Chapter 12

goodkashish Thumbnail

kashish

@goodkashish

Part-12

Aaj Kashish ke sangeet ka din tha lekin jaise Kashish ke chehre pe koi khushi koi raunak hi nahi thi.........haa dil me ek darr tha Sujal se durr hone ka...........aur isi darr ke saath woh taiyaar hoke neeche aati hai sangeet ke liye..............aur woh jake Kripa aur Anjali ke beech beth jati hai................Kashish ki aankhoin se halke halke aanshu ki boondein gir rahi hoti hai jo Nandini dekh leti hai aur phir Sujal ki aur dekhti hai jiski aankhoin me bhi dard hota hai...................

Nandini: to aapne kya socha hai..........aap sabko sach bata rahe hai ki hum jake Kashishjee se keh de ki jisse woh shaadi karne ja rahe hai hum unki patni lagte hai.........

Sidhdharth: tum aisa kuch nahi karogi...........

Nandini: hum aisa karenge aur karke rahenge..............

Nandini Kashish ki aur aage badhti hai jab Kashish daudti huyi darwaze ki aur chali jati hai.............sab log hairan hoke dekhne lagte hai ki aise...........jab woh dekhte hai ki Kashish kisi 50 saal ki aurat (Aroona Irani)ke gale lag kar ro rahi hoti hai.............

Kashish: Daima...........aap kaha chale gaye the.......pata hai hum aapko kitna yaad kar rahe the..............

Daima: beta.....kya hua........aur yeh sab kya hai........

Kashish: aap andar to chaliye...........hum aapko batate hai...............

Kashish aur Daima andar aate hai.............

Vasu: Swayam........yeh yaha kaise aa gayi..........yeh to ek mahine bad aanewali thi.........

Swayam: pata nahi..........

Daima: bata yeh sab kya hai...............yeh kiski shaadi ho rahi hai...........

Kashish: hamari............

Daima: tumhari shaadi.............tum to shaadi ko leke kitna khush hua karti thi to aaj ro kyun rahi hai..........

Kashish: kyunki hum yeh shaadi majburi me kar rahe hai...........

Daima; majburi kaisi..........

Kashish: Babasa ne hamara rishta Udaipur ke Sidhdharth Singh Rathor se tai kar diya tha .........ab hum sirf apne Babasa ka vachan nibha rahe hai.............

Daima: lekin yeh sab jooth hai............

Kashish: jooth..............

Vasu: Krishna.........tumhe kuch nahi pata aur tum hamare ghar ke mamlo me na bolo to achcha hai.........

Daima: maff kijiye.............agar aaj meri beti ki zindagi ka swal na hota to main kabhi rajgharane ke mamlo me beech me na bolti...............

Vasu: tum apni maryada bhul rahi ho..........

Daima: maryada to aapne par kar di hai...........agar aap Kashish ko apni beti mante to itna bada khel na khelte meri bachi ke saath...........aapko pata hai ki woh sab seh legi is liye aap uspe julam karte rahe.........lekin abhi bhi Kashish ki daima zinda hai..............uski zindagi ka faisla main kar sakti hoon kyunki maine Kashish ko maa ki tarah pala hai.......

Kashish: Daima............aap shant ho jaiye.......ab kuch nahi ho sakta.......kal hamari shaadi hai........

Daima: koi shaadi nahi hogi............kyunki sach kuch aur hai.......sach yeh hai ki tumhare Babasa ke pass Sidhdharth Singh Rathore ka rishta aaya tha lekin tumhare Babasa ne use thukara diya tha............janti ho kyun............kyunki tumhare Babasa chahte the ki tum apne humsafar ko khud chuno...........woh tumhe khush dekhna chahte the...........usne hamesha wahi kiya jisse tuje khushi mile to woh aisa kabhi nahi kar sakte..........aur pata hai unhone mujse kya kaha tha.........unhone kaha tha ki Krishna hum chahte hai ki hamari Kashish is Raj gharane se durr kahi aisi jagah apna ghar basaye jaha pe use sirf pyar mile .......aur aap keh rahe hai ki yeh Babasa ka tai kiya rishta hai..........yeh Babasa ka nahi balle tumhari Maasa aur Bhaisa ka khel hai.........puch usse ki usne aisa kyun kiya...........

Kashish: Maasa..............aapne .............

