•  
  • Page of 1 Go
  •  
Posted: 17 years ago

A Journey of Love and its Destiny

Characters:

Kaveri devi Mehta- Anushka's dadi

Dr. Krishnakant Mehta- Anushka's dad

Nandini Mehta- Anushka's mom

Anushka - the story of her

Ananya - Anushka's sister

Sameer Shah- Ananya's husband

Karuna- Anushka's best friend

Dr. Ravindra Shamarth- Sahil's father

Divya Shamarth- Sahil's mother

Sahil Shamarth- Anushka's love

Akhilash Joshi- Nikhil's father

Shobhana Joshi- Nikhil's mother

Nikhil Joshi- Anushka's husband

Priti Joshi- Nikhil's younger sister

Raji-maid at Anushka's in-laws house

Mehul Shahni-Priti's love

Shekhar Nandani- Vinit's father

Ramona Nandani- Vinit's mother

Vinit Nandani- Priti's husband

PART- 1

Yeh kahani hai ek aisi ladki ki hai jise sapne sach lagte hai is liye woh sapno me hi jina chahti hai. Woh ek mumbai ke paas ek chote se saher ki rehnewali thi jo baki ki ladkiiyon se kahi alag. Uska naam Anushka hai. Naam Anushka aisa hi lagta hai ki uske liye hi bana he. Anushka ka matlab hota hai roshni ek khubsurat chehre ki. Woh itni sundar thi ki agar aap ek bar uski aankhon me dekho to aapko doosara kuch dekhne ko mann nahin karta. Jaisi woh sundar thi aisi hi woh padhai me aage sabse aage. Chaliye uski kahani suru hone se pehle hum aapko uske bare main kuch aur batate hai. Anushka pure ghar ki mushkan thi aur jab woh udas hoti to pura ghar udas ho jata aur papa ki sabse ladli beti bhi. Woh bhagwan pe apne se jyada vishvas karti hai. Woh her din apne dadi ke saath mandir main jati hai aur hamesha apni dadi se ladti rehti hai kyonki Anushka ko bhagwan Krishna pe jyada bharosa tha. Anushka ko Krishnaji is liye pasand the kyonki Krishnaji pyar main vishvas karte the bilkul uski tarha. Woh sirf Chudidaar dress pehnti hai kyonki use lagta hai duniya ke baki sare kapde ek taraf aur hindustani ek taraf kyonki yeh kapde aapki khubhsurti ko badhati hai. Jab woh bazaar se nikalti thi tab uski payal ki chan chan aur choodi ki khanak se sara mahol gunj uadhata tha. Woh hamesha naak me nathni pehnti hai Radhaji ki tarah. Use apni dost Karuna ke saath jeel ke kinare jana pasand tha jahan woh apne dil ki sari baatain Karuna se keh sakti. Karuna uski ek hi dost thi bachpan ki. Use kavita padhana, barish me bhigna aur uske favorite red roses achche lagte. Woh bahot hi kubsurat painting bhi banana janti hai aur gana bhi kafi achcha gati . Aakhir main main sirf itna hi keh sakti hoon ki woh aisi thi jo her ladka use apne jeevan main apna humsafar banana chahega.

Anushka ke pitaji ek bahot kabil doctor the aur is liye woh doctor ki beti se pure saher me jani jati thi. Woh apne papa, mamma,dadi, aur badi behan Ananya ke saath rehti thi. Woh apne hi saher me school tak ki padhai ki aur school ke bad uske papa chahte the ki woh high school ke liye paas wale saher me jaye. Aur yeh pehli bar woh apne aap akeli koi bada kadam udhane ja rahi thi bina upne parivaar ke. Woh apne papa se apni dil ki baat bhi nahin ke saki ki use art school jana hai. Usne dekha ki uske papa bahot khush the kyonki yeh pehla kadam tha Anushka ko doctor banane ka. Woh apne aap se bahot naraz thi kyonki usne apne papa se jooth bola ki woh apni zindagi main bahot khush hai. Woh apne bare me kabhi shochti hi nahin. woh to sirf doosaro ko khush dekhna chahati hai. Anushka khush thi ki Karuna uske saath school ja rahi hai. Thode samay ke baad use laga ki sayad papa sahi the muje doctor banane me. Woh apni zindagi main jo hota hai woh swikar leti hai bhagwan ki marji samjke. Baki ki sari ladkiyon ki tarhan who bhi apne rajkumar ka intzaar karti thi ke ek din woh aayega aur woh use duniya ki sari khusiyaan dega.

Anushka apni high school khatam karke vapas ghar aa rahi thi vacation ke liye college suru karne se pehle. Jab woh ghar aai to use pata chala ki Ananya Sameer se pyar karti hai aur Sameer se shaadi karna chati hai. Anushka hamesha pyar ke rishton ko sabse pavitra aur sacha manti thi is liye apne parivaar ke khilaf jakar usne Ananya ka saath diya. Anushka ne apne papa se Ananya ki khushi mangi per uske badle me papa ne ek vachan manga ki Anushka ko us ladke se shaadi karni hogi jise unke mata-pita chunenge jaise her maa-baap ka kwab hota hai. Anushka ne apne papa se vaada kiya ki woh jaisa chahte hai waisa hoga. Aaj usne Ananya ki khushi ke liye apna kwab apna sapna tod dala. Shaadi ki taiyariyaan shuru ho gai. Shaadi ke din sab log bahot khush the per Anushka bahot hi dhukhi thi per woh kamzor nahin thi. Uske aankh me aanshu ruke huye aur chehre pe muskaan. Anushka" Jiju vaada karo ki aap didi ko bahot sara pyar donge aur kabhi bhi didi ko akela mat chhodna." Sameer" Vaada raha aap se aap ki behen ko hum palko pe bithake rakhenge." Woh bahot hi khush thi apni behen ke liye.

Anushka ka vacation kafi achchi tarah se pasar ho raha tha. Ek din use khat aaya ki use Mumbai ki medical college me admission mil gaya hai. Anushka apne papa ke paas unki izazt lene gayi. Uske papa bahot khush the yeh khabar sun ke. Uski dadi bahot hi pareshan thi ki ek jawan ladki ko Mumbai jaise bade saher me akele jane ke liye per kya karti papa ne izazt jo dedi. Anushka ne karuna se phone pe baat ki ke woh use jaldi hi milna chahti hai market ke paas. Anushka market pahonchi to usne bahot badi bhid dekhi. Usne kisi bhi hal me andar jakar dekha to woh Karuna thi. Karuna ka kisi car se accident ho gaya tha. Woh use apne papa ki hospital le gayi. Anushka " Papa, kuch bhi ho jaye aapko Karuna ko bachana hi hoga." Krishnakant " Bahot hi kam umeed hai aur muje lagta hai ki tumhe uske maa-baap ko phone kar dena chahiye." Anushka ne Karuna ke maa-baap ko khabar ki. Krishnakant ne Anushka ke sir pe haath rakh ke kaha "Woh Karuna ko bacha nahi shake." Anushka ko bahot hi gehra sadma laga kyouki Karuna hi ek aisi insaan thi jise woh apne dil ki sari baatain batati thi.

PART-2

Anushka ne apna saman pack kiya aur jane ke liye taiyaar ho gayi kyonki woh us saher me nahin rehna chahti hai jo use Karuna ki yaad dilaye. Nandini " Naye logo se milna aur use dost banana achchi baat hai. bas sirf tumhe insaan ko pehchaan na aana chahiye. Jab bhi koi musibat aaye, aankh bandh karke bhagwan ka naam lena aur woh tumhe rasta dikhayega."Anushka bahot hi dari hui thi kyonki is bar Karuna uske saath nahin hai. Anushka thik se hostel pahonch gayi. Anushka ne kuch naye dost banaye per woh kisi ko apna best friend nahin bana payi.

College ka pehla din tha aur zoro se baris ho rahi thi. Woh taxi me college tak to pahonch gayi. Taxi se bahar nikl te hi woh apne chhate ko sambhalne ki koshish kar rahi thi kyonki bahot tej hawa beh rahi thi baris ke saath. Achanak uska dupatta kisi chij me bharaya hua tha. Woh apni puri koshish kar rahi nikhal ne me ki tabhi kisi ne kaha" Kya main aapki koi madad kar sakta hoon?" Anushka ne mud ke dekha to use dekti hi reh gai kyonki Uski aawaz main koi jaadu tha aur uski muskaan bahot hi pyari thi aur uski aankhon me koi alag sa hi khichav tha jo tumhe majboor karde uski aur jane me. Woh bhi Anushka ko dekhata hi reh gaya kyonki Anushka safed choodidaar main bahot hi khubasurat lag rahi thi apsara ki tarah. Usne dupatta nikal ke Anushka ke haath me de diya. Anushka kuch bole usse pehle woh chala gaya. Achanck use yaad aaya ki aaj college ka pehla din hai aur woh dair se nahin jana chahti. Yeh thi unki pehli bhigti hui mulakat baris me.

 

Jab woh class me dakhil hui tab professor ne use nikal diya der se aane per aur woh bhi pehle hi din. Anushka class ke bahar lobby me chal rahi jab usne suna ki " Sir, usme unki koi galti nahin darsar baris ki vaze se der ho gai." Professor " Tum kehte ho to main ushe izazt deta hoon. Lekkin phir kabhi nahin. " Phir se Anushka kuch bole usse pehle hi woh chala gaya. Woh class me lecture main to bethi per use sirf us ladke ki baate aur chehra dikhai deta tha. Lecture khatam hone ke baad usne apni dost se us ladke bare me bataya. Uski dost ne kaha ki Anushka ko uska sukriya karna chahiye. Anushka " Per woh muje kahan milenga." Uski dost ne kaha ki dhundhne per bhagwan bhi milta hai to woh to hamare college me hi hai.

Anushka use pure college me yahan wahan dhundh rahi thi tabhi usne woh aawaz suni " Kya aap muje dhundh rehe ho?" Jab Anushka ne mud ke dekha to wahi tha. Uski Aankhain sarm se zuk gai. Anushka " Main aapko sukhriya kehne hi wali thi per aap chale gaye. Aap bar bar meri madad karte ho aur muje sukriya karne ka moka hi nahin dete." Usne kaha ki agar aap mera sukriya karna chahti hai to aap ko mere saath ek cup coffee pini hogi agar aap ko manzoor ho. Anushka ne uski baat man li aur dono canteen me gaye.

Dono canteen me jakar bethe. Phir usne apne aap ki pehchaan di " Main Sahil, Sahil Shamarth aur aap." Woh boli "Mera naam Anushka Mehta." Sahil " Aap ka naam aap hi ki tarah bahot hi sundar hai." Waiter ne aakar ordar puchha. Sahil ne ek coffee ek chamach shakar or doosari do chamach shakar ke saath mangvayi. Anushka " Aap ko kaise pata ki main do chamach sakar leti hoon." Sahil " Sweet girl like you likes sweet coffee." Coffee ke saath saath un dono ne apni pasand napasand ki bare me kafi baatain ki aur aisa laga ki woh dono ek doosare ko kafi achchi tarah se jante ho. Dono main kafi chiz common thi. Anushka ko kavitayain padhana achcha lagta tha to Sahil ko Aankhein padhni. Anushka ko red roses pasand the to Sahil ko apni Red car. Anushka ko painting banana achcha lagta tha to Sahil ko baate banana. Anushka ko gane gana to Sahil ko apni guitar bajana. Ek baath un dono me thi woh thi ki dono kuch kahe bina hi ek doosre ki pareshaniyaan samaj jate. Aur yahaan se suru hota hai uske pyar ka safar.

