smiles looking at kashish and opens the door of front seat)

Kashish bina kuch kahe car me beth jati hai. Sujal bhi dusri aur aake beth jata hai.Raste me koi baat nahin hoti. kashish sirf window se bahar dekhti rehti hai aur aakhir me boutique aa jata hai.

Kashish car se neeche utarti hai aur dekhti hai ki abhi bhi sujal car me hi hai.

kashish: Andar nahin aaoge.

Sujal

(loking into her eyes): Kya tum aisa chahti ho.

Kashish

(ankhen churake): Nahin.......woh.....main........to.......

Sujal: Jo tumhare dil me hai woh tum juba per lana nahin chahti to it's ok...... muje kuch kam hai lekin tum mera sham ko intazaar karna main tumhe lene aajunga.

Kashish: lekin.......

Sujal: time pe aaunga. Main janta hoon ki tum khud apna kaam karna pasand karti ho lekin muje pasand nahin ki tum akeli sham ko taxi main jao.

Kashish sirf sujal ki aankhon me dekhti rehti hai aur phir apna sir hilati hai.

Sujal: Bye......apna khayal rakhna...

kashish: Bye....

============================================================ =========================================

Ab sham ke 6 bajte hai aur sujal kashish ko pick karne aata hai.

Sujal: Hi sonia....kashish hai.

Sonia: SOrry sir lekin woh to aaj dopahar ke teen baje hi ghar chali gayi.
Sujal: Kripa hai.

Sonia: Haa woh apne office me hai.

Sujal: thanks sonia.

Sujal enters kripa's office.

Sujal: Knock.....Knock........may I come in?

Kripa: are sujal tum....bahar kyun ho ander aao.....you dont need any formalities.......batao mere office me aane ki koi khas wajah.

Sujal: Woh main yahaan kashish ko pick karne aaya tha lekin woh to chali gayi. Pata nahin kya ho raha hai.

Kripa: kya matlab..

Sujal kripa ko kal se lekar sab kuch bata deta hai.

Kripa: tumne muje pehle kyun nahin bataya.

SUjal: muje laga ki sab kuch thik ho gaya lekin........

Kripa: Woh aaj bhi tumhari baat ko talti nahin.

Sujal: main kuch samja nahin....

Kripa: tumne use kya kaha ki tumhe kashish ka sham ko akele jana pasand nahin is liye woh dopahar ko nikal gayi. Per meri kuch samaj me nahin aata ki woh aisa kyun kar rahi hai.

Sujal: pata to muje bhi nahin lekin kuch to karna padega.

Kripa: I have plan...

Kripa sujal ko sara plan batati hai aur sujal ke chehre pe smile aa jati hai.

Sujal: ghar ja rahi ho.

Kripa; haa. ...

Sujal: chalo saath me chalte hai..

kripa: tum bhul rahe ho lekin main meri car me aayi hoon.

Sujal: jab muje Kashish ka akele jana pasand nahin to tumhara kaise..mera matlab tum meri behen jaisi ho aur bhai kabhi behen ko akele nahin chod sakta.

Kripa: Ab her rista hai mere pass.....maa ka...papa ka...behen ka.....dost ka....pyaar ka aur ab bhai ka bhi.........

Sujal

(smiles): ab scene kuch jyada emotional ho usse pehle chale.

Kripa: chalo.

Kripa aur Sujal ghar pahochte hai lekin kal ki tarah aaj bhi kashish bina kuch kahe apne room me hoti hai aur usne Kaka se kaha tha ki koi bhi use disturb na kare.

Kal ki tarah yeh din bhi khatam hota hai.Bina kuch baat huye.

============================================================ =========================================

Dusre din bhi aisa hi hota hai Sujal kashish ko drop karta hai lekin kuch bhi baatein nahin ho pati.

Kashish apne office me bethi hoti hai jab woh watch me dekhti hai to sham ke char baje hai.

Kashish

(to herself); Muje sujal ke aane se pehle nikalna hoga. Kyunki main sujal ka samna to kar sakti hoon lekin uski aankhon ka nahin.

Kashish apne boutique se bahar nikalti hai lekin woh surprize ho jati hai dekhkar ki sujal samne car ke pass uska intazar kar raha hai.

Kashish sujal ke pass jati hai.

Kashish: tum yahaan.....

Sujal: Tum to har roz mera intazar nahin karti to maine socha ki main hi thoda intazar kar leta hoon.

Kashish; Sujal tum kab se.

Sujal : subah se.

Kashish; kyun sujal.

Sujal: yehi to main tumse puchna chahta hoon kyun.

Kashish: maine kya kiya hai.

Sujal: kashish pichle do din se hum do ajnabi ki tarah baat kar rahe hai. Kashish agar mujse koi galti huyi ho to batao. Kya maine anjane me tumhare dil ko dhukhaya hai to main mafi magta hoon.

Kashish: ple sujal tumhari koi galti nahin woh bas meri tabiyat pichale kuch din se thik nahin. (to herself .......galti tumhari nahin balki meri hai ki main tumhare pyaar ke layak nahin hoon. i am sorry sujal)

Sujal: Tum abhi bhi jooth bol rahi ho. Kashish hamare beech ek aur rista hai aur woh hai dosti ka. Ek dost dusre dost se kuch chupa nahin skata lakh khoshish karne pe bhi nahin.

Kashish: Mera yakeen karo main jooth nahin bol rahi.

SUjal: khud se jyada yakeen hain muje tum pe.

Kashish: ab ghar chale main thak gayi hoon aur bhukh bhi lagi hai.

Sujal: kyun lunch nahin kiya.

Kashish: time nahin mila.

Sujal (winks): time nahin mila ki mere bigar lunch nahin kiya.

Kashish (aankhen jukake) : chale.

Sujal (smiles); Chalo.

Dono ghar pe aaja te hai aur kuch dair baat karne ke baad kripa bhi ghar aati hai aur sab log dinner karte hai aur phir sab log shaadi ke bare me baatein tai kar rahe hai lekin abhi bhi Kashish aue sujal ke beech utni hi dooriyaan thi.

============================================================ =========================================

Is tarah shaadi ke taiyaariyaan me waqt bitata chala jata hai lekin kashish aur sujal ki dooriyaan kam hone se badle badhti ja rahi hai aur yeh to kripa bhi samaj nahin pa rahi. Ab shaadi ke sirf do din reh gaye the.

Sham ke kuch saat baje huye hai. Dinner ke bad Kashish apne me room hai. Aur kripa aur Sujal neeche hall me bethe huye hai.

Kripa: kuch baat huyi Sujal.

Sujal: Nahin baat banne se jyada ab to bigad gayi hai.

Kripa kuch sochti hai aur phir kisi ko phone karti hai.

Kripa: hello Anjali. main tumse kuch baatein karna chahti hoon. bahot zaroori hai. Phir kripa anjali ko sab kuch batati hai.

Anjali: Kripa, tumne muje pehle kyun nahin bataya.

Kripa: Sujal ne mana kiya tha.

Anjali: ab suno main kya kehti ho. Jaisa main kehti hoon tum waisa hi karo thik hai.

Anjali kripa ko saara plan batati hai.

Kripa: thik hai main aa rahi hoon.

Kripa phone rakhti hai aur sujal ki taraf winning smile se dekhti hai.

Kripa: I got an idea.

Sujal: kaisa.

Kripa: kashish kis se jyada darti hai.

Sujal: andhere se.

Kripa: to ab yeh andhera hi tumdono ko pass layega aur ab ki bar khud Kashish tumhare pass aayegi.

Sujal: Kya matlab.....

Kripa sujal ko sara plan batati hai.

Kripa: ab tum jao Kashish ke kamr me aur main chalti hoon.

Sujal sidi pe jane lagta hai ki.

Kripa: good luck sujal.

Sujal: u r the best sister.

Kripa: woh to main hoon ab jaldi karo.

============================================================ =========================================

Sujal kashish ke kamre me jata hai. Kashish Khidaki ke pass khadi hoti hai.

Sujal: kya soch rahi ho.

Kashish: kuch bhi to nahin.

Sujal (

smiles): iska matlab tum zaroor kuch soch rahi ho. mere bare me soch rahi ho.

Kripa (at outside of the house and taking fuse out of the box); Ab aayega asli maza.

(back to sujal and kashish)

Achanak ghar me power chala jata hai aur kashish ek dum se ghabra jati hai aur use kuch samaj nahin aata to woh sujal ke gale lag jati hai.

Kashish (

hugs him tightly): Sujal, ple mujse durr mat jane muje andhere se bahot darr lagta hai.

Sujal( Hugs her more tightly): Kashish main yahin hoon tumhare pass.

Kashish : Sujal ple muje chodke kahin mat jana.

Sujal: sujal kashish se durr kahin nahin ja sakta hai. Sujal kashish ke bigar na reh sakta tha na reh sakta hai na hi kabhi rehna chahta hai. Kya dogi mera zindagi bhar saath.

Kashish: kehne ki zaroorat hai.

Sujal kashish ke forehead ko kiss karta hai. aur phir se dono hug karte hai.

Sujal: ab raat bahot ho gayi hai tum so jao.

Sujal kashish ko bed ke pass lekar use bithake sone ko kehta hai.

Kashish (holds his hand): Sujal muje bahot darr lagta ple mere pass betho na.

Sujal (smiles and sits):main yaheen hoon ab tum so jao.

Sujal bed pe bethta hai aur kashish wahi pe pass me so jati hai. Thodi dair baad achanak kisi chiz ki zor se girne ki aawaz aati hai. Kashish ghabrake khadi ho jati hai. Aur aise kashish ke utne se sujal bhi uth jata hai.

Sujal: kya hua kashish.

Kashish: Maine kuch aawaz suni.

Sujal: main jakar dekhta hoon.

Kashish(holds his hand tightly): ple muje akela chod ke mat jao.

Kashish yeh kehkar sujal ke pass aake uski god me apna sir rakhke uske haath ko kas ke pakadti hai. Aur aise hi woh phir se so jati hai.

Sujal (to himself): kashish me tumhare chehre pe pareshani ki ek shikand bhi dekhna nahin chahta. Kyun ki jab bhi tumhe koi becheni hoti hai to dard mere andar hota hai. TUmne mere pyaar ki hadd dekhi nahin. Main tumhe inta pyaar dunga ki khushi ko samette huye gumm tumhare aas pass bhi nahin ayenge. I love you kashish.

