Kutumb song lyrics

  •  
  • Page of 1 Go
  •  
Posted: 16 years ago

Songs sung by Shaan for Pratham
a) Fast songs

1. chein se jeene nahi dunga sataaunga
sari umar ungli pe nachaaunga
jeewan ka naya roop dikhaaunga
har pal ek tufaan utthaaunga
tera ghamand pal mein mitaa dun
kadamon tale main tujhko giraa dun
tu cheez kya hai tujhko bataa dun
hey! hey! hey! hey!

2. teri meri dosti sabko pyaari hai
sabse alag hai yeh sabse niraali hai
main jo hun suraj tu meri roshni hai
tujhko samajhne mein der lagi hai
janamon ka saath chhutega kaise
bandhan bhala yeh tutega kaise
rishta bhala yeh rutthega kaise

3. yeh tere waar ka chhota sa jawab hai
maine chukayaa tumhara har hisaab hai
khud ko samajh na samajh samajhne de
tum ho hamesha hi mere nishaane pe
hontthon ki laali angoor ban gayi
dushmani ki deewaar ban gayi
sabki nazaron se aag gir gayi

4. wadaa kiya tha jo maine nibhaayaa hai
sar tera kadamon mein laake jhukaaya hai
jeet ka maine aise jashan manaayaa hai
aaeenaa haal ka tujhko dikhaayaa hai
are ab kahaan woh baatien badi-badi
bujh gayi akadti woh phuljhadi
jao-jao kyun ho yahaan khadi

5. jo mujhse naa kehta hai toot jaataa hai
us din se uska naseeba rootth jaata hai
mere sitam se woh bach nahi paataa hai
woh aaeene ki tarah phut jaataa hai
mere aage jhukte har ek sar
darta hai mere khauff se nagar
tujh pe lagi hai ab meri nazar

6. tu hai agar bees to main ikkis hun
sabse alag hun main dil ka raees hun
tumko main sabki nigaahon se giraaunga
badnam tujhko main aisa kar jaaunga
tthukaraaenge tujhe tere apne
tutenge teri aankhon ke sapne
yeh kasam abhi utthai hai humne

7. rishton ke bandhan yeh kya nibhaaenge
dono hain dushman yeh ghar kya basaaenge
aise hi yeh apni khushiyaan mitaaenge
yeh apni uljhan aur baddhaaenge
koi kisi ka humdum nahi hai
inko kisi ka ab gam nahi hai
ek-dusre se koi kam nahi hai

8. parwaanaa mujhko tu shammaa samajhti hai
par mere samne teri naa koi hasti hai
meri hukoomat chale yeh woh basti hai
jeewan hai mehanaga aur maut yahaan sasti hai
nakhre tere main pal mein bhula dun
aukat teri main tujhko bataa dun
tujhe chutkiyon mein aise urra dun

9. sare jahaan ko yeh humne bataaya hai
hirney ke aage abhi sher aayaa hai
patthar se dekho sheesha takaraayaa hai
anjaam uski samajh mein ab aayaa hai
tu phool aur bhanwaraa jawaan hun main
tu nabhar hai aur fiza hun main
har kadam kharra intehaan hun main

10. raat aur din kya kabhi mil paate hain
dharti aur ambar kya haath milaate hain
purab aur pashchim kabhi saath mein aate hain
hontthon pe aansu kabhi muskuraate hain
yeh do alag-alag hain dishaayen
milnaa bhi chaahen to mil naa paayen
kaise hon ek bhalaa inki raahein

11. tumne abhi humein samjha na jaana hai
mujhko abhi tak nahi pehchaana hai
ab har jagah pe tu mera nishaanaa hai
barbaad kar dungaa tujhko bataanaa ahi
tujhe har kadam pe rusvaa karungaa
jaaye jahaan tu peechha karungaa
sochaa nahi jo aisa karungaa

b) Slow songs

1. dil ne mujhe ehsaas dilaayaa hai
bedardi se main tujhko sataayaa hai
nafrat ki aag mein tujhko jalaayaa hai
haathon se apna naseeb mitaayaa hai
mere sitam mujhe hi staaye
daste hain mujhko mere hi saaye
aakaash tu yeh sab bhool jaaye

2. tum bhi ab apne dil ko saaf karo naa
galti hamaari ab maaf karo naa
tum se yeh meri zindgaani hai
yeh baat humne abhi-abhi jaani hai

