maan geet os-reviving their story

tanya94 thumbnail
Posted: 12 years ago
#1

guys this os has been written by anvesha khurana..since she doesnt have an if account im posting it for her...hope u enjoy reading and do share how u liked it...thanxs...ur comments wud be conveyed to her๐Ÿ˜Š

 

"Kya hua aap chup kyun nahi ho rahi ho, kya chahiye aapko," said Geet

patting a six months old Kushi who was crying continuously since past 15

minutes. Geet tried everything but Kushi was no where to stop.

"Kya hua meri princess ko," said Maan entering the room and keeping the bag

he took Kushi from Geet's arms.

"Pata nhi Maan bahut der se ro rahi hai, samajh nahi aa raha kya hua isse,"

said a worried Geet.

"Kushi kya hua aapko," Maan said lovingly looking at her.

And that was it Kushi stopped crying and with her big brown eyes she scanned

her dad's face then with her little hands she tried to touch him. Seeing this

Maan brought her closer to his face and Kushi touched his cheeks with her

little fingers a smile played on her pink lips.

"Oh toh aap apne daddy ko miss ker rahin thi, waise daddy ne abhi aapko bahut

miss kera," Maan said planting a kiss on her cheeks.

"Maan dekha, dekha aapne isse mamma ki koi kadar hi nahi hai, main tab se

isse chup kerane main lagi hun per nahi sun hi nahi rahi thi. Aur aapke pass

aate hi kaise chup ho gayi," complained Geet.

"Haan toh meri princess aapne papa ko miss ker rahi thi," replied Maan.

"Waise baby papa aapke liye ek gift layen hian issi liye unhe office se aane

main thodi si dair ho gayi," he said looking at Kushi and then took out a

cute teddy bear from the bag and showed it to her.

Kushi smiled seeing it and then looked at her daddy with a bigger smile.

"Maan ye kya hai aap her doosre din koi na koi toy le aate ho. Abhi ye bahut

chotti hain inse khelne ke liye aur aap ne iska room bhar diya hai toys se."

"Haan toh abhi chotti hai na jab badi ho jayegi tab khelegi, haina Kushi,"

replied Maan looking at her.

"Accha aur agar isse bade ho ker vo toys nahi pasand aaye toh ?"

"Toh kya hua main tab iske liye vo toys ledunga jo isse pasand honge."

"Haan haan bigaad dijiyega aap isse, aur laiye issi ke liye toys laiye hun

mere liye mat laiyega kabhi kuch."

"Geet tum toys ka kya kerogi," Maan said keeping a straight face.

"Jayie mujay aap se baat hi nahi kerni hai aap dono mujay bus humesha tang

kerte ho," she said showing fake anger.

Keeping Kushi in her cradle Maan came near her. "Waise Geet main tumhare

liye kuch laya tha per rehne do tum toh mujsay baat hi nahi ker rahi ho."

"Arey Maan main toh awein hi keh rahi thi aap toh serious ho gaye, bhala

main aap se baat na kerun aisa kabhi ho sakta hai."

Maan smiled at her innocence, yes it was not that she was being

materialistic it was her way to show importance to the things he brought for

her. He knew he would get a lovely reaction even if he gives her a rose.

What matters to her was that it was him who did something for her.

"Aise nhi aanken band kero."

Geet closed her eyes and next moment she felt Maan's hand on her nape.

"Ab aankeh kholo."

As she opened her eyes she saw a beautiful pendent on her neck and when she

observed it she realized their initials engraved on it MG.

"Maan bahut pyara hai, thank you," she said hugging him.

"Meri Mishty ko ab toh koi shikayat nahi hai na ?"

"Maan ki Mishty ko kabhi apne Maan se koi shikayat nahi hoti hai, vo toh bus

main awein hi bol rahi thi," she replied.

"Toh tum mujay bina kisi baat ke hi taane marti ho."

"Haan maza aata hai," she said coming out of the his embrace.

"Aacha toh mujay pershaan kerna tumhe accha lagta hai," Maan asked.

"Ab aap ko nahi pereshaan kerungi toh kya padosiyon ko kerungi."

Maan gave her a fake annoyed look.

Geer smiled. "Accha ab aap fresh ho jaiye main dinner lagwati hun."

"Hmm main fresh ho ker aata hun."

__

Later in the night, after dinner.

When Maan came in room after attending a call of a client he saw Geet

smiling. He too climbed the bed and came beside her.

"Kya hua Geet kya soch rahi ho ?"

