Na Umra Ki Seema Ho

Shattered DEV ; ViDev; OS

Shinika thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Anniversary 7 Thumbnail + 3
Posted: 1 years ago

hi friends this OS is on dev how he handled the news of vidhi’s illness . 

@Garryk04 specially this is for you..

So sorry for the late . aapne mujhe bahut baar request Kia iss os keliye. Thank you for your trust in me .

Patha nahi main show ki dev ki character ko justify Kia hai ya nahi par jitna main soch paya bas uthna likh dia. Hope you all will like this . But sach me bahut mushkil tha yaar yeh sab likhna..



In between Satya and dev conversation about Vidhi illness dev walked to his room with dijected and shocked face and closed the door immediately.

Satya and Amba knocked the door and asked him to open it but on getting no response satya said to Amba that Thank you so much Amba par ab yeh main handle karloonga tum apne ghar jao and pls give us some personal time (cause satya know dev won’t open up infront of Amba).

Amba  annoyed with Satya but felt happy inside and said sab kuch theek ho jayega aap bas dev ka dhyan rakhiyega. Pranaam. And left from there with cunning smile.

Satya wants to give some time to dev to digest the truth. So she thought to come after some time to talk with dev.


Dev went inside and sat on the bed he couldn’t understand anything but Satya and that doctors words are ringing in his mind. He just felt the pressure build up in his stomach . No no dev no it’s not the time to allow the fear to hug you. No … you have to think.. you have to handle the situation some how . Jo bhi vo keha raha hai na vo sach nahi hain.. vo sach ho hi nahi sakte. Vidhi bilkul theek hai . Abhi abhi main usse milke aa raha Hu.. usne ya uski gharwalon ne mujhe kuch nahi bataya.. ma kaha raha hai ki vidhi ko bhi nahi pata hain.. aisa kaisa ho sakta hai. Agar kuch aisa bath hai tho uski ma, papa usse batayega na kam se kam vimla ji tho mujhe batha dethi. Par kisi ne kuch nahi kaha matlab aisa kuch bhi nahi hain.. par vo doctor our Vidhi ka ithne saare dawai our uska baar baar chakkar aana vo sab kya hain.. nahi dev nahi.. aisa mat soch vidhi ko kuch nahi hua hain mera dil kaha raha hai vo bilkul  theek hain..he felt like a water drop touched his hand and then he realised his eyes are silently shedding the tears of pain that filling in his stomach and he couldn’t feel anything physically. he wiped the tears harshly and said no.. no.. dev you can not cry no .. yeh sab jhut hain ..aisa kuch nahi ho sakta meri vidhi ke saath. Meri vidhi..hmm meri vidhi he smiled slightly with that..he just remembered the moments when he dressed as contractor but struck at the last memory that she fainted.. kuch tho bath hai that Vidhi aaj kal uthna chirpy/active nahi hai jaisa vo pehle hote the..par vo hari prasad ji ki gusse ki vajah se thoda mayus hai par isse uss ki health ka koi connection hain?..pichle kuch dinon mein jo kuch bhi hua tha uski vajah se vo bahut tension mein thi, na dhang se khana khaya ya soya hoga bas isi ki vajah se chakkar aa raha hoga uska.. bas yeh choti si baath hain. Par Bas iss choti si bath ko vo doctor ne kyon bahut saare dawai diya .. maine dekha USs din.. he just got confused one side he has that institution that Vidhi ko kuch nahi hua hai and one side what all others are saying and the things that are forcing him to believe.

How much he try to believe what doctor said at the end he is coming to denial only. Ha dev aisa kuch ho hi nahi sakta.. agar aisa hai tho milapini mata hame aisa ek nahi karthi. Hamara rishta milapini ma ne Banaya hai. Vo khud ko banaya rishta ko ithni jaldi kyon thodegi .. he remembered BAs theen mahine hai vidhi ko jeene keliye… his eyes continuously pouring the pain out that his heart is feeling how much he denies … he got angered on himself and shouted no.. dev just stop crying..Vidhi ko kuch nahi hoga..our agar vo sab jo kaha raha hai vo sach bhi hoga na tab bhi vidhi ko kuch nahi hoga.. main usse kuch nahi hone dunga..  jameen our aasmaan ek kar dunga par meri vidhi ko mujhse kisi ko nahi cheen ne dunga.. bhagvaan ko bhi nahi.. vo sab kuch karoonga jis se main vidhi ko bacha sakun.poori koshish karoonga par main vidhi ko nahi Kho sakta hu .. itne salon baad mera jindagi me fir se vo khushi vaapas aagaya jo main ma , papa ke sath mehsoos karta tha.. ab main USs khushi ko vapas nahi Kho sakta.. he just remembered all their happy moments and called her with determination. 

