Phir se aaj teri yaad aa gayi
Phir se aaj teri yaad aa gayi
Bewajah phir dil ko rula gayi.
Na jane kyun woh beete lamhe,
Har zakhm ko phir se zinda kar gayi ?
Tu lautega nahi - ye maloom hai,
Phir bhi dil me ek halchal si uthi hai.
Tere bina haar cheez aaj bhi adhoori si lagti hai,
Khushi k ghadi bhi ab dhokha si lagta hai.
Tera naam aab bhi duaon shamil hai.
Door hoke bhi bas teri hai baatein har baat me moujood hai.
Teri muskaan in aankhon me kahin chupi hai,
Kabhi hasati hai , to kabhi kante si chubhti hai.
Agar Tu hai itna zalim hai — toh mujhe todh kar,
Puri tarha bikhar kyun nahi deta?
Agar tu sukoon hai — to phir,
Apni palko mein panha kyun nhi deta.
Tere dedar ka intezar tabse hai,
jabse tera ehsas ish dil me hai.
Kabhi lagta hai — tu paas hi kahin hai,
Hawaon me guli koi dhundhli parchai jaisa.
Kabhi lagta hai tu — bhaut door hai,
Ek esa saach, jise chona namumkin hai — bas ek khawab jaisa.
Phir bhi haar baat me tujhmein hi kho jati hoon,
Tere bina bhi , bas tera hi ho jata hoon.
Magar kya kare ....
E Dil lagi aab khamosh hi acchi lagte hai,
Chahat ki tasbir bhi aab
Sirf tanhaiyan me hi sacchi lagte hai.
Na tu mera hua, na main khud ki rahi,
Magar ishq ab bhi wahi hai — bepanah, be wajah.
.........................
.................................
Midnight_Library....
Your reaction






2 Comments