Chapter 10
Part-10
Agle din sabhi log taiyaar hoke neeche aa jate hai .........sab log aaj guide ke saath sight seeing ke liye nikalne wale hote hai.......
Kanan: yeh Kashish abhi tak kyun nahi aayi......
Mauli; jab main subah uthi to woh subah subah hi kahi chali gayi thi.........
Aman: itni subah me woh kaha ja sakti hai,.......
Sujal: aap log yaha waha dekho main ek baar piche wali pahadi pe jake dekhta hoon.........muje lagta hai woh wahi hogi........use ugta hua suraj bahot hi achaha lagta hai............
Sujal: pahadi ki aur nikalta hai aur sab log hotel me use dhundhne lagte hai........Jab Sujal pahadi pe jata hai to waha pe kashish painting bana rahi hoti hai...........
************************************************************ ****************
Sujal: kashish.........tum yahaan kya kar rahi ho.........waha pe sab log tumhe dhundh rahe hai.......kitne pareshan ho gaye the hum log.........
Kashish: bas kuch nahi subah subah man kiya ki painting karoo.......is liye yahaan aa gayi.........yeh jagah kitni khubsurat hai naa.......
Sujal: lekin is tasvir se jyada nahi.........
Kashish ne ek bahot hi khubsurat tasvir banayi hoti hai........jaha pe ek ladki zeel ke kinare zule pe zul rahi hoti hai.......
Sujal: kashish.......meri ek baat samaj me nahi aati ki..........yeh ladki waise to muskura rahi hai lekin uski aankhon me se aanshu beh rahe hai........kuch samaj me nahi aata.......ki koi kaise muskura sakta hai jab uski aankhen ro rahi hoti hai.........
Kashish; Dekhnewalo ke nazariye se dekhoge to apne aap samaj jaoge.....
Sujal: kya matlab
Kashish: iske aankhoin me se yeh khushi ke aanshu beh rahe hai..........aur muskaan jante ho kyun hai kyunki aaj ise apne pehle pyar ka ehsaas hua hai.........tum yeh baatein chodo kyunki yeh kisi ladki ka dil hi samaj sakta hai...........
Sujal: yeh sab chodo.........aur chalo........woh log hamara intzaar kar rahe hai.........
Kashish: chalo........
************************************************************ ****************
Sab log sight seeing ko enjoy kar rahe the jab Kashish ek mandir ko dekhti hai......
Kashish: Suniye woh kya koi mandir hai us pahadi pe.......
Guide: jee haa.........woh Durga Maa ka mandir hai.....woh yaha pe sabhi ka manna hai ki jo waha pe dhaga bandhta hai Maa uski murade puri karti hai.........
Kashish: thik hai aap hume waha le jaiye.......
Mauli: Kashish........aaj mandir nahi phir kisi din......
Kashish: kaisi baat kar rahi hai.........kal to hume jana hai.........
Kanan: kashish thik keh rahi hai........chalo ab........
Sujal: aap log hoke aao main aur Aman yaha pe intzaar karte hai.......
Kashish: jee nahi.......aap log hamare saath aa rahe hai......
Aman: Sujal.......yeh log aise nahi manenge........chal......
Sab log mandir pahunchte hai.......Sab log darshan karte hai...........darshan ke baad Panditjee sabhi ko ek dhaga same ke ped pe bandhne ko kehte hai.....kashish, kanan aur mauli sab se pehle dhaga bandhne ko jate hai.........
Kashish
(apne aap se): hey Maa.......muje apne liye kuch nahi chahiye........lekin Sujal jo mange aap use de dena........kyunki woh to kabhi bhi apne liye kuch nahi mangega.......Kanan: Kashish......ho gaya......
Kashish: jee....
Mauli: chale.........
Kashish: lekin Aman aur Sujal ne to apna dhaga nahi bandha.....
Kanan: Koi baat nahi woh log bandhke aa jayenge..........chalo na neche woh dukane hai waha chale hai.....
Mauli: chale Kashish>...........
Kashish: chalo...........
Sujal jab dhaga bandhne jata hai to woh apna dhaga Kashish ke dhage se bandhta hai.......
Sujal
(apne aap se) ; Hey maa,......main to yeh nahi janta ki main jo magunga woh muje milega ki nahi lekin is dhage ki tarah muje bhi Kashish ke kareeb rakhna...........Sujal Aman ke saath neeche ladkiyoon ke saath shopping karte hai aur sham hote hi sab log hotel pahunch jate hai.........
************************************************************ ****************
Raat ko sab log apni trip ka celebration kar rahe hote hai........Jaha pe Sujal apni Guitar baja raha hota hai to Kashish aur baki ke log gana gaa rahe the.........sab log itne khush the ki waqt kaha chala gaya pata hi nahi chala..........