Dev called Vidhi…

Vidhi: hello dev sir..

Dev: he couldn’t talk after hearing her voice . For a moment he thought his voice is strucked in his throat..

Finally he talked very slowly..

Vidhi .. kaisi ho tum.. tumhe vo chakkar aagaya na .. tum theek ho..

Vidhi: kya hua sir aap kyon aisa bath kar rahe hai . Aapki aavaj .. kyun ithna udaas lag rahe hai.. sab theek hai vaha..

Dev: dev controlled himself up to some extent and said ha mujhe kya hua… yaha sab theek hai.. tumhe chakkar aaya .. tumhe batana hai tum theek hai ki nahi..

Vidhi: main bilkul theek Hu sir..

Dev: Vidhi main tumse kuch important bath Karna chahta Hu..

Vidhi: bathayiye sir..

Dev:tum nahi chahte the na ham aisa chup chup ke mile tumhare papa ki ijazat ke bina..

Vidhi: she is silent and thinking how can he understand every time what she feels ..

Dev: Vidhi…main kal tumhara ghar aa raha Hu ma ke saath..

Vidhi: sir.. aap kya kaha rahe hain.. papa abhi tak hamare rishte ko accept nahi Kia hain our mujhe lagta hain vo kabhi karega bhi nahi…she said very sadly..

Dev: vidhi pehle mera bath suno.. main ab tumse door nahi rah sakta.. bas isiliye main kal aake tumhari papa se bath karunga.. daro math .. pyar Kia tho dar ki koi bath hi nahi hai.. 

vidhi: par sir.. nahi sir.. papa fir se..

Dev: vidhividhividhi kuch nahi hoga.. main Hu na.. tumhe mujh par bharosa hain..:

Vidhi: ha sir .. yeh bhi puchne vali bath hai . Mujhe khud se bhi jyada aap pe bharosa hain..

Dev: he got emotional by listening this and thought aaj ke baad main tumhe kabhi akela nahi rahne dunga.. jitna bhi din hai ham saath me rahenge vidhi.. chahe kuch bhi ho jaye main iss halat me tumhara sath nahi chodunga.. and felt he couldn’t control himself more time..

Vidhi: sir.. dev sir..

Dev: ha Vidhi tho chalo phir main kal aake tumse milunga..darna math. kal sab acha hoga. Bye..

He just broke down after the call and said no dev .. tum aisa kamjor nahi pad sakta.. mujhe is bath ka sach patha lagana hi padega our tab tak yeh baath vidhi ko nahi pata chalna chahiye.. abhi tak uski ma, papa usse nahi bataya tho vo bhi chahta hai vidhi se yeh bath chipane chahiye. Par ma , ma nahi kahega vidhi se .. but vo Amba .. uska koi guarantee nahi hai vo vidhi ko yeh baath batha dia tho.. bas sab khatam ho jayega.. mujhe pata hain vidhi kaise react karegi.. he just joined his hands and said hey Devi ma.. pls Vidhi se yeh bath secret hi rakhiye .. pls ma.. aaj tak usne kithne shraddha se aap ka puja Kia .. pls uske sath our uske parivar ke sath aisa kuch mat kijiye..Vo nahi seh paayenge  ma.. vo yeh sach bardasht nahi kar payenge ..  ma. Mujhe koi aisa rasta dikhayi ye ki main uski bimari ka ilaj dundh sakun. pls  ma.. koi chamatkar kar dijiye jaise ki vidhi bilkul thik ho jaye.

Pls milapini Ma…

He heard the door knock sound

Satya: dev beta, darwaza kholo.. pls dev..pls..

Dev wiped his tears and opened the door. Satya walked hurriedly into the room and hugged dev.. tum theek ho..

Dev nodded and said pls ma.. BAs yeh mat kahiyega ki vidhi ki khayaal dil se nikalo pls.. iske alava main sab kuch karoonga jo aap chahte hain.. pls ma..

Satya: dev.. I am sorry dev.. par …

Dev: he made her sit on bed and he sat down and placed his head on her lap and closed his eyes…

Satya: crying silently she just caressed his head to calm him down..