Sujal apna haath kashish ke sir pe ferta hai aur phir woh kashish ko blanket odhata hai. aur woh khud bhi so jata hai.

============================================================ =========================================

Ab subah ho jati hai aur Khidki se suraj ki pehli kiran Kashish pe girti hai.

Kashish dheere se apni aankhen kholti hai

(guys nothing happen believe me....) aur dekhti hai ki woh sujal ke kitne kareeb thi per phir ek hi jatke se woh uth jati hai. Kashish ko apne aap se sharm aati hai ki woh kaise sujal ke saath is tarah. Woh kuch samaj nahin pati ki woh to sujal se durr jana chahti hai to kyun woh Sujal ke aur khichi ja rahi hai.

Kashish apna dupatta uthati hai aur wash room chali jati hai.

Sujal dheere se aankhen kholta hai per use pehle hi pata hota hai ki kashish uth gayi hai. Woh uske samne aankh kholke use sharminda nahin karna chahta tha. Sujal dheere se apne room me chala jata hai.

Kashish

(in wash room) apna chehra aaine me dekhti hai. pehle woh bahot khush ho jati hai kyunki uske chehre ki ronak uske pyaar ki jalak jo dikha rahi hai lekin dusre hi pal use haqeeqt ka ehsaas hota hai aur woh shower me jake rone lagti hai. Thodi dair bad woh neeche aati hai jahaan pe Anjali, kavya, Kripa aur Sujal uska breakfast ke liye intazaar kar rahe the. Kashish apni nazar Sujal se mila nahin pa rahi.

Sujal bhi yeh baat janta hai ki kashish sharminda hai lekin kahin na kahin sujal khush tha ki kam se kam unke beech ki duriyaan khatam to huyi.

============================================================ =========================================

Kripa

(in sujal's ear): Sujal, kal kuch baat bani mera matlab.

Sujal: kripaaaaa...................

Kripa: Waise batane ki zaroorat nahin kyunki tumhare chehre ki ronak aur kashish ki juki huyi aankhen hi sab kuch bata deti hai.

Sujal: jaisa tum soch rahi ho waise kuch nahin hai.

Kripa: rehne do sujal....

Anjali: yeh kya khus fus ho rahi hai.

Sujal: kuch nahin.

Kavya: Sujal agar tumhara nasta ho gaya hai to chale. Aakhir aaj rat kripa ka sangeet aur mehndi hai aur aaj sham ko sab log aa rahe hai kam se kam hume unke arrangments karne hoge.

Sujal: waise maine hotel paradise me baat karli hai lekin ek baar phir se check karte hai.

Kavya: thik hai chalo.

Kavya anjali ko bye karke bahar nikalta hai aur Sujal bhi kripa aur anjali ko bye kehta hai aur aakhir main woh kashish se bye karta hai lekin dono ekdusre se aankh nahin mila paye.

Kashish aur sujal dono sham ke snageet ke liye taiyariyaan kar rahe hai. aur kisi se baat hi nahin ho pati.

lekin waqt hojata hai sangeet ka aur aap sab log invited ho sangeet ke liye.

Edited by goodkashish - 17 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#47

Part-32

It is day after Kripa and angad's wedding.

Kashish dining table pe akele chup chap bethi hai sujal ka intzaar karte huye.

Sujal sidiyon se utarte waqt yeh notice karta hai ki Kashish ka chehra buja buja sa lagta hai.

Sujal

(to himself): janta hoon ke tumhe Kripa ki yaad aa rahi hai is liye tum is tarah mayoos bethi ho lekin main tumhe is tarah nahin dekh sakta.

Phir sujal ke dimaag me kuch ideas aate hai kashish ko khush karne ke.

Sujal kashish ke samne aakar beth jata hai lekin kashish abhi bhi kisi khyal me khoyi huyi thi tabhi sujal uske samne chutki bajata hai aur kashish apne khayal se bahar aati hai. Kashish use uski plate me khana lagati hai lekin abhi bhi kahi khoyi huyi si. Phir woh sujal ke samne wali chair pe aake apna breakfast karne lagti hai jab woh dekhti hai ki sujal use ek nazar dekhe hi ja raha hai.

Kashish (

breaks the slience): aise kya dekh rahe ho?

Sujal: kuch bhi to nahin.

Kashish: Yeh ghar kitna suna sa lagta hai na.

Sujal: Haa kyunki ab kripa aur angad ki takrar sunai nahin deti is liye.

Kashish (smiles): Lekin undono ki takrar me bhi pyaar chupa hai.

Sujal(smiles): yakeen to muje bhi nahin hota ki angad ne shaadi ki.

Kashish : Kyun kya burai hai hamari kripa me.

SUjal: burai to kuch bhi nahin lekin tum angad ko nahin jante. Shaadi ke naam se bhi bhagta tha.

Kashish: Kripa bhi kuch aise hi thi.

Sujal: are tumne abhi tak apna nasta nahin kiya. office ke liye dair nahin ho rahi.

Kashish: mera to pura ho gaya. Chalo chalte hai.

Sujal: Pehle apna breakfast thik se khao. Muje pata hai ki tumne kal raat bhi thik se nahin khaya.

Kashish: hume dair ho rahi hai. chalo............kashish wahase utke chalne lagti hai ki jab sujal uska haath pakad ke use apne pass wali chair pe bithata hai.

Sujal (takes a spoon of food): Yeh lo aur ise chup chap khao. yeh main hoon is liye varna to tum apna khyal rakhti hi nahin. ab aise dekh kya rahi ho. chalo apna muh kholo.

Kashish (eats it): Jante ho sujal jab bhi tum aise datte ho na to tum bahot achche lagte ho.

Sujal: janata hoon lekin ab yeh bahana nahin chalega. chalo pura khatam karo.

kashish: per main.............

sujal: per ver kuch nahin...........

============================================================ ===========================================

tringg.......................tringg................

Kashish: hello.

Prerna: kaisi ho..

Kashish: Main thik hoon ..aap kaisi hai mama aur papa kaise hai..

Prerna: sab log thik hai. Sujal kaisa hai.

Kashish (

looks at sujal): woh bhi thik hai.

Prerna: janti hoon tumhare hote huye use kuch nahin ho sakta. yeh lo kripa se baat karo.

Kripa: hi kashish, kaisi ho.

Kashish: main thik hoon tu bata kaisi ho.

Kripa: main bahot khush hoon. Sujal, anjali aur kavya kaise hai.

Kashish: sab thik hai, angad kaisa hai.

Angad: hello my sweet bhabhi.

Kashish: angaddddddddddddddd..............

Angad: sorry kashish. muje kya hoga ab kripa aa gayi hai to. per tumdono waha akele kya kar rahe ho. Kya shaadi se pehle honeymoon manane ka irada hai.

Kashish (sharmake): sharm nahin aati. chup.

Angad: jo hai wohi kaha hai. Achcha tum zara phone sujal ko do.

Kashish; sujal yeh lo angad hai.

Angad (gusse se): tujse se baat hi nahin karni muje. kal se koi phone hi nahin kiya. woh to hum sab log hai jo tumhare bare me pareshan hote hai lekin aap to kisi aur hi kaam me busy hai.

Sujal : aisi baat nahin woh main tum jaise newly married couple ko disturb nahin karna chahta tha.

Angad: rehne de rehne de. Ab sun maine aur kripa ne is liye phone kiya tha ki ab kashish aur tum akele ho aur tumhe yeh moka mila hai kashish ke pass jane ka. woh duriyaan mitane ka.samja kuch.

Sujal: sab kuch samaj gaya. ab tu phone rakh. hume boutique ke liye dair ho rahi hai.

============================================================ ===========================================

Sujal aur kashish boutique pahonchte hai.

Kashish aur sujal dono Kashish ke office me bethe huye hote hai ki wahaan per kashish ki secretary sonia aati hai.

Sonia: good morning mam. Good morning sir.

Kashish: kuch kaam tha sonia.

Sonia: woh mam ek ghante baad FAME magazine aur kuch aur magazines wale ke saath meeting hai.

Kashish

(shocked): tumne muje pehle kyun nahin bataya.

Sonia: woh pehle yeh meeting agle week hone wali thi aur yeh meeting kripamam dekhne wali thi aur iski details bhi kripa mam ke saath thi.

Kashish(

worried): lekin muje to kuch bhi nahin pata iske bare.

Sonia; mam this meeting is the golden oppertunity for KnK boutique and also for both of you.

Kashish: lekin main kaise......

Sujal: Sonia thik keh rahi hai. FAME magazine wale tumhare yahaan aa rahe hai. you have to take this chance.

Kashish: per muje to kuch bhi.

Sujal: sonia tum jao aur jake meeting ki arrangments karo.

Sonia: yes sir. ......she goes to do the preparations.

Kashish

(worried): sujal yeh sab kya hai. tum jante ho phir bhi.

Sujal: Kashish, aaj tumhare samne kismat tumhe yeh moka de rahi hai aur tum hoki ise tukra rahi ho.

Kashish: aisi baat nahin hai lekin maine kabhi is tarah akele koi meeting attand nahin ki aur yeh to kuch jyada hi important hai business ke liye.

Sujal (holds her to shoulders): Dekho meri taraf kashish. Muje tum pe pura bharosa hai ki tum yeh deal zaroor finalize karogi. mujpe to yakeen hai na.

Kashish: Phir bhi sujal muje darr lagta hai.

Sujal: Main hamesha tumhare saath hoon to darr kis baat ka. Ab tum yeh details follow karo tab tak me meeting ke arrangments baki ke employees ke saath dekh ke aata hoon. ......sujal waha se jane lagta hai.

Kashish: sujal....

Sujal (turns to look her): haa kashish..

Kashish: tum mere saath meeting me aaonge na.

Sujal: of course...yeh koi puchne wali baat hai.

Sujal office se bahar chala jata hai aur kashish phir se files follow karne lagti hai.

============================================================ ===========================================

It is finally time for the meeting.

Sab log aa chuke the sirf megazines people ke aane ki dair thi. Kashish samne chair pe bethi nervouse hokar apne dupaate ko mod rahi hai

sujal yeh dekhkar muskuraha hota hai.

tabhi wahape magazines wale aate hai.

