Arwaah....Sujal&Kashish...last-part..7/11

goodkashish thumbnail
Posted: 16 years ago
#1

Arwaah

Sujal Garewal

Pyaar zindagi jine ki manzil hai....meri umar ke log kehte hai ki maine 26 saal me kuch jyada hi pa liya hai.....main jyada tar kisi se baat to nahi karta lekin jab dil se kisi ke liye aawaz aati hai to main unse apne dil ki baatein karna pasand karta hoon........aapko yakeen to nahi hoga lekin meri Shaadi Mumbai ke sabse bade industry ki ek lauti malkin se hone ja rahi hai........kehte hai Shaadi ke liye pyaar ka hona zaroori hai lekin mere liye Shaadi ek karobar hai.....jiski daur mere papa ke haath me hai.......lekin jyada tar main apne aap ko kitabo me khoya hua rakhta hoon........waise meri sabse pyaari kitab Romeo and Juliet hai.......kya aapko bhi lagta hai ki meri zindagi me kabhi pyaar aa sakta hai......

Kashish Sinha

Pyaar dusro ko khushiyaan dena hai.......maine 24 saal me bahot kuch dekh liya hai......16 saal ki umar me Papa ke chale jane ke baad ghar ki jimedariyan, choti behen ki padhai aur karobar ka sambhalna......lekin Mama her pal mere saath thi.......Mama kehti hai ki mere jaisi beti her koi Maa-Baap chahenge........muje apne se jyada dusro ki khushi jyada mayne rakhti hai.....main apni choti si behen Mehek ki aankhoin me aanshu nahi dekh sakti.............hala meri shaadi Angad se hone ja rahi hai jo mere bachan ka dost hai..........kabhi kabhi lagta hai dost sirf dost hi rehte hai.......apni uljano se bhagne ke liye main kitab likhti hoon........muje choti choti prem kahani likhna achcha lagta hai.........waise meri sabse pyaari kitab Romeo and Juliet hai.......kya aapko bhi lagta hai ki meri zindagi me kabhi pyaar aa sakta hai......

Angad Khanna

Pyaar dosti hai.......mere liye Kashish ki dosti hi pyaar hai.............muje sabse jyada khushi tab huyi hogi jab meri shaadi Kashish ke saath tai ki gayi hogi.......muje sabko khush dekhna bahot achcha lagta hai khas karke Kashish ko.............jab woh apne papa ko leke udas hoti hai to mehek ke saath mil ke muje use satana bahot hi achcha lagta hai..........maine to kabhi apni maa ko nahi dekha lekin Kashish ki Mama ne muje kabhi unki kami mehsoos hi nahi hone di........mere liye woh sab kuch hai........Mama kehti hai ki main ek chote bache ki tarah hoon jo abhi bhi sararat karne se baaz nahi aaya.....Kashish mujse bahot durr rehti hai......mama kehti hai ki Shaadi ke baad sab thik ho jayega.........kya kabhi muje bhi Kashish ka pyaar mil payega.........

Ritu Kapoor

Pyaar hasil karna hai........Mere Mama papa ki car accident me maut ho gayi jab main 21 saal ki thi......tab se Kapoor Industries ki main ek lauti malkin hoon........jiske pass paisa aur mere jaisa husn ho use aur kya chahiye........lekin duniya ki sabse kimti chizo ko hasil karna mera shukh hai........jisme se ek hai Sujal.......Sujal Mumbai ka number one eligible bachelor hai..........jiske piche puri Mumbai ki ladkiyan pagal hai lekin Sujal sirf aur sirf mera hai.........hala meri kuch hi dino me Sujal se shaadi hone ja rahi hai lekin muje aisa lagta hai ki woh mujse pyaar nahi karta............jo kaam main apni ada se nahi kar sakti waha pe main apne paise rakhti hoon........muje is duniya me do hi cheez se pyaar hai.........ek mera husn aur dusra meri kamyabi........kya main hamesha ke liye Sujal ko pa sakti hoon..........

Maya Sinha

Kuch hi saal pehle Heart-attck ki waje se mere pati Harsh ki jaan chali gayi.........aur tab se do jawan betiyon ki jimedari mujpe aa gayi.......mere liye meri betiyon ki khushi hi sabse badi khushi hai...........kashish hai to meri beti lekin farz nibhane me woh mera beta hai...............main Kashish ko achchi tarah se janti hoon ki use kis tarah ka jeevansathi chahiye........lekin abhi bhi woh kyun Angad se shaadi kar rahi hai woh meri samaj me nahi aa raha.......woh aur Kashish sirf dost hai.........agar yeh shaadi ho gayi to sabse jyada khushi muje hi hogi......... kya meri betiyon ki zindagi me bhi khushiyaan aayegi......