Nandini: Kashishjee..........isse pehle aap kuch kahe........main ek aur raaz kholna chahti hoon........

Sidhdharth: nahi Nandini tum kuch nahi bologi..........

Nandinil kyun na bole.............bahot darr darr ke zindagi jile humne ab aur saha nahi jata...........humne bardasat kar liya lekin ab koi nahi karega.............jisse aapki shaadi tai ho gayi hai woh hamare pati aur hamare bete ke pita hai...........hum Udaipur ki Maharani Nandini Sidhdharth Singh Rathore hai..........ab aap apne sare sawaal ka jawaab apne maasa aur bhaisa se puch sakte hai ki unhone aapke saath aisa jaan bujke kyun kiya....................

Kashish puri tarah se tutke wahi beth jati hai...........jab Sujal uske pass aake sambhalta hai.........

Sujal: tum thik to ho.......

Kashish: haa.........shayad hosh to ab shambhala hai..........hume kuch Maasa se baat karni hai.............

Sujal; lekin..........

Kashish: humne kaha na................

Sujal: hmmm........

Sujal helps her to stand..............Kashish goes near to vasu...........

Kashish: maasa aapne aisa kyun kiya hamare saath................aapto hamari maasa hai phir bhi.........aapne hamara haath aise insaan ko dena chaha jiski shaadi tak ho chuki hai............hume apni maasa ka chehra yad nahi lekin haa humne dil se aapko maasa mana tha aur man rahe hai...............pata hai itna dukh hume tab bhi nahi hua tha jab aapne hume marni ki sazish rachi...........lekin aaj Babasaa ke naam ki aad me aapne........hamari galti kya hai.....ki humne aapko maa mana..........aapko puja aur aapne hamare saath hi............aapko haveli chahiye thi na............ek bar keh diya hota to main haste haste Bhaisa ke naam kar deti lekin aap is haveli ko bechna chahte hai jo hum nahi hone de sakte.............aaj aapne aisa na kiya hota to hum khushi khushi sab kuch aapke naam karkar hamesha ke liye aapse durr chale jate.............lekin aapne aaj hamare dil ko itni thes pahochayi hai ki hum aapko kabhi maff nahi kar sakte...........lekin agar aaj hamari jagah aapki apni beti hoti tab bhi aap aisa karte..............jab maine kabhi apne aur Bhaisa me sotela nahi samja to aapne hume kaise sotela samja...............aur bhaisa aap bhi..........bhul gaye aap jab bachpan me aap ki waje se humne babasa kitni dant khayi thi...........aap to apni behensa ko khush to nahi rakh paye lekin aapne to us rakhi ki bhi koi kadar nahi ki..........hume her waqt aisa hi lagta tha ki hum kitne kismatwale hai ki hume.................maasa....bhaisa....sare rishtey mile.........lekin hume kya pata tha ki jis rishton se hum pyar karte hai woh to bahot hi khokhle kisam ke hai..............ab hum aapko is haveli me rehne ki izzazat nahi de sakte kyunki aaj aapne hume hi nahi hamare babasa ko bhi zalil kiya hai..........lekin hum aapko beghar bhi nahi kar sakte kyunki aaj bhi rishtey me aap hamare maasa aur bhaisa hai............is liye hum aapse gujarish karte hai ki aap Jaislmer ki haveli chale jaye............aur yeh shayad hamara aapki aur aakhri Namaskar..............

Vasu aur Swayam waha se jane lagte hai.........

Kashish: Maasa ek baat hum aapko batana bhul gaye.............hamari shaadi kal hogi zaroor hogi lekin aapke banaye huye is khel me nahi..........kal hum apne pyaar ke saath saat phere le rahe hai...............haa aapke is khel me humne bahot dard diye hai Sujal ko..........woh insaan jisne bina kuch mange humne se bahot kuch mang liya.............jante hai usne mang ke hume kya diya hai.........hamare aanshu ko mang ke hume khushi di hai..............hum pehle se jante the aapke is khel ke bare me kyunki sujal hi sari sachchai jan ke aaye the..........ab aap hi bataiye ek insaan hamare liye itna sabkuch karta hai uska haath hum kaisi chod sakte hai..............jisne hume phir se jine ki umeed di hai...........jisne hume hasna sikhaya............jisne hume zindagi ki asli mayne sikhaye.,,,,,,,,,,,Sujal ne hume pyaar ka ehsaas karaya..........aur hum bhi use bahot pyaar karte hai aur hum usse kal isi mandap me shaadi kar rahe hai.................

sab log hairani se Kashish ko dekhte reh jate hai ki Kashish ne aaj sab ke samne itni badi baat keh di..........Vasu aur Swayam waha se chale jate hai..................Nandini aur Sidhdharth bhi jane lagte hai...........