Kashish sujal ki aur dekhti hai jo use aankhon ke isaro se presntation shuru karne ko kehta hai.

Kashish presntation karti hai.

After presntation.......

Sab log bahar nikal jate hai except kashish, sujal aur the guy from magazine.

Kashish: Thank you so much for taking special interest in our company.

P: no. miss sinha. it is our plesure to put your collection in our magazine.

Sujal piche se aata hai aur use nahin pata ki kashish us person ke saath baat kar rahi hai.

Sujal: kashish tum....

P: excuse me. agar main galat nahin to aap Sujal Garewal hai na. Garewal groups of industries ke malik.

Sujal: yes it's me. Per aap muje kaise jante hai.

P: sir aap ko kaun nahin janta. After all you are the hottest bachlor of India. I mean....rich, powerful, handsome,smart.....

Sujal: I am sorry per ab main un bachlors me se nahin raha.

P: kya matlab.

Sujal; I am engaged.

P: kaun hain woh khusnaseeb jisse aapki shaadi hone wali hai. mera matlab aap per to hazaro ladkiyaan jaan de sakti hai.

Sujal: yeh hi to hain meri mangetar kashish.

P: mam , you r very lucky. ab hum yeh is baar nahin balke hamare her issue me aapka article hoga. After all aap mrs. garewal banne ja rahi hai aur isse hamari magazines ko bahot hi bada faida ho sakta hai.

Kashish: Thank you for this wonderful offer.

P: ab main chalta hoon main kal hi contract papar bhijva doonga. aap sign kardena. ok. Bye Mr. garewal.....bye mam.

Sujal and kashish: bye........

============================================================ ===========================================

They are both alone in meeting room.

Kashish apne files leke ja rahi thi woh dekhti hai ki sujal uske samne khada hai.

Kashish; Sujal rasta do. muje bahot kaam hai.

Sujal: kaam to baad me bhi hota rahega. Kashish woh thik nahin keh raha tha ki tum bahot hi lucky ho. Abhi hamari engagment hi huyi ki tumne dekh liya ki kis tarah khushiyaan tumhare kadmo ko chu rahi hai. Socho agar tum Mrs. Kashish sujal garewal banogi to kya hoga. .......................sujal kashish ke ekdum kareeb aane lagta hai.

Kashish

(twinkles in her eyes): Baat to sochne wali hai. Lekin muje lagta hai ki tum yeh bachlor hi thik ho. Kyunki muje nahin lagta ki tum hazaro ladki ka dil tod sakte ho.

Sujal (holds her from her waist): tumhare liye main hazaro kya carodo ladkiyon ke dil tod sakta hoon.

Kashish: Achcha......baatein banana koi tumse sikhe.......ab muje chodo muje bahot kaam hai.

Sujal: main bhi chalta hoon.....muje bhi kuch kaam hai.......woh papa ne yahaan pe ek deal ki hai to usi silsile me us company se milne jana hai..lekin tum sham ko mera intzaar karna..i promise ke main time pe aaunga. ok bye...

Kashish: bye...apna khyal rakhana ....

============================================================ ===========================================

Ab sham ka waqt ho gaya hai aur sujal kashish ko pick karne aa raha hai ki uske cell pe call aata hai.

Sujal: haa. kavya bolo kya kaam tha.

kavya: kuch nahin socha ki sab saath me dinner pe chalte hai.

Sujal: aaj nahin phir kisi din chalenge. Aur waise bhi lagta hai baaris honewali hai.

Kavya; Thik hai to tum log kisi aur din lekin ghar pe tum log aate rehna. woh kya hai ki kuch dino se office nahi gaye the to kaam kuch jyada hi badh gaya hai.

Sujal: it's ok. main samajta hoon. ab main phone rakhta hoon tumhari saali mera intazaar kar rahi hai. bye.

Kavya: bye....

Kashish boutique ke bahar sujal ka intazaar kar rahi hai. tabhi wahape sujal aata hai.

Kashish car me aakar beth jati hai. aur sujal drive karne lagta hai.

Kashish: kaisi rahi tumhari meeting.

Sujal: Meeting to achchi thi. Agar yeh deal final ho gayi to hum India ke top 3 industries me se hoge.

Kashish: i am so happy for you.

Sujal: let's celebrate. What you say,

Kashish: nahin sujal. aaj nahin phir kabhi aur dekhona baris bhi honewali hai.

Sujal: thik hai to kam se kam hum log drive pe chalte hai.

it is been 10 aur 15 minutes per koi kuch bolta hai nahin.

Kashish (

breaks slience): Sujal, tumne muje kabhi bataya nahin ke hum mile kaise the.

Sujal

(smiles at her); Kya janna chahti ho.

Kashish : main to bas aisi hi puch rahi thi.

Sujal: Hamari mulaqat bhi khaas thi aur pyaar bhi.

Kashish: woh kyun.

Sujal: kyunki hum logo ko pehli hi nazar me pyaar ho gaya tha.

Kashish: Per main abhi bhi nahin samaj sakti ki main yahaan Mumbaiwali aur tum thehre delhiwale to hum mile kaise.

Sujal: kyunki upperwala hume milana chahta tha.

Kashish: lekin phir bhi hum pehli bar mile kaha.

Sujal: Kashish tum sawaal bahot puchti ho.

Kashish:sujalllllllllll.........

Sujal: thik hai batata hoon. Pehli bar maine tumhe airport pe dekha tha. Tum meri behen i mean papa ke dost ki beti ke shaadi me aa rahi thi. to main tumhe receive karne airport aaya tha aur bas ek hi nazar me mere dil ne kaha ki tum wahi ho jise main pyaar karta hoon.

Kashish: itna pyaar karte ho.

Sujal: ise bhi kayi jyada.

Kashish: sujal agar kabhi kismat ne hume alag kar diya to.

Sujal: aisa main kabhi hone nahi donga.

Kashish: lekin hum kismat se nahin lad sakte.

Sujal; Main tumhare liye kisi se bhi ladne ko taiyaar hoon.

Kashish: sujal, mat karo mujse itna pyaar.

Sujal: Na jate huye bhi main tumse itna pyaar karta hoon ki main tumhare bigar nahin jee sakta.

Kashish: lekin sujal jab dil tootta hai to uske tootne ki aawaz to nahi aati lekin dard hamesha sine me kante bankar chubhte rehte hai.

Sujal: Aaj kyun aisi baat kar rahi ho.

Kashish: nahin bas kabhi kabhi sapno ki duniya se bahar nikalke haqeeqat ka chehra bhi dekhna chahiye.

Sujal: agar haqeeqat me itna dard hai to main hamesha tumhare saath tumhare sapno me rehna chahta hoon.

Kashish: per yeh itna aashan nahin hain.

Sujal: tum saath ho to sab kuch aasan hai.

============================================================ ===========================================

kuch dair ho jati hai lekin koi kuch baatein nahin karta jab woh dono ghar pahonch jate hai. Sujal car se bahar nikal ke car ke side pe khada ho jata hai.

kashish bahar nikalke dekhti hai to aisa lagta hai ki sujal kahin na kahin uski baataion ko lekar pareshan tha.

Kashish sujal ki aur aati hai aur sujal ka chehra apni aur karti hai.

Kashish

(holding his face): Naraz ho mujse.

Sujal

(holds her from shoulders): Kabhi main tumse naraz reh sakta hoon. pucho apne dil se.

Kashish noodes his head in "NO" direction.

Kashish Sujal ki aur aake sujal ka chehra pakadke uske forehead pe kiss karti hai phir uske dono cheek pe. Sujal ki aankhen bandh hoti hai aur uske dono haath kashish ke waist pe. Kashish sujal ke kareeb aati hai. Dono ek dusre ki saasien mehsoos kar sakte hai. Kashish dheere se sujal ke hoothon pe kiss karne hi wali hoti hai ki ek zor se bijli kadkti hai aur kashish apne hosh me aati hai. Woh sujal se durr ho jati hai. Sujal ekdum se apni aankhen kholta hai. Kashish apne kadam piche le jarahi hai aur uski aankhon se aanshu gir rahe hai.

Sujal (

worried): kya hua?

Kashish

(cries and shocked): nahin aisa nahin ho sakta.

Kashish daudke ghar ke andar chali jati hai aur sujal ek dum shock ho jata hai.

Sujal (to himself): kya matlab kashish ka ki aisa nahin ho sakta?

Sujal bhi kashish ke piche ghar me jata hai.

Kashish apne kamre me bed ke pass zameen pe bethi hai aur uske aankhon se aanshu beh rahe hai.

Sujal kashish ke kamre ke darwaze pe aakar dekhta hai .

kahi na kahi uske dil ko bhi bahot chaut lagi thi lekin phir bhi uski samaj me nahin aa raha ki kyun kashish is tarah pesh aa rahi hai. Sujal apne kamre me chala jata hai.

Sujal (sitting on bed): Kyun kar rahi hai kashish mere saath aisa. Kyun yeh kuch fasle hamari zindagi ke beech aa gaye. Kya humne koi galti ki. Nahin hum koi galat kaam nahin karne ja rahe the. Main kashish se pyaar karta hoon aur woh bhi to mujse pyaar karti hai. Muje is baare me kashish se baat karni hi hogi leki shayad woh is waqt akele rehna chahe. Main kal subaah usse baat karta hoon.

Kashish (standing near the window): Yeh main kya karne ja rahi thi yeh jante huye bhi.....muje aisa nahin karna chahiye tha....Main apni nazar me itni gir gayi hoon ki khud se nazar nahin mila pa rahi to sujal se kya mila paungi.......muje maaf kardena sujal lekin ab yeh kuch fasle hamari zindagi ki haqeeqat ban gayi hai aur yeh hi shayad hamari kismat hai..........

Edited by goodkashish - 17 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#48

Part-33

It is 9:00 AM in Sinha house.

Sujal neeche breakfast ke liye aata hai lekin woh Kashish ko nahin dekhta.

Sujal: raghukaka.....

Kaka: jee beta...kuch chahiye.

Sujal: kashish kahan hai.

Kaka: woh to subaah subaah hi Boutique ke liye nikal gayi. Keh rahi thi ki sham ko dair ho jayegi to uska khane pe intazar na kare.

Sujal: thik hai aap jaiye..main kashish se baat kar loonga.

Tringg......tringg........