After some minutes dev opened his eyes and said ma , Maine Vidhi ko call Kar ke bathaya ki ham kal uske ghar aa rahe hai shadi ke bare me hari prasad ji se bath karne keliye.. 

satya got afraid and cried silently ..

Dev: aap mera saath denge na ma.. kal aap mere sath aayenge na….

Satya sat silent while crying

Dev: ma, ek baar hari prasad ji ki jagah pe hokar soch lijiye ma.. jab baath mere umra ki hai tho uska sab se bada chinta yeh hai ki uski beti ko jyada din akela rahna padega… tab aap iss bath ke baare me ithna nahi socha kyon ki aap ko bas aapki bete ka khushi nazar aaya.. par ab vahi vidhi ke saath ho raha hai tho aap peeche mud rahe hain..

Satya: dev .. beta vo alag bath hain.. par vidhi ke paas bas theen mahine hai dev.. uske baad tumhara kya.. poora jindagi pada hai tumhara saamne..

Dev: par aapko lagta hai main ab yeh shadi nahi karne se ,main teen mahine ke baad vidhi ko bhul kar mere jindagi mein fir se khushiya dundhunga…

Nahi ma.. vo kabhi nahi ho sakta… ithni mushkil se meri jindagi me vo khushi vapas aagaya jis ke liye mein taraste the.. mere tanhaai ko door kar ke mera jindagi ko rangeen banaya hai ma USs ladki ne.. ab vo mushkil main ho tho aap kaha rahe hain main usse uski  halat me chod du.. Vidhi ko ab meri jyada zaroorat hai ma.. main usse pyar karta Hu ma.. main ab usko aisa nahi chod sakta Hu vo  bhi  tab jab usko mera jyada zaroorat hai.. nahi ma.. yeh mujhse nahi hoga.. main uske bina nahi rah sakta Hu ma.. our apne hi kaha na .. jab aap mushkil ghadi me hain tho papa aapka saath dia .. agar aap ki halat bhi vidhi ki jaisa hota to kya papa aapko chod ke chale jaata.. nahi na.. kuch bhi ho jaye vo aapka saath Detha na.. haina ma.. tho ab main kaise peecha mud sakta Hu ma…

Our aap yeh manthe hai na jindagi chota ho ya bada par khushiya bada ho to koi farak nahi padega. Aap khud yeh kahate hai  na… ma  jindagi me kitne saal hai yeh maayne nahi rakhta hai lekin un saalon mein kitna jindagi hain yeh mayne rakhta hai. Bas socho vidhi ke saath bithaye huye har ek pal mere liye ek jindagi jaisa hai to mujhe our kya chahiye..

Ma.. main ab uski saari Ichaye pura karna chahta Hu ma.. uska bas ek hi iccha hai vo mere sath apna puri jindagi bithana chahte hain. Aapko patha hai ma mere man me shadi ka khayal aane se pehle hi vo mujhe bataya ma is janam me agar vo shadi karegi tho sirf mujh se varna vo mere yadon ke sath apna pura umr bithayegi.. par kisi our ko apni jindagi ke jagah kabhi nahi degi..  vo bhi jab puri duniya uska mazak uda raha hai tab. isiliye ab main usse our intezar nahi karvaaunga ma.. mein kuch bhi karke bas hari prasad ji ko mana lunga shadi keliye .. par yeh sab mein akela nahi kar paunga ma , mujhe aapka sath chahiye.. aaj tak mein our vidhi ne parivar ke sath, doston ke sath, puri duniya ke saath fight kiya hai our jeeta bhi par ab yeh ladai khud devi ma ke sath our hamari kismat ke saath ma… ha milapini ma hamari pariksha le raha hai , hamari kismat hamari rishte ka pariksha le raha hai.. hamari rishta itna kamzor nahi hai ma.. ham iss mushkil ka samna karenge our hamari riste ka takat bhi dikhayenge ma.. jo pyar mera our Vidhi ka beech haina vo khud apna rasta dhundega.. mujhe pura yakeen hai ma..vidhi ko kuch nahi hoga .. kuch tho gadbad jaroor hain our main uska pata lagakar hi rahunga..

Bathayiye ma aapko mere bath par yakeen hai .. kal aap mera sath denge na..  bathaya ye ma..

