Chapter 14

goodkashish Thumbnail

kashish

@goodkashish

Font:
Text Size:
Theme:

Part-14

ab dekhte hi dekhte Subaah ho jati hai..........Kashish jab apni aankhein kholti hai to khud ko Sujal ki baahoin me secure pati hai........Kashish ki aankhein jaise is haseen pal ko manne ke liye yakeen hi nahi rakhti ho.....aise bas Kashish ki aankh se aanshu behne lagte hai......jise chupane ke liye woh Sujal ki baahoin se nikal ke jane lagti hai lekin Sujal uska haath pakad leta hai.......jisse Kashish wahi ki wahi beth jati hai.....

Sujal: mujse apne aanshu chupa rahi ho.......

Kashish: nahi to........aap kab jage......

Sujal: jooth mat bolo......batao kya ho raha hai..........kyun ro rahi ho.........tum khush nahi......

yeh sunte hi kashish mudke Sujal ke hoth pe apna haath rakh deti hai........

Kashish: aisa kabhi aap sochiyega bhi mat......jitni khushi aapne hume di hai uske liye hum aapka jitne sukhriya kare utna kum hai..........hum aapko bata nahi sakte ki hum kitne khush hai.........shayad aaj hum apni khushi labzo me nahi balke aanshu ke zariye bayan karte hai........

Sujal: muje khushi ya gumm koi bhi aanshu tumhari aankhoin me nahi chahiye.......kyunki main tumhari aankhioin me sirf pyaar dekhna chahta hoon.........aur tumne kabhi socha hai tumhare in aanshu se muje yeh lagta hai ki main tumhara khayal nahi rakh pata.......

Kashish: aisa mat kahiye........humne aapse kaha na ki hum bahot khush hai aapke saath.........ab hume taiyaar hoke Daima ke pass jana hai........ek bahot zaroori faisla karna hai.......

Sujal: kaisa faisla.......

Kashish: ghabraiye mat......ab chaliye hume jaldi jana hai...........

Sujal: chod doon......

Kashish: haa aap chodenge hamara haath tabhi to hum taiyaar honge......

Sujal: aur agar chodne ka dil na kar raha ho to......

Kashish: kyun.......

Sujal: tumse kabhi kisi ne kaha hai ki tum bahot masoom ho................

Kashish: haa..........Babasa ne.....

Sujal: woh thik hi kehte the.....tum wake me bahot masoom ho ek bache ki tarah.........

Kashish: aap hume baatoin me uljake dair karva rahe hai.........

Sujal: jee maine kab kaha rukne ko......apna haath chudva sakti ho to chudva lo.........

Kashish: aap aise kaise kar sakte hai hamare saath.....

Sujal: kyun nahi kar sakta........

Kashish: kyunki yeh hum keh rahe hai.........

Sujal; ab dusro ki tarah tum muje hukum karogi.......

Kashish: humne aisa thode hi kaha.........

Sujal: to tum hi bata do ki tum kya kehna chahti thi.......aur jooth mat bolna mujse.........

Kashish: hum to yahi keh rahe the ki aap apni patni ko tang nahi kar sakte..........

Sujal: pakka itni hi baat hai......

Kashish: ha.....

Sujal: to main jab chahe tab apni kashish ke saath kuch bhi kar sakta hoon.........kyun jaan...........

Kashish: kya kaha aapne.........

Sujal: jaan..........kyun........

Kashish kuch kahe bina hi Sujal ke gale lag jati hai............

Kashish: hum aapse bahot bahot pyaar karte hai.........i love u.......

Sujal: i love u too.........

Sujal kissed her forehead and let her go to washroom to get ready................

****************************************************************************************

ab jab Kashish bahar nikalti hai to bas aise waise dekh rahi hoti hai............

Sujal: kya dhundh rahi ho......

Kashish: woh....hum......

Sujal: kya.......

Kashish: abhi tak kisi ne hamare kapde ya koi aaya nahi........

Sujal: kaun nahi aaya........

Kashish: hume khud sajna nahi aata........koi haveli se daima ne nahi bheja.......

Sujal; jee nahi......aur tum bhul gayi...........ab tumhe Babasa ke liye yeh sab kuch chorna hai.........

