ok herez the story
Phir Sujal apnay haanton se Kashish ko khaana khila raha hota hai tab hi saari larkiaan
aa jaati hain aur Sujal ko wahan dekh leti hain
Larkiaan : aap yahan kya ker rahe hain
Sujal : woh mein ...bas aisay hi aaya tha ..kya mein aoni honay wali patni se nahi mil sakhta
Larkiaan : honay wali hui nahin hain abhi waisay bhi aap ka koi naam likha hai Kashish per
Sujal : haana dekh lo tum hi logon ne tu likha hai
Larkiaan : haan likha tu humne hi hai ......lekkin tab bhi aap yahan kyun hain
Sujal : woh mein
Kashish : meine Sujal ko idher bulaya hai
Sneha : lo bhai abhi se Sujal ki side per ho gai
Kashish : mein hamesha se hi Sujal ki dise per thi
Sneha : haaan!!! acha acha aap donon baatein ker sakhtay hain lekin
hamara kharcha paani
Sujal : kharcha pani tum logon ko Karan dega
saari larkiaan Karan ki taraf bhaagti hain
Varun : yaar Karan kya kimat hai tumhari saaree larkian tumharay pass aa rahi hain
Karan : hain kahan
Krishna : abay saamnay dekh na
Karan : wow !!
Saari larkian Karan ki pocket se wallet nikalti hain aur bhaag jaati hain
Varun : acha hai hamari kismat Karan jaisi nahin hai
sab Karan per hans rahe hotay hain
Kher phir Mehendi khatam hoti hai aur sab log apnay apnay ghar chalay jaatay hain
tab hi raat mein Tulsi ka phone aata hai Veena k passs
Veena : haan Tulsi bolo!
Tulsi : asal mein main aur Mihir jaa rahe hain Kashish ki dadi ki tabiyat thori kharab
hai tu unhi ko dekhnay jaa rahe hain Kashish ko nahin le jaana chah rahe kyunki
woh abhi bhi thori weak hai tu ager mein Kashish ko tumharay ghar chordon tu koi
problem tu nahin hai
Veena : aray !! problem kaisi after all Kashish isi ghar mein tu aanay wali hai
Tulsi : haan yeh tu hai ...acha mein aur Mihir Kashish ko wahan chornay aa rahe hain
Mihir aur Tulsi Kashish ko chornay aatay hain tu Lalit bhi jaanay ko kehtay hain
Phir Mihir ,Tulsi aur Lalit chalay jaatay hain
aur yahan Sujal bauhat khush ho jaatay hain
Sujal : Hi Kashish !! kaisi ho
Kashish : mein bilkul theek hooon ( they were behaving like strangers in front of Veena)
Veena : acha Sujal ab bauhat raat ho gai hai mein aur Kashish sonay jaa rahe hain
aur ab tum bhi so jao
Sujal : hain!! mein tu samjha aaj jaagnay ka program hai
Veena : ji nahin aaj Mehendi thi aur sab bauhat thaq chukay hain
Sujal : mama mein tu nahin thaqa
Veena : tu tum jaagtay raho ...zara Karan aur Rishi ko tu dekho ghoray bejh ker so
rahe hain
Sujal : haan waisay Mehak aur Gunn kahan hain
Veena : woh apnay apnay rooms mein so rahi hain
Sujal : tu ab Kashish kahan soay gi???
Veena : Kashish mere saath soay gi
Sujal : lekin phir dad ka kya ho ga?
Veena : tumharay dad Kashish k dad k saath gaye hain
Sujal : hain! acha...
Sujal so leta hua hota hai aur Kashish se milnay k tareeqay soch raha hota hai
Sujal zor se chilata hai : Ouch!!!
Veena ko maaloom hota hai k yeh acting ker rahe hain tu woh nahin uthti
lekin Kashish bhaagtay huay Sujal k pass jaati hai
Kashish : kya hua Sujal!!! tum theek tu ho
Sujal : haan mein bilkul theek hoon bas tumhein bulanay ka bahana dhoond raha tha
Veena peechay se aa jati hai
Veena : oh acha!! aap bahanay dhoond rahe the...chalo Kashish !!!
Kashish Veena k saath chali jaati hai
Phir Sujal Veena k room mein aata hai
Veena : ab kya hua????