Sahil madical ke third year me tha aur woh ek Psychiatrist banana chahta tha. Anushka apni first year me thi aur woh ek Pediatric banana chahti thi kyounki use bachche bahot hi pashand the. Din gujar te gaye aur woh ek dooshre ke kareeb aate gaye. Anushka ko Sahil se milna pasand tha kyonki Sahil se milne ke baad usne zindagi jina sikha, pyar kya hota hai jaana aur jab bhi uske saath hoti hai to apni sari pareshaniyaan bhul jati aur sirf mushkurati rehti. Sahil apne pyar ka izahar karne se darta tha ki kahin woh apne pyar ke saath saath apne sabse achache dost ko kahin khona de. Sari college ko ye baat pata thi ki Sahil Anushka se pyaar karta hai aur yeh baat khud Anushka bhi janti thi. Anushka apna pyar apne dil me chhupa ke rakhati thi kyonki apne papa ke diye huye vaade ke liye. Din gujarte gaye Anushka apne aakhri saal me thi aur Sahil apni intenship kar raha tha.

PART-3

Anushka aur Sahil apne baki ke dosto ke saath Kashmir madical camp ke liye gaye the. Madical camp teen din ka tha aur kaam karte karte woh kab ek doosre se pyar ho gaya pata hi nahin chala. Sabhi log sight seeing ke liye taiyaar ho rahe the tab Sahil Anushka ko dhundhte huye pahadi per jaa pahuncha. Anushka ne ek khubsurat painting banai thi. Jis me ek ladki zeel ke kinare ped ke neche zoole pe zool rahi hai jiske aankh main aanshu aur chehre pe muskurahat. Sahil " Muje kuch samaj me nahin aayi yeh painting. Yeh kaise muskura sakti hai jab ki uski aankhon se aanshu beh rahe hai." Anushka " Are! ye to pyar ki khushi hai jo aankho se beh rahi hai. tum nahin samjoge. yeh ek ladki hi samaj shakati hai aur tum yahaan kya kar rahe ho sight seeing ke liye der nahin ho rahi. Chale!" Sahil " kyou nahin waisi hi main tumhe hi bulane ke liye aaya tha."

Sabhi guide ke saath sight seeing ko enjoy kar rahe the. Guide aakhir me sabhi ko ek mandir le gaya aur usne kaha ki jo bhi yahaan dhaga bandhkar apne liye jo bhi mangta hai woh pura hota hai. Anushka ne dhaga bandhte manga ki jo bhi Sahil mange use mil jaye aur woh chali gayi. Sahil ne apna dhaga Anushka ke dhage ke saath bhandh kar manga ki bhagwan use hamesha Anushka ke pass rakhe. Sight seeing ke baad raat ko who log apni trip ka celebration ek camp fire ke saath kar rahe the. Sab log Sahil ki guitar aur Anushka ke gane ko enjoy kar rahe the. Thodi der ke bad sab log sone ke liye apne kamre me chale gaye kyouki subah Mumbai ke liye nikalna tha.

Anushka abhi bhi wahi bethi aakash me tare dekh rahi thi. Anushka apne dupatte se apne aap ko thand se bacha rahi thi tab Sahil ne shawl anushka ke jism se lapeti aur woh Anushka ke pass aakar betha. Sahil ne haste huye pucha " Kya tare gin rahin ho?" Anushka ne gusse se Sahil ki taraf dekha. Sahil " ok, I am sorry. Kya tumhe us guide ki baat pe vishvas hai?" Anushka " Woh to muje nahi pata ki hamne jo manga woh hume milenga per itna janti hoon ki jo taqdeer me hota hai wahi milta hai. In sab baathoin me hum log apni khoosiyaan dhundhte hai per agar aap apne dil se kuch mangoge to woh aapko zaroor milta hai." Sahil " Muje nahi pata tha ki tum itni samjdariwali baatein karna janti ho. Kya main tumse kuch poochha sakta hoon?" Anushka " Tumhe mujse koi izazt lene ki zaroorat nahin?" Sahil " Tum hamesha ise kyou apne naak me pehnti ho? Maine kisi ko aaj se pehle nahin dekha." Anushka " Kya jawab dena zaroori hai?" Sahil " Haa, ek dost doosre dost se itna bhi nahin poochha shakta." Anushka " vaada karo ki hasonge nahin." Sahil " vaada raha" Anushka " ise nikalne ka hakk sirf maine apne pyar ko diya hai." Sahil bahot zor se hasne laga. Anushka Sahil ke pichhe daud rahi thi use marne ke liye aur woh Anushka ko chidate hi ja raha tha. Achanak Sahil ne Anushka ke dono haath ko pakad ke apni aur khincha aur dono ek doosre ki aankhon me kho gaye. Achanak baris hone lagi aur Anushka sarm se daudti hui andar chali gayi.

PART-4

Anushka bahot hi khush thi kyonki aaj uski college ka aakhari din tha aur doosri taraf Sahil bahot hi dhukhi kyonki aaj Anushka apne ghar ja rahi thi hamesha ke liye. Woh din pure Mumbai ke liye bahot hi manhoos tha. Anushka apne class me apni aakhri test dene ke liye gai aur Sahil apne dosto ke saath canteen me betha tha Anushka ka intazaar karte huye. Achanak ek zordar aawaz hui. Woh aawaz Mumbai me huye bomb blast ki thi aur woh uske college ke bilkul pass me hi hua tha. Class me sab log bhag rahe the aur Anushka bahot hi darri hui thi. Sahil aur uske dost apni car ki taraf bhag rahe the tab achanak use yaad aaya ki Anushka class me gai hai. Uske dost Sahil ko car me bethne ke liye keh rahe the. Sahil " Main Anushka ke bina nahin ja shakta." Woh Anushka ki class ki aur bhaga.

Anushka bahot hi dari huyi ek khone me khadi thi tab usne bhid me Sahil ko apni aur aate huye dekha. Sahil Anushka per bahot gussa tha ki who kyou khone me kadhi thi kyou who bahar nahin aayi. Sahil " Pata hai agar tumhe kuch ho jata to main apne aap ko kabhi maff nahin karta?" Anushka " janti thi ki tum muje zaroor bachane aaonge." Jab usne apni baat khatam ki Sahil ne dekha ek bada paththar Anushka ke sir pe girne hi wala tha ki Sahil ne Anushka ko apni aur khincha. Jab Anushka ne apni aankhain kholi to woh Sahil ki bahon main thi aur Sahil ne use kas ke pakda hua tha jaisi woh use kuch nahin hone dega. Sahil ne Anushka ka haath pakda aur use apni car ki aur le gaya.

Woh dono car me apne ghar jane ki koshish kar rahe the. Dono ne dekha ki kitne saare log mar gaye aur rashte pe kai laashe padi thi. Anushka ye sab dekhkar bahot hi darr gayi. Sahil " Daro mat, main tumhe kuch nahin hone dunga." Achanak kisine uski car ke kaanch per pathther phenka aur uski car bekabu ho gayi aur traffic signal se jakar takrai. Tabhi Sahil ne kuch logo ko hathiyar ke saath unki aur aate huye dekha. Sahil ne Anushka ka hath pakda aur woh log chupne ke liye koi jagah dhundh rahe thi ki usne samne ek zopda dekha aur usne us zopdewale se vinti ki une andar aane de. Woh log andar jakar bethe aur us insaan ka sukriya kar rahe the ki kisi ne zopde ko aag laga di. Woh log waha se bhag nikle aur woh chupne ke liye koi jahan dhundh rahe the ki kisi ne kaanch ki bottle Anushka pe phenki aur woh bottle Anushka ke khabhe pe lagi. Woh dono bahot hi ghabraye huye the tab achanak Sahil ne samne ek church dekha. Woh Anushka ko charch me le gaya aur andar jakar dekha to wahan koi nahin tha. Sahil ne charch ka darwaza bhandh kiya aur kaha ki aaj ki raat hum yahaan gujarenge aur kal subaah hum apne ghar chale jayenge.

Sahil ne dekha ki Anushka ke khabhe se bahot khoon nikal raha hai. Sahil " Kya main tumhare zakhm ko dekh sakta hoon?" Anushka "Koi bada zakam nahi hai. Bhagwan ka sukriya hai ki kaanch ke tukde andar nahin gaye. Sirf pati baandhne ki zaroorat hai khoon ko rokne ke liye." Sahil " Kya main pati laga doo, vaada karta hoon ki apni aankhein bandh rakhunga." Sahil pati baandhne ke liye kapda dhundh raha tha ki Anushka ne apna dupatta bhaandhne ko diya. Sahil uski taraf aa raha tha aur Anushka kuch alag sa hi mehsoos kar rahi thi. Sahil " mujpe barosha hai." Anushka " Khud se jyada." Jab Sahil ne use chua to uski aankh sarm se zuk gayi. Anushka " Sahil, tum apni aankhein khuli rakh sakte ho." Sahil ne pati laga di aur Anushka ko aaram karne ke liye kaha aur woh bahar kuch khane ko lene ja raha tha ki Anushka ne uska hath pakda aur kaha " Main khane ki bina reh sakti hoon per agar tumhe kuch ho gaya to nahin reh paungi. yahaan mere pass betho." Woh dono ek dusre se baate kar rahe aur kab Anushka ki aankh lag gayi pata hi nahin chala. Anushka Sahil ke kandhe pe sar rakhke so gayi. Aur us raat un dono ki zindagiyaan puri tarah se badal gayi.

PART-5

Subaah hote hi Anushka ne apni aankhein kholi to apne aap ko Sahil ki pass uski bahon me paaya. Woh akdam se hi ghabrah gayi aur use apne papa ko diya hua vaada yaad aa gaya. Anushka apne aapse " ye mene kya kiya. main itni kamzor kaise ho gayi. main janti hoon ki meri zindagi main pyaar ki koi aimyat nahin. muje maf kar dena Sahil per sayad main tumhare pyar ki hakkdar nahin hoon." Sahil ne apni aankhein kholi to dekha Anushka Jesus ke samne haath jodakar prathna kar rahi ki Sahil ko sari khoosiyaan mile. Sahil bas use dekhte hi ja raha tha ki Anushka ne kaha " Lagta hai ki sab kuch thik hai. Aur hamare gharwale hamari chinta kar rahe honge. Kya tum muje bus stand tak chod donge?" Woh log Anushka ke hostel se saman lekar bus stand pahunche. Sahil ne Anushka ki ticket kharidi aur woh log bus ke bahar khade the kyonki bus ko chalne me kuch waqt tha.