Kanan: Raat kafi ho gayi hai aur hume kal subah hume suraj nikalne se pehle Mumbai ke liye nikalna hai.........main apne kamre me ja rahi hoon...
Aman: thik hai........muje to bahot neend aa rahi hai.....main to chala.......
Mauli: Ruko main bhi aati hoon......
Kanan: kashish tum......
Kashish: main kuch waqt yaha pe bethna chahti hoon.........
Sujal: Kanan........tum jao main yaha pe Kashish ke saath hoon..........good night everyone......
Sab log andar chale jate hai............
************************************************************ ****************
Kashish abhi bhi wahi pe beth ke aakash me taaro ko dekh rahi hoti hai........jaha pe kashmir ki thandi hawa beh rahi hoti hai.........Kashish apne dupatte se apne aap ko is barfili thand se bachane ki koshish kar rahi thi............jab Sujal waha pe aake apna Jacket Kashish ke jism pe dalta hai......Aur phir Kashish ke pass aake beth jata hai.....
Sujal: taare gin rahi ho......
Kashish gusse se sujal ki aur dekhti hai.....
Sujal: i am sorry..........majak kar raha tha..........lekin kya Kashish tumhe us guide ki baat pe vishwas hai........
Kashish: woh to pata nahi..........lekin muje itna maloom hai ki hume wahi milta hai jo hamari taqdeer me likha hota hai..........na usse pehle na uske baad..........yeh dhaga bandhna to sirf hum apne man ko khushiyaan dete rehte ki ek nayi aash lagi rehti hai ki hamari mante puri ho jayegi........wahi milta hai jo humne sache dil se manga hota hai...........sache dil se jo manga hota hai woh Maa zaroor pura karti hai kyunki woh apne bachcho ko dukhi nahi dekh sakti...........
Sujal: Aaj to kafi samajdariwali baatein kar rahi ho............waise Kashish tumse ek baat puchu.......
Kashish: tumhe kab se izzat lene ki zarurat padne lagi.........pucho kya puchna hai.........
Sujal: Tum yeh jo naak me pehenti ho..........woh kyun ........mera matlab maine aaj se pehle kisi ko nahi dekha.........
Kashish: Kya jawaab dena zaroori hai......
Sujal: kya ek dost apne dusre dost se itna bhi nahi puch sakta..........
Kashish: pooch sakta hai..........lekin vaada karo ki tum hasoge nahi..........
Sujal: vaada.....
Kashish: Muje yeh pehnna bachpan se achcha lagta hai kyunki jab bhi main Bhagwan krishnajee ke mandir me jati to Radhajii ne ise pehna hua hota hai.......is liye yeh muje psand aane lagi...........lekin dadi ko yeh kabhi pasand nahi thi......dadi ne kitni bar koshish ki main ise nikal doo lekin maine unki nahi suni.......tab dadi hamesha kehti rehti ki kya karogi jab tumhara pati ise nikalne ko kahega........
Sujal: aur tumne kya kaha........
Kashish: maine kaha ki ise nikalne ka hakk sirf aur sirf maine apne pyaar ko diya hai...........aur koi ise nahi nikal sakta.....
Sujal Zor se hasne lagta hai........
Kashish: Sujal tumne kaha tha ki tum nahi hasoge...........thik hai main ja rahi hoon.......muje tumse kuch baat nahi karni........
Kashish khadi hoke jane lagti hai jab Sujal uska haath pakad ke use wahi rokta hai.........Sujal Kashish ke pair ke pass zameen pe beth jata hai.....
Kashish: sujal yeh kya kar rahe ho.......
Sujal: shh........
Sujal Kashish ko woh paayal pehna deta hai..........Jab Sujal Kashish ki aur dekhta hai to tez baris shuru ho jati hai..........Sujal Kashish ke kareeb jake use apni aur khichta hai............Dono ek dusre ki aankhoin me khoye huye the.........Sujal Kashish ki aur aage badhta hai.........they are about to kiss each other..........jab bijli kadkti hai aur dono ko hosh aata hai aur Kashish daud ke apne kamre me chali jati hai..........
Kashish apne bed pe jake rone lagti hai........
Kashish
(apne aap se): Nahi sujal..........mujse yeh nahi hoga...............muje maff kar dena lekin main yeh kadam aur aage tak nahi badha sakti........kal jab hum log Mumbai pahunchenge to main hamari exams ke baad hamesha ke liye wapas apne ghar chali jaungi.......isse pehle ki tum mere aur kareeb aa jao........muje chale hi jana hoga.......i am sorry sujal.......ple ho sake to muje maff kar dena...........
Your reaction
Nice
Awesome
Loved
LOL
OMG
Cry
3 Comments