WAR & PYAR..........SK STORY BY COOL_SK

..oneOone.. thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 18 years ago
#1

hi u guys

     i m going to start a new series name "WAR & PYAR"

it is a omam fas tele-production

    the leading characters r

Rajeev Khandelwal as Shahzeb

Amna Shariff as Shija

 

other characters are

Anurag of KZK as Shahzaman

Sam of KZK as Eman

the child Sneha of KZK as Esha

 

Shahzaman and Shahzeb are the sons of Shams Ali and Riffat Shams..........woh aik chota sa pyara sa khandan tha likin Riffat ko hamesha hi aik beti ki kammi mehssos hoti thi iss liye jaisay hi unh kay baray betay Shahzaman nay Business world main kadam rakha unhoon nay apni aik doost ki beti Eman say us ki shaadi karwa di......Shahzaman us waqt 22 saal ka tha.......uss say 8 saal chota tha us ghar ka chota beta, maan baap ka ladla, bhai ka pyara, bhabhi ka best friend Shahzeb. Shahzaman ki shadi kay aik saal baad hi unh kay ghar aik nayee kali paida howi jiss ka naam Esha tha. woh jaisay hi paida howi pooray ghar main khushi ki aik leher dhoor gai....Riffat or Shams to itna khush thay kay unhoon nay pooray muhalay main ladoo bantay or 100 gareeboon ko khana khilaya......akhir unh ko kia kammi thi....itna bara empire Shams and Sons jo chala rahay thay jo kay lahore ki sab say bari or Pakistan ki teesri sab say bari sugar industry thi......woh loog gulberg main aik alishan ghar main rehay thay......woh unh kay sapnoon ka ghar tha.....Esha kay paida hotay hi sab ghar waloon ki ankhoon main aik nayee khushi aa gaye...kitnay fitranay diye gaye....kitni mehfil-e-milad karwaiye gain ta kay iss ghar ki khushiyoon ko kissi ki nazar na lagay....likin kismat ko kaun badal sakta hai.....esha kay 1st birthday per riffat or shams market tak gaye ta kay esha ki birthday ko celebrate kar sakain likin kismat ko kuch or hi manzoor tha.....wapsi per atay howay shams or riffat ka accident aik bachay ko bachatay bachatay ho gaya or phir iss ghar main matam chah gaya.....kuch dinnonn bad sab iss sadmay say bahir nikal aaye likin sab say gehra sadma Shahzeb ko howa likin usay iss halat main sambhala us kay bhai or bhabhi nay jinhoon nay usay aik maan or baap ka pyar diya......zindagi phir say theek howi or shahzeb apni sari toowaja parhai main laganay laga.....farig wat woh esha kay saath guzarta....or apni bhabhi kay saath mastiyan karta......issi tarhan saal guzartay gaye yahan tak kay shahzeb nay M.B.A kar liya.woh chahta tha kay oh apnay hai kay saath kaam karay likin us ka bhai yeh chahta tha kay woh zindagi ko thora to enjoy karay iss liyee us nay usay abhi thori deer kay liye factory janay say mana kar diya or abh shahzeb ghar hi rehta hai apni bhabhi or Esha kay saath.....esha abh 8 saal ki hai likin usay apni studies main bohut problem hoti hai.....yeh baat nahin kay uskay mom dad or chachu us ki madadt nahin kartay likin jab yeh teeno us kay paas hotay hain to us ka parhnay ko dil nahin chahta iss liyee Iman nay yeh faisla kiya kay issay aik home-tiutor lagwa kar daian

