Chapter 55
Part-55
Aaj ki subah pata nahin kaun se naye toofan khade karnewali hai sujal aur kashish ki zindagi me..........her ek kadam pe ek nayi kasuati unka intzaar kar rahe hai........lekin yeh pehli bar faisla zindagi aur maut ke beech karna hai..........sujal zindagi ko chode usse pehle hi usne kashish ka saath beech raah me hi chod diya hai..........pata nahi kitne dard zelne bake hai sujal ki zindagi me.........
Subah sujal apne kamre me office jane ke liye taiyaar hota hai jab Kripa waha pe aati hai...........
Sujal: Kripa........tum itni subah..........koi kaam tha muje bula liya hota..........

Kripa: kuch baatein karni thi......... tum jitna kashish ko kamzor samjte ho..........utni woh hai nahin...........jis din use is baat ka pata lagega ki tum ne use kyun nikal diya us din woh tumse gussa nahi karegi balke apne aap ko zindagi bhar kausti rahegi ki zindagi ne use ek mauka bhi nahi diya.........sujal tumhare liye ladne ka.........aur yeh adhikar her ek patni ka hota hai.........tum chahkar bhi kyun kashish ke adhikar ko chin rahe ho...........janti hoon ki tum is waqt yeh soch rahe ho ki kashish yeh sab kuch nahin seh payengi lekin agar kashish tumhare saath abhi nahi rahegi to woh pagal hoke isi bram me rahegi ki tum aaoge use lene........kashish ek pagal ki zindagi jiye isse achcha hai ki woh haqeeqat ka samna kare.........yeh tumhare aaj ke ticket hai mumbai ke liye..........agar tumhe lage ki meri baat sahi hai to sham ko kashish ke saath lautna.......use bata dena woh khud tumhare saath chali aayegi...........
Sujal: tum thik keh rahi ho..........muje kabhi kashish ke bare me socha hi nahin.............main aaj hi kashish ko lene ja raha hoon...........

Kripa: thank you sujal..........
Sujal: bhai bhi manti ho aur thanks bhi kehti ho..............
Kripa; kyun aisa hota hai jab bhi muje lage mera parivar pura honewala hai kisi ki nazar lag jati hai.........pehle papa aur ab tum...........
Sujal; Jaana to sabhi ko hai ...........kisi ko aaj to kisi ko kal..................

Kripa: kyun woh hamesha achche logo ke saath aisa karta hai.....aapne kya kisi ka bigada tha........
Sujal: shayad maine pichle janam me kuch paap kiye honge...........iska badla ab chuka raha hoon........
Kripa: main nahin manti ki aap kisi ka bura ker sakte ho...................
Sujal: yeh tum janti ho woh upperwala nahin...........ab tum rona bandh karo agar mama ko pata chal gaya to woh bardashat nahin kar payegi............
Kripa: mama ko pata chalega to kya hoga..........
Sujal: kuch nahin...........mama ko is baat ka pata bilkul lagna nahin chahiye..........unki tabiyat bhi thik nahin rehti aur woh yeh sab kuch nahin seh payegi.......ab tum niche jao main taiyaar hokar aata hoon.....
Kripa: jaldi aana..............
Sujal taiyaar hoke nasta karke Angad ke saath office chala jata hai..................
Sujal apne office me bethkar kuch soch raha hota hai jab Angad aata hai..........

