Hindi songs of Emotional Impact - Page 2

Posted: 16 years ago

this one I think is very cute song 😛 ..please do watch the picturization of the song.. 😆

http://www.youtube.com/watch?v=h6i5skLa8VY



dheere se jaanaa.. dheere se jaanaa
khatiyan mein o.. khatmal
dheere se jaanaa khatiyan mein
dheere se jaanaa khatiyan mein o.. khatmal
dheere se jaanaa khatiyan mein
soyee hai raaj kumaari.. soyee hai
soyee hai raaj kumaari dekh rahi meethe sapne
jaa jaa chhup jaa.. jaa jaa chhup jaa..
takiyan mein o.. khatmal
dheere se jaanaa khatiyan mein

veeraan thi apni zindagi aur soonaa thaa apnaa makaan
haai haai re kismat

mile mushkil se ye mehmaan
ho bhi jaate shaayad meharbaan
mile mushkil se ye mehmaan
ho bhi jaate shaayad meharbaan
aag lagaa di hai sukhan mein o.. khatmal
dheere se jaanaa khatiyan mein
dheere se jaanaa khatiyan...

komal hai inkaa badan
kaante si teri chubhan
komal komal hai inkaa badan
kaante si teri chubhan
baadhaa daale, nindiyan mein o.. khatmal
dheere se jaanaa khatiyan mein

ey ey kidhar jaataa hai
khabar! khabardaar! haan.. chhuup chhup ke?

kyon chhup chhup ke pyaar kare tu
badaa chhuupaa huaa rustam hai tu
kyon chhup chhup ke pyaar kare tu
badaa chhuupaa huaa rustam hai tu
le le hamko bhi sharan mein.. o.. khatmal
dheere se jaanaa khatiyan mein
dheere se jaanaa khatiyan...

dheere se jaanaa.. dheere se jaanaa.. dheere se jaanaa
bagiyan mein o.. bhanvraa
dheere se jaanaa bagiyan mein

Edited by *dolly* - 16 years ago
Posted: 16 years ago

Movie: Hanste Zakhm (1973)
Singer: Rafi and Lata

 

http://www.youtube.com/watch?v=-X3nsbo--fA

tum jo mil gaye ho, to ye lagataa hain
ke jahaan mil gayaa
yek bhatake huye raahee ko, kaarawaan mil gayaa

baithho naa door hum se, dekho khafaa naa ho
kismat se mil gaye ho, mil ke judaa n ho
meree kyaa khataa hai, hotaa hain ye bhee
ke jamee se bhee kabhee, aasamaan mil gayaa

tum kyaa jaano, tum kyaa ho
yek sureelaa nagmaa ho
bheegee raato mein mastee, tapate dil pe saayaa ho
ab jo aa gaye ho, jaane naa doongaa
ke muze yek haseen, meharabaa mil gayaa

tum bhee the khoye khoye, main bhee buzaa buzaa
thaa ajanabee jamaanaa, apanaa koee n thaa
dil ko jo mil gayaa hai, teraa sahaaraa
yek naee jindagee kaa, nishaa mil gayaa

Edited by *dolly* - 16 years ago
Posted: 16 years ago

this song is from tragedy Queen Meena kumaris movie Pakeezah...

 

http://www.youtube.com/watch?v=THKo7A9spac

Song : Chalte Chalte
Movie : Pakeezah

chalte chalte
yuun hi koi mil gaya tha
sare raah chalte chalte
vahin thamke rah gayi hai
meri raat DHalte DHalte
jo kahi gayi na mujhse
voh zamaanaa keh rahaa hai
ki fasaanaa
ki fasaanaa ban gayi hai
meri baat chalte chalte
yuun hi koyi mil gaya tha
sare raah chalte chalte
sham-e-intazaar aakhir
kabhi hogi muqt asar bhi
ye chiraag
ye chiraag bujh rahe hain
mere saath jalte jalte
ye chiraag bujh rahe hain
mere saath jalte jalte
yuun hi koyi mil gaya tha
sare raah chalte chalte