 

udher shija aik middle calss family say talooq rakhti hai.......us ka aik bhai hai jiss ki shadi ho chuki hai or do bachay hain sharim, visal likin unhain uss say bar nafrat hoti hai.....yeh nahin kay usay unh say pyar nahin likin woh unh ki harkatoon say nafrat karti hai.....shija kay maan baap dono shija say bohut pyar kartay hain.....shija kay abbu usi sugar mill main kaam kartay hain jiss ka malik Shahzaman hai....likin woh unchay ohday per faiz hain.......Shija nay B.A kar liya hai or woh ghar per baith baith kar boor ho jati hai iss liye us nay aik academy join ki jahan woh bachoon ko parhati thi likin wahan kay bachay bhi us kay bhanjay bhanji visal or sharim ki tarhan bohut ulti pulti harkatain kartay thay jiss say usay bohut tup charhti iss liyee us nay academy kay owner say kaha kay agar yahain kahain say home-tutor ki offer aaye to usay zarooor bataya jai.....itefaaq say usay Esha kay baray main patah chala kay us ki ammi uss kay liyee aik home-tutor ka pooch rahi theen iss liyee us nay fooran haan kar dii or ghar waloon ko bata kar aglay din poohanch gayee..........

 

 

Created

Last reply

Replies

82

Views

20268

Users

15

Frequent Posters

..oneOone.. thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 18 years ago
#2
PART 1
A SERIAL BY OMAM FAS PRODUCTION
            
