Pal aisa tha k hum inkaar na kar paye
zamane k dar se ikraar na kar paye
na thi jin k bina zindagi Munasib
chorh diya unhone hame hum sawal na kar paye
Ek dost aisa chahiyay jo hame apna maan sake
hamare har dukh ko jaan sake
chal rahe houn hum tez baarish mein
phir bhi pani mein ansoo ko pehchan sake
Kahan koi aisa mila jis pe duniya luta detay
har aik ne dhoka diya kis kis ko bhula detay
apna ghum dil mein daba rakha hai
agar karte bayan tu mehfil ko rula detay
Palkoun ko ashkoun se bhigona nahi ata
jo milay khushi se usay khona nahi ata
seh letay hain har ghum has k
aur log kehtay hain k hamein rona nahi ata
Roshni kab kam hoi pata na chala
khushi kab ghum hoi pata na chala
uski yaad mein khoye kuch is tarha
aankh kab nam hoi pata na chala
Aik lamhe mein usne zindagi sanwar di
aik lamhe mein usne zindagi ujarh di
kasoor us ka nahi hamara tha
un do lamhoun mein humne zindagi guzar di
not written by me
Maya
comment:
p_commentcount