Sahil Anushka se kuch kehna chahta tha. Sahil "Jo kal raat hua uska matlab yeh nahin ke main ek dost ka farz pura kar raha tha. Jis din se maine tumhe baris me dekha tha tabhi muje tumse pyar ho gaya. Main tumse bahot bahot pyar karta hoon aur main ye janna chahta hoon ki kya tum bhi woh mehsoos karti ho jo main karta hoon." Anushka " Main tumse pyar nahin kar shakti kyunki maine kisi se vaada kiya hai jo muje nibhana hai. Aur aisa nahin hai ki main tumse pyar nahin karti. Main tumse bahot pyar karti hoon. " Sahil " To problem kya hai? Main tumse pyar karta hoon aur tum mujse pyar karti hoon." Anushka " Maine apne papa se vaada kiya hai ki main us ladke se shaadi karongi jis ko mare papa pasand karenge. Main apne 25 saal ke ristey ko nahin tod shakti apne pyar ke liye. Main itni kudgarz nahin hoon. Kya tum mera saath nahin donge is faisle main. Aur yaad rakhna ki meri shaadi kisi se bhi ho tum mera pehla aur aakhri pyar ho. Vaada karo ki tum kisi achchi ladki mere se bhi achchi se shaadi karonge. " Anushka mud ke apni bus ki aur ja rahi thi aur bhagti hui Sahil ke pass aai aur kaha "Kya aakhri baar muje gale nahin lagaonge?" Dono ek doosre se gale mile aur Anushka bahot roi usse bichate huye. Sahil " Vaada karo ki tum kabhi bhi in aankhon main aanshu nahin aane dongi? Mere liye tum itna to kar sakti ho." Anushka " Bhagwan pe aur apne pyar pe barosa karte ho. Agar hamara pyar sacha hai to woh apne aap apni manzil dhundh lega." Jate jate Anushka ne apni Paayal dete kaha " Jab bhi tum ise dekhonge tumhe is ki chan-chan aawaz main muje paonge." Woh apni bus me beth kar khidki se baher Sahil ko dekh rahi thi aur bus chal padi. Sahil " Muje jine ke liye tum nahin to tumhari yaadein hi khafi hai."

PART-6

Us din Anushka apne naye safar pe nikli lekin mud ke dekha to apne atith me apni sari khooshiyaan piche chod ja rahi thi. Woh nahi janti thi ki uski zindagi me aage kya aanewala hai? Jab woh apne ghar pahunchi to uske gharwale bahot hi khush the. Woh sirf khush hone ka dikhava kar rahi thi jab ki andar hi andar ghunt rahi thi. Uski dadi ne dekha aur Krishnakant se kaha "yeh woh Anushka nahi hai jise hum ne Mumbai beja tha. Woh to hamesha muskurana janti thi. Muje lagta hai ki humne use Mumbai bhejke koi galti to nahi ki." Krishnakant " Main use baat karoonga." Krishnakant Anushka ko jeel ke pass le jake poocha " Kya Mumbai me sab kuch dhik tha?" Anushka " Main bilkul thik hoon aur bahot khush bhi hoon ghar aakar. Papa, aap mera ek kaam karenge. Main vapas Mumbai apni intenship ke liye nahin jana chahti. Papa, waqt aa gaya hai apne vaade pure karne. Main shaadi karne ke liye taiyaar hoon."

Krishnkant ne apne sabse achche dost Akhilash se apni beti Anushka ke liye Nikhil ka hath manga. Akhilash " Hum log kal subaah shaadi ki bat pakki karne ke liye aa rahe hai." Krishnakant " Nandini, saari taiyariyaan achchi tarah se honi chahiye. Kal Akhilash ka beta Nikhil Apni Anushka ko dekne ke liye aa raha hai." Subaah hote hi ghar me joro sor se taiyariyaan hone lagi. Anushka subaah se apne kamre ki khidki pe bethi Sahil ke bare me soch rahi thi. Nandini aur dadi Anushka ke kamre me use milne ke liye aye. Nandini ne use hare rang ki saree pehnane ko di. Dadi " Beta, jab bhi koi mushkil faishala karna ho aur kuch na suje to apni aankhein bandh karke apne krishnaji ka naam le lena aur phir mushkil sawalon ka jawab mil jayega."

Mehmaan andar aa ye aur woh log Krishnakant aur dadi ke saath bete the. Nandini Anushka ko lekar aai aur Nikhil use dekhte hi reh gaya. Anushka ne ek baar bhi apni nazarain uathakar Nikhil ko nahin dekha. Krishnakant " Beta, aaj kal tum kya kar rahe ho?" Nikhil " Main pichle saal Australia se MBA kar ke aaya aur ab papa ko Buisness me madad karta hoon? Nandini " Nikhil kya tum shaadi ke bad Mumbai me hi sattle hona chahte ho apne parivaar ke saath? Nikhil " Main apne parivaar se dur nahin reh sakta kyonki mera parivaar hi mere liye sab kuch hai." Anushka apne aap se " Maine Mumbai apni nayi zindagi suru karne ke liye choda tha aur yahi meri nayi zindagi muje vapas us mod pe leja rahi hai." Krishnakant " Hume khushi hogi Nikhil ko apna damad banane me agar aapko koi aitraaz na ho to." Shobhna " Nikhil. kya tumhe Anushka pasand hai?" Nikhil ne apna faisala sunaya ki use Anushka pasand hai. Nikhil aur Anushka ki sagai huyi aur dono ne ek dusre ko angoothi pehnai.Shaadi ka muhurat dus din ke bad ka nikala.

Jab Nikhil vapas Mumbai ja raha tha tab usne Dadi se Anushka se milne ki izazt mangi. Dadi haste huye" Ab tumhe humse Anushka se milne ki izazt lene ki koi zarurat nahin kyonki woh ab to tumhari hai." Nikhil jab uske kamre me gaya to Anushka khidaki ke pass bethi thi aur hawa ke zonke se uske bal hawa me lehrate the. Nikhil " Kya aap is rishtey se khush to hai na? Anushka ne sirf apna sir hilaya. Nikhil " Ab agli bar aapko shaadi ke jode main hi dekhunga. Waise shaadi ka joda dulhe ke ghar se aata hai. Main khud tumhara joda pasand karne jaunga. Janta hoon ki aap se jyada sundar nahin dhundh paunga per main apni puri koshish karunga. Ab agli bar hum shaadi ke mandap me milenge."

PART-7

Shaadi ki zoro se taiyariyaan ho rahi thi. Ananya aur Sameer bhi jaldi aa gaye the shaadi ke kaam me haath batane ke liye. Ananya aur Anushka dono shopping ke liye market gayi. Woh log Mehndi aur sangeet ki rasam ke liye saree dekh rahe the. Ananya " Tumhe inmese khun si wali pasand hai?" Anushka deke bina hi " Didi, aap koi bhi pasand kar lo." Ananya " Kya naam hai uska?" Anushka " Sahil." Achanak Anushka ko ehsas hua aur boli " Aisa kuch bhi nahin hai jaisa aap samaj rahi ho." Ananya " Main saaf saaf Sahil ke liye tumhari aankhon me pyar dekh rahi hoon aur tum keh rahi ho aisa kuch nahin hai. Kyon Nikhil aur Sahil dono ke saath dhokha kar rahi ho aur sab se bada apne aap se. Main papa se baat karungi. Bahot der ho jaye usse pehle." Anushka " Ab to der ho hi gayi hai. Shaadi ke cards ghar se nikal gaye hai. Nikhil achcha ladka hai. Muje to khush hona chahiye ki kuch pal ke liye hi sahi lekin muje mera pyar mila. Duniya me kayi log aise hote hai jo bina pyar paye hi is duniya se chale jate hai. Sach hai ki main Sahil se bahot bahot pyar karti hoon aur sayad karti rahungi. Lekin ek sach yeh bhi hai ki muje kisi bhi haal me Nikhil se shaadi karni hi hogi." Ananya " Tum ne aisa kyun kiya? Tumhe meri kasam sach sach batana. Jab tum to pyar me bahot hi vishvas rakhti thi to ab kya hua." Anushka " Maine aap ki shaadi ke badle me papa se vaada kiya ki main papa ke pasand kiye huye ladke se shaadi karungi. Didi, vaada karo ki aap kisi ko iske bare me nahin bataongi jiju ko bhi nahin." Ananya "Dekh rahi hu ki meri choti behen ne ek badi behen ka farz nibhaya hai aur main badi hokar bhi kuch nahin kar sakti. Muje maaf kar dena." Anushka " Didi, aap muje khush dekhna chahte ho to kabhi bhi apne aap ko karoorvad mat samjna." Bono ek dusare ke gale lagi.

Sahil apni almari me se kuch dhundh raha tha ki achanak uske haath se Anushka ki paayal gir gayi aur woh tut gayi. Sahil Anushka ke khayalon me khoya hua tha tab Divya ne poocha "Yeh paayal kis ki hai. Kisi ladki ko pasand karte ho. Mujse nahin milvaonge." Sahil "Mom, yeh paayal mere pyar ki hai, aap kya ab to main bhi use kabhi bhi nahin dekh paunga. Woh hamesha ke liye muje chodakar chali gayi. uski koi majboori thi. mere liye yeh uski paayal aur yaadein kafi hai zindagi gujarne ke liye. pyar ka matlab yeh to nahin hota ki woh hame mil jaye. Aaj ye jaanne ke baad bhi main use utna hi pyar karta hoon aur karta rahunga. Shayad is janam me hum milna sake per agle janam me woh sirf meri hogi." Divya " kya naam tha uska? kaisi thi?" Sahil " Anushka, woh bilkul apsara ki tarah thi. sundar bahot sundar. Jab woh hasti to aisa lagta tha ki sari jannat ki kubiyaan usme hai aur jab woh roti to apne haath se apna chehra chupane ki koshish karti ise lagta ki rote waqt woh stupid lagti hai. Jab bhi main serious hota to muje Idiot si sakal banana chodne ko kehti. Aisi thi meri Anushka. Aur Mom sab se achchi baat thi ki woh bahot hi saaf dil ki thi."

Nikhil aur Priti shaadi ka joda lene ke liye gaye. Dono bhai-bahen taiy nahin kar pate the ki konsa wala lena un dono mese. Ek joda hare dupatte wala tha aur dusara sunhare dupatte wala tha. Achanak Nikhil ne kisi se poocha "Kya aap meri madad karenge shaadi ka joda pasand karne me.? Usne kaha " Agar main aapki jagaah hota to ye hare dupatte wala pasand karta kyunki sunhare dupatte uski khubsurati ko kam karta aur hara is liye ki isme uski khubsurati apne aap nikhrengi." Nikhil " Thank you so much. aapne to hamari mushibat yoon hal kardi. mera naam Nikhil Joshi aur yeh meri behen Priti." usne kaha " Mera naam Sahil Shamarth. Mubarak ho tumhari shaadi ke liye." Nikhil " Tumhara yeh ehsan main kabhi nahin bhula paunga. sayad main kisi kaam aa shaku." sahil " Phir mile to hakk se apna ehsan manguga." Sahil chala gaya jewelary department me paayal ko repair me jo dena tha.