Sujal: haa papa kaho...kuch kaam tha..

Anurag: woh beta tum jo kal meeting ke liye gaye the usi silsile me baat karni hai.

Sujal: papa meeting to achchi thi aur woh log bhi kafi achche lage. Phir bhi ek bar is deal ko karne se pehle hume ek bar un logo ki market me value dekh leni chahiye. Kahi bad me koi pareshani na ho.

Anurag: tum thik keh rahe ho.

Sujal: thik hai to main aaj hi us company ki puri history ki chanbin karke aapko phone karta hoon.

Anurag: ok beta bye....apna khayal rakhna.

Sujal: bye papa.

Sujal business ke kaam ke silsile me nikal jata hai.

************************************************************ ************************************************************ *

(back to delhi)

Kripa apne room me Sujal ka phone try karti hai lekin SUjal ka phone kam ke silsile me mute pe hota hai. Kripa kashish ka phone try karti hai lekin kashish phone hi nahin uthati. Kripa ko ek dum se kashish ki chinta hone lagti hai aur isi baat ko leke woh Anjali ko phone karti hai.

Anjali: hi! kripa kaisi ho....shaadi ke baad to tum bhul hi gayi apni badi behen ko.

Kripa: nahin aisi koi baat nahin..woh naya mahol hai is liye adjust karne me thoda time lag gaya..

Anjali: tum kuch pareshan lag rahi ho. kuch kaam tha.

Kripa: woh main kab se sujal aur kashish ka phone try kar rahi hoon lekin dono uthate hi nahin.

Anjali: tu chinta na kar main abhi use milne jati hoon.

Kripa: jake muje phone kar dena taki main chinta na karoo.

ANjali: Kripa tu tenstion na le. kuch nahin hua hoga. achacha ab main rakhti hoon. apna khyal rakhna bye..

Kripa: bye anjali.

************************************************************ ************************************************************ *

Anjali kashish ke office me pahonch jati hai.

Kashish apni chair pe beti kuch gehri soch me khoyi huyi si bethi hai.

Anjali: Hi! kashish kaisi ho.

Kashish: aree anjali tum...tum kab aayi.

Anjali: yeh baat chodo aur yeh batao sujal kahan hai.

Kashish: sujal........woh .......main.....

Anjali: woh main main woh kya keh rahi hai,......kaha hai sujal..

Kashish: woh kisi kaam se bahar gaya hai.

Knockkkkkkk..........knockkkkkkkk.....

Kashish: come in..

Sonia: mam yeh flowers aap ke liye hai.

Kashish: mere liye

(takes flowers).....thik hai tum jao..

Anjali: kisne bheje hai.

Kashish: abhi dekhti hoon.

Kashish takes a letter and reads it and tears comes into her eyes.

" Kashish,,,,Kal raat jo hua uske liye main bahot sharminda hoon lekin ple tum iske liye apne aap ko kasoorwad mat samjo...main janta hoon ki kahi na kahi maine tumhara dil dukhaya hai lekin yakeen karo main aisa kabhi nahin chahta.....agar tum wahe hi mujse naraz ho to I am sorry....ple muje maaf kar dena.........tumhara sujal..."

Anjali: kiska hai.

Kashish: Sujal ka...

Anjali: how romantic.......janti ho kashish hum teen behen me se tum sab se lucky ho kyunki pyaar karna koi sujal se sikhe.....

Kashish: tumne bataya nahin ki tum yahaan per kaise..

Anjali: haa woh to main bhul hi gayi...kripa ka phone aaya tha aur woh kab se tumhara cell try kar rahi hai lekin tum uta hi nahi rahi...kya baat hai kashish koi pareshani hai......sujal ne kuch kaha..

Kashish: are nahin......sujal to mera bahot khyal rakhta hai .....woh to bass kaam ki chakkar me kuch busy hi ho gayi thi aur ab to kripa bhi nahin hai.

Anjali: Kashish hamesha proffesional or personal life ko durr hi rakhna kyunki jab yeh dono mil jayegi to tumhare aur sujal ki khusiyon ko aag laga degi.

Kashish: janti hoon.....anjali main tumse ek baat puchu.

Anjali: Haa.

Kashish: agar kabhi bhi tumhe apni ya kavya ki khushi main se chunna pade to tum kise chunogi.

Anjali: Kavya aur meri khushi alag alag nahin hai. Shaadi ke baad naa main main rahi aur na kavya kavya.....shaadi ke baad hum dono hum ban gaye......is ristey me na to meri khushi dekhi jati na ki kavya ki balke hamari khushi dekhi jati hai.

kashish: lekin phir bhi agar tumhe kisi ek ko chunna ho to.

Anjali: shayad ek patni ke nate mera yeh ferz hai ki main pehle apne pati ki khusiyaan ka khayal rakhu baad me mera.

Kashish: Agar hum jis se pyaar karte hai uski khushiyaan humse durr rehne me hai to.

Anjali: yeh kaisi behki behki baatein kar rahi ho.

Kashish: nahin main to aisi hi jaanna chahti thi.

Anjali: To suno....haa agar kavya ki khushi kabhi bhi mujse durr rehne main hai to main haste haste usse dur ho jaungi kyunki meri khushi kavya se judi huyi hai.....lekin yaad rakho kashish agar yeh pyaar sachcha hai to hum alag alag zindagi to bita sakte hai lekin pyaar ke woh ghav kabhi bhi dil se nahin bhar payenge aur kahin na kahi woh dard hamare sine me kante bankar hume us pyaar ki yaad dilata rahega.....aur agar hum apna pyaar hi na bhul paye to hum khush kaise reh sakenge.

Kashish: thik kaha tumne.

Anjali: kashish aaj yeh ho kya gaya hai tumhe...jab se tumhari sagaai huyi hai tum kuch buji buji si rehti ho..aakhir tumhare dimag me chal kya raha hai.

Kashish: kuch bhi to nahin..

Anjali: Kashish bahot hi kam log hote hai jise uska pyaar milta hai aur tum to apne pyaar ke liye maut se lad gayi to ab kyun yeh fasle badhane ki baat kar rahi ho.

Kashish: yakeen karo Anjali.....aisi koi baat nahin.....

Anjali: thik hai ab main chalti hoon......kavya ko mera koi office me kaam tha....lekin sujal ko leke ghar aana mat bhulana.

Kashish: Jee....jaise hi waqt milega hum log aa jyenge..

Anjali: bye

Kashish; bye...

Kashish

(to herself): hai bhagwan kis uljan me dal diya hai tune muje....kyun main koi faisa nahin le pa rahi....jab bhi main koi faisla lene jati hoon tum koi na koi bahana karke muje mere faisle pe kamzor banane pe maznboor karte ho....kyun....kya gunah kiya hai maine......pehle tumne mujse meri yaadash chin li phir meri khushiyaan .......kyun kiya tumne aisa.......lekin ab main sujal se uski khushiyaan nahin chinne dungi......kabhi nahin.....

************************************************************ ************************************************************ *

It is 9:00 pm in sinha house..

Kashish ghar ke andar aati hai aur dekhti hai samne sujal sofe pe bethke uska intazar kar raha hai. Kashish sujal se aankhen nahin mila pa rahi aur isse pehle sujal kuch kahe woh ghar se bahar chali jati hai aur sujal bhi uske piche jata hai.

Kashish waha garden me khadi rone lagti hai

jo sujal dur se dekhta hai.

Sujal

(shocked): kashish kya hua...tum is tarah.... tumhari tabiyat to thik hai na....janta hoon jo kal raat hua is kiye tum sharminda ho lekin mera yakeen karo main khud yeh nahi janta ki kaise.

Kashish: Sujal muje is bare me koi baat nahin karni. Ple muje kuch dair ke liye mere haal pe chod do.

Sujal; Kaise chod doon tumhe is tarah tootte huye. kaise dekh loo tumhari in aankhon me aanshu...... kaise.

Kashish: Kaun hote ho tum muje shambhalne wale.

Sujal: Kashish kuch hi dair main hamari shaadi honewali hai.

Kashish: Shaadi honewali hai huyi nahin aur main tumhari mangetar hoon ....tumhari biwi nahin.....

Sujal: kashish yeh tumhe kya ho gaya hai....

Kashish: main to aisi hoon ....shayad tumne muje pehchanne me galti kardi..

Sujal: meri aankhen tumhe pehchanne me dhoka nahin kha sakti aur yeh to tum ho hi nahin.....Kyunki main ne jaana hai tumhe.....tumse pyaar kiya hai....

Kashish: Pehle muje bhi lagta tha ki maine pyaar kiya hai lekin ab aisa lagta hai ki woh sab ek infatuation tha. Kynki ab hamare bich itne fasle bad gaye hai ki ise koi nahin mita sakta.

Sujal: lekin kashish....

kashish:maine kaha na sujal ab hamare bich kuch nahin raha......kuch bhi nahin.....

Kashish roti huyi ghar ke andar chali jati hai aur sujal bhi apni car me bahar se hi kahi chala jata hai.

Sujal

(in the car): Nahin kashish mera pyaar itna kamzor nahin hai ki kuch galat femiyaan hume dur kar de aur main to yahi nahin janta ki aisi kya baat ho gayi hamare beech ke baat hamare ristey tak pahoch gayi. Kashish tumne muje bahot rulaya hai lekin main janta hoon mujse kayi jyada dard to tumhe ho raha hoga. Kya kasoor hai mera kashish yahi ki tumse beimthaan mahobabat karta hoon.

Kashish (crying infront of GOD): Hey bhagwan.....muje maff kar dena. ...aaj maine jan bujkar ek aise insaan ka dil toda hai jiska kasoor sirf itna hi hai ki woh mujse pyaar karta hai aur woh bhi bahot.....ab mujme itni shakti nahin rahi ki main use aur tadpata dekh saku.......muje shakti dena bhagwan ki main jo karne ja rahi hoon usme me kamyab hoon......muje sujal ki khushi ke alawa aur kuch nahin chahiye.

Sujal thodi dair baad ghar aakar apne room me chala jata hai bina kashish se baat kiye aur kashish sari raat apne kamre me roti huyi bita deti hai.

************************************************************ ************************************************************ *

Ab subah ho hi jati hai aur Sujal taiyaar hokar neeche aata hai.

Kaka: achcha hua beta tu uth gaya...