Kashish: haa lekin hume taiyaar kaun karega.....

Sujal: main.........

Kashish: aap.....kaise....

Sujal: aise..........

Sujal almari me se Kashish ki saree nikalke use badalne ko kehta hai...........Jab Kashish saree pehen ke bahar aati hai to Sujal use dekh ke muskurata hai.......

Sujal: bahot achchi lag rahi ho........ek minute......

Kashish: jee kya hua......

Sujal jake Kashish ki saree neche se thik karne lagta hai aur Kashish sirf aise hi dekh rahi hoti hai..........jab Sujal use lejake aaine ke samne bithata hai..........aur use sari jewellery pehna deta hai......aur phir aakhir me uski mang me sindoor bhar deta hai..........

Sujal: apni palke uthake ek bar khudko aaine me nahi dekhogi........

Kashish: khud hi humne apna aks aapki aankhoin me dekh liya ho use aaine ki zaroorat nahi padti.........waise aap bahot hi achche se sajate hai........agar aise hi aap hume sajate rahe to hume aapki aadat ho jayegi aur hum kabhi sikh nahi payenge..........

Sujal: to kya hua......main tumhe herroz taiyaar karunga..........

Kashish: lekin aap to office.........

Sujal: to kya hua main dair se jaunga..........

Kashish: aur Angad aur Kavya kya sochenge aapke bare me.........

Sujal: yahi ki main joru ka gulam hoon........

Kashish: aisa to hum kabhi nahi chahenge.........

Sujal: achcha to kaisa chahenge aap hamare liye.......

Kashish: humne aapko bhagwan ka darjja diya hai........pata hai kal raat jab aap humse baat kar rahe the tab hume ehsaas hua ki aap koi mamuli insaan nahi ho sakte........kyunki insaan is had tak kisi ke jasbaataion ko nahi samaj sakta ........aap mane ya na mane aap hamare liye farishtey hai aur hum kabhi apne farishtey ki burai nahi sun payenge...........

Sujal: tumse kisi ne kaha hai ki tum baatein bahot achchi karti ho.......

Kashish: haa.....

Sujal: kisne.......

Kashish: aapne........abhi abhi hi to kaha............

dono hasne lagte hai..............

Sujal: ab aap to taiyaar ho gaye.........ab aapka hukum ho to hum bhi taiyaar ho jaye.........

Kashish: aapki anugya swikar ho gayi hai..........

Sujal: kya.....

Kashish: kuch nahi aap nahi samjenge........aap jake taiyaar ho jaiye............

Sujal jake taiyaar ho jata hai hai thodi dair bad sab log Daima ke pass jate hai.........

****************************************************************************************

Jab Sujal aur Kashish andar aanewale hote hai ki Daima use rokti hai.......Daima aake Kashish aur Sujal ki aarti karti hai......

Daima: ab tum andar aa sakte ho...........uffo yeh Kashish itni badi ho gayi lekin kuch bhi pata nahi..........kitni dair kar di aapne.........

Kripa: wahi to hum to kab se taiyaar hoke neeche in logo ka intzaar kar rahe the lekin yeh dono hai ki............

Anjali: Daima sekayat humne se nahi in dono se kariye..........

Kashish: daima......woh bas aise hi aap to jante hai......

Daima: waise Kashish aaj tum bahot khubsurat lag rahi ho.......lekin jaha tak muje pata hai tumhe to itna sajna aata nahi aur maine bhi kisi ko nahi bheja......to phir....

Anjali: aur Daima.......main aur Kripa me se bhi koi nahi gaya iska to ek hi matlab banta hai..........

Kripa: Sujalllllllll.......kyun Kashish......

Kashish: nahi woh aaplog to..........jaisa aap soch rahe hai waisa kuch bhi nahi..........

Daima: ab isme sharmane wali kaun si baat hai........yeh to achchi baat hai na ki Sujal tera khyal rakhta hai........waise Sujal............bahot achche se taiyaar kiya hai tumne hamari Kashish ko.......

Sujal: ab maine kuch nahi kiya........ab kya kare aapki Kashish hai hi itni khubsurat ke apne aap khubsurat lagti hai.........

