Chapter 11

..oneOone.. Thumbnail

Ana

@..oneOone..

Font:
Text Size:
Theme:
Part 10

sujal ayye tau usay dekh kar khush ho gaye..............main tau shayad unhain nazar bhi nahin ayee thi
dinning table pay aunty hamesha sujal k kareeb bethti theen...............likin aj main nay jaldi say wahan par kabza kar liya.................aunty meri iss jald bazi pay pareeshan or sujal khairan thay.......likin phir woh iss baat ko bhool gaye likin unh kay forehead pay kai bal(tension main jo forehead pay wrinkles say partay hain) par gaye...........
"mujhay nahin patah tha k app itni jaldi apnay sautelay pan pay aa jain gii".................unhon nay cold voice main kaha
"kia matlab"............mujhay kuch samjh main na aaya
"app din bhar free hoti hain.............kam say kam bachoon k kapray hi change kar diya karain.............patah hai kitna din say woh school nahin gaye................aj agar Principal ka phone na atta tau mujhay tau pata hi na chalta"........main chup rahi........yeh meri hi galti thi
"bachay sara waqt aunty k saath hotay hain......meray pass tau attay hi nahin".................main nay unhain explain kia.......likin aunty nay meri baat poori na honay dii....
"main tumhari aunty nahin hoon....................umar main tau main tum say choti hi hoon gii"...............bohut proud tareeqay say kaha
"choti tau nahin...............haan jhooti zaroor hain"...................main nay dil main socha likin chup rahi..................kyoun k sujal mujhay hi dekh rahay thay........or main sab k samnay apni or izzat nahin karwana chahti thi
"hayee..........sameera kitna khayal rakhti thi bachoon ka.................... inh ko dekh kar tau meray dil kannap jata hai............mera tau dil hi nahin karta k inhain yahan chor kay jaoon.............janay sauteli maa kia kia zulam karti hogi............main chali tau jati hoon.............likin mera dil idher hi laga rehta hai..........din main kaiiee bar phone karti hoon"............zabardast acting jari thi
sujal nay gussay main plate zameen par phenk dii...................."main nay mama say pehlay hi kaha tha......k mujhay aisii shadi nahin karni jiss main meray bachoon ka khal pehlay say bhi zayada kharab hoo...........naina agar app na hotain tau patah nahin meray bachoon ka kia khal hota"
woh gussay main khana chor kar chalay gayee......................aunty muskurati nazroon say mujhay dekh rahi theen............or sameer mujhay dekh raha tha........................uska khayal tha k papa ka gussa main us pay nikaloon gii kyoun k unh hi ki wajha say mujhay dantt pari thi..............likin main nay inh say kuch na kaha.............main unhain khona nahin chahti thi
or sach tau yehi hai k woh itnay ganday banay howay thay....................kia agar main unh ki real mama hoti tau kia unhain itna ganda phirnay deti................kia unhain gussa rehnay deti...................unhain manati na..............patah nahin aunty nay unhain sara din kuch hanay ko bhi diya tha yaan nahin.
saari meri galti thi................maa unh ki main thi or khafa woh mujh say thay..............or main unh ki parwa kiye bina hi apnay gham main khoyee thi.........
sameer mujhay us ko iss tarhan dekhnay say daar gaya
"kia hai step mother............app aisay kyoun dekh rahi hain".....woh bola
"main dekh rahi hoon k meray bachay kitnay pyaray hain".......main aram say boli.............
"kia"............donon apnay kamray main bhaag gaye
"main kia karoon k tum loog maan jaoo"
aunty hamesha ki tarhan aag laga k ghar jaa chuki theen

lol
ana

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry

10 Comments

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".