PART-8

Sangeet aur mehndi ki rasam suru hone hi wali thi ki Shobhna aur Priti shaadi ka joda aur Shagun ki mehndi lekar aaye. Anushka peele rang ke saree me bahar aayi. Woh bahot hi sundar lag rahi thi. Dadi ne Anushka ki nazar utari " Bhagvan tumhe duniya ki sari khushi de." Shobhna ne shugun ki mehndi Anushka ke haath pe lagai. Mehndiwali anushka ke haath pe mehndi laga rahi aur naach gana suru hua Priti ke saath. Anushka " suno, mehndi zara yahaan upper tak lagana." Mehndiwali haste huye" Kya dulhe ne bola hai? Anushka apne aap se Sahil ko mehndi wale haath bahot hi pasand the khas karke upper tak apni kalai ke pas. Shobhna" kal aa rahi hoon apne bete ke saath tumhe le jane ke liye." Anushka ne unka aashirwad liya aur woh log nikal gaye.

Aaj ka din Anushka aur Nikhil ki zindagi main bahot hi mayne rakhta tha. Unki Shaadi jo thi. Ananya Anushka ko saja rahi thi. Usne Anushka ke sir pe dupatta rakha aur kaha ki ek bar aaine me apne aap ko dekhe. Anushka apne aap se " Sahil, main hamesha chahti thi ki tum muje sab se pehle dekho." Jab usne aankhein kholi to samne use Sahil dikhai diya. Sahil " Aaj to tum kisi rajkumari se kam nahin lag rahi ho. Tum bahot hi khubasurat lag rahi ho sirf ek chij ki kami hai. Tumhari muskurahat." Anushka kuch bolne hi wali thi ki uski maa mandap me lejane ke liye aai. Nandini aur Ananya use mandap ki aur lekar ja rahe the aur Anushka ko abhi sahil dikhai deta tha uske pass betha hua. Shaadi khatam hui aur bidaai ka samay nikla ja raha tha. Sab Gharwale bahot hi ro rahe the khas karke Ananya per Anushka ne ek bhi aanshu apni aankh se nahin girne diya. Sahil se vaada jo kiya tha. Shaadiwale naye jode Nikhil ke ghar aaye. Shobhana ne dono ki aarti ki aur Anushka ko ghar ke andar apna pehla pair rakhne ko kaha. Anushka ne apne pair se Chavalwale kalash ko giraya aur apne pair kanku wale thal main rakhkar kankuwale pagle se woh mandir main gayi. Dono ne bhagwan aur apne mata-pita ke aashirwaad liye.

Anushka apna ghoonght dalkar bistar pe bethi thi. Anushka bahot hi ghabara rahi thi jab Nikhil uske kareeb aaya. Nikhil ne ghongat ko uthaya aur kaha " Muje to yakin hi nahin hota ki duniya ki sabse khubsurat ladki ab meri patni hai. Main bahot hi khush naseeb hoon jo tum muje mili." Nikhil ne dekha ki Anushka kuch ghabarai hui hai. Nikhil " Main samaj sakta hoon ki tumhe is waqt kaisa mehsoos hota hai. Main tumhare dil ka hal samaj sakta hoon. Bahot hi mushkil hai kisi anjaan aadmi ka haath thamke use apna jeevansathi banana jise tum ek baar hi mili ho. Ghabarao mat jab tak tumhe muj per vishvas nahin hota main apni maryada banaye rakhonga. Hum log dost to ban sakte hai na kyonki dosti ka rishta kisi bhi rishte ke shuru hone ki sidi hai. Aur sawaal raat bitane ka hai waise to main doosre kamre me bhi jakar so shakta per ishe gharwale kya sochenge. Is liye hume yahin per sona padega. Kya tumhe muj pe barosha hai?" Anushka ne sirf apna sir hilaya aur apne aap se kaha" Muje vishvas nahin hota ki aaj bhi aap jaise insaan is duniya me hai jo aurat ke jasbaton ka kadar karna jante hai. Main vaada karti hoon ki main patni hone ke sare farz nibhaungi aur tumhe dil se apna pati swikarneki koshish karungi."

PART-9

Subaah hote hi Anushka ne apni aankhein kholi to Nikhil paas main soya hua. Anushka apne aapse " Nikhil aap sote huye kitne masoom lagte ho aur aapko to yeh bhi pata nahin main aapko dhoke ke siva diya hi kya hai." Woh bistar se uthane hi wali thi ki lagta hai kisi ne uski sari ko pakad rakha aur mud ke dekha to Nikhil ke haath ke neche thi. Anushka ne aahista se Nikhil ko jagaye bina Saree nikali. Anushka aaine me dekhkar taiyaar ho rahi thi ki achanak usne dekha ki khidaki se aanewali roshni se Nikhil ko pareshani ho rahi hai. Usne parde ko bandh kiya aur kitchen me gayi. shobana ne use chai di Nikhil ko jagane ke liya. Priti " Bhabhi, Newspaper lejana mat bhul naa." Anushka Nikhil ko jagane hi jarahi thi uske haath ruk gaye. Usne apni choodi ki khanak se Nikhil ko jagaya. Nikhil ne aankhe kholi to woh samne chai ka cup pakdi hui khadi thi. Nikhil hath me chai lekar " Tumne subaah ki chai pili?" Anushka" Nahin, bas abhi kitchen me jakar pilungi." Nikhil " Subaah ki chai to batakar pini chahiye. Nikhil ne thodi chai alag se nikalke Anushka ko di aur woh use dekhti hi rahi. Shobhana" Anushka, chai thandi ho jayegi. yeh tumhare flight tickets hai aaj dus bajeki Shimla ke liye. Jaldi karo. Apna saman taiyaar karo kyunki tume ek ghante me nikalna hai. Main Raji ko bhejti hu tumhari paking me madad karane ke liye."

Anushka packing kar rahi tab Raji uski madad karne ke liye aai. Anushka " Kya aap hume batayengi Nikhil ko kya achcha lagta hai aur kya nahin?" Raji" NIkhilbhaiyaa to ekdam ramji ki tarah hai. Ramji ko apne parivaar se pyar tha aur Bhaiyaan bhi apne parivaar se bahot pyar karte hai. Unhe jooth se sarf nafrat hai. Jyada to woh gussa nahin hote per jab bhi hote ek cup chai ek pyari si muskurahat ke saath aur unka gussa yun thanda ho jayenga. Unhe meetha jyada pasand hai khas karke Gajjar ka Halwa. Unhe thand ka mausam bahot hi pasand hai per unhe baris bilkul bhi achchi nahin lagti. Woh doosaro ki taklif bina kahe hi samaj jate hai. Aap bahot hi kismatwali hai jo Nikhilbhaiyaa aapko mile." Nikhil aur Anushka airport pahunche. Nikhil ne use bording pass diya. Anushka ne dekha ki ek din me uske naam ke saath uski puri zindgi hi badal di. Nikhil ne kaha chale. Dono plane me bethe aur plane shuru hote hi Anushka ne Nikhil ka haath kas ke pakad liya. Anushka " I am sorry, Muje aap ko pehle bata dena tha ki muje take off aur landing me bahot darr lagta hai." Nikhil" Tumhe muje sorry kehne ki koi zarorat nahin hum dost hai." Anushka sirf use dekte hi reh gayi. Plane landing karne hi wala tha ki Nikhil ne Anushka ka haath pakad liya. Jab woh hotel pahunche to kafi raat ho gayi thi.

Subaah hote dono taiyaar ho gaye. Nikhil " Tum pehle kabhi Shimla aayi ho." Anushka " nahin aur aap." Nikhil " Thik hai to aaj hum log sight-seeing ke liye jayenge." Nikhil Hotel manager se poocha" Yahaan per khun si jagah dekhane layak hai." Manager " Waise to yahaan kafi jagah hai dekhne ke liye per yahaan pass main pahadi per ek bahot purana mandir hai aur kehte hai ki jo bhi apni murade lekar aata hai woh puri ho jati hai." Woh dono mandir me gaye aur Anushka hamesha ki tarah " hai bhagwan, Nikhil jo mange use de dena." Nikhil " muje Anushka ke pyaar ke siva kuch nahin chahiye." Panditji ne dono ko samnewale ped pe chundari bandhne ko kaha apni shaadisuda zindagi main khushi aur pyar ke liye. Dono chundari bandhte samay ek dusre ki aankhon me dekh rahe the. Dono sidiyaan utar rahe the ki achanak Anushka ka pair fisala aur woh sidiyon se gir gayi.

PART-10

Nikhil use hospital le gaya. Doctor ne X-ray nikala aur kaha " Ghabarane ki koi zarurat nahhi. Facture nahin hai lakin pair me kuch moch aa gayi hai aur uske baye haath main jo kaach laga tha woh maine nikal diya hai. Woh bilkul thik hai. Agar aap chahe to use ghar leja sakte ho." Nikhil " Kab haath ki dressing ke liye aana hai." Doctor " Ab tumhe yahaan aane ki koi zarurat nahin. Anushka khud bhi ek doctor hai aur woh khud apna dressing kar sakti hai. per use do teen din ke liye complete bed rest verna pair main facture bhi ho sakta hai. So, young man take care of your wife." Jab woh hotel aakar woh taxi se utar rahi tab Nikhil ne notice kiya ki Anushka ko chalne me taklif ho rahi. Nikhil ne Anushka ko apni bahon me uthakar room me akar use bed pe rakha. Nikhil " Tum ab apna pair is bed se neche nahin rakhongi jab tak tum thik nahin ho jati. Tumhe kuch bhi chahiye tum muje kehna. Main tumhare liye hi yahan hoon." Nikhil ne uski bahot achchi tarah se dekhbhal ki. Nikhil ne use apne hathon se khana bhi khilaya. Nikhil use bata raha tha apni college aur apne dost ke bare me. Nikhil " Tumhare bhi kai sare dost honge college me. Muje nahi bataongi." Anushka " Meri ek hi dost thi Karuna jo kuch saal pehle chal basi." Nikhil " I am so sorry. Tum akeli nahin ho main tumhara dost jo hoon." Dono ek dushre ko samje ni koshish kar rahe the. Nikhil " Ab raat kafi ho gayi hai aur tumhe aaram ki bhi zarurat hai." Nikhil ne Anushka ko blanet thik karke kaha " Good night and sweet dreams."

