Chapter 53

JaViA Thumbnail

Javeria

@JaViA

Font:
Text Size:
Theme:
Kher phir Kashish aur Sujal wapis ghar aa jaatay hain
Veena : kya baat hai ..aj bauhat der ho gai tum donon ko ghar aanay mein
Sujal : woh aaj Kashish ko doctor k pass le jaana tha ....issi liyeh
Veena : acha ..!! tum log fresh ho ker neechay aao mein khana lagati hoon
Sujal : ji mama..!!
Sujal aur Kashish upper chalay jaatay hain
Sujal : Kashish kal mujhay Delhi jaana hai
Kashish : Delhi kyun????
Sujal : wahi Mehta Industries k chairman k saath meeting hai ..meri packing ker dena plzz
Kashish : theek hai ...
Sujal : lekin ek buri baat hai....
Kashish : kya?
Sujal : Archie bhi mere saath jaa rahi hai
Kashish : kya???
Sujal : haan ...Kashish aisa kyun nahin kerti ...k tum bhi mere saath chalo
Kashish : nahin ..meri tabiyat bhi sahi nahin rehti ..aur tum wahan kaam dekho ya mujhay
Sujal : lekin ..tumhein bura nahin lage ga ..k Archie meray saath hai
Kashish : Sujal mujhay tum per poora bharosa hai ...aur yeh bhi bharosa hai k tum meray bharosay
ko kabhi nahin toro gay...
Sujal Kashish ko tightly hug kerta hai
aur wahan Archie khush ho rahi hoti hain...
Archie to herself : Delhi jaa ker Sujal mera ho jaaye ga..!!! mein Sujal ko apna bana loon gi ...
aur woh Kashish bhi kuch nahin ker paaye gi ....
Acha phir Sujal aur Kashish khana kha letay hain ...aur wapis apnay room mein jaa
rahe hotay hain k Kashish slip ho jaati hai ..lekin us k girnay se pehlay hi Sujal usse pakar leta hai
Kashish rona shru ho jaateen hain
Sujal usse upper le ker jaaata hai
Sujal : Kashish is mein ronay ki kya baat hai...
Kashish : mujhay laga k aaj mein apnay bachay ko hamesha k liyeh kho doon gi
Sujal : aisay kaisay ...mein hoon na tumharay pass ..aur mere rehtay tumhein aur hamaray
bachay ko kuch nahin hoga...!!!
Kashish Sujal ko hug kerti hai
Sujal : acha ab so jao tum..
Kashish : lekin tumhari packing ..
Sujal : woh mein ker loon ga..!!
Kashish : theek hai
Kashish so jaati hai ....aur Sujal saari packing ker leta hai
aur phir Kashish k brabar mein beth jaata hai
aur us ko dekhta rehta hai ....aur phir dekhtay hi dekhtay so jaata hai
Kher phir subha hoti hai ..Sujal airport pauhanchta hai
Archie : aaa gaye tum
Sujal : nahin abhi gharse nahin nikla
Archie : very funny ..ab jaldee kero ...warna flight miss ho jaaye gi
Sujal : haan bas ek minute ruko mein abhi aaya
Archie : ab kahan jaa rahe ho ?
Sujal : apni ek bauhat keemti cheez lenay
Archie : jaldi aaana
Archie bauhat khush hoti hai ...kyunki woh SUjal k saath akelay jaa rahi hoti hai
Sujal wapis aa jaata hai
Archie : aa gaye ...!! aab chalo ..
Sujal : haan Kashish chalo..!! !
Archie peechay mur k dekhti hai ..to Sujal aur Kashish ek saath kharay hotay hain
Archie was shocked ...(1000 walt ka jhatka heheheh)
Archie : Kashish tum bhi ..!!
Kashish : haan mein bhi jaa rahi hoon ..kyun koi problem?
Archie : nahin ..mujhay kyun problem hogi ?
Kashish : tu chalein...warna flight miss ho jaaye gi
Archie : haan chalo ....
Kher phir yeh teenon plane mein bethtay hain
Asusual Sujal aur Kashish arabar brabar mein bethay hotay hain
Aur Archie unko dekh ker jal rahi hoti hain