Satya: dev .. mujhe nahi pata dev yeh  sab kuch kya ho raha hain..main bas tumhe puri jindagi khushi se rahte huye dekhna chahta Hu.. mujhe vidhi se koi shikayat nahi hai ..vo bahut achi ladki hain. Our ha mujhe tera yakeen pe yakeen hain… kal ham vidhi ke ghar jaayenge our shadi ke baare me bath bhi karenge ..par Hariprasad ji kaise react karega ..iss bath ka chinta hai mujhe..

Dev: ha ma, main bhi isi bath se pareshan Hu .. Hariprasad ji ki jaan hai vidhi.. vo yeh baat kaise bardasht kar raha hai yeh soch ke bhi mujhe dar lag raha hain.. abhi abhi mujhe sab samajh aaraha hain . Bimla ji ka baar baar vidhi ko bahar lene keliye puchna .. our main sochta tha hari prasad ji kaise raazi hogayi is bath se .. ab mujhe samajh aa raha hai vidhi ki khushi keliye vo yeh sab kuch kar raha hain. Isiliye mujhe yakeen hai ma vo is baar mere bath maan jayenge.

Satya: agar hp ji ka gussa thanda hogaya tho vo yeh baat pehle tumse kyon nahi bataya . Jab vidhi behosh hogayi tho Bimla ji bhi kuch nahi kaha tumse. Vo kyon tumse yeh bath chupana chahte hain..vidhi se chupaya main samajh sakti Hu . Koi bhi ma , papa khud yeh baath nahi maan sakte hai tho vo kaise khud apne beti ko bata sakte hai . Aisa situation kisi bhi ma, baap ki kismat me nahi hona chahiye..Hariprasad ji our bimlaji kis hal me honge ham soch bhi nahi sakte hai dev..

Dev: ha ma , isiliye mujhe kal hp our Bimla ji se milke usse himmat dena hai ma.. usse yeh yakeen dilana hai ki vidhi ko kuch nahi hoga our main kabhi hone nahi dunga.. mera dil abhi bhi kaha raha hai vo sach nahi hai par agar aap jo kaha rahe hai vo sach bhi hogaya na tho bhi main vidhi ko kabhi nahi chodne vala Hu. Vo jitna bhi din hai hamare kismat me vo din ham saath bitayenge our main apni poori koshish karoonga ki duniya ki kisi kone pe bhi iss bimari ka ilaj dundh sakun tho main vidhi ko vaha le jaunga our usse sahi salamat vapas lekar avunga  par itni asani se haar nahi manunga. yeh yakeen dilana chahta Hu main Hariprasad ji ko..

Aaj tak usne mujhe ek bhi mouka nahi dia mere feelings bathane keliye.. par kal hp ji ko mujhe vo mouka dena hi padega  kyonki agar vidhi ko yeh baath pata chalega tho vo kabhi iss shadi ko haa nahi kahegi. Isiliye Amba ya kisi our se usse yeh pata chalne se pehle main vidhi se shadi karna chahta Hu..

Aap chinta math kijiye maa..Bas mujh par bharosa rakhiye . main jaldi sab kuch theek kar dunga..

Satya nodded and went from there.

Dev noticed  missed call from Vidhi and thought iss vakt vidhi ka call ? Ham pehle baath kar chuke hai na..kya baat ho sakta hai ?kya patha kuch jaroori baath ho. Abhi call karta hu Vidhi ko..



To be continued….



SHINIKA.


Part 2:

https://www.indiaforums.com/forum/post/162506098

Edited by Shinika - 1 years ago

Created

Last reply

Replies

38

Views

3026

Users

13

Likes

61

Frequent Posters

Nany thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago

Shinu It's just beautiful....but I need to read it more thn one time...achhe se comment baad me karti..pahle I need to read this again...its lovely btw❤️

Parud7 thumbnail
Posted: 1 years ago

This is very beautiful yrr. Aisa kuch kaash ye show mein bhi dikhayen. But tumne bht hi consistent way mein likha hai 

Waiting for the next part👍🏼

Shinika thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Anniversary 7 Thumbnail + 3
Posted: 1 years ago
This content was originally posted by: Parud7

This is very beautiful yrr. Aisa kuch kaash ye show mein bhi dikhayen. But tumne bht hi consistent way mein likha hai 

Waiting for the next part👍🏼



Consistent ..ha hamara dev hai tho aisa na . So matured and consistent. He won’t believe anything just blindly. He may wrong or right but he won’t believe any thing instantly . He will just observe and slowly analyse the possibilities then come to a conclusion , accept that and react accordingly . And this is just first phase of his thinking. That to this is about Vidhi. So he will be more careful this time .Slowly he will accept the situation and react in his style.

