Fan Fictions

Garv, Kali And Kumud Fan-Fic

Ashmit_Pooja thumbnail
Posted: 18 years ago

Kali is talking to herself in the room after an argument with Kumud

 

K1: Kumud kabh samaj payegi. Mein yeh sabh kar ke khush to nahi hoon. Meine uska bassa-bassaya ghar ujaad diya, aur uski hi maa ko use door karne pe tuli huwi hoon. Kumud yeh kyoun nahi samajthi ki mera is bartaw ke peeche koii na koi wajah to hogi. Mein abh Kumud ko kaise samjhao ki mein usse itne boori tarah se pesh kyoun aa rahi hoon. Mere paas iske kai wajah hai

 

1.     Kkusum kumud ki maa hai aur papa ki pehli biwi

2.     Kumud ke paas uski maa hai

3.     Kumud ki wajah se Nakul mujhse door chala gaya

4.     Sabh pariwaar Kumud ke saath badi laadh pyaar se pesh aate hai

5.     Meri parwa koi nahi karta, jab ki mein is ghar mein pehle se rahi hoon

(She starts to cry)

(Kumud is listening to all this)

K2: Kali, kya yahi wajah hai ki tum mujhse nafrat karti ho. Kabhie mujhe bhi laga tha ki meri pass ek badi bahen hai par wo bahen aaj mere baare mein sirf khamiya hi dekhti hai. Tumne jo saari wajah mujhe diye wo sabh jayaz hai. Aur abh tum suno. Meri pass bhi kai wajah hai

 

  1. Meri maa ki jagah par tumhare maa baith gaye
  2. Garv ko meine sache dil se, apne jaan se bhi pyaara samjha aur tumne use mujhse door kar diya.
  3. Tumne athara saal shaan shokat ke saath zindagi guzare aur meine pal pal halaat ke saath samjhota kiya.
  4. Mera naam ke peeche meri maa ke naam aur tumhare naam ke peeche tumhare baap ka naam.
  5. Meine apne zindagi baap bina guzara aur tumne maa aur baap dono ke saath.

 

K1: Kya tum mujh se jalti ho.

K2: Aur tum

K1: Haa, tumhare pass wo sabh kuch hai jo mere pass nahi, tumhare pass apne izzat, vishwaaas, aur tumhare maa sabh saath mein hai aur mere pass nahi izzat, na vishwaas aur nahi maa. (Crying)

 

(Kumud starts to go near her and console her)

K2: Kali aise nahi sochte, dekho agar hum ache tarah se pesh aaye to…

K1: Mat samjhao mujhe, (she pushes Kumud) Mujhe kisi ki hamdarzi nahi chahiye

(Kali is stepping forward towards Kumud and is still crying)

(Kumud is crying also)

K2: Par tumhe meri zaroorat hai

K1:  Kisi ki zaroorat nahi hai mujhe

(She's still coming closer to K2)

(By now Kali has reached Kumud and then slaps Kumud three times

Created

Last reply

Replies

5

Views

1323

Users

3

Frequent Posters

Ashmit_Pooja thumbnail
Posted: 18 years ago
plz post ur replies and comments....if its not good...I will stop writing..
hrithick_luvr thumbnail
Posted: 18 years ago
its great...plz continue soon
Ashmit_Pooja thumbnail
Posted: 18 years ago
This content was originally posted by: hrithick_luvr

its great...plz continue soon



thanks....its mi first time....so I dunno..but I will continue in fe hours
hrithick_luvr thumbnail
Posted: 18 years ago
This content was originally posted by: Ashmit_Pooja



thanks....its mi first time....so I dunno..but I will continue in fe hours

ok great cnt wait....keep up the great work
Kumud_Kshitij thumbnail
Posted: 18 years ago
WOW...dis is waaaaaaaaaaaayyyyyy 2 kewl....omg will wat will kumud's reaction be?