Raat main Anushka ko sapne main woh sab kuch dikhai diya jo uske aur sahil ke saath us raat hua tha. Woh darr ke neend se jag gai. Usne dekha to Nikhil uske pass betha soya hua tha aur Anushka ke aankhoin me aanshu aa gaye aur use laga ki Nikhil use bahot pyar karta hai. Anushka pani pine ke liye bed se uthi aur achanak woh apna santulan kho bethi. Nikhil achanak need se utha aur dekha to Anushka zameen pe bethi hui thi apna pir pakdi hui. Nikhil ne use udhakar bed pe rakha aur us pe bahot gussa hua. Nikhil " Kya kar rahi thi thik se so bhi nahin sakti. Kya zarurat thi bed se udhne ki. Kuch chahiye to muje kaha hota." Anushka " Aap so rahe the aur main aapko disturb karna nahin chahti thi." Nikhil " I am sorry. Muje tum pe gussa nahin hona chahiye." Anushka" Aap ne to kaha tha ki dosti main sorry or thanks ki koi jagah nahi hoti." Is tarah un dono ne baki ke din Shimla me kate.

PART-11

Din hawa ki tej raftar ki tarah gujar rahe the aur nikhil aur Anushka ek dusre ke kareeb aa rahe the. Us din Anushka ka pehla vrat tha Nikhil ke liye. Woh Nikhil ke liye breakfast laga rahi thi. Nikhil " Muje office jane me der ho rahi aur aaj meri ek important meeting bhi hai." Anushka " Kuch to khalo." Nikhil " Tumhe ek baat samaj nahin aati?" aur woh office chala gaya. Anushka roti hui apne kamre me chali gai. Raji Anushka ke piche gai aur dekha to woh ro rahi thi. Raji " Aap ab bhi Nikhilbhaiyaa ko samaj nahin sake? Woh aap ko is tarah bhukha pyasa nahin dekh sakte aur is liye unhone bhi subaah se kuch nahin khaya." Anushka apne aap ko kasoorwaad samj rahi hai ki kyun woh Nikhil ko pehchan nahin payi. Raji " Muje aap ki aankhon me Nikhilbhaiyaa ke liye pyaar dikhai deta hai. Aap apni aankhen bandh kijiye aur aapko ko kya dikhai deta hai." Anushka ne apni aankhen bandh ki to use Nikhil dikhai diya. Woh samaj nahin pati ke woh to Sahil se pyaar karti thi to aaj use kyun Nikhil dikhai deta hai. Jab aankhen kholi to Nikhil uske samne khada tha aur kisi file ke bare me poocha raha tha. Anushka "Main almari me dekh leti hoon." Woh Chair pe khadi hokar almari ke sabse upper wale khane me dhund rahi thi. Anushka ko file mil gayi aur woh Nikhil ko dene hi wali thi ki achanak uska pair fisal gaya. Anushka ki aankhe bandh thi. Nikhil " Apni aankhen kholo. tumhe kuch nahin hua." Anushka ne aankhen kholi to woh Nikhil ki bahon me thi. Dono ek dusre ke khayalon me khoye huye the ki achanak Raji aai aur kaha ki Bhabhi aapko aap ki saas bula rahi hai.

Anushka Shobhana ke kamre me gai. Shobhana ne use naya lal rang ke saree aur kuch naye gehne diye aaj sham ki pooja me pehnane ke liye. Dono saas- bahu saam ki puja ki taiyariyaan kar rahi thi. Anushka apne kamre me taiyaar ho rahi ki usne kuch aawaz suni aur usne apni balcony se dekha to Priti kisi se baat kar rahi thi. Anushka " Priti, sab kuch thik hai? Tum kahan se aa rahi ho?" Priti " Aap kya baat kar rahi hai? main to ghar main hi thi." Anushka " Thik hai. Tum jakar taiyaar ho jav kyonki mehmaan kisi bhi waqt aa sakte hai." Anushka ne dekha Nikhil ko apne kamre me jate huye. Anushka " Aaj mene aap ke liye traditional kapde rakhe he aur aap jaldi se taiyaar ho jaye. Mehmaan aate hi honge." Nikhil ne uska haath pakda aur kaha " Tum kuch bhul rahi ho." Anushka " Maine aapke kapde nikal diye. Aapka towel bathroom me hai aur main bhi pooja ke liye taiyaar hoon. Aap kis bare me baat kar rahe hai." Nikhil uska haath pakadke use aaine ki taraf le gaya aur kaha apne aap ko aaine me dekho. Anushka " Mere pass is ke liye waqt nahin hai muje dair ho rahi hai." Nikhil ne Anushka ki maang me sindoor lagaya aur woh bathroom me chala gaya. Anushka apne haath se maang ko chute huye " Aaj me itni badi baat kaise bhool gayi. Kya muje sachche me to Nikhil se pyar to nahi ho gaya."

Mehmaan aane lage. Anushka bahot khush thi apne parivaar walo ko dekhkar. Ananya " Anushka, muje tumse akele me kuch baat karni hai." Anushka use kitchen me le gayi. Ananya " Tumne Nikhil ko Sahil ke bare me bata diya?" Anushka " Main apne parivaar ko khona nahin chahti. Main bahot khush hoon Nikhil ke saath aur sayad ab to me Nikhil se pyar karne lagi hoon. Mere liye Sahil ke bare me shochna bhi paap hai. Maine Sahil ko apne atith me kahin piche chod aai hoon." Ananya " Muje to sirf tumhari khushi chahiye." Raji " Aap logo ko pooja ke liye bula rahe hai." Anushka ne pooja ki aur Nikhil ne use pani diya vrat tod ne ke liye. Anushka ne paani pine ke bad Nikhil ko pani pikar vrat tod ne ko kaha. Nikhil sochta hi raha ki use kaise pata laga ki maine vrat rakha hai. Sare mehmaan chale gaye aur Anushka apne kamre me gayi to Nikhil khidki ke pass khada tha.

Nikhil " Tumhe kaisi pata chala ki maine vrat rakha hai?" Anushka " Patni hoon tumhari. Tumse jyada tum ko janti hoon. Lekin main aap se bahot hi naraz hoon. Aap ne muje kyun nahin bataya?" Nikhil " Agar maine tumhe bataya hota to kya tum muje vrat karne deti." Nikhil apne kan pakadkar mafi mangta hai. Anushka " Ek shart pe aapko mafi milengi ki aap kabhi bhi mera saath nahin chhodenge. Aap se bahot pyar karti hoon. Aap ke bina nahin reh sakti. Aaj aap ko aap ki dulhan mil gayi." Nikhil Anushka ko apne gale lagakar kehta hai " Main bhi tumse bahot pyar karta hua aur tumhare bina nahin jee paunga. Vaada karta hoon ki tumhe duniya ki sari khushi doonga."

Subaah jab Anushka ne aankhen kholi to woh bahot hi khush thi apne aap ko Nikhil ki bahon me pake aur Anushka ne pyar se uske haath ko chua. NIkhil ne uska hath pakadke kaha " Main jab bhi apni aankhen kholu main sabse pehle tumhara chehra dekhna chahta hoon." Anushka " Vaada raha. Ab kya main nahne ke liye ja sakti hoon agar aapki izazt ho." Nikhil " Tumhe company deta hoon. tum akeli mehsoos na karo na is liye." Anushka " Shut up, Jogging ke liye dair nahin ho rahi." Anushka bilkul taiyaar hokar kamre se nikal hi rahi ki Nikhil andar aaya. Nikhil "Kya tum mera ek kam karongi. Please tum koi doosari saare pehn lo? Main nahin chahta ki meri zindagi ke rang bharnewali khud safed rang pehne." Nikhil ne neele rang ki saree nikal ke Anushka ko pehne ko di.

PART-12

Aaj Nikhil aur Anushka ki shaadi ko ek saal ho gaya. Anushka aaj bahot hi khush thi. Usne Nikhil ko jaldi se park me aakar milne ko kaha ki kuch baat karni hai. Nikhil jaldi se ghabrate huye aaya dekha to sab kuch thik tha. Nikhil bahot hi gusse me tha. Anushka " Aaj hamari shaadi ko pura ek saal ho gaya." Nikhil " I am sorry, kam ke silsile me to main tumhare liye kuch lana hi bhul gaya." Anushka " Tumne to aaj woh diya hai jo har aurat chahti hai." Nikhil " Main kuch samja nahin." Anushka ne Nikhil ka haath pakda aur kaha " I am pregnant. Meri andar ek nanhi si jaan janam le rahi hai. Tum papa aur main mom banane wale hai. Tumne to aaj woh khushi di hai jo her ek aurat ka sapna hota hai." Nikhil " Muje to vishvas hi nahin hota ki main papa banane wala hoon. Thanks for coming into my life. I love you so much." Anushka Nikhil ke gale lagkar rone lagi.

Nikhil aur Anushka ne ghar aakar sab ko ye khuskhabri di. Sab log bahot hi khush the. Dono apne kamre me bachche ko lekar behash kar rahe the. Nikhil ko ladki chahiye aur Anushka ko ladka. Nikhil " Ek baar maine kaha na ki muje ladki chahiye bilkul tumhari tarah khubsurat." Achanak bahar baris hone lagi aur Anushka daud ke bahar baris ke paani se khelne lagi. Nikhil piche se aaya aur usne Anushka ko kamar se pakda. Anushka " Jahan tak muje pata hai tumhe baris pasand nahin hai to phir aaj tum yahaan kya kar rahe ho?" Nikhil " Kyunki meri pyari si patni aur meri beti ko baris bahot pasand hai aur main ek bhi moka saath rehne ka chodna nahin chahta. Dono ne kuch pyare se pal saath gujare. Nikhil " Yeh lo towel aur apne bal ko sukhado aur jake kapde badlo. Varna tumhe sardi lag jayengi aur sardi bachche ke liye thik nahin hai. Anushka " To ab se papa sirf apni beti ka khayal rakenge aur mama ka khayal kaun rakenga." Nikhil " Tum janti ho ki tumhari meri zindagi me kya aimyat hai. Tum mere liye sabse important ho. Tum mera sub kuch ho meri zindagi bhi tum ho."

PART-13

Kuch din baad Anushka market se aa rahi thi tab usne Priti ko kisi ladke ke saath dekha. Priti ko dekhkar aisa laga ki woh us ladke se bahot pyar karti hai. Priti ke jane ke baad wahan koi doosari ladki aai aur Anushka ne suna " Main to sirf Priti ko uski papa ke paise ke liye pyar karta hoon. Paisa aane ke baad main use chod doonga." Anushka priti se milne uske kamre me gayi. Anushka " Priti, aaj maine tumhe us ladke ke saath rasturant me dekha." Priti " Kya aap muj pe jashushi kar rahi thi? Aur haa main Mehul se pyar karti hoon." Anushka " Mehul achcha ladka nahin hai woh sirf tumhare paise se pyar karta hai. Maine tumhare jane ke bad use kisi doosari ladki ke saath milte huye dekha." Priti " Aap meri zindagi me jakne ki koshish na kare to achcha hai. Main janti hoon ki main kya kar rahi hoon. Anushka " Main tumhare pyar ke khilaf nahin hoon. Agar Mehul achcha ladka hota to main khud tumhara saath deti." Priti " Aap apne kamre me jakar aaram kijiye aur aapko meri chinta karne ki koi zarurat nahin kyunki yeh aapki sehat ke liye achcha nahin hai." Anushka " Yeh mera farz tha tumhe samjane ka per aage tumhari marji." Nikhil ne sub kuch suna aur Anushka ko rote huye apne kamre me jate dekha. Nikhil ne uske aanshu pochte kaha " Tumne jo kiya woh thik tha. Priti abhi bachchi hai. use nahin pata woh kya kar rahi hai." Anushka " Main uska dil dukhana nahin chahti thi. Main to sirf use sachai bata rahi thi ki Mehul achcha ladka nahin hai." Nikhil " Tum chinta mat karo. Main use baat karunga. Ab to muskura do mere liye." Anushka muskurai di.