This is my observation about dev in show..

maddy124 thumbnail
Visit Streak 365 0 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 4
Posted: 1 years ago

That was so so so beautifully written ❤️❤️ 

I just loved every word of it..❤️❤️😍😍 

Can't wait for the next part.. 

Plz xr Ambaa ka bi kuch likhna k Dev uska kya hal kre ga..  plz do write a small part on it.. ❤️❤️

banhi2021 thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Visit Streak 30 0 Thumbnail Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 1 years ago

Wow Shinika.well written dear...I hope makers won't spoil the track by giving some nonsense conclusion. Really I feel they should read your Writing..It is so composed subtle...beautifully written.

Scissor thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Visit Streak 90 0 Thumbnail + 3
Posted: 1 years ago

Shinika...it's awesome dear....its just that to grasp the emotions in one reading it's not possible...u can say my brain is very small here in context of emotions.....specially etni deep emotions...but first applause for ur brain to think so minutely....


Second kiss on ur hands for writing so much😘😘😘😘😘

Mein to ek quote mein hi thak gyi🤣

Parud7 thumbnail
Posted: 1 years ago

Waiting for the next part shinika☺️

Jaldi update kro😉

Shinika thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Anniversary 7 Thumbnail + 3
Posted: 1 years ago

Shattered dev

Part 2:

Vidhi home:( when dev first called her)

Vidhi said bye to dev and went into the thoughts. Sir aaj tak mujhe sabar karne keliye bola hain par aaj aisa kyon bol raha hai. Achanak aisa kya hua ki sir ekdam se papa se bath karne ka soch raha hain. Our sir ki aawaj bhi bada udaas laga mujhe. Aaj tak sir kabhi bhi mujhse is awaaj me bath nahi Kia .Kuch tho jaroor hua hain. 

Par ab mujhe papa se yeh baat kehna hai ki sir our satyavathi mam kal aa rahe hain varna ekdam un logon ko yaha dekha tho papa iss baar kaisa bartaav karega mujhe bahut dar lag raha hain. Hey ma mera madad karna pls…

Vidhi is going to her parents room when she about to enter she heard hp talking Bimla dev Saab se hame yeh baath chupane hi padega.  Vidhi stopped abruptly by listening dev Saab from hp. She step back and stood there shocked by her father’s behaviour.

Bimla: par dev ji Vidhi se bahut pyar karthe hai. Vo vidhi ko bachane keliye kuch bhi karega. Mujhe pura yakeen hain.

Hp: Bimla Kis mooh se ham dev Saab Se yeh bath kahenge. Our ham dev Saab ke saath yeh anyay nahi kar sakte hain. Ha main dev Saab se naraz jaroor Hu.. par mera dil pathar nahi hai Bimla hamari bachi ki khushi keliye dev Saab ko aag me dhakelunga.. nahi aisa nahi kar sakta mein.

Bimla: par hamari bachi ki saare armaan, sare khushiya bas dev Saab se jude huye hain..

Hp: ham kya kar sakte hai Bimla.. kuch bhi hamare haath me nahi hain.main manta Hu dev saab vidhi se bahut pyaar karthe hain par yeh sach jaan ne ke baad vo vidhi ko apanayenge, bas kuch dinon keliye usse shadi karne keliye taiyar ho jayenge.

Bimla: shayad dev ji vidhi ko bacha sakte hain . Usko videsh tak pahchan haina vo kuch bhi karke vidhi ko bacha lenge. Mujhe pura yakeen hai vidhi ke papa.

Hp: Bimla doctor ne hame bataya na iss bimari ka koi ilaj nahi hai kahi pe bhi agar hota tho vo hame bathayenge na USs jagah treatment keliye jaane keliye.

ham kaise dev saab ki jindagi ko hamari haathon se barbaad karenge bimla yeh pata hote huye  vidhi ke paas sirf teen mahine hain  jeene keliye.

Vidhi got shocked by listening this and she felt like her legs giving up and about to fell she supported on wall , tears are continuously flowing from her eyes and with shivering body she managed to reach her room. Vidhi is shivering with tension and she couldn’t make her thoughts and in a confused and tensed state she dialed dev no to share her pain.