Mehek Sinha

Main Kashish Dii se teen saal choti hoon to kya hua.........Dii aur main apne dil ke sari baatein ek dusre ko batate hai...........main kabhi Dii se jooth bol hi nahi sakti kyunki Dii mera chehra dekh ke hi samaj jati hai.....Mama hamesha muje meri galtiyon pe datti rehti hai lekin Dii hai jo hamesha meri galti apne sir le leti hai..........mere liye meri Dii aur Mama sab kuch hai.........main college ke second year me hoon........college me hai to mere bahot sare dost lekin meri sabse achchi saheli Preet hai.............Kya dii ko uske sapno ka rajkumar milega...........

Abhay Khanna

Angad ke paida hote hi Nandini is duniya se chal basi......maine Kabhi Angad ko maa ki kami mehsoos hi nahi hone di.......mere liye Angad ki khushiyaan sabse badi hai.....Kashish aur Mehek ko maine apni hi betiyaan banai hai.........Kashish ke pita Harsh aur main bachpan ke dost the........aur aaj hum dono ke bache dost hai...........ab yeh Dosti ka rishta shaadi me bandhne ko ja raha hai.........muje bahot khushi hai ki Kashish Angad ko bahot khush rakhegi......jis ghar ko ek bahu ki zaroorat hai woh din ab nazdig aa raha hai.......kya mere ghar meri bahu kadam to rakhegi na........

Anurag Garewal

Mere liye mera karobar hi sab kuch hai.......Karobar me itna ulja hua rehta hoon ki apne parivar ko waqt hi nahi de pata......lekin kuch pane ke liye kuch khona padta hai......bacho ki dekhrekh hamesha prerna ne hi ki hai kyunki mere pass kabhi waqt hi nahi hota tha......na patni ke liye na bacho ke liye.........main koi bhi kaam bina nafa nukshan dekhe bigar nahi karta.......Sujal ki Shaadi Ritu se karvane ke baad Garewal aur Kapoor industries ek ho jaye aur tak Garewal Indusries number one pe hoga........kya mere yeh sapna to pura hoga na....

Prerna Garewal

Maa ka farz hota hai ki apne bacho ko pyaar dena.......maine to maa aur baap dono ka pyaar diya hai apne bacho ko.........main apne pati ke faisle ke khilaf to nahi ja sakti lekin apne bacho ko uske manzil pane me hamesha uska saath de sakti hoon........Anurag ne apne aap ko karobar me itna ulaj gaya ki kabhi kabhi woh yeh bhool jate hai ki uski bhi ek patni hai bache hai........kabhi kabhi aisa lagta hai ki hume paise nahi aapka thoda sa pyaar chahiye..........jo pyaar kabhi muje nahi mila.......kya woh pyaar mere bacho ko milega............

Preet Garewal

Agar is ghar me muje koi samaj sakta hai to woh hai Bhai.........Bhai aur main ek dusre se apne dil ki sari baatein karte hai..........main janti hoon ki Bhai woh Ritu se zara bhi pyaar nahi karte lekin Papa ki waje se woh yeh shaadi kar rahe hai........waise to main college jati hoon apni sabse achchi saheli Mehek ke saath..........mere liye mere Bhai aur Mama ki khushiyan sabse badi hai.......kya mere Bhai ki zindagi me bhi woh aayegi jiska Bhai intzaar kar rahe hai..........

 

Pyaar ka koi rang roop nahi hota.........Pyaar ka koi waqt bhi nahi hota.........Pyaar ek bahar ki tarah aapki zindagi me aata hai.....jo aapki zindagi me gul khila dete hai..........usi gul ki mehek se aapki zindagi mehek jati hai....kehte hai pyaar hume kisi ajnabee se hota hai...........woh ajnabee kis mod pe mil jaye use to upperwala bhi nahi batata...........lekin us ajnabee ko pehchan ne ke liye woh aap ke dil me woh ehsaas zaroor bharta hai.......Kabhi kabhi hum apni puri zindagi bita dete hai lekin woh ehsaas hamare dil me dhabe reh jate hai...........Kehte hai jo pyaar ke ehsaah ko samaj jate hai unki zindagi mukmal ho jati hai...........Log dil se pyaar karte hai lekin kuch log aise hote hai jo ek dusre ki rooh se pyaar karna jante hai........woh do ajnabee ek dusre ke Arwaah ban jate hai........