Kashish: Nandinijee..........

Nandini: nahi Kashishjee hume jane dijiye.......ab kehne aur sunne ko kuch nahi bacha........haa apne pati ki galti ke liye hum aapse mafi mangte hai..........

Kashish: mafi aap kyun mang rahe hai.........kisi aur ki galti ki saza aapne to puri zindagi ki saza mil rahi hai..........

Nandini: kya kare jaise bhi hai hai to hamare Pati............

Kashish: Sidhdharthjee.......waise hume to aap pe bahot gussa aata hai lekin aapki patni ko dekh ke lagta hai kahi kuch to achchai aapme hogi ki abhi bhi aapki patni aapka saath de rahi hai.............aap bahot kismatwale hai ki aapko Nandinijee jaise jeewansathi mile...........kehte hai ghar tutte dair nahi lagti aur basane me barso nikal jate hai............aaj aapka ghar tutne ki kagar par hai..........haa aap apni galti ko man ke ek naye arse se apni zindagi shuru kar sakte hai..........pichli zindagi me jo kuch bhi hua us bhul jaiye aur naye tarike se apni patni aur bete ke saath zindagi jiye............aapki patni ko aapke bete ko aapki aapke pyaar ki zaroorat hai..............jaiye aur apna ghar phir se basane ki koshish kijiye............

Nandini aur Sidhdharth bhi chale jate hai...............

Daima: Kashish.........

Kashish: jee daima..........

Daima: apne pyaar se nahi milaogi jiske wase tu aaj sabse lad padi.........

Kashish: aaiye Daima..............Sujal yeh hamari Daima hai.......pata hai........Daima ne hume palne ke liye khud kabhi shaadi nahi ki........hume maa se bhi jyada pyaar kiya..........aur daima yeh Sujal...........

Sujal daima ke pair chuta hai............

Daima: jita reh.........main na aaj bahot khush hoon...........meri beti ne bada sahi faisla kiya hai...........muje apni beti ki pasand pe naz hai............ab to kal dhoom dham se shaadi hogi...........lekin abhi sangeet ko to mehfil sajana hai............kyun Kashish..........

Kashish: nahi daima.....hum kaise.............

Daima: Kashish...........aaj tu apne dil ki sun..........aur main janti hoon meri beti ka dil kya keh raha hai............to chal aaj jile apni zindagi...........

Kashish: Daima.........I love you..........

****************************************************************************************************

Kesariya Baalam, Kesariya Baalam, Kesariya Baalam, (Kashish apna Sujal ke samne jake apna haath aage karti hai)

Padhaaro Maare Des Mein, Padhaaro Maare Des Mein (Sujal apna haath Kashish ke haath me rakhta hai)

Aayo Re Aayo Re Aayo RePiya Re Piya Re Piya Re (Anjali aur Kripa kashish ko durr le jate hai)

Aayo Re Aayo Re Aayo Re Aayo Re Aayo Re Aayo Re (Kavya aur Angad SUjal ko durr le jate hai)

Sharmayi Choodi, Ghabaraya KanganaAaa (Sujal Kashish ki chudi khankata hai kashish ki palke sharam se juk jati hai)

Bhaj Uttah Jaangra.Dhak Se Dhadka Yeh Baawra (Sujal Kashish ki payal ko chankta hai)

Piya Re Piya Re Piya Re..Piya Re Piya Re Piya Re (Kashish sharmake waha se jane lagti hai)

Chunari Chadaayi, Salma Sitaara, Ghaaghra Bootedha (Sujal Kashish ka dupatta pakad leta hai)

Piche Kateele Naino Mein Sohe, Surmaayi Kajre Ke Dhaar (Kashish wapad mudti hai lekin sharam se apni palke utati nahi)

Sakhiyon Ne Sola Singaar Bhi, Sakhiyon Ne Sola Singaar Bhi (Sujal Kashish ke zumke ko hilata hai)

Piya Re Piya Re Piya Re..Piya Re Piya Re Piya Re (Kashish Sharmake waha se jane lagti hai lekin kashish ka dupatta Sujal ki watch me fas jata hai)