Angad: sujal woh.........jab woh dekhta hai ki sujal kisi baatoin me ulja hua hai.........
Angad shakes him......
Sujal: Angad.......tumhe kuch kaam tha..........
Angad: kis baat me ulje huye ho.........ab jab faisla kar hi liya hai ki kashish ko batane ka to kis baat ke liye soch rahe ho.....
Sujal: Jab zindagi se pyaar hone laga.........zindagi jine ke liye kashish mili tabhi is zindagi ne sabse bada dhoka de diya..........kabhi sochta hoon ki mere saath hi aisa kyun hua..............hamesha aisa lagta ki sab kuch thik hai lekin dusre din ek aur nayi musibat.......har chuka hoon main is zindagi se ladte ladte...........pata nahin kaise kashish ka samna kar paunga..........
Angad: Maine zindagi se ladna aur jitna tum dono se sikha hai..........tum dono ek dusre ki himmat ho.............ab tumhe sirf aur sirf Kashish hi sambhal sakti hai..........aao main tumhe airport chod deta hoon................
Angad Sujal ko airport chod deta hai...................
Kashish was reading a magazine when Anjali comes...........
Anjali: Kashish..........main aur kavya doctor ke pass ja rahe hai...........normal check up ke liye............aate aate dair ho jayegi..........tum khana kha lena..........
Kashish: thik hai............lekin sambhalke jana.........
Kavya: kyun phikar karti ho........main hoon na...........waise muje lagta hai ki kuch waqt ke liye tumhe bhi is ghar se bahar jana chahiye..........kitne din se raghukaka tumhe yaad kar rahe the........
Kashish: thik hai main thodi dair me us ghar jake raghukaka se mil bhi lungi aur ghar pe kuch kaam hoga to woh bhi nipta lungi........

Anjali: tum akele sambhal logi.........
Kashish: main bilkul thik hoon.........muje kya hua hai.............
Anjali: janti hoon kitni thik ho...............subah biga hua takiya dekha tha maine...........bathroom me jake chup chup ke apne aanshu chupana koi tumse sikhe...........
Kashish: woh to main........

Kavya: ab tum dono behas karna bandh karo aur chalo Anjali hume dair ho rahi hai...........
Kavya aur Anjali doctor ki office ke liye nikalne lagte hai............aur Kashish bhi taiyaar hokar Sinha house ke liye nikalti hai..................
Kashish lift ke pass khadi hoke uska intzaar kar rahi hoti hai..............jab lift aati hai to jaise hi woh andar jati hai tab uske haath se chabi niche gir jati hai aur jab woh uthati hai to lift me light chali jati hai............kashish ek dum se ghabra jati hai andhera dekh ke..........jab kahi se koi roshni ki kiran dikhai deti hai...........jab kashish dekhti hai to samne sujal hota hai........pehle kashish ek dum se ghabra jati hai.........
Kashish: sujal tum.........

Sujal: haa main........kyun yakeen nahin hai......
Kashish: nahin aisa nahin.........lekin main tumse kyun baat kar rahi hoon.........

jab light aati hai aur lift khulti hai aur kashish bahar nikal jati hai...........
Sujal: naaraz ho mujse..............

Kashish:bahot gussa aata hai muje tum pe...........aisa lagta hai ki main tumhari sakal dekhna nahin chahti..............

Sujal: thik kaha kyun na aaye gussa aur aakhir me maine tumhara dil jo dukhaya hai..........lekin muje meri galti ka ehsaas hai..............ab pata chala ki tumhari emiyat kya hai meri zindagi me...............kashish laut aao na mere saath............tumhe lene to aaya hoon main.................kashish kuch to jawab do........

Kashish: Jab jawab puchna chahiya tha tab pucha tumne.........kabhi yeh janne ki koshish ki keh mere dil pe kya biti.........bina mere koi kasoor tumne muje jane ke liye kaha..........tumne kaha main chali gayi tumne kaha main wapas aa jau.........mere sine bhi me bhi ek din jisme kuch khawaishe hai kuch armaan hai lekin tum kya jano........meri zindagi ke faisle khud hi kar lete ho ek bar bhi pucha ki main kya chahti hoon.....nahin........kabhi bhi nahin.....sare faisle khud hi karne the to kyun ab puch rahe ho........

Sujal: thik kaha tumne.........tumse vaada kiya tha tumhari khushi ka.........her faisle me tumhe apne barabar samja tha........lekin meri ek galti ki saza muje itni badi mat do.........tumse duri ab sahi nahin jati.....

Kashish: main kya tumhe saza dungi........saza to tumne muje di hai.........sujal main jaldbazi me aake koi faisla lena nahin chahti.......

Sujal: kya matlab

Kashish; muje kuch waqt chaiye sochne ke liye..............

Sujal: sahi kaha maine apni taraf se waqt liya ab tumhara bhi to hakk banta hai...............lekin mere saath ek cup coffee to pi sakti hona.........ple mana mat karna.......

Kashish: thik hai...........main watchman ko batake aati hoon............