                WAR & PYAR

garmiyoon ki dhoop bhari dopahar.....garam hawaoon kay jhoonkay.......mitti ur rahi......suraj sar pay.....door door tak koi asra nahin......aisay main aik larki gulberg main aik paper pakray howay chali aa rahi thi...... woh aik ghar ki talash main thi.....lakin usay patah na milla.......woh irid girid kissi ko dhoond rahi thi jo usay ghar ka patah bata day....likin aisay musaam main na koi banda na banday ki zaat........woh pori tarhan paseenay say saraboor ho chuki thi.....akhir kar tak har kar wapis janay lagi kay aik dam itni garam hawa chali kay us kay haath say paper uar gay.......woh us ko pakarnay kay liye bhagi kay woh paper aik larki kay paoon per ja kar ruki......hawa nay larki kay chehray ko uski zulfoon say dhank diya.......us larkay ki nazar jab us paper per pari to woh uthanay kay liye jhuka.....udher larki bhi jhuki.......likin us say pehlay hi larkay nay paper utha kar larki ki taraf bharaya.........woh us ka chehra na dekh saka.......phir ahista say larki nay baal pechay kiyee or uska chehra samnay aya.......(haan ji haan woh hain apni Shija madam perform by amna shariff).....woh larka uskay chehray ko dekhta hi raha ja achanak kissi awaz nay usay haqeeqat main la pehnka.......
Shija:hello Mr.......
larka:Shahzeb.....waisay meray saray frinds mujhay zeb kehtay hain(note......shahzeb ladla honay ki wajha say thora ghamandi bhi hai....khali apni looks kay baray main.....as in his college life and in university life.....he impressed most of the girls by his appearance, attitude and way of talking and also by his knowledge)
Shija:aray hello....na main nay app ka naam poocha or na hi yeh kay app kay dost app ko kia ketay hain......main to sirf apna paper maang rahi thi......
Zeb:(thought ...akroo lagti hai)oh paper.....yeh loo
Shija:thanx......she turned
zeb:thought: ajeeb larki hai......mujh jaisay handsome, smart, or adorable larkay ko dekha bhi nahin......he also turned in disappointment
Shija turned and said excause me
zeb stop and(thought)mujhay patah tha kay yeh mur kar dekhay gi......akhir hum hain hi handsom....abh koi reh bhi kaisay sakta hai.....he also turned
zeb:jee
Shija:kia app ko yeh patah maloom hai....main kab say dhoond rahi hoon mujhay nahin mill raha
zeb:in disappintment......ok....yeh patah to.......he was about to say further but just then stop......jeee yahan say seedah jain...phir right lain.....phir sedha gain phir right lain.....phir seedah gain phir right lain to front banglow yehi hai
Shija:thanx again
zeb:no problem
shija went to the prescribe address.....she do the same and came back to that place from where she start walking
shija:aray yeh to wohi jagha hai jahan say main nay chalna shuru kia tha.....yani uss pagal nay mujhay ullu banaya....malay kahin mujhay.....poochoon gi usay
just then a man passby
shija stop him and asked about the address
man:madam yeh samnay ka ghar hi to hai
shija:shocked.............main uska khoon kar doon gii.....aik to itni garmi oper say itna thakaya....dekh loon gii.......she press the bell button......but after waiting 5 min she get no response
Shija:aj to qismat ki kharab hai......aik to itni garmi.....uper say address nahin mill raha tha.....or abh address milla hai to in baray ghar kay loogon kay nakhray sahoo....
she again press the button....but this time a dog barks....shija hate dogs.......after that the dog bark continously.
shija:loo....iss ki kammi thi
likin 2 min baad hi aik borhay(aged) baba nay darwaza khoola
baba:kaun hai bhai
shija:jee khooliyee
baba open the door
baba:jee kahiyee...
Shija:jee woh yahan say home tutor ka kaha.....
baba:accha to app esha baby ko parhanay aaye hain...betiya nay bataya ta likin main bhool gaya....woh app ka hi inteezar kar rahi hain...chaliye
baba takes Shija into the house
the house was very beautifully decorated.....the hall was decorated with different matel pieces..r...reddish green curtains........matching colour sitting lounge....everything just seems to be perfect
baba:app bethiyee.....main bitya ko kehta hoon
baba goes from there and kashish sits on sofa.....after some time a beautiful women comes outside covering her head with dupatta and wearing a shalwar kameez.....she was eman
shija usay dekhtay hi khari hoo gai
eman:asslam-o-alikum
shija:walikum salam
they both shake hands and eman asked shija to have a seat
eman:kia app nay pehlay kabhi kahin parhaya hai
shija:jee yaheen karwan academy main parhati thi
eman:main esha kay liye aik home tutor dhoond rahi thi....actually mashallah woh zaheen hai.....main, us kay papa or us ka chachu us ki help bhi kartay hain studies main likin jab hum parhanay bethtay hain to woh lazy ho jati hai.....usay khud bhi iss baat ka patah hai or iss liye
shija:darasaal....parhana mera shauk hai.....main jahan parha rahi thi woh jagha to acchi thi likin meri timings ka masla tha iss liyee
eman:nahin yahan app ko aisii koi problem na hogi....app ko lay kar anay or janay ki zimadari rahem baba ki hai......timings....jo app ko suit karain.....likin main chahti hoon kay app acha parhayee ga
shija:app befikar raheye
eman:app kay abbu kia kartay hain
shija:jii woh app ki hi factory main manager hain
eman:to app sami pasha saheb ki beti hain
shija:jii
eman:chaliyee yeh bhi khoob hai......baba baba
baba come.....je bitya
eman:esha ko bula layee
baba:jee bitya
esha come........she was looking so cute.....yeh pehli bachi thi jo shija ko dil say pasand aaye
esha:salam miss
shija:salam....waisa app mujhay baji bhi keh sakti hoo
esha:nahiin.......main too app ko miss hi kahoon gii
shija:jaisii app ki marzi
esha:app mujhay parhayee gi
shija:ji
esha:chaloo accha hai.......shija kay kaan main....waisay bhi main chachu kay lectures sun sun kar thak gaye hoon
eman:esha
esha:sorry
just then zeb enter.........bhabhi main woh
shija just stood up....tum......tumhain to main nahin chooroon gii........zeb come behind eman......aik to mujhay pooray muhallay ka chakar lagwaya itni garmi main........or abh chup rahay hoo
eman caught him from his ears and say...kyoun aj phir shaitani
esha:chachu....app nay meri miss kay saath galat kiya...chaliyee sorry boliyee
eman:chal bool....zarr ki kheenchtay howay
zeb:sorry....ah ah.....sorry sorry sorry.....abh khush.....abh chooriye na
eman nay us ka kaan choor diya
zeb wahan say gusaay main chala gaya
eman:uski shararat ka bura na maanna.....woh aisay hi sharartain karta hai......dil ka bura nahin hai
Shija:jee jee(thought)iss say badla to lay kar rahoon gi

so 1st part ends
..oneOone.. thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 18 years ago
#3
part 2
        AN OMAM FAS PRODUCTION