Angad: Daima yeh sab chodiye....kyunki yeh dono ek dusre ki tarif karne se thakne walo me se nahi...........chaliye na jaldi muje bahot bhukh lagi hai...........

Kavya: tuje khane ke alawa aur kuch dikhai deta hai...........

Angad: bahot kuch........ab chale..............

Daima: haa chalo.........

ab sab log nasta kar rahe hote hai.......

Kashish: Daima.......

Daima: haa......

Kashish: humne ek faisla liya hai.......

Daima: kaisa faisla...........

Kashish: aapko hamari kasam agar aapne hamari baat nahi mani.........khaiye hamari kasam.........

Daima: achcha teri kasam......tu jaisa chahegi waisa hi hoga.........

Kashish: hum aaj sham ki flight se hamesha ke liye Sujal ke saath apne sasural ja rahe hai......is jagah se bahot durr kyunki jab bhi hum yaha rahenge to hume choti Maasa aur Bhaisa ke diye huye dhoke ki yaad dilata rahega.......is liye hum in sab se bahot durr jana chahte hai..........lekin hum chahte hai ki hamari gair mujudgi me aap haveli ka khayal rakhe.........aaj se sara hisab kitab aap karenge hamare balde.........

Daima: lekin kashish.........itna bada faisla is tarah akele........kya tumne ek bar bhi Sujal se baat ki.........

Sujal: Daima........Kashish ne jo faisla kiya hai woh sahi hai aur main isme uske saath hoon........

Kashish: daima........aisa to nahi ki hum yaha aayenge nahi...hum is haveli ke is khandan ke raj warish the aur hamesha rahenge...hum aapse vaada karte hai ki hum her mahine ke ek ravivar yaha aayenge aur aapke saath waqt bitayenge..........aur hume aap pe pura yakeen hai ki hamare alawa koi aur is haveli ko sambhal sakta hai to woh sirf aap hai...........aapne hamari kasam khayi hai Daima aap na nahi keh sakte...........

Daima: thik hai lekin ek shart pe.........

Kashish: kaun si shart..........

Daima: mera kya hai aaj hoon to kal nahi lekin main bhi to tumhara bhala chahti hoon is liye,.........jab tumhari pehli alaud is duniya me aayengi aur saat saal ki hogi tab yeh sab kuch uska ho jayega...........bolo manzoor hai yeh shart ...........

Kashish: manzoor hai............hume aapki sari sharte manzoor hai.......lekin Daima aap is ghar se hamari yaadoin ko mat mitne dena...........

Daima: jin deewaro ki neev tum ho us ghar se kaise tumhari yaadoin ko main nikal sakti hoon.........lekin aaj tere liye mere pass kuch hai dene ke liye..........

Kashish: kya.........

Daima: yeh le shagun ke kangan........

Kashish: yeh kangan to.........

Daima; jab pehli bar badi maharani yani tumhari maasa shaadi karke aaye the tab tumhari dadisa ne use yeh diye the..........yeh is khandan ki parmpara hai ki jiska bhi raj shasan hota hai uske pass yeh kangan hote hai............aur muje pura yakeen hai ki jis tarah tumhari Maasa ne is kangan ki izzat ki usi tarah tum bhi.........aur main bhagwan se dua karti hoon ki is kangan ke jode ki tarah tumhara aur Sujal ka joda hamesha bana rahe............

Daima Kashish ko woh kangan pehna deti hai.........aur Kashish daima ke gale lagkar rone lagti hai.............

****************************************************************************************

ab raat ko Kashish aur Sujal baki sab ke saath Mumbai ke ghar aati hai jise woh car me se dekhti hi rehti hai...........

Sujal: yeh hai hamara chota sa gahr...........

Kashish: yeh chota thode hi hai........yeh to bahot bada hai.............aur ghar chota ho ya bada .....ghar to tabhi banta hai jaha pe pyaar ho apnapan ho.........aur yaha ki khusboo me hum apnepan ko mehsoos kar sakte hai..........

sab log ghar ke bahar khade hote hai.........

Anjali; yeh lo Kashish ghar ki chabiyaan..........apna ghar nahi khologi...............

Kashish woh chabi leke apna ghar kholke apne ghar me pehla kadam rakhti hai.......bas charo aur dekhe hi jati hai............