SUjal: kyun...kya hua..

Kaka: kashish betiyaan itni tez baris me bahar chali gayi hai aur kaha ki jab sujal uth jaye to use shiv mandir bhej dijiyega.....

Sujal; thik hai kaka aap fikar mat kijiye....main use leke aa raha hoon..

Sujal jaldi jaldi me shiv mandir pahonchta hai aur wahaan jake dekhta hai to kashish tez baris me bahar apni car ke pass khadi hai.

Kashish aur sujal dono ek dusre ko dekhte hai aur kahi na kahi unki aankhon me dher sare sawaal the.

Kashish: achcha hua tum aa gaye kyunki jo baat main karne ja rahi hoon....woh main nahin chahti ki sabhi gharwale ko khabhar ho.

Sujal: Aisi kya baat hai.

Kashish: Sujal, tumne hamesha meri khushiyaan chahi hai na to main aaj tumse meri khusiyaan mangne aayi hoon. Main janti hoon ki tum muje nirash nahin karoge. kyunki aaj pehli bar tumse kuch mangne chahti hoon.

Sujal: tumhare liye to main kuch bhi kar sakta hoon.

Kashish: To ple tum meri zindagi se chale jao....hamesha hamesha ke liye...kabhi dubara mud ke mat dekhna........

Sujal

(shocked) : Yeh kya keh rahi ho tum.....i am sorry kashish lekin main yeh nahin kar paunga...tumse durr rehna me soch bhi nahin sakta....kashish tum mujse aur kuch bhi mang lo lekin tumse durr rehna......nahin kashish yeh mujse nahin hoga.

Kashish (gusse se): thik hai....Mat jao meri zindagi se ....main hi chali jati hoon...tumhari zindagi se...hamesha ke liye......

Sujal (gusse se); Tumhe kya lagta hai main tumhe itni aasani se jane dunga...kabhi nahin..kyunki hamare beech ek rista ban gaya hai,....aur us ristey ko na tum tod sakti ho na main kyunki woh rista hamare dil ka hai aur yeh upperwale ne banaya hai......

Kashish: kis ristey ki baat kar rahe ho tum ... Dil ke ristey itne kamzor hote hi ki ek toofan ke aahat se bhi toot jate hai aur rahi baat sagaai ke ristey ki ....is anguthi ki......(she removes the ring and puts it into his palm)........yeh lo aaj yeh rishta bhi tut gaya......shayad ab hamare beech koi rishta nahin jo hume rok sake......shayad yeh hamari aakhri mulaqat ho....aur kabhi bhi hum koi mod pe mil jaye to hum apne raste badal denge.

(kashish mud ke waha se jane lagti hai)

Sujal: Kashish.....

Kashish mud ke sujal ko dekhti hai.

Sujal : dekha kashish.....aaj bhi tum mere ek bulave pe wahi ki wahi khadi ho jati ho.......Tum mere ek bulave se ek kadam aage nahin badha sakti zindagi me kya aage badhogi.

Kashish: maine zindagi me aage badhana shikh liya hai.......na muje pehle kisi ke sahare ki zaroorat thi na ab...

Sujal : dekhte hai waqt aane pe.....

Sujal waha se chala jata hai

Kashish wahi pe khadi sujal ki aur dekhkar rone lagti hai.

************************************************************ ************************************************************ *

Sham ka waqt ho jata hai.

Kashish apne ghar me bethi hai ek dum se chup chap. Sujal tab se leke ab tak ek cafe me betha hota hai.

Sujal (

writes a letter): Kashish aaj jo tumne manga hai woh shayad mujse meri zindagi se badhakar tumne mujse mang liya...lekin fikar na karo aisa hi hoga jaisa tum chahto ho lekin mere liye tumhe yeh aakhri kaam karna hoga. (he closed the envelope)

Sujal kashish ke ghar ke samne jata hai. wahape kuch bachche bahar cricket khel rahe hai.

Sujal : Suno beta...mera ek kam karoge.....yeh letter tumhe kashish di ko dena hai.......yaad rahe kisse.....

B: kashish di ko na.

Sujal: haa beta....thank you..

Woh bachcha Sinha house ki bell bajata hai aur kashish darwaza kholti hai.

Sujal use durr se dekh raha hai lekin kashish is baat se anjaan hai.

Kashish: haa beta...bolo kya baat hai...

B: jee aap Kashish di hai.

Kashish: haa main hi kashish hoon. lekin tum.....

B: woh aapko yeh letter dena tha.

Kashish (

takes a letter) : suno yeh letter kisne.........per usse pehle woh bachcha waha se chala jata hai.....Kashish aaspass dekhti hai lekin waha pe koi khada nahin hota.

Kashish

(envelope kholte huye) : Yeh letter kiska ho sakta hai......zaroor sujal ka hi hoga......pata nahin kyun woh meri baat ko nahin samjta.

Kashish (reads letter):

" Kashish......jaisa tum chahti ho waisi hoga.....muje yeh to maloom nahin ki mera kasoor kya hai lekin shayad mere pyaar me hi koi kami reh gayi hogi........main hamesha ke liye tumhari zindagi se durr ja raha hoon lekin ek aakhari baar main tumhe airport pe milna chahta hoon......meri flight kal subah dus baje ki hai..........tum ne mujse bahot kuch mang liya.....main to sirf tumhe aakhari baar dekhna chahta hoon..........main janta hoon ki tum zaroor aaongi.......aaongi na kashish............tumhara sujal......"

Kashish: Main janti hoon ki tum aisa kyun kar rahe ho.....kyunki tumhe pata hai ki main tumhe jate huye nahin dekh paungi....aur tumhe lagta hai ki main tumhe rok lungi.....lekin sorry sujal me aaungi to zaroor lekin tumhe hamesha ke liye alvida karne kyunki yeh tumhare liye achcha hai.

************************************************************ ************************************************************ *

Bewafa Hum Nahin Hai

Bewafa Tum Nahin Hai

Apni Kismat Shyad Gum Bhi Kuch Kam Nahi Hai.

Jo Lakeeron Me Likha Hai Woh Milay Ga Jeewan Me.

Hum Kabhi Bandh Na Sakeingay Khushiyon Kay Bandhan me

Jo Hua Maine Kiya Hai..

Kyun Hai Tu Khud Se Khafa Kehti Hai Zindagani.

Rab Ne Chaha Jo Hua Hai Hoga Woh Sathi

Thoda sa Pyaar Hua Tha Kuch bhi Nahin baki.

Thoda sa Pyaar Hua Tha Kuch bhi Nahin baki..........



Edited by goodkashish - 17 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#49

Part-37

It is bright morning in Sinha house.

Sujal

(from downstairs screaming): Kashish.......jaldi karo ......hume dair ho rahi hai......

Kashish (climbing down stairs): Sujal..........kya hai........kyun itna chila rahe ho........

Sujal: Jaldi karo..........hume airport ke liye dair ho rahi hai.......

Kashish: Ab chalo bhi ki yahi baatein karte rahenge.........

Sujal was staring kashish,

Kashish ; aise kya dekh rahe ho......ab dair nahin ho rahi.........

Sujal (comes close and puts kashish's hair behind her ear and kiss her forehead): kashish aaj tum bahot hi khubsurat lag rahi ho..........

Kashish apni palke zukake sharma jati hai aur us kuch sujta nahin woh kya kare is liye who Sujal ki baahoin me sama jati hai.

Sujal (whispers kashish's ear): Kashish.......ab hume dair nahin ho rahi......

Kashish (hits loveingly on sujal's chest): tum bahot bure ho......

Sujal (smiles and holds her face): tumse hi shikha hoon.......

Kashish: I love you sujal...........

Sujal: I love you too.........

both are lost in eachother's eyes when kripa enters.

*******************************************************

Kripa

(puts her hands on her waist): muje nahin lagta ki aaj tum log airport pahonch sakonge........agar aap log nahin jana chahte to main aur angad chale jate hai.......

Sujal: nahin hum to bas jane hi wale the.........bus yeh kashish kabhi time pe taiyaar nahin hoti.......

Kashish

(shocked): main taiyaar nahin hoti.......main kab se taiyaar ho lekin tum hi hoke...........She is about to speck but feels embarrssed......

Angad (

Comes from the kitchen): kashish......hum bhi sunna chahte hai ki sujal kya kar raha tha........

Kashish: Woh......main.........sujal.........

Sujal: Woh ..main.....tum kya kar rahi ho..........aisa karta hoon main hi bata deta hoon......

Kashish: sujallllll.........

Angad: ab koi batyega bhi ki kya.....

Kripa: Chodo in sab baation ko aur tum log jao ........tumhe dair ho jayegi........

Sujal: lekin pehle angad ka sawaal ka jawaab....

Kashish sujal ka haath pakad ke use khich ke bahar le jati hai...........

*******************************************************

Sujal is driving and kashish is sitting next to him.........

Kashish: kya zaroorat thi unke samne kehne ki.........

SUjal: to tumhe is baat ka bura laga.....

kashish: haa.......aur bahot..........

Sujal: thik hai to agli bar main use kehkar nahin balke karke dikhunga.......

Kashish

(blushed and hits on sujal's shoulders): Sujal tum bhi na........

Sujal

(holds her hand and pull her close); Main bhi kya kashish.....

Kashish: Sujal tum bhi na kuch bhi karte rehte ho.......

Sujal

(kiss her hand) : abhi to maine kuch kiya hi kaha hai.

Kashish blushed and hides herself in sujal's arms when kashish's cell starts to ring....

Kashish: hello sonia kya baat hai.....

Sonia: Mam aap kaha hai.........aapki to aandhe ghante pehle meeting thi aur woh aapka intzar kar rahe hai........

Kashish: Oh I am so sorry......main bhul hi gayi.......dont worry..........main bas aa hi rahi hoon........kashish hangs over the phone.

Sujal: kya hua.........sab kuch thik to hai........

Kashish: woh main baation baation me bhul hi gayi ki meri to subah ek meeting thi........

Sujal: lekin kashish tum kaise.......

Kashish: janti hoon isi liye to yeh do din me aakhri meeting hai phir do din ke liye chutti..........ab khush..........

Sujal: iska matlab tumhe office jana hoga.......

Kashish: i am sorry lekin aaj aakhri bar............ple.......

Sujal: ek shrt pe.........

Kashish: Shat kaisi shrt.......