Sujal : mama woh mujhay ajeeb sa lag raha hai apnay room mein kya
mein aap k saath lait sakhta hooon
Veena : hmm theek hai tum is sofay per lait jao
Sujal sofay per lait jaata hai aur Veena muskura raho hoti hai
Veena : pagal bas itna sa nahin keh sakhta k mujhay Kashish se baat kerni hai
mein tujhay mana kerti kya
Sujal : Opppss Sorry mama acha mujhay Kashish se baat kerni hai
Veena : sorry ab tum baat nahin ker sakhtay
Sujal : kyun???
Veena : kyunki Kashish so chuki hai
Sujal : Kya!!!! itnee jaldi kaisay so sakhti hai
Veena : raat k 2 baje jaldi hota hai....Kashish ko uthana hai kya?
Sujal : nahin nahin mama us ki tabiyat theek nahin hai usse sonay dein
mein apnay room mein jaata hoon
Veena : lekin tumhein tu apnay room mein ajeeb sa lag raha tha
Sujal : haan lekin ab tu sona hi pare ga na
aur Sujal wahan se chala jaata hai....
Next Morning Kashish uthti hai
Kashish : aunty woh Sujal kahan hai????
Veena : woh tu office chala gaya
Kashish : oh acha !!! aunty kya mein aaj office jaa sakhti hoon?
Veena : sorry beta tumhari mama strictly keh ker gayi hain k isse kahiin jaanay nahin
dena
Kashish : mama bhi ...
Veena : mujhay pata hai tum Sujal se milnay k liyeh jaa rahi ho ........ haina???
Kashish sharmaa jaati hai
Veena : waisay tum usse call ker sakhti ho
Kashish : haan yehi sahi rahe ga... waisay aunty mere sonay se kuch der pehlay
mujhay Sujal ki awaz sunai de rahi thi aap k kamray mein ...kya wo wahan aaya tha?
Veena muskuraati hai aur phir sab kuch Kashish ko bata deti hai
Kashish bauhat hansti hai...
Phir Kashish Sujal ko phone kerti hai
Sujal : haan Kashish Mam aap uth gayeen
Kashish : haan mein uth gayi
Sujal : kaisi guzri aap ki raat
Kashish : kaafi achi ...waisay tum kal raat kyun aaye the
Sujal : mein ...nahin mein to nahin aaya tha
Kashish : ji aap aaye the mama ne mujhay sab bata dya hai
Sujal : hain aunty se mama
Kashish : haan mama
Sujal : mama bhi na ....
Kashish : budhu jab aaye the to jaga detay mujhay
Sujal : woh meine socha k tumharee tabiyat thori weak thi ager tum disturb ho jaati
tu beemaar perh jaati aur ager beemaar perh jaati tu shaadi postponed ho jaaati
Kashish : kaafi door ki sochtay ho tum...
Sujal : haan bachpan se
Kashish aur Sujal donon hanstay hain
Kashish : ab hum ik doosray se nahin mil sakhtay
Sujal : kyun!!!?
Kashish : kyunki shaadi ko sirf ik din bacha hai aur shaadi k ik din pehlay
dulhan dulhay ko nahin mil sakhtiiii
Sujal : yaar yeh bhi koi baat hui ....kher is ka bhi koi raasta nikaaloon ga mein
Kashish : hey is ka tum koi raasta nahin nikaal sakhtay...waisay bhi sirf 24 ghantay
ki baat hai..
Sujal : 24 ghantay ...mein tumharay baghair ik pal bhi nahin reh sakhta
Kashish : acha tu abhi tum office mein mere baghair ho na...
Sujal : nahin tum mere pass hi ho (Sujal ki table per Kashish ki tasweer rakhi hui hoti hai)
Kashish : kaisay ????
Sujal : mere dil mein
Kashish : tu phir .....un 24 ghantay mein tumharay dil mein nahin hongi kya ??
Sujal : no !! sorry mera dil busy hoga 24 hours k liyeh
Kashish : kya???????
Sujal : plzzz gussa nahin mazaq ker raha hoon
Kashish : ager meray ilawa kisi aur k baare mein socha bhi na phir dekhna
Sujal : mujhay tumharay bare mein sochnay se fursat mile tu kisi aur k baare
mein sochoon
Kashish : good good!!
Sujal : thankyou....
Comments (3)
View all
KulBin @KulBin
18 years ago
iman rocking part... v nice...
will b waiting for nxt part....
nikhat @nikhat_niki
18 years ago
iman great yaar
next part jaldi post karo
mehreen/sadaf @fakhra
18 years ago
iman tooo gud........continue soon.........