Kripa: aise kya dekh rahi ho.........

Kashish: is ghar ko jise hum apna keh sakte hai.......is ghar me jo hum pyaar aur apnapan mehsoos kar sakte hai use batane ke liye humare pass labz nahi..........aap log nahi samaj sakte.........humne kabhi khawab me bhi nahi socha ki hamara ek aisa ghar hoga jaha hum apni marzi se reh sakte hai......jaha pe hum bandh aankh sabpe vishwas kar sake............aaj hume jo zindagi mili hai uske liye hum hamesha aapke sukarguzar rahenge...........aur sabse jyada aapka.......kyunki aapke bina to hum ek kadam bhi nahi utha sakte.........hum Sujal jitni bhi aapki tarif kare kam hi hogi......pata hai hume to abhi bhi yeh sapne hi lag rahe hai.........hume to abhi bhi apni kismat pe yakeen nahi hota.........

Anjali: main samaj sakti ho tum kya kehna chahti ho........tum yahi ruko main kuch leke aati hoon..........

Anjali apne kamre me se kuch lake aati hai.........

Kashish: yeh kya hai......

Anjali: yeh is ghar ki chabiyaan hai............jispe hum sabka hakk hai........aisi hi chabiyaan mere aur Kripa ke pass hai......jab main pehli bar is ghar me aayi tabhi maine apne saath do aur chabiyaan bhi banayi thi kyunki muje pata tha ki kabhi na kabhi Angad aur Sujal ki bhi shaadi hogi aur main akle kisi ka hakk nahi le sakti.......maine kripa ko bhi chabiyaan de di hai aur yeh main apni aakhri jimedari ada kar rahi hoon.........aaj se tumhe bhi is gahr ke her bade chote faisle me apni rai dene ka pura hakk hai........main tumse vaada karti hoon ki tumhe is ghar se ya is gahr ke logo se kabhi sekayat ka moka milega...........aur kabhi bhi Sujal tumhe pareshan kare to mere pass aana........kyunki yeh kabhi meri baat nahi talta.............

Kripa: lekin ek aur baat is ghar ka rule hai ki yaha pe kabhi koi bhi baat dil me ho to use bata dena........yaha pe sabhi pyar batte hai to saath me dard bhi..........is ghar me kisi bhi khushi ya gumm kisi ek ke nahi........

Kashish jake kuch kahe bina in dono ke gale lag jati hai............

Angad: ab tum dono ka familydrama bandh ho gaya ho to sone chale....bahot dair ho gayi hai aur kal hum sabko office bhi jana hai......pata hai na kitne din ho gaye.....pata nahi office ka kya haal hua hoga..........

Kavya: kya baat hai Angad..........aaj to tumhe aur Office......

Sujal: Kripa iski tabiyat to thik hai na...........kyunki maine kabhi ise office jane ki baat nahi suni.......kahi yeh pagal to nahi ho gaya............

Angad: ruk teri to........

Angad Sujal ke piche bhagta hai..........aur Sujal Kashish ko pakad ke uske piche chupta hai bachne ke liye......

Angad: ja aaj tuje chodta hoon ........Kashish ki waje se..........

Kavya: waise aap sab ki baatein khatam ho gayi ho to main kuch kahoon...........

Angad: aaiye gurujee..........

Kavya: Shut up ........Sujal ab tumhari shaadi ho gayi hai aur tumhari ek aur jimedari bhi badh gayi hai Kashish ko khush rakhne ki.......is liye main tumse puchna chahta tha ki tum dono honeymoon ke liye kaha ja rahe ho taki main tum dono ke tickets aur visa ka bandobast karta hoon.........

Sujal: hum log abhi nahi ja rahe ........

Kavya: per kyun........

Sujal: abhi waise bhi office me bahot kaam hai.........upper se woh contract.........abhi hamare liye jo kaam already pending hai woh pura karna zaroori hai.........aur rahi baat mere honeymoon ki woh bad me bhi ho sakta hai........lekin abhi mera office me aana bahot zaroori hai.......

Kavya: thik hai.....jaisa tum thik samjo...........ab chalo sab so jao.........sab safar se thak gaye honge..............

sab log apne apne kamre me chale jate hai.............