Sujal: One kiss.......

Kashish: no way.....

Sujal: to thik hai.......hum sidha airport chale hai.......aur tumhari meeting cancel.........

Kashish: this is not fair.......

Sujal: everything is fair in love and war my sweetheart.....

Kashish: to tum nahin manoge......

Sujal: aaj tak kabhi haar nahin mani hai Sujal Garewal ne....

Kashish: to thik hai main texi leke chali jati hoon.....

Sujal: Kashish yeh thik baat nahin hai.......

Kashish: maine kab kaha yeh thik hai......

Sujal

(tang aakar): thik hai main tumhe office chodta hoon aur phir mom dad ko lene jaunga.......lekin main unhe chod ke tumhe lene aa junga........it is final ok.........

Kashish: thik hai........koshish karungi ki meeting jald se jald khatam ho........lekin ple mama aur papa ko meri aur se sorry keh dena.

Sujal: dont worry main sab kuch sambhal longa........

Kashish: janti hoon........

Sujal: Lo aa gaya tumhara office.........bye aur apna khyal rakhna.......

kashish was about to get down from the car when she suddenly turns back and kiss sujal on his cheek living sujal shocked and kashish quickly gets out of the car.......

Sujal

(puts his hand on cheek and looks at kashish): Kashish..........but it was late she already left........

*******************************************************

Sujal reached the airport and sees prerna and anurag..

Sujal hugs his dad and mom..

Prerna: kaise ho sujal.......kashish kaisi hai....

Anurag:woh nahin aayi...

Sujal: kashish ab puri tarah se thik hai. Woh to mere saath hi thi lekin raste me boutique se phone aaya aur use jana pada..

Prerna: koi baat nahin....sham ko milte hai..........

Anurag: chalo ghar chalte hai...

Anurag aur sujal aage chalne lagta hai jab prerna sujal ka haath pakadti hai.

Sujal

(turns over and ask her): kya baat hai mom?

Prerna: Sujal tu khush to hena.......

Sujal: Mom aap yeh kaise baatein kar rahi hai.....Kashish ka mere saath hone usse badi koi khushi nahin hai mere liye......kashish ko sab kuch yaad aagaya aur janti ho mom woh to mujse tabhi se pyaar karti thi jab hum delhi me mile the........mom kashish ne bahot sare dukh dekhe hai lekin ab nahin.........ab nahin hoge kashish ke aanshon me aanshu.........ab to woh her din muskurayegi aur yeh meri jumedari hai......

Prerna; thik kehte ho tum......ab to sirf khushiyaan hogi hamari zindagi me..........chalo tumhare papa hamara intazar karte hoge.......

Sab log ghar ki aur nikalte hai.........

*******************************************************

(in sinha house)

Kavya aur anjali panditjee ke saath ghar aate hai......Angad hall me betha unka intazar kar raha tha aur kripa kitchen me thi.....

Angad: lo aage tum log....kab se tumhara intazar kar raha hoon.......

Anjali; panditjee aap bethiye........mama aur papa aate hi honge..........

Kavya: to sunao angad kya chal raha hai tumhari zindagi me.......

Angad: Life was good but now it is better.........

Kavya: sach keh rahe ho shaadi ke baad zindagi hi badal jati hai.....

Anjali: angad yeh hai tumhare liye.........

Angad: yeh kya hai.....

Kavya: tumhare honeymoon tickets........new zealand ke kiye.........open tickets hai jab chahe chale jana......

Angad: thanks guys..........i really appriciate.......

Anjali; aap log baatein kare me kripa se milke aati hoon.....

Anjali enters in the kitchen and kripa is preparing food....

Anjali: hi kripa kaisi ho......

Kripa: bahot achchi......achacha hua tum aa gayi.......dekho na kitna shara kaam baki hai......

Anjali: Bata kya karna hi.....

Kripa use sare baki ke kaam batati hai. aur phir dono kitchen me rakhe table pe bethkar sabzi katne lagti hai.

Kripa: Anjali aaj tuje subaah aana chahiye tha.....

Anjali: kyun.........aisa kya hua.......

Kripa; romeo aur juliet ka play chal raha tha.......

Anjali: iska matlab sujal aur kashish....

Kripa: haa......agar bollywood wale dekhte na to i am sure dono ko agli film me zaroor luaunch karte.........aur shayad sabse romantic couple ka award bhi mil jata.......

Anjali: ab batayegi bhi kya asal me hua tha.....

Kripa anjali ko sab kuch batati hai aur dono zor se hasne lagti hai.....aur tabhi bahar se kavya kripa aur anjali ko bulane aata hai.....

*******************************************************

Anjali aur kripa bahar aake anurag aur prerna ka aashirwad lete haia aur phir prerna anjali aur kripa ko gale lagati hai...

Anjali: Aap log khade kyun hai bethiye na.......

kavya: sujal.....kashish kaha hai.........

Sujal: use boutique me kuch kaam tha is liye woh waha gayi hai........kuch hi dair baad main le aunga use.......

Prerna: to bataiye panditjee.....kab ka muhrat nikala hai.......mere bete ki shaadi ke liye.......

Panditjee: Dono ki kundaliyaan dekhke aisa lagta hai ki dono ek dusre ke liye hi bane hai......

Anurag: woh to hum bhi jante hai.....aap sirf muharat bataiyega.........

Panditjee: aaj se thik nauv din ke bad ka muhrat hai aur yeh muhrat to bahot hi kam naseebwale ko milta hai.......poornima ka din hai aur aisa hi muharat bhagwan shiv parvati ki shaadi ke din tha.........ab aap sochiye mat jald se jald shaadi ki taiyaariyaan karne lago....

Angad: kripa...soch kya rahi ho......sabka muh meetha karao....

Kripa; jee abhi aayi.....

Kripa meethai leke aati hai.

Kripa: yeh lo sujal sab se pehle jiski shaadi hai woh muh meetha karega.....

Sujal: nahin kripa.....pehle kashish ko aa jane do baad me......

Prerna: dekha kripa mere bete ko kitna pyaar karta hai kashish se......

Sujal was kind of embarres infront of whole family....

Anjali: Isi liye to hamari pyaari behen ko itna pyaar karnewala pati milnewala hai...

sabhi log ekdusre ko badhaai de rahe the tabhi kashish ka phone bajta hai.

Kashish: hello sujal kaha ho....main tumhara victoria garden me intazar kar rahi hoon.....

Sujal: main bas abhi aata hoon........mera intzaar karna........

Kashish: jaldi aana.......i miss u....

Sujal: bye.......

Sujal: Angad......main abhi aata hoon.........kashish ka kaam ho gaya hai..is liye unhe office se lane ja raha hoon.......

Angad

(teased): Sujal sidhe ghar pe hi aana.........

Sujal: tu bhi na kabhi nahin sudhrega...........ab tu sab kuch sambhal me kashish ko leke aata hoon......bye

Angad; bye....

*******************************************************

Sujal kuch dair baad Garden me pahonch jata hai aur dekhta hai to kashish waha idher se udher walk kar rahi hai.....

Kashish

(sees sujal is coming to her); Sujal.........kitni dair kar di kab se intzaar kar rahi thi.

Sujal: Kya karta kashish........woh ghar pe panditjee aaye the na hamarai shaadi ka muharat nikal ne is liye dair ho gayi.........

Kashish

(khushi se) : kab ka muharat nikala sujal............ple jaldi batao na........

Sujal (with sad face to tease kashish): kashish woh shaadi ka muharat aaj se 11 mahine ke baad ka nikala hai.......aur papa keh rahe the ki is dauran muje vapas delhi jana hoga business me kuch kaam hai.......

Kashish

(with alomst cring expression): 11 mahine ke bad.......per sujal.........(take a deep breath).......koi baat nahin.......kab ja rahe ho delhi.........

Sujal: Nauv din baad........

Kashish: thik hai to tum yeh pure nauv din mere saath gujaroge.......

Sujal (

waha se durr jane lagta hai aur phir wapas aake kashish ke kaan me); Sorry kashish lekin in nauv din me muje apni shaadi ki taiyaariyaan karni hai......

Kashish (with happy shocked); Sujal iska matlab........hamari shaadi nauv din baad hai......

Sujal: tumhari nahin pata lekin meri to hai......

Kashish (runs after him and trying to hit him): Sujal main tumhe nahin chodungi.

Sujal (running ahaed): yehi to main chahta hoon.......

Kashish sujal ko pakad ke use pyaar se marne lagti hai........

Yeh pitai samne khada ek couple dekh rahe hai.........

Guy: Bechara koi aaj phir apni girlfriend ke haathon pit raha hai.........

Girl: Kya kaha tumne akshat........

Akshat: Kuch bhi to nahin......woh dekho charu bechara........aur woh dekho us ladki to bichare apne boyfriend pe taras hi nahin aata.........

Charu: Are ise to main janti hoon........kashish hai yeh lekin uske saath..........

Akshat: kashish naam to achcha hai aur dekhne me bhi.....

Charu (gusse se); kya kaha.........kuch to sharm karo akshat........hamari shaadi ho gayi hai........

Akshat: ab gussa kyun karti ho........chalo bhi ab.......

Charu (hold his hand); chalo.....

*******************************************************

(in the car)

Kashish gusse me muh chadake khidki se bahir dekh rahi hai.

Sujal: abhi bhi naraz ho.........ok i am sorry.........ple ab to maff kar do......

Kashish: Tumne muje pareshan kyun kiya.......

Sujal: bas aise hi........muje achacha lagta hai.......aur us waqt to tumhari sakal dekhti layak thi........kitni cute lag rahi thi..........

Kashish: Per sujal itni jaldi shaadi ki taiyaariyaan.......

Sujal: hum sab kuch sambhal lenge kashish.........bus ab to tum Mrs.Kashish Sujal Garewal banke ki koshish kiya karo........Aur ek baat...... tumhe jitna aaram karna hai karlo kyunki shaadi ke baad to main tumhe chodnewala nahin hoon..........bahot tadpaya hai tumne muje........

Kashish

(blushed and mummers): Tadap to main bhi rahi hoo.....

Sujal: kya kaha tumne.....

Kashish : maine.......kuch bhi to nahin........

Sujal: kashish....maine kuch suna........

Kashish: lo tumhari baation baation me ghar bhi aagaya.......chalo ab.....mama papa intazar kar rahe honge........