             WAR & PYAR

2 ghantay kay liyee shija nay esha ko parhaya or us nay yeh mehsoos kia kay esha baqi bachoon ki tarhan zaida shararti nahin hai....she is quite mature then her age......shija like the intellegence of esha....her knowlegde about things......her attitude she like every thing about her....her dressing style......shija nay usay bohut accha parhaya and every one was also impressed by her attitude......especially one person.
shahzaman ka phone aya to eman nay usay yeh bata diya kay abh esha kay liye aik tutor ka bandobast ho gay hai or woh hai bhi unh hi kay company kay manager ki beti.....yehi cheez eman or shahzaman kay liye bohut sakoon baksh thi kyoun kay woh dono company kay manager ko accha tarhan jantya thay......shams pasha aik bohut hi kabil admi tha or bohut hi bharosay mand....jab kabhi bhi shahzaman ko kissi doosray mulk(country) jana hota yaan apni family k saath holidays per jana hota to sari company ki zimadari shams pasha kay kandhoon per hoti....shahzaman usay apnay abbu ki jitni izat deta or woh bhi unh kay liye kiss betay say kam nahin tha.
udher esha ko bhi apni nayi miss bohut pasand aaye.....woh usay bilkul us jaisii lagti.
shija:maths parhatay howay........if a man has 4 hen and one hen give 4 eggs in a week then how many eggs are there?
esha:quickly.........16
shija:very good
esha:miss kuch mushkil sa poochiyee na
shija:ok.....if a man made 10 kites in a day and he sold all of them in 145 rupees, then what is the cost of 1 kite?
esha:thats some difficult....but she solve it and say....ya one kite is of 14.5 rupee
shija:thats very good......ok....abh yeh bhi khatam howa.....abh app kay saray kaam khatam ho gai hain......abh kia karain
esha:miss kuch batain karain
shija:kisss baray main
esha:miss kia main app ko apna ghar dikhaoon
shija:theek hai likin agar kissi ko problem na ho to
esha:koi problem nahin.....jab main app kay saath hoon
esha take her first ko her room......it was such a nice room......every thing is of pink colour.....from the bed to the walls......the walls are of some type of shocking pink.....her bed is of light pink.......her rooms furniture is of pink........her room was filled with different types of beautiful and expensive dolls and bears which shija never seen before
shija:yeh wali doll kiss nay di.....pointing towards one doll
esha:yeh wali doll chachu nay di thi meray 2nd birthday per.....yeh wali jab woh paris gaye thay tab layee thay.....yeh meri fav doll hai.....iss liyee chachu nay iss ka naam bhi esha rakha hai kyoun kay unhain lagta hai kay main iss say bohut milti hoon
shija:ohhh.....bohut pyari hai....likin tum say thora kaam.....or yeh wala bear
esha:yeh bear bhi chachu nay diya hai.......yahan per jitnay bhi bears or dolls hain sab chachu nay diyee hain.....or nido bhi
shija:nido kaun
esha:zoor say chilatay howay..nidooo
a dog comes in......shija ran on the bed
esha:miss yeh app ko kuch nahin karay ga.....neechay aa jaiyee....nidoo chaloo miss ko salam karoo
the dog lift up both his front legs
shija was quite impress by it......hshe came downwards from bed and went towards him
esha:nido....yeh meri miss hain....abh inh say shaitani nahin...ok
the dog moves his head in yes
esha:chaloo miss say shake hand karoo
the dog brings his one leg forward and shija shake hand with him
shija:yeh to bohut pyaara hai
esha:yeh chachu nay mujhay peechlay saal meri birthday per diya tha.....nido iss my bodyguard
itnay main wahan dino kaka aa gayee
baba;esha baby....betya app dono ko neechay bula rahi hai.....app kay juice ka time hai
esha:aa rahi hoon...baba
baba goes from there and esha takes shija back to the dinning