Subaah hote hi Nikhil Priti se milne uske kamre me gaya. Nikhil " Anushka ne muja sab kuch bataya Mehul aur tumhare bare me. Aur hum to sirf tumhari madad karna chahte hai." Priti " Bhaiyaa, agar aap mere pass Mehul se na milne ki baat lekar aaye hai to main aapki koi madad nahi kar sakti." Nikhil " Bhagwan ke liye meri baat suno. Mujpe barosa karti ho. Mere pass ek plan hai jise tumhe sirf follow karna hai. Mehil ko phone lagao aur use kaho ki tum use milna chahti ho abhi. Aur phir use batana ki tumne apne papa ka ghar chod diya hai aur tum use shaadi karna chahti ho. Aur dekhna khud apni aankhon se kaisa hai tumhara Mehul" Priti " Aap muje mere pyar ka imtihaan lene ke liye keh rahe hai." Nikhil " Agar tumhara pyar sachcha hai to main tumhari Mehul se shaadi karvaonga." Priti ne Mehul ko phone kar ke use park me milne ke liye kaha. Priti " Bhaiyaa aap mere saath chalenge?" Anushka "haa, hum dono saath me chalenge." Sab log park me pahonch gaye. Nikhil " Priti, tum jao. hum log yahaan car me hi bete hai. Aur agar kuch bhi galat hua to hum log yahaan se tumhe dekh rahe hai." Priti ne Mehul ke pass jakar kaha " Maine apna ghar chod diya hai. Kya tum mujse shaadi karonge?" Mehul " Aisi kaise tumne muje puche bina ghar chod diya. Kya karenge hum paise ki bina?" Priti " Hum log ko paise ki koi zarurat nahin hai. Mera pyar hai tumhare pass." Mehul " Janta hoon ki tum mujse pyar karte ho lekin muje sirf paisa chahiye aur tum mere saath dhoka nahin kar sakti." Priti ne mehul ko collar se pakdakar kaha " Tumne mujse kabhi pyar nahin kiya. Tum ne sirf mere paise se matlab tha." Mehul ne zor se Priti ko thappad marke kaha " Tum ki chiz ke layak hi nahin ho." Nikhil aur Anushka daud ke priti ke pass aaye. Nikhil ne khich ke uske gal pe tamacha mara aur kaha" Kabhi bhi meri behen pe haath udhana nahin aur apni ye manhus sakl hume mat dhikhana." Nikhil ne Anushka aur Priti ko ghar pe choda aur kaha " Is bare me kisi ko pata nahin chalna chahiye. Ise ek bura hadsa samajkar bhul jana."

Priti daud ti huyi apne kamre me jakar apne aap ko kamre me bandh kar liya. Anushka" Priti, kuch mat karna. Apne parivaar ke bare me socho. Darwaza kholo. Ple muje andar aane do. Main tumhari madad karungi." Priti ne darwaza kholkar kaha " Bhabhi, kis tarah aapko aur bhaiyaa ko apna chehra dikhaungi? Maine aapko aur Bhaiyaa ko bahot kuch kaha. Muje koi hakk nahin he jine ka. Ple muje maaf kar dijiye." Anushka " Kya apni choti behen badi behen se maafi mangti hai. Aur aaj se tum ek nayi zindagi suru karongi." Priti " Bhabhi aap bahot hi achche ho." Shobhna " Anushka, tumhari maa ka phone hai aur tumse kuch baat karna chahti hai." Anushka phone pe apne maa se" kaisi ho aap? Ghar pe sab log kaise hai? Aaj achanak phone kiya? Sab kuch thik to hai?" Nandini " Yahaan sab thik hai. Tumhari tabiyat kaisi hai. Maine sirf is liye phone kiya tha ki kal tumhare college se kisi Mr. Kohli ka phone aaya tha aur woh kisi paintings ke bare me baat kar rahe the aur kal subaah tumhe college bulaya hai." Anushka ne Nikhil ko bataya ki kal subaah use college jana hai.

PART-14

Dono Mr. Kohli ki office pahonche. Mr. Kohli " Achcha laga tumhe dekhkar. Tum college ke baad kisi dost se mili ya nahin." Anushka " Nahin, Shaadi ke bad main kuch busy ho gai aur kuch contacts hi nahin kar payi. Yeh mere Husband Nikhil Joshi." Mr. Kohli " Maine tumhe is liye bhulaya tha ki tumhari sari painting bik gayi hai. Aur yeh raha tumhara ek lakh ka check. Tumhari sari painting ek hi ensaan ne kharidi aur ek isne khridne ke bad tumhe gift ki hai. Yeh rahi woh painting." Nikhil " Kya hum us insaan ka naam aur pata mil sakta hai? Mr Kohli " Main sirf tumhe itna bata sakta hoon ki uska naam Dr. Shamarth tha." Anushka ekdam si ghabra gai ki agar Nikhil ko Sahil ke bare me pata chal gaya to. Nikhil " Thank you. Anushka chale." Nikhil aur Anushka lobby me chal rahe ki peon ne aakar bataya ki aap tasvir andar hi chod aayi hai. Anushka ne Nikhil se kaha " Aap car tak jaiye tab tak main painting ko lekar aati hoon." Mr. Kohli " Tum painting ko yahi chod ke chali gayi. Main tumhe ek aur chij dena chata hoon jo usne muje tumhe dene ko kaha." Mr Kohli ne use woh chij di aur Anushka waha se chali gayi.

Nikhil " Muje office ke liye der ho rahi. Agar tumhe koi aitraaz na ho to kya tum taxi se ghar chali jaongi. Jab ghar pahoncho to muje phone karna mat bhulna. " Anushka " chinta mat karo. Main thik tarah se pahoncha jaungi.' Ghar jake Anushka ne us painting ko khola to wohi painting thi jo Anushka ne Kashmir me banai thi. Aur usne woh gift khola to usme apni paayal aur ek khat tha." Dear Anushka, Main tumhari zindagi me aakar tumhe pareshan nahin karna chaha tha is liye yeh painting aur paayal college me hi chod ke ja raha hoon. Asha karta hoon ki tum apni zindagi me khush hogi. Yeh paayal tumhare bina chan chan si aawaz bhi nahi karti. Paayal tabhi khubsurat lagti hai jab tum ise paheno aur iski chan chan se pura mahol gunj uthe. Jab bhi tum yeh paayal pehnogi muje iski aawaz se pata chal jayenga ki tumne use pehna hai. Hamesha khush rehna. Tumhara Sahil." Anushka paayal pehne hi wali thi ki Nikhil ka phone aaya " Kahan ho tum? Tum ne muje ghar pe pahunchte hi phone kyon nahin kiya." Anushka " Main kuch kaam me busy thi is liye bhul gayi. I am sorry." Nikhil " Maine tumhe is liye phone kiya hai ki hamare London wale dost aur uska parivaar aaj raat ko khane pe aa rahe hai." Anushka " thik hai main sare intzam kar dungi. Bye"

PART-15

Shekhar Nandani aur uska parivaar ghar ke andar aaya. Akhilash ne Anushka ko sabse milaya. Sab log khana khakar bete the. Akhilash " Is baar Mumbai aane ki koi khaas wajah?" Ramona " Haa bhaisaab, is baar hum Vinit ke liye ladki dekhne aaye hai aur Yahaan Mumbai me hi settle hone aaye hai." Shekhar " Hum sab ko tumhari beti Priti bahot hi pasand hai aur hum use apne ghar ki bahu banana chahte hai agar aap sabko aur khaas karke Priti ko koi aitraaz na ho to." Priti sharmake andar chali gayi. Shobhana " Anushka, sab ka muh nahin meetha karvaongi." Anushka ne sabka muh meetha karvaya aur Vinit aur Priti ki shaadi tai kardi.

Nikhil us painting ko dekh raha tha aur usne Anushka se kaha" Yeh painting me is ladki ke andar aisa lagta hai bahot sare raaz dil me chupake rakhe hai. Uski aankh main aanshu aur chehre pe muskurahat hai. Tumne aisi painting kyun banai?" Anushka " Jaisa aap ne kaha waisa muje kuch dikhai nahin deta. Jo aanshu aap dekh rahe hai darsar woh khushi ke hai apne pyar ke liye hai. Woh bahot hi khush hai apna pyar ko pakar. Nikhil " Main aaj tak kisi artist ko samaj hi nahin saka. Waise aaj main bahot khush hoon Priti ki shaadi jo tai ho gayi aur Vinit bahot hi achcha ladka hai. Apni Priti ko bahot khush rakhenga."

Subaah hote hi Priti Nikhil ko milne ke liye uske kamre me aayi. Priti " Bhaiyaa nahin hai?" Nikhil " Kya baat hai? Sab kuch thik to hai?" Priti " Aaj Valantine's day hai aur maine aap dono ke dinner ke liye rasturant me reservation kiya hai. Agar aap nahin jayenge to muje lage ka ki aapne muje maaf nahin kiya." Nikhil " Hum dono zaroor jayenge." Nikhil ne Anushka ko saam ko taiyaar rehne ko kaha. Nikhil mall me Anushka ke liye kuch tohfa kharidne ke liye gaya. Hamesha ki tarah woh aaj bhi Ring or Pandant ko pasand karne me confusion tha. Achanak kisi ne kaha " Agar aap apni wife ke liye le rahe ho to pandant lijiye kyunki woh har waqt aap ki wife ke dil ke pass rahega. Nikhil ne mud ke dekha to dekhte hi reh gaya. Nikhil " Tum farishte ho mere liye. Jab bhi koi musibat me hota hoon. Tum meri madad karne aajate ho. Ab to aapne meri do bar madad ki hai to muje ehsaan bhi do bar chukana padega." Sahil " Kabhi kisi din kisi waqt mangunga aur vaada karna hoga ki tum muje jo chahiye woh donge." Sahil wahan se chala gaya.

Anushka aur Nikhil rasturant me khana kha rahe the. Nikhil " Aaj tum apne shaadi wale din ki tarah bahot khubsurat lag rahi ho. Main tumhare liye kuch laya hoon." Nikhil ne Anushka ko woh pandant diya. Anushka " Bahot hi khubsurat hai. Kya main ise abhi pehan sakti hoon?" Nikhil ne use pehnane me madad ki. Nikhil " Muje nahin pata tha ki main kisi se itna pyar kar sakta hoon. Muje nahin pata ki tumhare bina main kaise jiya hoon per ab ek pal bhi tumse door rehna nahin chahta. Vaada karo ki tum muje kabhi bhi akela chod ke nahin jaongi." Anushka ne vaada kiya ki woh aur uska bachcha hamesha saath rahenge. Woh log car me bethkar ghar ki aur jane ke liye nikale.