*******************************************************

Kashish aur sujal andar jate hai.......Kashish anurag ke pass jake pair chuti hai.......

Anurag

(hugs kashish): beti pair nahin chuti woh to gale lagti hai........bhagwan kare tum dono ko sari duniya ki khushi mile.......

Prerna: Ab apne papa se hi baatein karogi ki apni mama ke pass bhi aaungi.....

Kashish takes blssings.

prerna: jeeti raho aur tuhara pyaar tumhare saath ho.......

prerna hugas kashish and whispers in her ears.

Prerna: Kashish,,,,,,,thank you mere bete ki muskurahat wapas lautane ke liye.......

Kashish: ab yeh yuhi rahegi......main vaada karti hoon......

Angad; Abhi se kya saas bahu khus phus kar rahe ho.........

Kavya: Yeh hum jaise mardo ke samaj me nahin aayega........

Anjali: Aaap sab log bethiye main kashish aur sujal ka muh meetha karwati hoon........

*******************************************************

Anjali kitchen ki aur jane lagti hai lekin raste me behosh hokar gir jati hai.......sab log ghabrake anjali ke pass daud ke jate hai.

Kavya

(pats her on cheeks): anjali......aankhen kholo.........anjali .........hosh me aao......

Kashish: kavya tum ise upper le jao........main doctor ko phone karti hoon......

Sabhi log upper chale jate hai aur kashish sujal ke pass khadi hokar doctor ko phone karti hai.

Kashish: hello.......aniluncle main kashish bol rahi hoon........pata nahin lekin anjali achanak behosh ho gayi hai........aap jaldi aaiyega.......

Doctor: Thik hai main abhi aata hoon.........

Kashish aur sujal neeche doctor ka wait kar rahe hai aur kashish hall me idhar se udhar chakkar kat rahi hai..

Sujal

(puts his hands around her to supprort her): Kashish..kuch nahin hoga anjali...........doctor bus aate hi hoge......

Kashish

(puts her head on his chest): sujal........is taraha achanak kya hua hoga.......

Sujal: kashish...yeh dekho doctor aa gaye......

Doctor: kashish........anjali kaha hai.......

Kashish: woh apne kamre me hai lekin is tarah uncle achanak.......

Doctor: let me check her first........

Doctor, sujal aur kashish upper anjali ke room me jate hai........

Kavya: uncle pel aap jaldi se anjali ko dekhiyena ki kya hua hai........pel uncle.....

Doctor: Dont worry kavya........main check karta hoon.........aap log ple bahar bethkar mera intzaar kare....

Sab log bahar jake doctor ka wait kar rahe hai.......kuch dair bad doctor bahar aata hai.......

Kavya

(worried): uncle.........ple bataiyena ki kya hua hai.......meri anjali thik to hai na uncle......

Doctor: Darsal aisi halat me aisa hota hai.....

Kavya: Main kuch samja nahin.......

Doctor: Tum budhu ke budhu hi rahoge..........baap banne wale ho tum.........aur anjali maa bannewali hai........

kavya was in shocked but happy one.....aur baki ke sab log to itna khush hote he ki pucho mat........aakhir ek saath do do khuskhabri jo thi..........

Kavya

(khushi se); muje to yakeen hi nahin hota ke hamara bachcha............uncle kya main anjali se mil sakta hoon.....

Doctor: haa...kyun nahin.......abhi woh hosh me aa gayi hai lekin woh bahot hi week hai.........jyada kaam uske liye achcha nahin hai........aur ple uska khayal rakhna....

Kavya; jee uncle

doctor leaves.....

*******************************************************

Everyone rushed to anjali's room.......Anjali waha bed pe bethi huyi hai jab woh sabhi ko dekhti hai.........

Kavya

(comes and hugs anjali): Anjali......aaj main bata nahin sakta ki main kitna khush hoon..........thank you anjali for this beautiful gift.......

Anjali: Aaj main bhi bahot khush hoon kavya.........jis pal ka main itzaar kar rahi thi woh aaj pura hua..........thank you kavya........

Kripa: kya aap dono hi baatein karoge.........yahaan pe puri line lagi huyi hai.........

Kavya; sabse pehle hakk bachche pe baap ka hota hai........

Kripa: lekin baad me sabse pehle mausi ka........

kashish: kya aap dono bhi ladte rehte ho........abhi to bachcha aaya bhi nahin ke tum dono shuru ho gaye.

Kashish anjali ke pass jakar use gale lagati hai......

Kashish: I am so happy for you anjali..........aaj duniya ki sabse anmol chiz tuje mili hai.........maa banne ka saubhagy........Congrets kavya.........

Kripa: ya congrets to both of you.........

Angad

(comes and hugs kavya); Way to go man.........congrets bro.........

Sujal

(comes and hugs kavya): badhai ho kavya..........aur anjali ka khayal rakhna..........use tumhari zaroorat hai........

kavya anurag aur prerna ke pair chuke aashirwad leta hai......

Prerna: Kripa........ab jao aur jake sabka muh meetha karao.......aaj to do do khushi eksaath mili hai..........

Kripa; Abhi aayi......

Kripa sabse pehle anjali ko phir kashish aur phir sab logo ko meethai khilati hai........

Anjali try to get up from the bed when kashish

Kashish: kaha ja rahi ho........tumhe aaram ki zaroorat hai.......

Anjali: lekin kashish.........main bilkul thik hoon........aur phir tumhari shaadi ki taiyaariyaan jo karni hai......

Angad: nahin anjlai......aaj se tum sirf aaram karogi.........sari shaadi ki jimedari meri aur kavya........kyun kavya........

Kavya: bilkul thik kaha........

Prerna: nahin yeh shaadi ab delhi main hogi.....Main nahin chahti ki anjali koi bhi tension le shaadi ko lekar........

Anjali: lekin mama aise kaise.....

Anurag: Aise waise kuch nahin hum sab log perso yahaan se niklenge........kuch dair saath me rakhenge.........shaadi ki taiyariyan bhi saath me hoti rahegi aur tum hamare saath rahogi ko hume bhi chinta kam rahengi.......

Anjali; per papa aise to........

Sujal: papa thik keh rahe hai........is waqt tumhe apni aur apne bachche ki sehat ka khyal rakhna hoga........

Anjali: thik hai.......main taiyaar hoon ab aap log keh hi rahe hai to........

Kripa; That's like a good mom.....

Sab log hasne lagte hai.......

Anurag; Guys aap logo ke pass 1 din ka waqt hai jo bhi karna ho......kyunki agale saat din tak no office work.....

Kavya: main kal hi jakar sab kuch office ke pandings kaam khatam karta hoon.....

Anurag: main bhi kal woh naye project ke liye un company se mil aata hoon....

Kripa: hum bhi kal KnK jake sab kuch finalise karte hai.......

Angad: Thik hai main bhi aap logo ki madad kar deta hoon.......

Kashish: lekin isse pehle hume official news deni hogi ki hum KnK ko bandh kar rahe hai.

Sujal: Kashish tum kyun KnK ko bandh karna chahti ho.......Officail state me yeh kehdo ki tum apna office delhi transfer kar rahi ho........

Prerna: main sujal ki baat se sehmat hoon........isi bahane tumhara aur kripa ka kaam bhi hota rahega......

Angad: not a bad idea beautiful.....

Anjali: Aur main kal kya karungi..........

Prerna: tum mere saath bethkar shaadi ki plaaning karogi taki isi bahane tum ghar pe bhi raho aur aaram bhi.......

Anurag: to ab sab kuch tai ho gaya hai..........is it clear..........

Everyone: yes............

sab log haste hai aur isi tarah yeh din bhi khatam hojata hai...............

Edited by goodkashish - 17 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#50

Part-38

Aaj sabhi log Subah subah hi apne kam ke liye nikal gaye the....Kyunki yaad hai na anurag ne sabko ek din ki notice jo di thi.....

Kashish, Kripa, Sujal aur Angad KnK ke meeting room me bethkar baatein kar rahe the...............

Angad: Muje lagta hai ki hume kavya ki office chalke ek official news deni chahiye ki hum log sirf KnK ko delhi sift kar rahe hai......

Sujal: Lekin Most of the fans of KnK read articles......to muje lagta hai ki hume iske saath saath un har ek magazines main add deni hogi......

Kashish: thik hai main piyush se baat karti hoon......

Kripa: dont worry meri piyush se baat ho gayi hai woh bas aata hi hoga....

Kashish: kripa...... main aur sujal yahaan pe sab kuch sambhal lenge.......tum dono jake kavya ke waha sab kuch sambhal lena.......

Angad: thik hai to sham ko ghar pe milte hai.....

Angad aur Kripa Sinha publications chale jate hai.......

************************************************************ **************************

Kashish apne cabin me kaam kar rahi thi aur sujal bahar jake sab files aur baki ke kaam ko dekh raha tha...jab piyush kashish ke office me aata hai.......

Piyush: Hi kashish.........kaisi ho.......

Kashish: tum hi dekh lo.........bahot khush hoon.........aakhir aajse 8 din bad meri shaadi jo hai..........jiske saath sapne dekhe the usike saath apna bandhan bhandhne ja rahi hoon.....

Piyush: i am so happy for you........congrets..........

Kashish: thanks........waise maine is liye tumhe bulaya tha ki yeh article magazine me post karna hai.......

Piyush

(looks at article): iska matlab tum delhi ja rahi ho.........

Kashish: Haa kyunki ab mera aur kripa dono ka sasural delhi me hai to.........waise main aur kripa to KnK ko bandh karne wale the lekin phir sujal ne hi yeh suggest kiya.........Pata hai Piyush i am so lucky to have sujal in my life........

When sujal enters in her office........

Sujal: Kashish woh.........Sujal piyush ko dekhta hai.........

Kashish: Piyush yehi hai Sujal aur Sujal yeh hai piyush fashion magazine ke MD aur mere dost bhi........

Sujal: hi piyush.......nice to see u.....

Piyush: same here......Sujal bahot hi kismatwale ho jise kashish jaise pyaar karnewale milte hai...........chalta hoon kashish....tumhara kaam ho jayega.........good luck to both of you for your future life........

Piyush left but Sujal was still thinking about him.......

Kashish : kaha kho gaye sujal..........