Laajo Sajan Ko Ghungta Bichaa Ke, Khole Na Apni Zubaan (Sujal use nikal ke pyaar se use dulhan ki tarah dalta hai)

Sapno Ki Kaliyan, Palko Mein Ddaa Ke, Mare Huyi Beyimaan (Kashish apni palke uthake Sujal ki aur dekhti hai)

Dard Yeh Kaisa Oh Baalma, Dard Yeh Kaisa Oh Baalma (Kashish ki aankhoin me khushi ke aanshu hote hai)

Piya Re Piya Re Piya Re..Piya Re Piya Re Piya Re (Sujal uske aanshu ko poch ke use rone se na kehta hai)

Aayi Samarpan Ki Aaj Bela, Hoton Pe Jaagi Hai Pyaas (Sujal Kashish ko apne gale se lagata hai)

Ehame Badan Mein Khushboo Ka Rela, Yovvan Ki Mehki Hai Kaaz (Kashish bhi bahot khush hoti hai Sujal ke baahoin me)

Bahon Mein Sajan Le Pyaar Se, Bahon Mein Sajan Le Pyaar Se, (sab log aise dono ko dekh ke bahot khush hote hai)

Piya Re Piya Re Piya Re..Piya Re Piya Re Piya Re (Jab daima dono ko alag karte hai)

Aayo Re Aayo Re Aayo RePiya Re Piya Re Piya Re (sab log saath milke nachte hai)

Aayo Re Aayo Re Aayo Re Aayo Re Aayo Re Aayo Re (sujal Kashish ka haath pakad ke use bahar le jata hai)

****************************************************************************************************

Kashish: yeh aap kya kar rahe hai.....kaha le ja rahe hai............chodiye koi dekh lega...........

Sujal: to kya hua.........kal hamari shadi honewali hai.............main jo chahe woh kar sakta hoon........

Kashish: jee nahi..........aap aisa vaisa kuch nahi karenge hamare saath.............aur yeh hum achchi tarah se jante hai...........

Sujal: achcha itna yakeen karti ho..........

Kashish: ab hum khud pe yakeen nahi karenge to kispe karenge..................lekin aaj bahot khush hai..........

Sujal: woh to tumhare chehre se bayan ho raha hai..........lekin muje nahi pata tha ki tum itna achcha nachti aur gati ho.........

Kashish: yahi to hamare rajshathan ki shaan hai.............

Sujal: aur isi ada ka to main deewana hoon.........waise tum aaj bahot khubsurat lag rahi ho........

Kashish: aap bhi aaj bahot achche lag rahe hai.......................

Sujal: achcha..........pehle to kabhi kisi ne nahi kaha.........

Kashish: sab baat batana zaroori hai..........

Sujal; waise muje dikhao to sahi tumhari mehndi kaisi hai............

Kashish: yeh lo.........

Sujal; are wahh..........mehandi ka rang to bahot gehra chada hai...............

Kashish: haa sabhi yahi kehte hai..............

Sujal; un sabne yeh nahi kaha ki iska matlab tumhara honewala pati tumse bahot pyaar karega.........

Kashish: kaha na..........

Sujal; hmmmm..........lekin muje nahi lagta ki tumhara honewala pati tumse koi khaas pyaar karta hai..........

Kashish: Sujal yeh aap...........

Sujal: main kya.............

Kashish: aap aisa mat kijiye.........hum aapse bahot pyaar karte hai aur hum jante hai ki aap bhi...........

Sujal: nahi Kashish main tumse pyaar nahi karta...........

Kashish: aap jooth bol rahe hai.........

Sujal: main tumse kyun jooth bolunga............

Kashish: kahiye na ki aap humse pyaar karte hai.......aapko hamari kasam............

Sujal: main tumse pyaar nahi.........balke bahot pyaar karta hoon...........

Kashish: aap bhi na...........aapne hamari jaan nikal di thi...........

Sujal: aapki jaan ko kaise nikal sakte hai aakhir aapki jaan me meri jaan jo basti hai...........

Kashish: bahot pyaar karte ho na..........main bhi.........

Sujal; i love you Kashish.......

Kashish: i love u too.......

Sujal kissed kashish's forehead and they both hug in moonlight................

 

 

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry
Continue Reading next part >

8 Comments

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".