Edited by *dolly* - 16 years ago
Posted: 16 years ago

A very melodious song of Lata ji...

http://www.youtube.com/watch?v=D1nTpNOhIK8

Hindi Song Title: lag jaa gale ki phir ye hasiin raat ho na ho
Hindi Movie/Album Name: Woh Kaun Thi
Singer(s): Lata Mangeshkar
Actor(s)/Actress(es): Sadhana, Manoj Kumar
Music Director(s): Madan Mohan
Lyricist(s): Raja Mehdi Ali Khan

lag jaa gale ki phir ye hasiin raat ho na ho
shaayad phir is janam me.n mulaaqaat ho na ho
lag jaa gale se ...

hamako milii hai.n aaj, ye gha.Diyaa.N nasiib se
jii bhar ke dekh liijiye hamako qariib se
phir aapake nasiib me.n ye baat ho na ho
phir is janam me.n mulaaqaat ho na ho
lag jaa gale ki phir ye hasii.n raat ho na ho

paas aaiye ki ham nahii.n aae.nge baar-baar
baahe.n gale me.n Daal ke ham ro le.n zaar-zaar
aa.Nkho.n se phir ye pyaar ki barasaat ho na ho
shaayad phir is janam me.n mulaaqaat ho na ho

lag jaa gale ki phir ye hassii.n raat ho na ho
shaayad phir is janam me.n mulaaqaat ho na ho
lag jaa gale ki phir ye hassii.n raat ho na ho

Edited by *dolly* - 16 years ago
Posted: 16 years ago
Jagjit Singh in Arth

 http://www.youtube.com/watch?v=-J0_ErhbwcI


Jhuki Jhuki si nazar, bekaraar hai ki nahi
Jhuki Jhuki si nazar, bekaraar hai ki nahi
Daba daba sa sahi, dil mein pyaar hai ki nahi
Jhuki jhuki si nazar

Tu apni dil ki jawan dhadkano ko, gin ke bata
Tu apni dil ki jawan dhadkano ko, gin ke bata
Meri taranh tera dil, bekaraar hai ki nahi
Daba daba sa sahi, dil mein pyaar hai ki nahi
Jhuki jhuki si nazar

Wo pal ke jisme mohhabbat, jawan hoti hai
Wo pal ke jisme mohhabbat, jawan hoti hai
Us ek pal ka tujhe, intazar hai ki nahi
Daba daba sa sahi, dil mein pyaar hai ki nahi
Jhuki jhuki si nazar

Teri ummed pe thukra raha hoon, duniya ko
Teri ummed pe thukra raha hoon, duniya ko
Tujhe bhi apne pe ye etbaar hai ki nahi
Daba daba sa sahi, dil mein pyaar hai ki nahi
Jhuki jhuki si nazar Edited by *dolly* - 16 years ago
Posted: 16 years ago

Good thread Dolly. Here I start...

Following song always makes me emotional....

http://www.youtube.com/watch?v=mpI4fpIhu3Q

Movie Name: Shree 420 (1955)
Singer: Mukesh
Music Director: Shankar-Jaikishan
Lyrics: Shailendra
Year: 1955
Producer: RK Films
Director: Raj Kapoor
Actors: Iftekhar, Lalita Pawar, Nadira, Nargis, Raj Kapoor

Mera joota hai japani
Yeh patloon inglisthani
Sar pe laal topi roosi
Phir bhi dil hai hindustani
mera joota hai ..

Nikal pade hain khuli sadak par
Apna seena taane -2
Manzil kahan kahan rukna hai
Upar waala jaane -2
Badhte jaaye hum sailaani
Jaise ek dariya tufaani
sar pe laal topi roosi

Upar neeche neeche upar
Lahar chale jeevan ki -2
Naadan hain jo bait kinaare
Poochhe raah vatan ki -2
Chalna jeevan ki kahani
Rukhna maut ki nishaani
Saar pe laal topi roosi..

Honge raaje raajkunvar hum
Bigade dil shahzade -2
Hum sinhaasan par ja baite
Jab jab karen iraade -2
Surat hai jaani pehachani
Duniya walon ko hairaani
Saar pe laal topi roosi..