Dev didn’t lifted the call then Vidhi slowly came back to senses but still she couldn’t process what is happening around her. She just remembered her parents convo and cried at the truth that she have only some time and then slowly her brain start to work that how her parents are behaving nicely with her nowadays and how Bimla is in tension about small things related to her like her chakkar and dullness. And mainly how  hp agreed for their meeting at baalghar and home… and what dev said in before conversation and why she felt something wrong about him.

Iska matlab sir ko sab pata hain.. isiliye unhone shaadi ke bare me bath Kar rahe the.par ma papa kaha rahe hai ki vo dev sir se chupana chahte hai tho sir ko yeh baath kaise pata chala.. 

she remembered how he is asking about her health and his dry words.. his heavy voice. She cried remembering his words. Mujhe pata hain sir aap kisi bhi haal me mujhe nahi chodega mujhe pata hain.. par mein aapke sath yeh na insafi nahi hone dungi sir.. kuch pal ki khushiyan keliye main aapko jindagi bhar ka dard nahi de sakti sir.. mujhe pata hain aap ko iss bath se koi farak nahi padega.. mere kismat me jithna bhi din hai aap mere saath rahenge our mujhe bachane ke liye apna jee jaan lagayengeein.par main ithna swardhi kaise ho sakta Hu sir.. nahi.. mujhse yeh nahi hoga.. mujhe khud ko aapse dur karna hi hoga. Par kaise karu sir kaise .. main kuch bhi karu.. kahu.. aapko pata chal hi jaayega aap mujhe mujhse bhi jyada ache se jante hain..

Hey milapini maa aap kyon mujhe ithna bada uljhan mein daal dia.. koi aisa rasta dikhayi ye ma ki main dev sir ko khud se door kar sakun..

Mujhe pata hain kal papa shadi keliye nahi manenge .. par uske baad kya.. our sir itni aasani se peeche nahi hatega.. papa ko manane ki poori koshish karega . mujhe hi kuch karna hoga.. kuch bhi karke sir ko mujhse door karna hi padega..she remembered their moments and painfully she said sir.. aap mujhse ithna pyar kyun karte hai …main bahut khush naseeb Hu sir.. mere kismat me aapka ithna zyada pyar likha hai par badle mein main aapko dard ke alava kuch nahi de pa rahi Hu. Sir.. I am sorry sir.. I am sorry….and she cried bitterly..

Dev got scared by the missed call at that time and he went hurriedly to his cupboard and took the red Color shirt and hugged the shirt tightly.He felt heavy and light at the same time by touching that shirt to his heart like his heart is sharing all his pain with her and obsorbing her sorrow…he hold the shirt near to his heart and lost in peace that shirt providing him….

Vidhi is remembering all the things happened between them and felt pain to loose their memories so soon..

In few minutes she got call from dev. She is in pain and without thinking anything she lifted the call dev sir…

And she cried..

Dev: Vidhi….. kya hua.. kyon ro rahi ho.. bathao mujhe kya hua.. pls stop crying Vidhi…pls…

Vidhi: i am sorry sir.. I am sorry.. main .. main..  sir maine ..papa …se bath karne keliye gaya tha par… vaha jane ke baad main yeh suna ki… …and she cried… main..main..

Dev: dev felt that his heart stopped its beat for a second kahi Vidhi ko sach tho nahi pata chala…. Nahi.. nahi.. aisa nahi ho sakta.. dev pressed the shirt too tightly near his heart then he controlled himself and spoke.. vidhi pehle shant ho jao . Vidhi pls stop crying and ab bathao aisa kya sunaa tumne.. pls mujhe bathao vidhi.. aisa kya suna tumne ( he couldn’t bear the fear of chance of getting her know the truth)bolo vidhi pls…

Vidhi got into senses after listening his pleading voice and thought yeh kya kar raha hai Thu vidhi .. tu sach me pagli filam ho.. dev sir ko yeh bathana jaa rahe hai ki tumko sach pata chal gaya .. no.. no..

Dev: vidhi plz bolo na .. mera dil baitha ja raha hai vidhi .. jaldi bolo na..

Vidhi: she just pressed her mouth with hand and wiped her tears and calmed her heart beat and said sir.. papa .. papa kaha rahe hai ki ..

Dev: ha pap ne kya kaha..

Vidhi: vo vo ma ko aapke dhoke ke baare me yaad dila raha tha our kaha raha tha ki vo kabhi bhi mera hath aapko nahi dega…..

Dev: he closed his eyes with relief and exhaled the breath that he is holding till now and calmed his erratic heart beat.