3. rutthe hue pal ko kaise manaayenge
rote hue kaise hum muskuraayenge
mere sitam jab tumhe yaad aayenge
dil ke tere tukrre kar jaayenge
nafrat ki aag dil mein lagaa ke
mujhe kya mila hai tujhko jalla ke
yeh sochta hun sab kuchh lutaa ke

4. teri wafaaon ko aaj maine jaana hai
teri muhabbat ko maine pehchaanaa hai
meri khata thi jo tumko rulaayaa hai
mera bhi dil ab bahut pachhtaayaa hai
rasamon ko yun nibhaate rahen hain
khud se phareb khaate rahen hain
khushiyon ko yun jalaate rahe hain

5. bin tere har lamha udaas ho gayaa hai
mera dil tere dil ke paas ho gayaa hai
jo ho rahaa tha woh deewangi thi
iska mujhe ehsaas ho gayaa hai
palkon mein ab teri si nami hai
yaadon ki pehali yeh chaandni hai
tu jo nahi to kuchh bhi nahi hai

6. saanson mein ab teri yaadon ka pehraa hai
har aaeene mein ab tumhaaraa hi chehara hai
tere khayaalon mein kaate hain pal-chin
jeena nahi hai mujhe ab tere bin
apna tumhe hi ab maanaa maine
tumhe chah kar hi jaanaa maine
is zindagi ko pehchaana maine

7. Jo ho rahaa hai woh kaise bhoolaaungaa
bite hue lak ko kaise bhoolaaungaa
yeh dard tanhaa ab kaise sahungaa
sapnon ke toote ghar mein kaise rahungaa
kismat ne khel khela hai kaise
ek par kate parinde ke jaisa
kisi ke saath kabhi ho na aisa

8. Jaane woh pyaaraa din kab aayegaa
jab meri baahon mein tu khilaayegaa
bachpan mera tujh mein laut aayegaa
gaayegaa jeewan tu jab muskuraayegaa
ungali pakarke chalnaa sikhaaun
kaandhe pe apne tujhko bitthaaun
tujhe sar utthaake jeena sikhaaun

9. woh haadsa ho gaya jo na hona tha
paane se pehale tujhe aise na khona tha
tu meri aankhon ka sapna salona tha
meri umeedon ka pyaara khilona tha

10. rishte banaate hain rishte mitaate hain
saavan mein kaagaz ke kharge banaate hain
apne liye hi tufaan utthate hain
paani mein kaise ye aag lagaate hain
apna gharonda khud hi mitaaye
apne hi haathon khud ko jalaaye
khud apne aap ko aazmaaye

11. woh jiski raahon mein deepak jalaayen hain
humne usise fareb bhi khaayen hain
jeevan mein kuchh aise lamhe bhi aayen hain
samjha tha apna jise woh paraayen hain
uski jagah pe koi kaise aaye
usne kiye hain jo zulm haaye
unhe sahake koi kaise bhool jaaye

Songs sung by Jaspinder Nerulla for Gauri
a) Fast songs

1. tu hai unnis har baat mein main bees hun
kehte hain college mein aisi one piece hun
ulajh naa mijhse bahut pachhtaayegaa
sabke aage mazaak ban ke reh jaayegaa
sheesha hun jisse patthar bhi toote
sach bolte hain mere aage jhootthe
tu cheez kya hai ja-ja re jhootthe

2. tu mera husband hai main teri wife hun
maane naa maane par main teri life hun
chalnaa hai ek raah mein larrte-larrte
tu mujhse bachke kahaan tak jaayegaa
chal teri zindagi main sambhaalun
paayal ki beri paaon mein baandhun
pehale tujhe main apna bannaa lun

3. aaj tumhaaraa nahi vakt yeh mera hai
maine tumhe har taraf se yun gheraa hai
chaaron taraf ghanghor andheraa hai
aur meri mutthi mein kal ka saweraa hai
chaahungi jo wahi tum karoge
meri nigah se bhi daroge
jaise kahungi vaise chaloge

4. bol barre na bol varna pachhtaayega
urrne waalaa panchhi zameen pe aajaayenga
daulat ke bal mein chal sar utthaake
tthokar lagegi to utth nahi paayegaa
bar-bar raste mein aao naa
naa mujhko jhootthe tewar dikhaao naa
haar mujhse ab maan jaao naa

5. raahon ki yeh roshni khud utthaayenge
pal dushmani ke inhe rootth jaayenge
hai aag dil mein yeh ghar kya basaayenge
hai pyaar kya cheez yeh kyaa bataayenge
jhonke hawaa ke bas mein naa aayen
hain do kinaare kabhi mil naa paayen
dono ki apni-apni dishaayen