****************************************************************************************

Sujal aur Kashish Sujal ke kamre me aate hai.........

Sujal: welcome my princess..........

Kashish sirf kamre ko bariki se dekhti hai..........jaha ek deewar pe Sujal ki bahot hi badi tasvir hoti hai jise woh chuti hai........phir woh Sujal ke office desk ke pass jati hai jaha pe Sujal ki kuch painting ke skatches hote hai jisme sirf aankehin hoti hai jo bilkul Kashish ki tarah hoti hai..............jab Sujal piche aake use hug karta hai........

Sujal: kya dekh rahi ho........

Kashish: yeh aapne banayi hai........

Sujal: ha maine banayi hai...................waise yeh thi to meri kalpana lekin muje nahi pata tha ki yeh kabhi sach hogi........lekin kabhi kabhi sapne bhi sach ho jate hai jaise mera hua...........

Kashish: yeh kamra bahot hi khubsurat hai.........

Sujal: lekin tumse jyada nahi..........ab main chahta hoon ki is kamre ki her ek cheez tumhari pasand ki ho.........main is kamre ki her ek cheez me tumhe mehsoos karna chahta hoon.........yaha pe sabkuch waisa hoga jaisa tumhe pasand ho.........

Kashish: nahi aisa nahi hoga.........yaha pe sabkuch hum dono ki pasand se banega.........kyunki hum aapki gair muajudgi me aapko yaha mehsoon karna chahte hai.........is liye hum in yaadoin ko aapse durr nahi kar sakte...........

Sujal: waise ek baat to batao..........tum apne honeymoon pe kaha jana chahti ho...........Europe or New Zealand..........

Kashish: kahi nahi........

Sujal: to phir......

Kashish: hum apni seyahat puri karna chahte hai jo kabhi puri nahi ho saki.........

Sujal: kaun si..........

Kashish: jab bhi hum sabko waqt milega.......hum sab milke Ladakk ki seyahat pe niklenge........aap le chalenge na.......

Sujal: tum kaho to abhi le chalta hoon......

Kashish: abhi nahi abhi aap ko office me kaam hai aur kal se hume bhi bahot kaam hai........

Sujal: kaun sa kaam.......

Kashish: kal Anjali aur Kripa hume khana banana sikhane wale hai............aur hum yeh bhi jante hai ki hume kya sabse pehle shikhna hai.......

Sujal: kya........

Kashish: mulli ke parathe aur gajjar ka halva..........

Sujal: kisne kaha.........

Kashish: Kripa ne.......

Sujal: woh bhi na ..........waise tumhe yeh sab karne ki zaroorat nahi........

Kashish: zaroorat hai kyunki hum aisa chahte hai......hume aapke liye kuch banana achcha lagega..........kal se hum bhi Anjali aur Kripa ki tarah banne ki koshish karenge.............aap hamara saath denge na..........

Sujal: haath tumhara thama hai...........ab aise to nahi chutenge..........waise Daima ki shart ka kya........

Kashish: kaun si shart..........

Sujal: itni jaldi bhul gayi.........hamare bache ki.........jab woh saat saal ka hoga tab woh tumhari jimedari uthayega.........muje lagta hai abhi se planning karenge to achcha hoga........

Kashish: abhi se aisa kuch nahi hoga........

Sujal: to kaisa hoga...............

Kashish: kuch nahi..........

Sujal: achcha kuch nahi.........thik hai........

Sujal Kashish ko chod ke chalne lagta hai lekin Kashish uska haath pakad leti hai..........Kashish Sujal ke pass aati hai aur apne haath se Sujal ke chehre ko apne haath me leti hai.........

Kashish: humne aapse pyaar kiya hai.........aur aapki her khwaish ko pura karna hamara farz hai..............aur hum aapko naraz nahi kar sakte lekin kabhi kabhi sahi waqt ka bhi intzaar achcha hota hai.............

yeh kehte hi kashish sujal ke forehead ko kiss karti hai aur uske gale lag jati hai.......

Kashish: I love u.......

Sujal: i love u too........

Sujal picks up the Kashish and they both went to the bed and the light goes off............

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry

3 Comments

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".