Sujal: kuch nahin........lekin isne aisa kyun kaha...........

Kashish: Kuch bhi to nahin........isme iski bhi koi galti nahin.........pyaar karta tha mujse lekin.........

Sujal

(comes and looks directly into her eyes): Lekin kya kashish.

Kashish: Lekin tum jo muje pehle mil gaye....

Sujal (stands infront of her); Agar main na milta to......

Kashish : Sujal aisa kabhi sochna bhi mat mera jee ghabra jata hai.......shayad tumhe meri itni zaroorat nahin lekin sujal muje tumhari bahot zaroorat hai.......nahin jee sakti tumhare bina.......tumse durr hone ke ehsaas se bhi darr lagta hai.......

Sujal :Itna pyaar karti ho.......

Kashish: abhi tumne mere pyaar ko dekha hi kaha hai.....

Sujal (Pulls her closer): Abhi dekh lete hai ki kitna pyaar karti ho....

Kashish (try to free herself): Sujal kya kar rahe ho.......koi dekh lega......

Sujal: Dekh lene do.....koi galat kaam thode hi kar raha hoon......apni honewali biwi ke saath pyaar kar raha hoon.......

Kashish: Jee nahin.......abhi aap muje kaam karne denge aur rahi baat aapke pyaar ki to woh hum shaadi ke baad dekhenge......samaj gaye Mr. Sujal Garewal.......

Sujal: main to samaj gaya lekin mere dil ka kya karoon.....

Kashish: Use bhi sambhal ke rakhe...

Sujal: kya karoon.......tumhe dekhte hi bechare ki niyat bigad jati hai.......

Kashish: Achcha..........

Sujal: haa......

Kashish: Sujal tum bhi na.........ab jao yahaan se.........nahin tum aise nahin jaoge main hi chalti hoon.........

kashish kripa ke office me jakar kaam karne lagati hai aur sujal baki ke formalities karne lagta hai........

************************************************************ **************************

Angad aur Kripa dono SInha publications pahonchte hai.......Dono kavya ke office me jate hai........

Kavya: are tum dono.......koi kaam tha to muje keh dete........yaha aane ki takleef kyun ki.....

Kripa: Kavya tumse ek kaam tha........

Kavya: kripa yeh tumhara bhi office hai........

Kripa; janti hoon.........

Angad: yeh sab baatein chodo aur hume to sirf KnK ke sifting ki news me add deni hai..........kya yeh possible hai.

Kavya: kya baat karte ho angad........apna hi channel to hai........jo kahoge woh ho jayega........

Kripa: thik hai yeh lo note..ise telecast karna hai..........

Kavya: dont worry.......aaj ke primetime news me hi announce ho jayega.......

Kripa: thanks kavya.....

Kavya; apno se thanks nahin kehte........yeh batao ki kya loge......

Kripa: kuch nahin......woh ghar pe bhi bahot kaam hai........

Angad: thik hai kavya sham ko milte hai........bye

Kavya: bye......

************************************************************ **************************

Let's check in Sinha house.

Prerna hall me bethkar phone pe kisi se baat kar rahi thi jab Anjali upper se neeche aati hai aur yeh Prerna dekhti hai...

Prerna: Mr. kapoor main aap se baad me baat karti hoon.......

Anjali: kya kar rahi ho mama.........

Prerna: tumhe kisne kaha tha neeche aane ko.......muje kaha hota to main upper aajati....

Anjali: nahin woh main upper bethe bethe bore ho rahi thi......socha aap se kuch baatein kar loon.......

Prerna: thik hai ab tum yahaan betho.......main bas abhi aayi....

Anjali waha pe beth jati hai aur kuch dair bad prerna Milk ka glass leke aati hai........

Anjali; mama yeh kya hai........

Prerna; Kuch nahin haldi wala milk hai........ise chup chap pilo.......tumhe aur bache dono ko achcha lagega..........

Anjali: per mama muje yeh achacha nahin lagta......

Prerna: lekin sehat ke liye achacha hai......chalo jaldi karo......

anjali drinks milk in one breath........

Prerna; yeh huyi na baat........ab chalo milke shaadi ki planings karte hai.......

Anjali: Shaadi ke do din pehle mehndi phir agle din sangeet aur phir shaadi.......kaisa rahega.......

Prerna; bahot hi achche.........lekin tum delhi aake sirf aaram hi karogi.......

Anjali: jaisa aap kahege waisa hi hoga lekin mama sangeet me thoda to dhamaal karna hi hoga akhir mere behen ki shaadi hai......

Prerna: bilkul bhi nahin......maa bannewali ho lekin bache jaise harkate karti rehti ho........

AnjalI; kya karoon........ab tak aap jo nahin mili thi....

Anjali hugs prerna.......

************************************************************ **************************

Kashish apna sara kaam khatam karke office se bahar nikalti hai to dekhti hai ki sujal samne car ke pass khada uska intazar kar raha hai........

Kashish sujal ko dekhke sharma jati hai .......

sujal yeh sab dekhke hasne lagta hai.........

sujal kashish ke kareeb aata hai ......

Kashish: kya kar rahe ho sujal........

Sujal

(coming really close to her): Tumhi ne to kaha ki hum office me romance nahin kar sakte to phir yahan hi sahi.......

When suddenly it starts to rain.........

Kashish : pehle tum kam the ki ab yeh baris bhi......mere sare kapde

Sujal: Tum bhi na kashish itne romantic mausam main tumhe apne kapde ki padi hai.

Kashish was lost in sujal's eyes.

************************************************************ **************************

Thoda Sa Pyar Hua Hai Thoda Hai Baki
Thoda Sa Pyar Hua Hai Thoda Hai Baki
Thoda Sa Pyar Hua Hai Thoda Hai Baki
Hum To Dil De Hi Chuke


Hum To Dil De Hi Chuke Bas Teri Haan Hai Baki

Thoda Sa Pyar Hua Hai Thoda Hai Baki
Thoda Sa Pyar Hua Hai Thoda Hai Baki


Kaun Sa Mod Aaya Zindagi Ke Safar Mein


Bas Gaya Tu Hi Tu Ab To Meri Nazar Mein

Dil Ki Har Ek Dhadkan Tujhko Pehchaanti Hai

Meri Chaahat Hai Ab Kya Tu Nahin Jaanti Hai

Main Tuhje Jaan Gayi Tujhko Pehchaan Gayi

Phir Bhi Teri Haan Hai Baki

Thoda Sa Pyar Hua Hai Thoda Hai Baki

Thoda Sa Pyar Hua Hai Thoda Hai Baki


Aaj Yeh Kya Hua Hai Dil Nahin Mera Bas Mein


Is Liye Sochti Hoon Tod Doon Sari Rasme


Umr Bhar Ke Liye Tu Aa Mera Saath De De


Tera Ho Jaaonga Main Haathon Mein Haath De De


Haathon Mein Haath Sahi Tu Mere Saath Hi Sahi


Phir Bhi Teri Haan Hai Baki


Thoda Sa Pyar Hua Hai Thoda Hai Baki


Thoda Sa Pyar Hua Hai Thoda Hai Baki


Thoda Sa Pyar Hua Hai Thoda Hai Baki...

************************************************************ **************************

Sujal aur kashish dono ek dusre ki baahon me khoye huye the.

Jo koi apni Car me se dekh raha tha, you guys know who is he....

Tushar: Kashish jitni khushiyaan manani hai mana lo.....kyunki jitne dard tumne muje diye hai usse kahi jyada aanshu hoge tumhare zindagi me......woh kehte hai na ki bahot muskurane ke baad bahot jyada rona bhi padta hai.......kuch dair aur phir dekhna main kya karta hoon.....

Tushar apne car me nikal jata hai aur ek zor se bijli kadkti hai jisse hamare dono prem panchi sapno ki jannat se bahar aate hai........

Kashish : Sujal.,,,,muje apne itne hi kareeb rakhna......

Sujal

(pulls her more close to him): nahin kashish main tumhe itne kareeb nahin balke apne dil me rakhunga........

Kashish: I love you sujal.....

Sujal: I love you too......

************************************************************ **************************

Thodi dair bad sab log ek saath ghar pahonch jate hai.......sab log hall me bethe jab prerna sabhi ko dinner ke liye bulati hai.......

(at dinner table)

Anurag: to aap sabka kaam ho gaya......

Kavya: jee maine apni sari meetings postpone kardi hai....main ek week ke liye bilkul free hoon........

Prerna: meri bhi Mr. kapoor se baat karli hai.......woh ek week ke liye office me sab kuch sambhal lenge...

Sujal : that's good.....

Anjali; kashish tuhara kaam ho gaya....

Kashish: haa sab kuch ho gaya......kuch din baad Delhi me phir se KnK ki reopening hogi......

Anurag: that really good......mere pass aur ek khabar hai.......woh deal ke liye main jo gaya tha woh bhi final ho gayi.......ab Garewal industry India ki top 3 induaries me se ek hogi......

Sujal: yeh to bahot hi achchi khabar hai.....

Anurag: all credit goes to you.....

Angad: sari credits sujal ke liye aur main....

Prerna: tumhe bhi.......ab sab log khana khao.....

angad: woh main batana hi bhul gaya.........kal subah gyarah baje ki hum sab ki flights hai........to hume dus baje airport pahunchna padega.......

Kavya; thik hai....main aaj hi apni sari taiyaariyaan kar lungi.

Anjali: main bhi...

Kripa: tumhe kahi jane ki zaroorat nahin.......tumhara saman already pack ho gaya hai.......tum sif apne sehat ki jimedari longi.....

Angad: haa anjali aaj se tum kuch kaam nahin karogi.......agar tumhe koi bhi chiz ki zaroorat ho to yeh kavya hai......bejijak use kehna.....

Kavya; Angad tum bhi.........waise anjali aaj ka tumhara din kaisa tha........

Anjali: Bahot hi achcha......mama ne muje kuch karne hi nahin diya.......

Anurag: Achcha hi hai........ab sab log dinner karlo.....phir hume abhi apna saman bhi pack karna hai kyunki kal subah jaldi nikal na hai.......

sab log dinner karte hai aur phir saman pack karne me lag jate hai..........

Edited by goodkashish - 18 years ago

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

3 months ago

Aradhana & Reyaansh SS : Na Jaane Kyun (last chp + epilogue pg 3)

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

8 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".