6. hasti kya teri jo mujhko tarpaayegaa
raahon mein tu kya mere kaante bichhaayega
apni soch kya mujhko daraataa hai
taiyaar hun jo hoga dekha jaayegaa
har war tera bekaar jaaye
jab chaahe tu mujhe aazmaaye
jeete kabhi naa tu haar jaaye

7. mujhse takaraayegaa toot jaayegaa
royegaa khud mujhko kya rulaayegaa
kya hoga kal aane waalaa bataayegaa
tu kya hai jo meri hasti mitaayegaa
jao-jao aankhen dikhaao naa
har kadam mujhe aazmaao naa
haar mujhse ab maan jao naa
hey! hey! hey! hey!

8. main woh shamaa nahi jo bujh jaungi
khud bhi jaloongi tujhe bhi jalaaungi
tere iraade choor-choor kar jaaungi
har morr pe tujhko neecha dikhaaungi
ab main tumhaari humdum nahi hoon
tumse kahin bhi main kam nahi hun
ek aag hun main shabnam nahi hun

b) Slow songs

1. rutthe hue dil ko maine manaayaa hai
mujhko lagaa thaa ki tu laut aayaa hai
jab dil ke tukrre jurre to yeh jaanaa
tune bhi mera mazaak banaayaa hai
chahare pe ek chahara lagaa kaa
chupke se mere nazdeek aake
dhokhaa diyaa hai apna banaake

2. sukh mein paraaye bhi paas aa jaate hain
dukh mein sirf apne saath nibhaate hain
aansu ke bandhan mein hum bandh jaate hain
mera KUTUMB meri jaan hai bataate hain

3. yeh kya hua hai yeh kiski khataa hai
kis jurm ki mil rahi yeh sazza hai
aankhon ki meri nami keh rahi hai
bin tere yeh zindagi kuchh nahi hai
tujhe kuchh nahi ho yeh main duaa dun
teri dhadkano mein saanse bichha dun
tere vaaste main rab ko sazaa dun

4. jo ho raha hai naseebon ki baatien hain
din hain kisi ke mukaddar mein raatien hain
pal hi hasaatien hain pal hi rulaatien hain
hum aone dil ko yahi samjhaate hain
jo kho gayaa hai use dhoondhanaa nahi
woh milegaa tujhko kabhi nahi
aaj jo hai uspe karo yakeen

5. sochaa tha murjhaaye phool khil jaayenge
apne bhi pyaar bhare din laut aayenge
lekin hua kya kise hum bataayenge
hans-hans ke sabse yeh aansun chhupaayenge
bandhan janam ka toota hai pal mein
jaana hai maine yeh aaj kal mein
ab tak thi main ret ke mahal mein

6. kya tha tumhaaraa kya kho gayaa jo rotaa hai
hota hai jo achhe ke liye hota hai
in aansuon se yeh daaman bhigota hai
haathon ki rekha jo hola wahi hita hai
kal jo yahaan tha ab woh kahin hai
is baat kaa to sabko yaheen hai
insaan ke bas mein kuchh bhi nahi hai

7. honi-anhoni ko kaun rok paayaa hai
khilne se pehle hi phool murjhaayaa hai
jisne banaayaa usi ne mitaayaa hai
jo bhi hua hai woh ram ji ki maya hai
roosi hui yeh kismat khadi hai
palakon pe aansuon ki ladi hai
chup ho jaa yeh imtehaan ki khadi hai

8. kudrat ka dekho yeh kaisa karishma hai
kahin pe khushiyan kahin pe sadma hai
milne bichhudne ka kaisa samaa hai
jeevan ka shayad yahi to nagma hai
yeh sach hai maan le sochta hai kya
yeh nasib ka hai likha hua
milke bhi tujhe woh nahi milaa

9. jo bhi hua usme dosh tumhaaraa hai
jeevan ki jeeti yeh baazi tu haaraa hai
meri tammannaaon ko tune maaraa hai
palakon pe aansu labhon ka utaaraa hai
kiski khata kiski sazaa hai
inzaam kiska kisko lagaa hai
sansaar ko na kaahi mitaa hai

10. yeh faasle humne khud hi banaaye hain
apne basere ke tinke urraayen hain
aaenaa ko hanske chaharaa dikhaaye hai
aansu piye hain magar muskuraaye hain
hum saaye se alag saayaa ho gaya
hona jo nahi tha woh ho gaya
nafaraton mein rishta woh kho gaya

11. heera hai moti hai chaandi hai sona hai
duniyaa to rab ke liye ek khilonaa hai
ek pal mein paanaa hai ek pal mein khonaa hai
phir kis liye kis baat ka rona hai
rishtaa wahi jo dukh mein nibhaaye
sahaaraa wahi jo tere saath aaye
khushiyan wahi jo labh ko hansaaye

Songs sung by both (Shaan and Jaspinder Nerula) for Pratham and Gauri
NOTE: Lines in block letters are sung by Pratham and the others by Gauri.