Kashish jab watchman ko kehne jati hai to chakkar aane ki waje se gir jati hai.............sujal daudta hua kashish ke pass aata hai.........

Sujal
(holding her in his arms): kashish aankhen kholo..............aankhein kholo kashish.......................Sujal kashish ko apni baahoin me uthke hospital le jata hai...............

Sujal: doctor ple..........dekhiye na...........kashish ko kya hua........
Doctor: aap pehle ise room me le chaliye me inka check up karta hoon............
Sujal kashish ko kamre me sulata hai aur bahar intzaar karta hai doctor ke aane ka.............woh pareshan hoke ither se uther chal raha hai.........jab doctor bahar aata hai.........
Sujal: doctor woh kashish.........thik to hai na............
Doctor: ghabrane ki koi zaroorat nahin...........balke aisi halat me to aisa hota hai.........
Sujal: kya matlab......

Doctor: lagta hai aap nahi jante.............well............congratulation............ .aap ki wife preganat hai......
Sujal: Kya.......meri kashish maa bannewali hai.............main papa bannewala hoon..........muje to yakeen nahin hota.........kya main kashish se mil sakta hoon............
Doctor: jaiye woh bilkul thik hai lekin yaad rahe koi pareshani wali baat unhe pata na chale............waise hi bahot hi pareshan hai...........ab aapko uska aur bhi khayal rakhna hoga.............aap samaj rahe hai na meri baat.........
Sujal: jee.............kya ab main jau..........
Doctor: jaiye..........
Sujal daud ke kashish ke pass jata hai jaha pe woh so rahi hoti hai aur sujal kashish ko dekhta hai..........

Sujal
(apne aap se): kaisa pita hoon me........jo apne bachche ki aane ki khabar se muskurane ke badle aankhon me aanshu hai..........main yeh bhi nahi janta ki main tumhe dekh paunga ya nahin..........
Kashish jab aankh kholti hai tab sujal apne aanshu poch deta hai aur kashish pass aake bethta hai.........
Sujal: Kashish......tum.........
Kashish: maa bannewali hoon...............
Sujal: tum kaise.......
Kashish: jis din ghar choda usi subah ko pata chala...............tumhe batane hi wali thi lekin tum to...........
Sujal: itni badi baat tumne chipayi mujse................itna bhi yakeen nahi hua..........
Kashish: bahot yakeen hai tumpe..............lekin us waqt halat bhi kuch aur the.....aur main khali haath to nahin nikli thi............tumhara pyaar mere kokh me jo pal raha tha............lekin sujal ab........
Sujal: koi dard koi aanshu koi duriyaan ab hume alag nahin kar sakti kyunki ab hume jodnewali khadi ab yeh hai.................kashish aaj me bahot khush hoon............tumne muje aisa anmol tohfa diya hai jiska main kabhi sukhriyada nahi chuka paunga..........
Kashish: Nahin sujal............tumne to aaj muje pura kiya hai.........aaj tumhari waje se muje yeh moka mila hai.........aaj maine apne aap ko her ek ristey me bandh diya hai..............aaj tak main ek beti thi........ek bahu thi............ek patni thi lekin aaj ek maa bhi ban gayi.........main apni khushi bayan nahin kar sakti ki............sujal ab vaada karo ki tum muje aur hamare bache ko kabhi apne aap se dur nahi karoge............pata hai kis tarah reh rahi thi tumhare bigar.............pal pal tumhare liye tadapi hoon...........
Sujal: Kashish........tadpa to main bhi hoon.............lekin ab nahin.............chalo ghar chalte hai.........sab tumhara intzaar kar rahe hai.............aur ab to yeh khushiyaan bathni hai sabhi ke saath............tum dekhna main is bache ko woh her ek woh khushi dunga jiska woh hakdar hai.............main use bahot pyaar dunga.............aur
Kashish: aur main..........
Sujal: tumhari jagah koi nahin le sakta aur yahi haqeeqat hai.....tum jitni mere dil ke kareeb ho woh jagah koi aur lehi nahin sakta............meri her dhakan sirf ek hi naam janti hai kashish aur sirf kashish.............kashish i love you so much...........
Kashish
(cries and hugges him tight); i love you too...........Your reaction
Nice
Awesome
Loved
LOL
OMG
Cry
4 Comments