Mera joota hai japani ..

Posted: 16 years ago

Here is another :

Chalte Chalte (1974)


Chalte Chalte Mere Yeh Geet Yaad Rakhna
Kabhi Alvida Na Kahna (2)
Rote Hanste Bas Yunhi Tum
Gungunate Rahna
Kabhi Alvida Na Kehna (2)

Pyar Karte Karte Hum Tum Kahin Kho Jayenge
Yunhi Baharon Ke Aanchal Mein Chhup Ke So Jayenge
Sapno Ki Duniya Mein Tum Yunhi Bulate Rahna
Kabhi Alvida Na Kehna (2)

Chalte Chalte...

Beech Rah Mein Dilbar Bichhad Jaye Kahin Hum Agar
Aur Sooni Si Lagey Tumhe Jeevan Ki Yeh Dagar
Hum Laut Ayenge Tum Yunhi Bulate Rehna
Kabhi Alvida Na Kehna (2)

Chalte Chalte..

Posted: 16 years ago

This song always brings tears in my eyes....

http://www.youtube.com/watch?v=X8f5Aqfgbsg

Movie Name: Neel Kamal (1968)
Singer: Mohd Rafi
Music Director: Ravi
Lyrics: Sahir Ludhianvi
Year: 1968
Producer: Kalpnalok
Director: Ram Maheshwari
Actors: Balraj Sahni, Jairaj, Manoj kumar, Mehmood, Raj Kumar, Shashikala, Waheeda Rehman
Theme: Family Drama

(Babul ki duaayein leti jaa
Jaa, tujhko sukhi sansaar mile) - 2
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasuraal mein itna pyaar mile
Babul ki duaayein leti jaa
Jaa, tujhko sukhi sansaar mile

Naazon se tujhe paala maine
Kaliyon ki tarah, phoolon ki tarah
Bachpan mein jhulaaya hai tujhko
Baahon ne meri jhoolon ki tarah
Mere baagh ki ae naazook daali
Tujhe harpal nayi bahaar mile
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasuraal mein itna pyaar mile

Is ghar se bandhe hain bhaag tere
Us ghar mein sadaa tera raag rahe
Honton pe hansi ki dhoop khile
Maathe pe khushi ka daag rahe
Kabhi jiski jyot na ho pheeki
Tujhe aisa roop singaar mile
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasuraal mein itna pyaar mile

Beete tere jeevan ki ghadiyaan
Aaraam ki thandi chhaon mein
Kaanta bhi na chhubne paaye kabhi
Meri laadli tere paaon mein
Us baar se bhi dukh door rahe
Jis baar se tera baar mile
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasuraal mein itna pyaar mile
Babul ki duaayein leti jaa
Jaa, tujhko sukhi sansaar mile
Babul ki duaayein leti jaa

 

Posted: 16 years ago
Har Ghadi Badal Raha Hai Roop Zindagi
Chaav Hai Kahhi Hai Dhoop Zidnagi
Har Pal Yahan
Jee Bhar Jiyo Jo Hai Sama
Kal Ho Na Ho
Har Ghadi Badal Raha Hai Roop Zindagi
Chaav Hai Kahhi Hai Dhoop Zidnagi
Har Pal Yahan
Jee Bhar Jiyo Jo Hai Sama
Kal Ho Na Ho

Chaahe Jo Tumhe Poore Dil Se
Milta Hai Woh Mushkil Se
Aisa Jo Koi Kahin Hai
Bas Vahi Sabse Hasin Hai
Us Haath Ko Tum Thaam Lo
Woh Meherbaan Kal Ho Na Ho
Har Pal Yahan
Jee Bhar Jiyo Jo Hai Sama
Kal Ho Na Ho