"Thank you Maan," she said keeping her head on his shoulder.

"Thanks per kiss liye ?"

"Bus aise hi, meri zindagi main aane ke liye aur usse itna khushnuma banane

ke liye."

"Geet humare beech main thanks aur sorry ki koi jagah nahi hai aur rahi

baat zindagi ko khushnuma banane ki toh vo tumne meri bana di hai."

Geet smiled once more. "Maan jab hum pheli baar mile the tab se leker abhi

tak humare rishtey main kitne utaar chadav aaye hain, vo rishta jo nafrat se

shuru hua tha vo aaj atoot rishta ban gaya hai."

"Maan aapko yaad hai jab aapne pheli baar mujay doobne se bachaya tha."

"Haan Geet acchi tarah se yaad hai," he replied recollecting the moment.

"Aur uske baad toh jaise ye silsila sa shuru ho gaya tha, main kisi na kisi

mushkil main fas jati thi aur aap mujay bacahane aa jate the," she said

remembering the moments when Maan saved her.

"Haan aur Delhi aane ke baad toh jaise tumhe koi na koi gadbad kerne ka

sahuk hi chadd gaya tha."

"Aap her baar phele mujay badi - badi aankhen dikha ker daante the aur fir

meri maddad kerte the."

"Ab daanta nahi toh kya kerta mujay tab galtiyan bardaash nahi hoti thi."

"Aacha Maan aapko humara phela dance yaad hai," she first said happily but

then remembering the whole incidence of that night became a bit upset.

"Geet uss din hua kya tha," Maan asked remembering the whole incidence.

"Kuch nahi Maan rehne dijiye."

"Geet mujay nahi bataogi," he asked in such a manner that she could not

deny.

"Theek hai per aap puri baat sunnae ke baad kuch nahi bolnege."

"Theek hai, ab batao kya hua tha ?"

"Maan vo Sasha ne mujay vo saari di thi aur bola tha ki aapne bheji hai aur

maine order nahi change kera tha, maine wahi order diya tha jo aapne kaha

tha."

Maan tightened his fist once again remembering the incidence as now he was

sure that Sasha was behind everything.

"Maan aap please Sasha ko kuch mat boliyega, jo kuch hona tha vo ho gaya aur

waise bhi hume uss din ke acche pal ko yaad kerna chahiye, humara phela

dance," she said smiling.

But when she saw Maan's expression she realized that mention of that night

upset him hence she quickly changed the topic. "Accha Maan aapko yaad hai

jab hum dhaabe per gaye the."

The mention of that night brought a smile on his lips. "Haan Geet yaad hai,

aur tumne jo itna sara kahana order kera tha main toh shocked ho gaya tha."

"Isme shocked hone wali koi baat hi nahi thi humare Punjab main aise hi khaya

jaata hai, aapke Delhi ki tarah nhi ki chuhe ki tarah khao."

Maan smirked hearing this. "Waise Geet uss din pheli baar mujay aisa laga ki

tum mujay badal rahi ho, aisa laga ki tum mere andar dabe hue ehasaason ko

jaga rahi ho."

"Hmm aur isi wajha se aap uss ke baad se mujh se doori bannae ki koshish kerne

lage the."

"Haan main aapne andar ke ehasaason ko nhi jagana chahta tha."

"Maan kya ussi baat ka guassa nikala tha aapne jab aapne mujay job se fire

kera tha ?"

"Nahi Geet vo uss ka gussa nahi tha mujay party ki arrangement nahi acchi

lagi thi aur issi liye main tumko fire ker diya tha. Aur shayad tabhi

dadimaa ne tumko job per rakh liya tha."

"Haan." And a wide smile came on her lips as she said," Maan aapko yaad hai

outhouse main humari pheli raat."

"Haan hum bed ke liye kaise bachoon ki tarah ladd rahe the."

And then he became serious. "Geet uss din tum dargah main mere peeche kyun

aayi thi ?"

"Maan bahut ghabharat ho rahi thi, aisa lag raha tha ki aap kisi museebat

main hain aapka phone bhi nahi lag raha tha issi liye aapko dekhne ke liye aayi thi."

"Tumko yaad hai waha hume ek fakeer baba ne kya kaha tha ?"

"Haan yaad hai aur unki kahi baat kitni sach thi iska ehsaas hume tab nhi

tha."

Suddenly Geet eyes went on the ring in her finger and she remembered how

dadi told her to find a girl for Maan and at that time she realized that

she has strong feelings for Maan.

"Kya hua kya soch rahi ho ?"