PART-16

Anushka ne apni aankhen kholi to apne aap ko hospital me paya aur sab log chup khade the. Anushka " Maa, aap bataiye kya hua hai muje? aur aap sab log yahaan kyun hai?" Nandini " Tum pichale 36 ghanto se coma me thi." Anushka " Nikhil kahan hai? Woh mujse milne kyun nahin aaya? Nandini roti huyi kamre se bahar chali gai. Anushka " Koi muje batayega ki kya ho raha hai. Papa aap muje bataiye kya kua Nikhil ko. Woh thik to hai naa.' Akhilash " Tum ne accident me Nikhil aur apne bachche ko kho diya hai." Anushka ko bahot hi gehra sadma laga aur woh kuch bol nahin rahi thi, ro bhi nahin pati thi. Sab logo ne bahot koshish ki lekin sab nakamyab. Anushka jaise ek zinda lash ki tarah ho gayi jis ke aankhon mese aanshu rukne ka naam hi nahin le rahe hai. Dr. Ravindra Shamarth ne Akhilash se kaha "Aap Anushka ko ghar lejaiye. Aur use baat karne ki koshish kijiye. Aur sabse zaroori baat ki woh khudkhushi karne ki bhi soch sakti hai. to dyan rakhna ki use kabhi akela mat chodna." Sab log Anushka ko lekar ghar aaye aur Nandini ne Anushka ko safed saree pehnane ko di. Anushka apne aap se" Nikhil, Tum hamesha muje rango me dekhna chahte the per aaj to tum sare rang apne saath le gaye. Aur meri zindagi me yeh safed color reh gaya. Kyou maine us din tumse vaada nahin liya hamesha saath rehne ka."

Aaj pure do mahine ho gaye hai Nikhil ke chale jane ke bad per aaj bhi ghar ka mahol waisa hi hai. Akhilash ko Nikhil ke chale jane ke bad paralize ka attack aaya aur woh apni chalne bolne ki shakti kho bethe. Priti aaj kal Vinit ke saath business ki dekhbhal karti hai. Anushka ki dadi chal basi Anushka ko widwa ke roop me dekhkar. Ananya hapte me do teen bar Anushka se milne ke liye aati rehti hai. Anushka ne aaj do mahine ke bad bhi ek shabd apne muh se nahin bola. Har waqt apne kamre me andhera karke ek khone me bethi rehti hai apne aapko kosti rehti hai.

Ek din Priti apne Business clients ke saath dinner se vapas aa rahi thi. Woh vaapas aahi rahi ki uski car raste me bandh pad gayi. Woh taxi dhundh rahi ki achanak usne Mehul ko dekha. Mehul ke irade kuch thik dhikhai nahin dete the. Woh wahan se bhag nikli aur usne ek car ko rukne ke liye kaha madad ke liye. Sahil car me se bahar nikla aur Priti ko andar bethane ko kaha. Sahil " Aap thik to hai? Kaun tha woh?" Priti " Kuch nahin. Kuch log the akele me muje dekhakar fayda uthana chahte the." Sahil " Agar main galat nahin hoon to aap Nikhil ki behen ho." Priti " Aap, kya hum pehle kahin mile hai?" Sahil " Us din maine aap ki Bhabhi ke liye shaadi ke jode ko pasand karne me madad ki thi. Aur main kuch din pehle hi Nikhil ko mila tha. Woh apni wife ke liye Valantine day ko tohfa dekh raha tha aur hamesha ki tarah confuse tha. Ab to muje Nikhil se milna hi hoga. Maine uski teen bar jo madad ki hai aur is baar to maine uski behen ko bachaya hai." Priti " Aap kabhi bhi Nikhilbhaiyaa ko nahin mil sakte. Nikhilbhaiyaa is duniya me nahin rahe. Us valantine day ke din dinner se lotate waqt uski car ka accident ho gaya. Meri bhabhi ne apna pati aur bachcha dono ko kho diya. Woh aaj bhi Bhaiyaa ki maut ke sadme se bahar nahin nikli. Woh bas pura din apne kamre me kahin andhre khone me bethi rehti hai. Kisi se baat nahin karna aur jaise ek zinda lash ki tarah ji rahi hai.Aur papa to apne chalne bolne ki shakti hi kho bete. I am sorry. maine aapko bhi meri pareshaniyaan sunane lagi." Sahil " Agar aap bura na mane to kya main aapki Bhabhi se mil sakta hoon. Main ek psychiatrist hoon aur main uski kuch madad kar sakta hoon." Priti Sahil ko apne ghar le gayi aur usne Shobhana aur Ananya se kaha " Yeh Dr. Shamarth hai ek Psyciatrist. Aur yeh Bhabhi ki madad ke liye aaye hai." Sahil " Namaste, kya main use mil sakta hoon." Ananya Sahil ko upper ke kamre me leja rahi hai.

PART-17

Ananya en darwaza khola to Sahil ne dekha ki koi aurat bister ke pass ek khone me andhera kar ke apna muh chupaye bethi thi. Ananya ne jab roshni ki to Sahil us painting ko dekhkar bahot hi ghabra gaya. Sahil ne zor se kaha " Anushka." Anushka ne jab apna sir uthake dekha to ekdam bhagti hui Sahil ke gale lagkar zor zor se rone lagi. Anushka " Kahan the tum? Sahil. Dekho na bhagwan ne mere saath kya kiya. Main hamesha dusara ko khushi di aur usne mujse sab kuch chhin liya. Usne kyon mujse mera Nikhil aur mera bachcha chhin liya. Aur dekho ab to mere pass ek ho rang reh gya hai safed. Jis me tum hamesha kehte the ki main khubsurat lagti hoon." Sahil " Haa, such hai ki tum safed rang me khubsurat lagti ho per is tarah maine kabhi socha bhi nahin tha. Muje bahot hi afsos ho raha hai Nikhil ke bare me. Main Nikhil se mila tha. Bahot hi achcha tha aur tumse bahot hi pyaar karta tha." Anushka " Tum nikhil ko kaise jante ho?" Sahil " Main use bo baar mila tha. woh tumhare liye jo bhi kharidta tha usme confuse hota tha aur maine do baar use pasand karne me madad ki. Pehli baar jab woh tumhare liye Shaadi ka joda lane ke liye gaya tha aur dusri bar jo pandant tumne apne gale me pehni hai woh lete samay." Anushka " Thanks Sahil yahaan aane ke liye. Main bahot hi akela mehsoos kar rahi thi." Sahil " Tumhe mujse vaada karna hoga ki aaj se tum ek nayi zindagi suru karongi Nikhil ke liye. Kyonki agar Nikhil tumhe is haal me dekta to use bahot dukh hota to vaada." Anushka " Vaada karti hoon ki aaj se main ek nayi shuruaat karongi." Sahil " Ab main chalta hoon kafi raat ho gayi hai aur ghar pe maa mera intzaar kar rahi hogi."Aur Sahil chala gaya.

Ananya " To yeh hai Sahil jise tum college me mili thi jo tumhara pyar hai."Anushka " Didi, Sahil mera gujra hua kal tha aur aaj me Nikhil ki widhwa hoon. Aur muje koi hakk nahin hai ki main kisi se pyaar karu. Hum log yeh baat kyoun kar rahe hai? Sahil ne to abtak shaadi bhi karli hogi. Maine use kahan jo tha." Ananya " Kyon apne aap se jooth bol rahi ho. Maine aaj bhi tumhare aankhon me Sahil ke liye jo pyaar dekha woh Nikhil ke liye kabhi bhi nahin dekha. Aur agar pyaar nahin karti to aaj Nikhil ke jane ke baad kyoun tumne sirf Sahil se baat ki. Duniya me kuch hi log hote hai jo apna khoya hua pyaar vapas pate hai. Socho kyou Sahil Nikhil ke chale jane ke baad tumhe mila. Shayad bhagwan bhi yahi chahta hai ki tum aur Sahil ek ho jao. Ab aage kya karna hai tumhari marzi." Ananya ke jane ke baad Anushka bahot hi sochati rahi ki kya Didi ki baat sach hai. Per phir usne socha ki yeh to Nikhil ke saath bewafai hogi. Main kisi aur ke bare me kaise soch bhi sakti hoon.

Sahil apne kamre me bahot hi pareshan tha. Divya ne aakar poocha" Kya baat hai Sahil kuch pareshan se lag rahe ho? Hospital me kuch hua?" Sahil " Nahin maa, main kisi aur chij se pareshan hoon." Divya " Kya apni maa ko nahin bataonge?" Sahil " Maa, aaj main Anushka ko mila tha. Aaj woh meri pehle wali Anushka nahin rahi. Meri Anushka to hamesha muskurana janti thi aur aaj uske aankhoin me aanshu ke siva kuch nahin hai." Divya " Kya bol raha hai? muje kuch samaj nahin aa raha hai." Sahil " Anushka ko aaj maine Nikhil ki widhwa ke roop me dekha. Mujse uski yeh halat dekhi nahin jati. Main use dukhi nahin dekh sakta. Main kya karu jisse woh phir se jine lage." Divya " Kya aaj bhi tum use utna hi pyaar karte ho?" Sahil " Haa, maine aapse kaha tha ki mera pyaar kabhi bhi Anushka ke liye kam nahin hoga." Divya "Aaj Anushka ko tumhari sabse jyada zarurat hai. Tum use itni khusiyaan do ki woh apne sare dard bhul jaye aur phir se mushkurane lage. Use us jagah le jao jahan tum dono hamesha mila karte the aur use purani baatein yaad dilao. Muje pura bharosa hai ki woh tumse zaroor pyaar karne lagegi." Sahil " Kya aisa ho sakta hai? Kya woh mujse phir se pyaar karengi."

PART-18

Kuch din tak Sahil Anushka ke ghar use ek purana college ke dost ki tarah milta raha aur Anushka ab puri tarrah se thik ho gayi. Ab to woh sabse baat karti hai aur apne gharwale ka pura khayaal bhi rakhti hai. Shobhana aur Priti ko bhi Sahil ka aana pasand tha kyonki Sahil ko dekhke Anushka khush hoti thi. Sahil ne Shobhana se izazt mangi ki woh kuch waqt ke liye use kisi khaas jagah per lejana chahta hai. Shobhana ne use izazt di. Sahil Anushka ko us Church me le gaya jahan per unhone raat bitai thi. Sahil " Anushka, yaad hai tumhe yeh church. Tum bahot hi dari hui aur zakhmi thi aur main tumhe yahaan laya tha." Anushka " Kaise bhul sakti hoon? tumne meri kitni dekhbhal jo ki thi. Aaj bhi muje woh din puri tarah se yaad hai. Agar tum nahin hote to main shayad aaj zinda nahin hoti." Sahil " Tum nahin to main bhi zinda nahin rehta." Dono ek dushre ke samne dekh rahe tha. Sahil " chalo wahan garden me jakar bethte hai."