Palko Ke Leke Saaye
Paas Koi Jo Aaye
Takh Sambhalo Paagal Dil Ko
Dil Dhadke Hi Jaaye
Par Sochlo Is Pal Hai Jo
Woh Dastan Kal Ho Na Ho
Har Pal Yahan
Jee Bhar Jiyo Jo Hai Sama
Kal Ho Na Ho
Har Pal Yahan
Jee Bhar Jiyo Jo Hai Sama
Kal Ho Na Ho

Posted: 16 years ago
Sandese aate hain
Humein tadpaate hain
To chitthi aati hai
To poochh jaati hai
Ke ghar kab aaoge
Ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ki tum bin ye ghar soona soona hai

Sandese aate hain
Humein tadpaate hain
To chitthi aati hain
To poochh jaati hai
Ke ghar kab aaoge
Ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ki tum bin ye ghar soona soona hai

Kisi dilwaali ne kisi matwaali ne
Humein khat likkha hai
Ki humse poochha hai
Kisi ki saason ne kisi ki dhadkan ne
Kisi ki choodi ne kisi ke kangan ne
Kisi ke kajre ne kisi ke gajre ne
Mahekti subahon ne machalti shaamon ne
Akeli raaton ne adhoori baaton ne
Tarasti baahon ne
Aur pooccha hai tarsi nighahon ne

Ke ghar kab aaoge
Ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ki tum bin ye dil soona soona hai

Sandese aate hain
Humein tadpate hain
To chitthi aati hai
To pooche jaati hai
Ke ghar kab aaoge
Ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ki tum bin ye ghar soona soona hai

Mohabbat walon ne hamare yaaron ne
Humein ye likkha hai ke humse poochha hai
Hamare gaaon ne aam ki chaaon ne
Puraane peepal ne baraste baadal ne
Khet khaliayaanon ne hare maidaanon ne
Basanti belon ne jhoomti belon ne
Lachakte jhulon ne behekte phoolon ne
Chatakti kaliyon ne
Aur poochha hain gaaon ki galiyon ne

Ke ghar kab aaoge
Ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ki tum bin gaaon soona soona hai

Sandese aate hain
Humein tadpate hain
To chitthi aati hai
To pooche jaati hai
Ke ghar kab aaoge
Ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ki tum bin ye ghar soona soona hai

Ohh Ohhhh Ohhh ...

Kabhi ek mamta ki
Pyaar ki ganga ki
Vo chitthi aati hai
Saath vo laati hai
Mere din bachpan ke
Khel vo aangan ke
Vo saaya aanchal ka
Vo teeka kaajal ka
Vo lori raaton mein vo narmi haathon mein
Vo chaahat aankhon mein vo chinta baaton mein
Bigadna oopar se mohabbat andar se
Kare vo devi maa
Yahin har khat mein poochhe meri maa

Ke ghar kab aaoge
Ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ki tum bin aangan soona soona hai

Sandese aate hain
Humein tadpate hain
To chitthi aati hai
To pooche jaati hai
Ke ghar kab aaoge
Ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ki tum bin ye ghar soona soona hai

ohohho..
Ay guzarne waali hava bata
Mera itna kaam karegi kya
Mere gaanv ja mere doston mo salaam de
Meri gaanv mein hai jo vo gali
Jahaan rehti hai meri dilruba
Usay mere pyaar ka jaam de
Usay mere pyaar ka jaam de
Vahin thodi door hai ghar mera
Mera ghar mein hai meri boodhi maa
Mere maa ke pairon ko chhooke
Usay uske beta ka naam de
Ay guzarne waali hava zara
Mere doston meri dilruba
Meri maa ko mera paiyam de
Unhe jaake ty ye paigam de

Main vaapas aaoonga
Main vaapas aaoonga
Phir apne gaaon mein
Usiki chaaon mein
Ki maa ke aanchal se
Gaanv ke peepal se
Kisike kaajal se
Kiya jo vaada tha vo nibhaoonga
Main ek din aaoonga
Main ek din aaoonga
Main ek din aaoonga
Main ek din aaoonga
Main ek din aaoonga
Main ek din aaoonga
Main ek din aaoonga
Main ek din aaoonga

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

15 Participants 83 Replies 9325Views

Topic started by *dolly*

Last replied by *dolly*

loader
loader
up-open TOP