Kashish : Sujal tum mujhay kyun apnay saath le ker jaa rahe ho ...kal raat tumne
packing bhi ker li meri aur bataya bhi nahin
Sujal : kal raat k baad mujhay laga k tumhein meri ..bauhat zaroorat hai ....aur mujhay
tumhari zaroorat hai...isi liyeh ..aur Archie ko jawab bhi to dena tha
Kashish : Sujal tum bhi na ..!!
Archie yeh sab sun rahi hoti hai aur usse bauhat gussa char raha hota hai
Archie to herself : kya soch tha meine ..aur yeh kya hua hai
meine socha tha mein Sujal ko apna bana loon gi ...lekin yeh Kashish ne mere
saare kiyeh karaye per paani pher diya ...usse tu mein nahin choron gi
Sujal : Kashish .!! is waqt Archie ka chehra dekho ..kitna laal ho raha hai
Kashish : haan hoga kyun nahin mein jo aa gayi ..
Sujal : pata nahin Delhi pauhanch ker kya keray gi yeh
Kashish bauhat hansti hai
Kher phir Yeh log Delhi pauhanch jaatay hain
Sujal : Archie tumne kitnay room book ker waye the ?
Archie : Woh ...hotel mein sirf aik hi room khaali tha ..tu meine wahi book ker wa liya
tha
Kashish in her mind : tu yeh plan tha is ka ...
Sujal : chalo acha kya ...tu Kashish chalein
Kashish : haan chalo
Archie in her mind : yeh sab kya ho rha hai..meine kya kya socha tha uar yeh kya ho raha hai
Sab us ek room mein pauhanch jaatay hain
aur hotel mein do room hotay hain ....
ek mein Sujal aur Kashish hotay hain aur doosray mein Archie
Sujal : Kashish tumhari tabiyat kaisi hai
Kashish : mein theek hooon ....yeh achanak se meri tabiyat ka kaisay khayal aa gaya tumhein ?
Sujal : nahin woh itna lamba safar tha na ...isi liyeh pooch raha tha
Kashish : mein bilkul theek hoon ..aur tumhein pareshaan honay ki koi zaroorat nahin hai
waisay tumhari meeting kab hai ....
Sujal : jab mein Mumbai mein tha ..to udher Archie ne bataya tha k aaj hai ..lekin jab mein idher aaya
tu pata chala k meri meeting chaar din baad hai
Kashish : chaar din baad ???
Sujal : haan
Kashish : matlab is Archie ka koi bauhat bara plan fail hua hai
Sujal : haaan
Kashish : is Archie ka kuch tu kerna hoga...
Sujal : jo kuch kerein gay baad mein ..abhi tu
Kashish : abhi tu kya ???
Sujal : sirf ek kiss
Kashish : nahin
Sujal : sirf aik ??
Kashish : nahin
Sujal : plzzz
Kashish : aray Archie bhi hai idher
Sujal : tab hi tu keh raha hoon
Kashish kisses on his cheeks
Sujal : wah maza aa gaya
Kashish : Archie tum idher ...!!
Archie k haanth mein ek glass hota hai jo yeh sab dekh ker us k haanth se chut jaata hai
Archie : haan woh mein paani ka poochnay ...
Sujal : mere khayal se doosron k room mein knock ker k aana chahiyeh
Archie : woh mein knock hi kernay wali thi k Kashish ne mujhay dekh liya
Kashish in her mind : kitnee bari jhooti hai ...itni der se yahin khari thi
Archie : woh mein yeh bhi batanay aayi thi ..k aaj raat is hotel mein party hai ...is hotel
ki 25th anniversary ki wajah se ..aur hum sab invited hain
Sujal : oh acha ...!! bata diya na ..ab darwaza udher hai
------------------------------------------------------------ ---------------------------------------
Thanx for ur comments logon .......baqi baad mein
Love
Iman

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry

5 Comments

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".