Chapter 55

JaViA Thumbnail

Javeria

@JaViA

Font:
Text Size:
Theme:
Lolz Saara control hehehhe ...waisay yeh part bhi zyada bara nahin hai ..sorrry ..aur haan Group_1223 yeh gaana meine sunna hai ...aur haan kaafi suit bhi kerta hai hehehehe And thanx Surya , R.s ,group_1223 sorry forgot ur name ..bata dena hehehe ,and Saara for ur gr888 comments ......


Kher Phir Sujal tayar ho jaata hai aur Phir Kashish bhi tayar ho jaati hai
Sujal : chalein
Kashish : haan chalo
Sujal : waisay bauhat achi lag rahi ho tum....yeh dress tum per bauhat suit ker raha hai
Kashish :Thanx
Archie : ahem ahem ..mein bhi yahiin hooon
Sujal Archie ko dekhta hai
Sujal : Archie yeh tumne kya pehna hai ....hum log party mein jaa rahe hain shaadi mein nahin
Kashish : haan bauhat hi ajeeb lag raha hai
Archie : hain ..!!!
Sujal : tum aisa kero tum change ker k neechay aao ....hum log chaltay hain
Archie : theek hai
Kashish Sujal neechay jaatay hain
Kashish : Sujal ..!! us ka dress acha khasa to tha...
Sujal : haan ..lekin bila wajay humein disturb kerti ...acha hai ab thori der mein aaye gi
Kashish : Sujal tum bhi..!!!
Sujal : mujhay maaloom hai kabhi nahin sudhroon ga...
Manager : So aap hi hain na Mr and Mrs Sujal Garewal
Sujal : ji hum hi hain
Manager : thanx k aap hamari party mein aaaye ...aap ko yahan ka intezaam kaisa laga ?
Kashish : kaafi acha hai
Sujal : lekin ek problem hai ..yahan per rooms bauhat kam hain ..
Manager : ji..???kya baat ker rahe hain aap ?
Sujal : ji ..hum teen log ek hi room mein rehtay hain is wajah se k yahan per rooms nahin hain
Manager : aisa ho hi nahin sakhta ....aur ager aisa hua hai to I am Sorry ..hum
aaj hi aap ko naya room detay hain
Sujal : Thanx
Manager : waisay meray khayal se aap ko koi ghalat fehmi hui hai ..kyunki jab aap aaye
tab to is hotel k dus rooms khaali the
Kashish : haan ho sakhta hai koi ghalat fehmi hi ho
Manager : acha aap log party enjoy kerein mein aap k room ka bandobast keroon
Kashish : Thank you....
Kher phir Sujal aur Kashish ko dance floor per bulaya jaata hai
Sujal Kashish apnay favourite gaanay per dance kertay hain
While dancing
Kashish : Sujal ..!! yeh kaisay ho sakhta hai k hotel k room khaali hooon ...lekin humein bataya
gaya ho .k sirf ek hi room hai
Sujal : aray yeh sab Archie ki chaal thi
Kashish : haan ..taa k Archie hamaray saath reh sakay
Sujal : Kashish ..!! kyun bila wajay us k baare mein baat ker rahi ho ..tum kuch pio gi
Kashish : haan juice
Sujal : abhi laata hoon
Kashish dance floor se uter jaati hai aur Sujal juice lenay jaata hai
Phir Archie bhi neechay aa jaati hai
Archie Sujal k paas jaati hai
Archie : Sujal kya ker rahe ho
Sujal : football khel raha hoon
Archie : kya??
Sujal : aray idher khara hoon to juice hi le raha hoonga na
Archie : oh haan ..waisay Kashish kaha hai?
Kashish : lo Archie tumne mera naam liya aur mein aaa gayi
Archie : oh..!!
Sujal : kya hua ?
Archie : kuch nahin
Sujal : lekin hamaray paas tumharay liyeh khush khabri hai
Archie : kaisi khush khabri ?
Kashish : woh hum donon tumharay saath reh ker tumhein bauhat pareshaan kertay the na ...
Sujal : aur tum bhi humein pareshan kerti thi ..to issi wajah se humne doosra room le liya
Archie : nahin tum log aur pareshaan kertay the..nahin bilkul nahin ...
Sujal : lekin tum to humein pareshaan kerti thi na is liyeh le liya
Kashish : Sujal..!!!
Sujal : acha baba ..!! yeh apna juice to pio ...
Kashish : nahin peena
Sujal : thora sa peelo tumne hi mangwaya tha
Kashish : nahin ab dil nahin chah raha
Sujal : pio
Sujal apnay haanthon se Kashish ko juice pilata hai
(Aur Archie ki haalat ka aap log andaza laga hi sakhtay hain ...lolz)
Archie jal jal k kaali ho rahi theen
Kher phir party khatam ho jaati hai
-------------------------------------------------
aur yahan per part bhi khatam ho gaya ..sorry part chotta tha ....yaar mein kya keroon exams ho rahe hain aur phir yeh do do stories ...donon k chotay chotay parts likhti hoon ..lekin Atleast likhti to hooo na heheheheh ....Waiting fir ur gr888 comments
Love
Iman

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry

15 Comments

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".