BAs yahi baath hai vidhi.. tumne yahi suna hain.. he wants the confirmation very badly. 

Vidhi: controlled the tears and said ha sir.. papa iss shadi keliye kabhi razi nahi hoga.

Dev:he just got relieved and said Vidhi tum pehle rona band karo vidhi.. hame patha hai na tumhare paap ke bare mein. Sab theek ho jayega. Kal bas ek our baar koshish karoonga taki vo maan jaye kya pata doosre thappad se unka gussa khatam hojaye and uske saamne se main tumhe vaha se uthake le aavunga in dhayee style…. he smiled ..he know she won’t like this but he is trying to make her normal.

Vidhi: got overwhelmed by his love forgot the situation and lost in his charming words ,smiled lightly and said with shy.. kyan sir aap bhi..

Dev: thank god .. ab tum meri vidhi laga rahi ho…daro math vidhi..main bas kal aavunga our tumhari papa se baath karoonga. Sirf ek our baar koshish karne do mujhe pls..math rokna mujhe pls.. vidhi..

Vidhi was silent and she don’t know how to stop him and calmed a bit.

Dev: agar mohatarama ka mood thoda theek hogaya tho aapka ijazat samjhun . He just trying lifting up her mood but here he can’t control himself and his eyes are shedding the pain and his heart become heavy and he felt his words are struck in his throat..

Vidhi felt happy, cry, proud at same moment and about to break down . She just pressed her eyes with much difficulty and controlled herself and said… bye sir….

Dev: Dhyan rakhna ache se vidhi.. bye…and cut the call.

Vidhi after hearing his concern couldn’t take anymore and broke down completely…

Dev wore the shirt and sat silent on the floor near the bed and staring at the void that engulfing his life…

Vidhi woke up with jerk by the call of Bimla. She don’t know when she slept and she is slowly remembering the things that happened in last night…

 Dev sat there like up to the morning without closing the eyes.. his head is laying on the bed and he seems lost some where.

Satya came to dev room and called him softly .she make him stand and sad by seeing his dishelved state  , his messed up hairs , his dry eyes and tired face. To lift his mood she said hamne decide karlia na dev jo bhi kare saath me karne ke liye. Tho jao jaldi jaake fresh up ho jao.. sasur ji ko patana bhi hai .ithni gandha shakal lekar jaoge tho ghar me bhi entry nahi milega… jao thoda sajon Savaroon…

She laughed a little and pushed him to the rest room and wiped her tears..

Vidhi went hurriedly to Bimla and said about dev and satay’s arrival.

Bimla felt very happy and went to inform hp.

Vidhi just saw Bimla and said to herself mujhe patha hain maa aap meri khushi keliye kuch bhi kar sakte hain. Aap mere liye swardhi ban rahe hai ma.. par in sab me dev sir ka kya hoga..

Hey milapini ma BAs aap hi yeh kar sakte hai ma.. papa ko har haal me iss rishte ko inkaar karna hoga..

Par main nahi chahti hai ki dev sir ka ek our baar beijjati ho.. sab kuch shanti se hona hai ma..

Agar main mana karu tho dev sir yakeen hi nahi karega.. our uske aankhon mein dekhne ke baad main yeh natak nahi kar pavunga ma..

Bas himmat dijiye ma.. dev sir ko mera sach patha hone ki sach ke baare me kuch bhi doubt nahi aana chahiye..kyonki papa kabhi iss rishte ko raazi nahi hoga tho mujhe kuch nahi karna hai.. par dev sir .. uska koi bharosa nahi hain poori koshish karega ki papa ko manane mein kyon ki ab vo mujhe iss halat me akela nahi chodenge.  Kya karu.. kya karu..achanak se mein badal gayi tho sir ko doubt aayega..

Vidhi is in thoughts and Bimla called her..

Bimla:jaldi taiyar ho jao beta bas dev sir aathe hi honge..

Vidhi: ma par paapa..

Bimla: Thu vo sab kuch mujh par chod do .. (she also in doubt how much she try to convince hp he is not ready to listen .but she is confidant that dev will set everything all right.)

Dev home:

Dev got freshen up and looked in the mirror and said agar yeh tumhara rota hua chehra dekha  tho vidhi ko doubt aayega ki thum usse kuch chipa rahe ho..dev made himself presentable and went to Satya . both prayed to god and took aarthi and went to Vidhi home.