1. CHAHAT KI TUJHKO MAIN PEHCHAAN DUNGAA
LE LUNGA AANSUN AUR MUSKAAN DUNGAA
hans ke kahegaa har baat maan lungi
dil kya hai kadamon mein yeh jaan dungi
yeh pyaar kaa woh pyaaraa safar hai
KABHI ISKA DAR HAI KABHI USKA DAR HAI
tum saath jab ho phir kiska dar hai

2. CHHORRO BHI GUSSAA ZARA MUSKURAAO NAA
JO HO GAYAA HAI USE BHOOL JAAO NAA
jao ji jao yeh baatien banaao naa
tum to barre woh ho hum ko jalaao naa
MERI GALATIYON KO MAAF KIJIYE
pehle apna dil saaf lijiye
ACHHA BAABAA AB HANS BHI DIJIYE

3. TERI NIGAAHON NE KYA KAR DIYA HAI
DIL MERA BECHEIN REHANE LAGA HAI
betabiyon ka ajab silsila hai
kaise bataaun yeh kya ho raha hai
EK DARD MITTHA-MITTHA UTTHA HAI
jadoo naya sa koi chala hai
KOI BATAAYE YEH KYA BALAA HAI

4. TUJHKO NAZAR NAA LAGE KAHIN RAAHON MEIN
AAJAA CHHUPAA LUN TUJHE APNI BAAHON MEIN
chaand bhari shokh in mulakaton mein
aaun na main teri mitthi-mitthi baaton mein
NAKHARE KARO NAA MERI JANEJANAA
mera dil bana hai tera nishanaa
MAINE TUMHE TO APNAA HAI MAANAA

5. bheege hue pyaar ke muskurate pal
dheere se dil mein machaane lage hal-chal
YEH CHAANDANI RAAT AUR SAAMNE HO TUM
CHAHARE SE KAISE NIGAAHIEN HATAAYEN HUM
ek bekhudi si chhane lagi hai
MADHOSHIYAAN BULAANE LAGI HAIN
tanhaaiyaan bhi gaane lagi hain

6. palkon ne milkar yeh sapne bune hain
ek duje ke vaaste hum bane hain
AAYI HAI CHAAHAT RANGEEN SHAAM LEKAR
DHARRKE MERA DIL TERA NAAM LEKAR
ab do dilon mein ikraar ho gayaa
JEENA MERA DUSHWAAR HO GAYAA
mujhko tumse ab pyaar ho gayaa

7. tere mere raaste mil na paayenge
ab hum kadam naa milke chal paayenge
HUM TUTE SHEESHE KABHI NA MIL PAAYENGE
AB APNI DUNIYAA ALAG HUM BASAAYENGE
NA TUM HUMAARE NA HUM TUMHAARE
hum hain nadi ke do behte dhaare
HUM IS KINAARE TUM US KINAARE

8. agni ke fere jo bandhan banaate hain
rishte woh kaagaz se kya toot jaate hain
DIL PE LIKHE NAAM KYA MIT JAATE HAIN
EK DUJE KO KYA KABHI BHOOL PAATE BHAIN
rishte the kaanch ke jaise toote
EK DUSRE KA SUKH-CHEIN LOOTE
khud apne aap se yeh hain rootthe

9. jodi gagan mein dikhaavaa banaataa hai
patni-pati ka to janamon kaa nataa hai
KOI KISI PE KURBAAN HO JAATAA HAI
INKI SAMAJH MEIN TO KUCHH ANHI AATAA HAI
kahin pyaar ka hai saavan barastaa
KAHIN NAFARATON KA SHOLA BHADAKTA
kaisa ajeeb sa hai yeh rishtaa

 

Posted: 16 years ago
amazing .. apretiate ur patience .:-) thanks a lot
  1  

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

3 Participants 2 Replies 31252Views

Topic started by .noone.

Last replied by meghanak07

loader
loader
up-open TOP