esha:meri mama meray baray main bohut concious hain......iss liyee
shija:its ok
there was anothere glass and esha offer her to take it.....as she was feeling thursty she drink it......there were some biscuit also there shija also eats it as she finish zeb enter there
zeb:esha...
esha:jii chachu
zeb:woh main nay yahana aik juice ka glass rakha tha...woh kahan hai
esha:sorry chachu.......woh to main nay miss ko day diya
zeb:satyanas
this time shija:kia howa
zeb:agar app ko itni pyaas lag rahi thi to app aik aur glass mungwa leti ap nay woh glass kyoun piya?
shija:sorry.....agar app ko bura laga
zeb:mujhay sorry kehnay say kia faida......sorry to app ko us say kehna chahyee jiss ka woh juice tha
shija:kia woh app ka nahin tha
zeb:nahin
shija:with a confused expressions......phir kiss ka tha
zeb:nidoo ka
shija:kia? she ran towards the washroom and start vomitting
zeb chupkay chupkay hans raha tha likin jaisay hi woh us ki taraf dekhti woh aik dam serious ho jata
shija:bahir nikaltay hi bolna shuru ho gai.....agar woh nido ka tha to usay dena tha wahan saja kar kyoun rakha tha......
zeb:becharay ki kismat..........us kay peenay say pehlay hi app kha gain....chaloo shukar hai kay us kay biscuits to hain na....bechara usii say guzara kar lay ga
shija:with a stern look look at him
zeb:abh yeh maat kehna kay woh bhi app kha gaiin
shija:jii
zeb:moving towards the wall or apna sar dewar kay saath lagayee khara ho gaya
shija:i m really sorry
zeb:bechara nido.......
shija:now understanding the situation......beechara nidoo.....beechari to main hoon .....mujhay khanay paray kutay kay biscuits
zeb:kutta maat kehna usay...hum nay itnay pyar say pala hai usay
shija:tabhi ap say bohut milta hai
zeb:yeh to suhbat ka asar ha.......pehlay woh app ki tarhan dikhta tha likin abh meri tarhan....dikhyee ga kuch dinon main meri suhbat main reh reh kar app bhi meri tarahna dikhain gi
shija:jii nahin mujhay apna yeh chehra pasand hai....kam say kam app say to behtar
zeb:behtar nahin hai....kia app mujh jaisii handsome hain
shija:main app jaisi so xalled handsome nahin likin app bhi meri tarhan beautiful nahin or main un-beautiful loogoon say baat karna pasand nahin karti
shija moves from there to leave but zeb said
zeb:meray beecharay nidoo kay biscuit ko day jaoo
shija:turns and say.......tum ho na lanay kay liyee
zeb:accha suno main mazak kar raha tha
shija:to main kaun si serious thi
woh gussay main wahan say chali gayee
zeb: issay chernay main janay kyoun maza atta hai
shija: janay yeh mujhay kyoun itna satata ha

2ND PART END
*~sur~* thumbnail
Posted: 18 years ago
#4
hey timbo yahan bhi post kar rahi hai wahan bhi confused soul neways cool going
PuIchritudinous thumbnail
Posted: 18 years ago
#5
WOWW ana nani.... niddo is shooo cute 😳 😆 continue soooonn!!
rajeev1 thumbnail
Posted: 18 years ago
#6
👏 👏 great parts ana....thank you sooo much.......its sooo much better reading it here...warna udhar dhunte dhunte to nidoo keh bache bhi bare ho jate 😛
..oneOone.. thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 18 years ago
#7
this is only on ur request my sweet farah jii......
akhir elders ka bhi to khayal rakhna hota hai na.... 😉
rajeev1 thumbnail
Posted: 18 years ago
#8
😳 ...aaww...youre the best!...
now continue soon....warna elders apna asal roop dekh deinge 😆 😆 😆
group_1223 thumbnail
Posted: 18 years ago
#9
wowwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwww.............itz jus marvellous
easygold thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#10
Superb!!!Gr8!!!!Wonderful!!!!!Mindblowing!!!! 👏
Aur kitna kahoon????Short of praising words!!!!