"Kuch nahi, aapko Pari ke bare main."

"Haan aur mujay uske saath dekh ker tum kitna pereshaan hui thi na."

"Nahi toh kya, aur aapne hi kaun sa koi mauka choda tha mujay tang kerne ka.

Per usse humse phele se maaloom chal gaya tha ki hum ek doosre se pyaar

kerte hain."

"Haan aur shayaad issi liye vo chali gayi thi."

Geet went near the window and seeing the moon she said, "Maan issi chand ke

saamne aapne mujay angoothi phenayi thi. Uss din aapki bataon se laga tha ki

aap mujay kuch kehna chahte the ya aapke mann main mere liye kuch tha."

"Geet mujhay khud nahi samajh aaya tha ki maine vo ring tumhe kyun pehnayi

thi, kuch tha, ek ajeeb si kashish thi tumhare liye."

"Pata hai jab aap Hoishyaarpur gaye the uss zameen wale case ke liye tab vo

pheli baar tha ki mujay iss baat ka puri tarah se ehsaas ho gaya tha ki main

aapse bahut pyaar kerti hun. Aur jab aapko goli lagi thi uss ek pal main toh

mano meri zindagi hi ruk gayi thi."

"Haan per fir waha se aane se phele humari dosti bhi toh ho gayi thi," said Maan.

"Geet tumhe yaad hai maine jab pheli baar tumhe kiss kera tha, tumhara reaction na dekhne wala tha."

"Haan toh aapne aise sab ke saamne, aur waise bhi tab main aapki jhooti mangetar thi, aapne accha yaad dilaya haina mere cuteee," she said pulling his cheeks.

"Geeet."

"Dekha issi tarah aise hi bulate the tab aap mujay Geeet."

"Per uske baad cheeze sambhalane lagi thi, mujay bhi yakeen ho gaya tha ki tumhare dil main mere liye kuch hai. Jis din hum Mr. Demaalo ki wedding main gaye the maine socha tha ki tumhe aapne dil ki baat bata dunga, per.."

Geet intrupped. "Per uss din apni pregnancy ki baat bata ker maine sab khatam ker diya tha. Maan meri pregnancy ki baat sun ker aapko bahut takfeel hui hogi na," she said feeling the depth of his pain.

"Haan Geet bahut takleef hui thi, per ye dard uss dard se bahut kam tha jo maine tumko diya tha. Bina tumhari poori baat sune hi wahan se chala gaya tha."

"Isiliye maine faisla kera tha ki aapko poori baat bata dungi fir uske aage jo bhi aapka faisla ho."

"Tumne mujay poori baat batai per bina mera jawab sune hi chali gayi. Tum toh ye shair hi chod ker jane wali thi na, humesha humehsa ke liye."

"Aapki baat sunker mujay laga tha ki aap iss sach ke saath mujay nhi aapna payenge issi liye jaane ka faisla liya tha. Aapko yaad hai station se aane ke baad hume kaise dadimaa ko jhoot bolna pada tha ki hum bussiness trip per jaa rahen hain."

"Hmm per Manali jane se phele humari beech main jo baat hui thi vo sunker mujay ek anjani si kushi hui thi, jab tumne kaha tha ki tumhare liye mujsay jayada important koi nahi hai."

"Maine toh wahi bola tha jo sach tha, waise aapko vo Bunty yaad hai jo hume Manali main mila tha ?"

"Haan yaad hai, tumhe toh usse shaadi kerni thi na," he said sarcastically.

"Geet waise Manali trip ki ek hi baat yaad rakhne wali hai vo shaam, kitne kareeb the hum aur sach bataun agar mujay uss din tumhare mann ki baat poori tarah se pata hoti toh main shayad khud ko rok bhi nahi pata," he said making Geet blush.

"Issi liye waha se aane ke baad aapne zidd pakad li thi mere mann ki baat sunne ki."

"Geet dadimaa ne humari engagement fix kerdi thi aur tum thi ki mujay sach batane ke liye taiyaar hi nahi thi. Main bhi toh sunna chahta tha ki tumhare mann main chal kya raha hai.

Wiase accha hi tha ussi bahane hum humari pheli official date per gaye the"

"Haan jungle main aapko koi aur jagah nahi mili thi," she said.

"Geet main tumse kisi shaant jagah per milna chahta tha."

"Hmm jaanti hun main bus aise hi bol rahi thi. Aur fir agale din humari engagement honi thi sab kuch acche se ja raha tha per Dev ke saamne aate hi main dar gayi thi khaas ker ye jaan ker ki vo aapka bhai hai."