Vidhi home:

Vidhi got ready in a salwar suit and Bimla made her wear little make up and said bahut sundar lag rahi ho Vidhi.. Seema told dev jiju ko tho tumhe dekhte hi hosh ud jaayegaa… 

Bimla has tears in her eyes and thought if sab kuch theek hota tho yeh unki jindagi ke kithna memorable din hota. She turned aside and wiped the tears..Vidhi understood and couldn’t control herself and cried a little.

Bimla:vidhu. Kya hua ..papa ke baare me soch rahe ho.. kuch nahi hoga dev ji sab sambhalenge.. 

vidhi stood silent and Bimla wiped her tears and ro roke Ghandhi shakal banayi tho dev ji main gate se hi bhaag jayega…

Seema: nahi maasi.. jeeju bilkul bhi aisa nahi hain. Yeh kitna bhi gandha shakal banaye par jeeju usse nahi chodne vala . Isiliye madam ji ne style maar rahi hain..

Vidhi smiled a little by Seema’s words.

Dev and Satya came to Vidhi’s home. Satya got the Shagun for Vidhi and driver kept the Shagun in the table and went. 

But what they don’t know is they’re already the mandap and all haveli  decorated that ki milapini ma ki puja ki tayyari ho raha hain.

Satyavati thought how in this situation dev will talk about marriage and how hp will react for that.she is very tensed about that.

Puja keliye sab mohalle vale vaha moujud hai. Puja sampann hone ke baad dev told infront of every one that he wants to talk some thing important with Vidhi if Hariprasad ji permits him.

Hp stood silent because all the mohalla people are there. 

Taking it as yes dev walked up to vidhi and said

Vidhi..  milapini ma, tumhari ma, paapa, mere ma our yaha jitne bhi log hai un sab logon ko patha hai ham ek dusre se kithna pyaar karthe hai . Isiliye aaj inn sab ke saamne main thumse yeh poochna chahta hoo ki..

Vidhi .. mujhse shaadi karogi….

Vidhi got emotional by listening this and she only know how much she waited to hear this from her dev sir.. but now she don’t know what to do? Sab log yaha pe hai our uska yeh dar hai ki sab ke saamne uske paapa ek our baar dev ko insult karega..our vo kuch nahi kar Sakthi paapa ko rokne keliye.

Dev: vidhi.. kuch tho bolo..

Vidhi: she was moved and welled up by the love he  is showing in his eyes even after knowing her truth .. she wiped her tears and said

Ha sir.. main aapse shadi karna chahta Hu …. Par mere ma papa ki ijazat ke bina main yeh nahi kar Sakthi Hu.. vo mera sab kuch hai sir isiliye unka razamandi meri liye bahut zaroori hain..

Dev didn’t find it odd because he know she will answer the same so.. he looked at hp to say some thing and all other neighbours who are shocked by the things.

Satya was worried but dev saw directly into hp’s eyes without any hesitation.

Hp couldn’t see into Dev’s eyes and just looked all other neighbours and walked up to dev grabbed his hand and took dev along with him.

No one dared to follow them because of hp’s anger.

Satya and Bimla praying that ki some how hp should accept this relation. 

But Vidhi is praying with pain that her paapa kabhi iss shadi keliye raazi na ho jaye. Our iss baar dev sir ki koshish ko na kamyab kijiye ma.. mujhe pata hai sir poori koshish karenge papa ko manane keliye.. par pls ma.. papa iss shadi keliye mana kare pls ma..

 

All the people present there waiting for the outburst to happen . Mohalle vale ithna uthavake ho raha hai ki aaj usse bahut mazedaar scene dekhne ko milega..

Satya and Bimla ,chacha,chachi all are worried about hp out burst and Vidhi is worried about Dev’s zid.

After 30 minutes,

Dev and hp came out of the room happily and hp announced that ki 

USs ne Kal Shyam ko dev our vidhi ke sagai ka shub muhurath set Kia hai our vaha jitne bhi log hai usse vo sab aamantran kar rahe hain.

And he walked up to satyavathi and said badhai ho satyavathi ji …

Vidhi got disappointed about the announcement of hp and all mohalle vale sulked their faces on missing the best entertainment of the day…



To be continued….


part3:

https://www.indiaforums.com/forum/post/162509850


SHINIKA 

Edited by Shinika - 1 years ago
Shinika thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Anniversary 7 Thumbnail + 3
Posted: 1 years ago

guys second part updated.. 

Tag 1