 

Hi! Friends.......this time i will came up with a new idea and a new love story with help of my friend sonali2027.........i wish to have same support and love you gave me in all other ff........ple ple appriciate our hard work..........thanks

Edited by goodkashish - 15 years ago

Created

Last reply

Replies

138

Views

47278

Users

25

Likes

88

Frequent Posters

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago
#2
kashish that was an awesome start yaar..i loved it.. too cooll intro..the characters are great..just too amazing... πŸ‘ please post the first part soon..me waiting for it eagerly... 😊 πŸ˜› πŸ˜ƒ Edited by sun_423 - 16 years ago
heena_mehta thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#3
wow gr8 intro
πŸ‘
plz continue soon
-Aarti- thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#4
great intro πŸ‘πŸ‘πŸ‘

Iqbal Neha1 thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#5
amazing intro
great charachter sketch
πŸ‘ πŸ‘ πŸ‘
cute_samrah thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#6
grt intro..................
con't soon
goodkashish thumbnail
Posted: 16 years ago
#7

Part-1

Kahani shuru hoti hai ek barfili toofan me........hum dekhte hai ki toofan me dhundla dhundla dikhai deta hai...........London International Airport.........raat ke kareeban dus baje huye hote hai..........pichle teen ghante se sari flights cancal ho chuki hai.........sab log nazdig ke hotels me chale gaye hai lekin kuch log hai jo abhi bhi airport pe beth ke intzaar kar rahe hai........hum dekhte hai ki ek ladka bhaga bhaga sa apni Laptop bag leke ek counter pe pahunchta hai..........

Ladka: Excuse me...........i am sorry for my flight to Mumbai.........it is still waiting..........

Officer: I am sorry........the flight to Mumbai is deleyed by 12 hours because of snow-storm..........

Ladka: But you dont know.........i have important meeting to attand in Mumbai.......

Officer: I am sorry sir......but we dont have any option........

Ladka: can i get a room at the hotel........

Officer: Sorry Sir...........now they declaired State Emergancy.....so you can go out in this bed weather........

Ladka: what you mean............where am i going to stay for next 12 hours............

Officer: I am extreamly sorry...........you can go in the Coffee shop which is overthere and sit and relax.........

Ladka: i am really disappiont with the service this time...........

Officer; I apolozice ........i will try my best to help you out...........

Ladka: it is ok..........

Officer: thank you sir for understanding the situation...........

He walks to the coffee shop but it is empty..........

************************************************************ *******

Ladka: Hi........are you still open.......

Manager: yes Sir,,,,,,,,,,,we still have customer........

Ladka: sorry........but i dont see anyone.........

Manager: look in the corner........there is a young lady is sitting overthere.............

he saw that a girl is sitting facing back to him and writing something...........

Waiter: for only her..........we can not go to our home...........our family must be waiting for us.........

Ladka: but it is dangerous to go out.....

Waiter: i know but my wife is alone .,,,,,,,,,

Ladka: i will talk to her and tell her to move out and sit somewhere else.........is that ok with you...........

Waiter: thank you sir.........would u like to order something...........

Ladka: i guess we will have two coffee ple.........

Waiter: i will bring it............and thanks for your help.........

Ladka: no problem.......i can understand what family means to you...........

Waiter: thank you..........

************************************************************ *******

He walks to that table where the girl is sitting...........he can't able to see her face because she was so busy in writing and her face was covered with her hair...........

Ladka: excuse me........

The girl moved her hair back and lifts her face to see who is talking to her...............he was lost in her beauty.........

Ladki: yes..........are you going to say something or just stare at me......

Ladka: oh.......I am sorry.........aap hindustani ho.......

Ladki: haa.......main hindustani hoon...............

Ladka: isi baat pe kya main aapke saath beth sakta hoon woh yaha pe kisi apne ko dekh ke aisa laga ki 12 ghante aaram se bit jayenge.............

Ladki: ya sure............betho........waise aap.......

Ladka: hi.........I am Sujal Garewal..........

Ladki: Hi..........Kashish Sinha............

Edited by goodkashish - 15 years ago
heena_mehta thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#8
amazing part πŸ‘ . plz continue soon . i can't wait 4 nxt part
jyothi_cool thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
#9
are wah unke milana hogaya now waitin 4 the next part
Aleeza_23 thumbnail
Posted: 16 years ago
#10
Hey kashish congratsss dear u r starting a new story koollll 😊 and i liked the firsh part plsss continue soon 😊