Sahil " Kitni khubsurat jagah hai naa." Anushka " wake me bahot hi khubsurat hai. Muje tumhari patni se nahin milvaonge?" Sahil " Maine shaadi nahin ki." Anushka " kyon?" Sahil " Tum nahin mili na is liye." Anushka " Tumne mujse vaada kiya tha shaadi karne ka." Sahil " vaada to tumne bhi kiya tha ki tum kabhi in aankhoin me aanshu nahin aane dongi." Anushka " Kuch vaade aise hote hai ki use bhul jana hi behtar hota hai." Sahil " Aaj bhi tum nahin badli. Aaj bhi tum use apne naak me pehnti ho." Anushka "Haa. Maine Nikhil se shaadi ki use bahot pyaar bhi kiya lekin sirf ek patni ki tarah. Maine tumse kaha tha ki yeh hakk maine sirf apne pyaar ko diya hai. Lagta hai bahot dair ho gayi ab hume chalna chahiye." Sahil ne Anushka ko ghar choda.

Shobhana " Anushka, Muje lagta hai ki hume Priti ki shaadi ki taiyaariyaan shuru kar deni chahiye. Hamare pass ek hi hafta bachcha hua hai." Anushka " Aap thik keh rahi ho. main aaj hi sab kuch suru kar deti hoon aur Sahil ko bhi haath batane ko kehti hoon." Shaadi ki sari taiyaariyaan ho gayi. Priti Anushka ke kamre me aai aur usne Anushka ko hare rang ki suhagan ki sari jaisi kal shaadi me pehne ko di. Anushka " Tum janti ho tum yeh kya keh rahi ho? Main is rang ka pehanane ka to kya soch bhi nahin sakti." Priti " Aap ko achchi tarah pata hai ki agar Bhaiyaa aaj kote to woh bhi aap ko yeh rang pehne ko dete. Agar aap chahti hai ki main yeh shaadi karu to aap yeh saree pehnanegi." Priti waha se chali gayi. Anushka Nikhil ki tasvir ke samne " Aaj muje kis musibat me dal diya hai. Meri to kuch samaj me nahin aata main kya karu. Aaj me ye sari pehnungi to duniyawale muje lakh baatein sunayenge aur Priti ki baat nahin mani to woh kal shaadi ke mandap me nahin bethengi. Aap hi to hamesha kehte hai ki parivaar ki khushiyon se badhkar kuch nahin hota. Muje sirf aap ka saath chahiye."

PART-19

Subaah hote hi mehmaan aana shuru ho gaye. Shaadi ka waqt ho gaya. Anushka aur Ananya Priti ko lekar mandap ki aur aahi rahe the ki achanak kisi ne kaha "Anushka, yeh kya pahen rakha hai tumhe. Tumhe nahin pata ki widhwa hare rang ki saare nahin pehnti." Krishnkant " Woh log thik keh rahe hai. Anushka, tum jakar dusri saare pahen ke aao." Sahil " Anushka, tum kahin nahin jaongi. Tumhari koi galti nahin hai ki Nikhil ke chale jaane ke baad tum apni khushi chodke doosaro ki baat mano. Haa, widhwa hare rang ki saree nahin pehnti lekin suhagan to pehanti hai naa. Main Anushka se shaadi karne ke liye taiyaar hoon." Krishnakant " Tum hote kaun ho hamare ghar ke mamlo me bolnewale?" Ananya " Bas kijiye papa, Aap jise rok rahe woh wahi hai jisne hamari Anushka ko jina shikhaya. Woh to Anushka ki zindagi me bahot hi mayne rakta hai." Anushka " Bas karo Didi, aap aage kuch nahin bolengi." Ananya " Aaj main chup nahin bethungi. Aaj main sabko sach bataungi. Tum ne hamesha apni khushi ko chod ke doosaro ki khushi ke baare me shochti ho." Krishnakant " Jo kuch bhi kehna ho woh saaf saaf kaho." Ananya " Anushka aur Sahil college se ek dusre ko jante hai. Woh dono ek doosare se bahot pyar karte hai lekin aapko diye huye ek vaade ke liye Anushka ne apne pyar ke kiye huye sare vaade tod diye. Hum sab ki khushi ke liye woh apne aap ko dhukhi karti gayi. Aap ke kehne per usne Nikhil se shaadi ki use apna pati banaya. Anushka ne har ek farz nibhaya hai chahe woh ek beti ho, ek bahen ka aur ek patni ka bhi. Aaj use apne pyaar ke kiye huye vaade nibhane dijiye. Kya galat hai agar yeh ek doosare se pyaar karte hai. Kya galat hai agar Anushka apni zindagi Sahil ke saath jina chahti hai. Aaj main aap sabse Anushka ki khushi mangti hoon." Anushka " Bas kijiye. Sayad duniyawale thik hi kehte hai ki ek widhwa ko widhwa ki tarah hi jina chahiye." Priti " Bhabhi, Aap hi to hamesha kaha karti hai jo ho gaya use piche chhodakar aage badhana chahiye to phir jab aapki bari aai to aap kyon haar gayi. Ab to meri shaadi tabhi hogi jab tak aap is mandap me Sahil ke Saath shaadi nahin karti." Anushka " Tumhe pata hai ki tum kya baat kar rahi ho." Shobhna " Priti bilkul thik keh rahi hai ki tumhe bhi jine ka hakk hai aur tumhari shaadi aaj hi hogi Sahil ke saath. Krishnakantji aapne hume aapki beti bahu banane ke di. Aaj hum use beti banakar uski shaadi Sahil ke saath karna chate hai. Maan jayiga apni bachcho ki khusi ke liye." Us din us ghar se ek nahin do doli uthi ek Priti ki aur ek Anushka ki.

Sahil aur Anushka uske ghar pe pahunche aur Divya aur Ravindra bahot hi khush the use shaadisuda dekhkar. Divya ne dono ki aarti ki aur Anushka ko kalash girake ke ghar me kanku pagle karne ko kaha. Anushka ne ghar me dekha to charo tarak usiki paintings thi. Divya " Beta, yeh to kuch bhi nahi tum mere bete ko nahin janti ki woh tumse aur tumhari har ek chij se kitna pyar karta hai." Ab tum log apne kamre me jao kafi raat ho gayi hai. Ananya " Namaste main Anushka ki badi bahen Ananya. Anushka. yeh lo tum apna saman wahi per chod aayi thi. Agar galti se Anushka se koi bhul ho jaye to use nadan samaj ke maaf kar dena." Ravindra " Aaj hum bahu nahin balki ek beti laye hai. Aap bilkul chinta mat kare. Hum use woh sari khusiyaan denge jiski woh hakkdar hai." Ananya wahan se chali gayi. Sahil aur Anushka bhi apne kamre me chale gaye. Sahil jab kapde badlkar bahar aaja to Anushka Khidaki ke pass khadi thi. Sahil " Kya soch rahi ho?" Anushka " Tum hamesha muje poocha karte the na ki main ise apne naak me kyou pehnti ho aur main hamesha kehti ki yeh hakk maine mere pyar ko diya hai. Aur aaj woh hakk main tumhe deti hoon." Sahil ne Anushka ke naak se ise nikal diya aur dono ek dusre ke gale lag gaye.

Subaah hote hi Anushka ne Sahil ko jagaya aur use woh paayal di use pehnane ke liye. Sahil ne Anushka ko woh paayal pehnadi. Aur aaj paanch saal ke baad bhi Anushka ki choodi ki khanak aur paayal ki chan chan se pura ghar gunj uthata hai per ab kuch aur bhi aawaze jood gayi hai uski teen saal ki beti Khushi ki hanshi. Anushka aur sahil aaj bhi dono ek dusre se utana hi pyar karte hai. Aur Anushka hamesha kehti thi ki agar pyaar sacha ho to use uski manzil zaroor milti hai aur waisa hi humne Anushka ki zindagi main bhi dekha.

Pyar, mohabbat, ishq hum use dekh nahin sakte per sirf use mehsoos kar sakte hai kisi ke liye. Pyar chhinne ka nahin pane ka naam hai. Shaadi ek moothi ki tarah hai. Pyar, Sanmaan, Vishwas, Samajdari, Saath yeh hamari paanch ungaliyaan ki tarah hai agar aap is paancho ungliyon ko bandh kar do to ek moothi bandh jati hai. Aur moothi me woh taqaat hoti hai ki koi use khol nahin sakta. Waisi hi agar aapki shaadi ki buniyaad is paanch chijo se ho to aapki shaadi ko koi nahin hila sakta. Main sirf itna kehna chahti hoon ki pyar karo to use nibhavo lekin kisi ka dil tod ke nahin. Jitna farz hamen hamare pyaar ka hai utna hi hamare parivaar ki aur bhi. Kisiko ko khushi dena pyar dena hi sabse bada puny hota hai. Pyar duniya ka sabse kimti tohfa hai jo kuch hi logo ke naseeb main hota hai.

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Edited by goodkashish - 16 years ago
Posted: 17 years ago
hi! this is almost 75% true story and i added 25 % masala to make it more interstring. i just want to say that this story means a lot to me. so ple read it and enjoy it. thanks
Posted: 17 years ago
its very nice. thanks for sharing! 😃 😉 😊
Posted: 17 years ago
hey kashish.... it's really nice...& somewhere  very touching too....

thanks for sharing....

the thing i liked most is ur deep sense of understanding...a relation..be it's love or friendship or marriage...or most importantly a commitment... 😊  😊  😊  
Posted: 17 years ago
whoa!! so long ill read l8er n review i hv to read fr exam 2moro 😃
jst one suggestion yaar~brk it up into smaller parts na 😆 warna ppl wont feel like reading so much at one sitting
bt otherwise it seems intresting will read later n review k 😳😃🤗
Posted: 17 years ago

Have read half, seems very nice... I like Anushka!!! (she's pretty too 😉 )

Will give you a proper review once read.
Posted: 17 years ago
ok! as your request, i break it down in smaller parts so it is easy for readers. thanks for your comments.
Posted: 17 years ago
i read this story a couple of days ago, it was really late in the night to comment.

i really luved the story its good, you portrayed the relationships really well especially the role as a bhabhi n the sister bond.

it was a lovely story, maybe u cud have written alittle bit in the beginning abt karuna's n anushka's friendship. in the beginning itself she is dead. like in ddlj, the poem of her rajkumar.

wen i first saw the characters i thought there wud be a a small story concept, but then i saw the whole story was posted.

it was fun reading it

😃
Posted: 17 years ago
Hi kashish....Sorry I was late but finally started reading this beautiful touching love story and have reached till Part 11....It s getting more interesting ...I ll let you know once finished ... 😊
  1  

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

7 Participants 8 Replies 133217Views

Topic started by goodkashish

Last replied by gulrani

loader
loader
up-open TOP