"Aur issi liye tum waha se chali gayi thi."

"Haan aur ek baar fir sab kuch bikharta nazar aane laga per babaji ne hume fir se mila diya."

"Hmm aur tumhe insaaf bhi mil gaya, jiske liye tumne itna bada kadam liya tha."

" Haan per maine aap per tab bhi vishwaas nhi kera, uss din main ghar aayi thi aur aapko dadi se ye khete sun liya tha ki ek baar humari shaadi ho jaye toh fir Dev ko chudana aasaan hoga aur fir jab maine Dev ko ghar per dekha toh mujay laga ki aap sach main mujhsay issi liye shaadi kerna chahte hain. I am sorry Maan."

"Geet ismain sirf tumhari galti nhi thi, tumhara bharosa itni buri tarah se toot chuka tha ki dobara kisi per bhi vishwaash ker pana mushkil tha. Galti meri bhi thi mujay uss samaye tumse ladne ki bajaye tumse baat kerni chahiye thi."

"Maan uss ladaki ke baad jab hum alag ho gaye the tab bhi main aapko her pal miss kerti thi, her waqt. Mujay tabhi iss baat ka ehsaas ho gaya tha ki aapke bina main zinda reh sakti hun per jee nahi sakti."

"Geet main bhi her lamha tumko yaad karta tha, her cheez mujay tumhari hi yaad dilati thi."

"Per Maan vo bhi ek tarah se accha hi hua, uske baad se mera vishwaas aap per aur bhi mazboot ho gaya aur uss judai ne hume ye ehsaas dila diya ki hum ek doosre ke bina kitne adhoore hain."

She further continued, "Aur waise bhi uske baad toh sab kuch theek hi hogaya na."

"Nahi Geet uske baad bhi mere liye sab kuch theek nahi hua tha, haalaki dr. ne baad main bol diya tha ki tumhari pregnancy main koi complications nahi hain per jab tum delivery ke liye gayi thi mere liye vo samay zindagi ka sabse lamba waqt tha. Mujay tum dono ke liye bahut dar lag raha tha."

"Per jab dr. ne Kushi ko meri baahon main diya aur bola ki tum bhi bilkul theek ho vo pal meri zindagi ka sabse accha pal tha, sabse khubsoort. Kushi ke aane ke baad se sab kuch bilkul perfect ho gaya."

They both looked at her sleeping peacefully in her cradle. It was then that Maan's eyes fell on the clock. "Geet kafi time ho gaya hai, tum thaki hogi soo jao."

"Mujay neend nahi aa rahi."

"Neend nahi aa rahi."

"Haan pata nahi kyun," she replied.

"Geet saaf saaf kyun nahi kehti ki tumhari aadat bighad gayi hai aur tumhe neend nahi aati hai jab tak..." and he deliberately left the sentence incomplete.

"Maan mera vo matlab nahi tha, aap bhi na," she said moving away from there.

"Main bhi kya haan," he said pulling her with a jerk making her stick to his body.

"Bolo main kya," he said roughly touching her face with his other hand.

Geet closed her eyes.

"Haan bolo kya keh rahi thi tum," he asked once again kissing her neck sensually.

Geet's hand went behind his back and she whispered, "Kuch nahi."

There was something between them that even after many months of marriage every time Maan touched her she reacted as if it was the first time, while Maan was ever hungry for her.

Maan planted several kisses on her face and then a deep kiss on her trembling lips while his hand unzipped her kurti, deliberately rubbing his thumb on her back. He then made her turn and kissed and licked her nape, half exposed back. Geet moaned, "Maan" going week on her knees literally.

Hearing her continuous moans Maan made her face him and saw her desire filled eyes. He immediately picked her and made her lie on the bed and came on top of her.

Soon the room was filled with desire and love as they got lost in each other in their passion.

Their life is now full of love and happiness, days full on fun and passion filled nights.

This is their story, how they met and how their relation changed with time. There were problems but there is no such thing as a perfect relation every great relation is made to work, many sacrifices are made for its success. Only true love can withstand the storms and harsh realities of life.

THE END



 

 

Created

Last reply

Replies

2

Views

2724

Users

2

Likes

11

Frequent Posters

maaneetkimeet thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
#2
lovley update dear ...fab one ... awesome...
tanya94 thumbnail
Posted: 12 years ago
#3
waaaooo...๐Ÿ˜›๐Ÿ˜ƒ
thanxs๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜ณ